Tarash kar mere bazu uraan chor gaya,
hawa ke paas wo barhana makan chor gaya,
rifaqaton ka meri usko dhayan kitna tha,
zameen le li magar asman chor gaya,
ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh ke bhi,
khulay dareechay pe ik phool daan chor gaya,
jo badalon se bhi mujhko chupa ke rakhta tha,
barhi hai dhoop to be saaibaan chor gaya,
oqab ko thi gharaz fakhta pakarne se,
jo gir gai to yunhi neem jaan chor gaya,
na jaane kon sa asaib dil main basta hai,
k jo bhi thehra wo akhir makaan chor gaya,
No comments:
Post a Comment