Faisla muhkam nahin bigri hui taqdeer ka
Doosra rukh bhi to hota hai kisi tasweer ka
Narm lahjay say dilon per hukmarani ka amal
Ek naya shahkaar hoga alam-e-taskheer ka
Log sab apni anaa kay khol main mahsoor hain
Kaon samjhey gaa yehan lahja teri tahreer ka
Zarb kaari jab lagata hai koi kirdar per
Rukh badal jataa hai usdam saheb-e-tauqir ka
Bekhatar takhreeb kay sanchay maindhul jatey hain log
Jub koi pehloo nazar ataa nahi tamir ka
Hum nashin!bus haqbajaanib faisley ki dare hai
Toot janaa hai yaqini aahni zanjeer ka
Ishq ki bunyaad per ’MoZaM’ yeh mumkin hi nahin
Kaghzi ho parahun her paikarey tasweer ka
No comments:
Post a Comment