Yeh Jo Hum Apnay Hi Dil Ki Madham Sada Se Aagey Nikal Gaye Hain
Sma’atien Kho Gaien Hain Ya Phir Hawa Se Aagey Nikal Gaye Hain
Jali Hoii Sard Ungliyoun Se Sanam Kaday Kar Deye Hain Roshan
KHUDA Ke Kuch Bakmaal Banday KHUDA Se Aagey Nikal Gaye Hain
Hum Ab Kissi Azeem Chahat Ke Surkh Rastay Pe Gaamzan Hain
Muqaam E Ajar O Sawaab Guzra Saza Se Aagey Nikal Gaye Hain
Aey Husan Ke Lazwaal Sooraj Tu Ab Inhien Dhoop De Ke Chaaon
Terii Mohabbat Ke Rahii Teri A’ata Se Aagey Nikal Gaye Hain
Meray Leye Ab Yeh Teray Sajday Ye Teray Aansoo Fazool Sha’e Hain
Meri Tabahii Ke Silsilay Ab Dua Sey Aagey Nikal Gaye Hain
Raza O Tasleem Ke Karray Imtehaan Mein Aey Khaaliq E Do-Aalam
Fraat Ke Ghasibaoun Se Teray Yeh Pyasay Aagey Nikal Gaye Hain
No comments:
Post a Comment