Guzro naa iss tarah ke tamasha nahi hoon main
Samjho ke abb hooN aur dobaarah naheeN hooN maiN
Ik Taba’ RuNg RuNg thee, so naz’r-e-Gul Huee
Abb ye ke apnaY saath bhee rehtaa naheeN hooN maiN
Tum ne bhee meraY saath uThaaye haiN dukh bahut
Khush hooN ke Raah-e-Shoq maiN Tanhaa naheeN hooN maiN
PeechaY naa bhaag, Waqt ke aye naa shanaas Dhoop!
SaayoN ke darmiyaan hooN, Saayah naheeN hooN maiN
Jo kuch bhee hooN, maiN apni hee Soorat maiN hooN Aleem
Ghaalib naheeN, Meer-O-Yagaanaa naheeN hooN maiN
No comments:
Post a Comment