Tuesday, May 4, 2010

Agar hum kahein aur woh muskura dein

Agar hum kahein aur woh muskura dein
Hum un ke liye zindagni luta dein

Har ik mor par hum ghamun ko saza dein
Chalo zindagi ko mohabat bana dein

Agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule
Ke chahat mein un ke khuda ko bhula dein

Kabhi ghum ke aandhi jinhe chu na paaye
Wafaun ke hum woh nasheman bana dein

Saza dein ke na dein bana ke mita dein
Magar woh koi faisila to suna dein

Ab Kis Aas Mai Betha Hai Navi Dehlees-e-hayat Pe

Ab Kis Aas Mai Betha Hai Navi Dehlees-e-hayat Pe
Is Tarhan Se Muntazir Rehna Bhi Kuch Munasib Nahi

Meri Mohabbat Ke Tapish Tujh Ko Pighlae Gi Ik Din
Jhooti Umedo Se Ji Ko Behlana Bhi Kuch Munasib Nahi

Hoa Kiyon Ker Masloob Eshq-e-Navi, Koi Kiya Janey.!
Her Ik Ko Razdaan Banana Bhi Kuch Munasib Nahi

Jub sey tum ko dekha hai

Jub sey tum ko dekha hai ,.
kuch mujh ko aisa lagta hai

In ankhon main aik chup si hai
Aur bala ka shor bhi hai

in ankhon main aik gehraie si hai
aur wafa ka zor bhi hai

Jub say tum ko dekha hai
Kuch muj ko aisa lagta hai

in akhon main aik aas si hai
aur umeed ka saath bhi hai

Dil main ab yoon tairay bhoolay huway gham aatay hain

Dil main ab yoon tairay bhoolay huway gham aatay hain
Jaisay bichray huway Kaabay Main sanam aatay hain

Aik aik kar k huway jaatay hain taaray rooshan
Mairi manzil ki taraf tairay qadam aatay hain

Raqsay mai taiz karoo saaz ki lay taiz karoo
Sooay maikhana safeeranay harram aatay hain

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki

Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki

Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad RakhneyKi Sifarish Nahin Ki

Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki

Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya
Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia


Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia

Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia

Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya

Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya

Jab Yunhi Kabhi Bethay Bethay

Jab Yunhi Kabhi Bethay Bethay

Kuch Yaad Achanak Aa Jaaye

Har Baat Se Dil Beyzaar Sa Ho

Har Cheez Se Dil Ghabra Jaaye

Karna Bhi Mujhay Kuch Or Hi Ho

Kuch Or Hi Mujh Se Ho Jaaye

Kuch Or Hi Sochoon Mein Dil Mein

Kuch Or Hi Honton Per Aaye

Aisay Hi Kisi Ik Lamhay Mein

Chupkay Se Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Jaayen

Kuch Beetay Lamhay Yaad Aayen

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai

jab Chandni Dil Ke Aangan Mein

Kuch Kehnay Mujh Se Aa Jaaye

Ik Khuwabeeda Se Chote Koi

Ehsaas Pe Meray Chha Jaaye

Jab Zulf Pareeshan Chehray Per

Kuch Or Pareeshan Ho Jaaye

Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay

Or Saans Bhi Bojhal Ho Jaaye

Aisay Hi Kisi Ik Lamhay Mein

Chupkay Se Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Jaayen

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai

Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay

Manzil Ka Na Koi Naam Milay

Hansta Hova Ik Aaghaz Milay

Rota Hova Ik Anjaam Milay

Palkon Pe Laraztay Ashkon Se

Is Dil Ko Koi Peghaam Milay

Or Saari Wafaon Ke Badlay

Mujh Ko Hi Koi Ilzam Milay

Aisay Hi Kisi Ik Lamhay Mein

Chupkay Se Kabhi Khamoshi Mein

Kuch Phool Achanak Khil Jaayen

Kuch Beetay Lamhay Yaad Aayen

Us Waqt Teri Yaad Aati Hai

Shidat Se Teri Yaad Aati Hai

Ager cha omer-e-rafta k dhairoon bars daikhay hain

Ager cha omer-e-rafta k dhairoon bars daikhay hain
tajrubay ki haseeen gheryaan
hamaray paas say ho ho k guzri hain
sukh aur dukh k her lamhay say
hum nay huz uthaya hai
kitni ghaltian serzad na honay k bais
hamaray paas say ro ro k guzri hain
mager naraaz logoon ko mananay ka saleeqa
hamain ab tuk nahi aaya
dostoon ki khafgioon ,narazioon ko door kernay ka
ya fun qat'un nahi aaya
yoon samjho k is lateef dunya dari k hawalay say
abhi hum tifl-e-maktab hain
yaari dosti k in marahil ko pukhta bananay main
hamaray taaray milanay main
samay ki taiz dhara ko abhi kuch aur chalna hai
hamari janib sy logoon ko mananay main ,naye(new) tauluq
bananay main
abhi kuch waqt lagna hai
mager hum ya baat wasooq say kehnay k qabil hain
k ager tum maaf ker do gay
tumhari mohabbat ki narm phavaroon say jub
hum bheeg jain gay
to rishtay nibhnay ka ya fun
bhi seekh jain gay

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai

Lafz Adhoray Lagtay Hain Har Baat Adhori Lagti Hai
Chand Bhi Nahi Nikla Ye Raat Adhori Lagti Hai

Baras Rahay Hain Badal Meray Ashiyanay Per Qahar Ki Tarhaan
Abhi Tota Nahi Makaan Mera Ye Barsaat Adhori Lagti Hai

Kab Tak Sahara Den gi Umeedain Meri Sansoon Ko
Milta Nahi Koi Maharbaan Ye Kainaat Adhori Lagti Hai

Milti Hain Khushiyaan Bhi Mujhay Lamhoon Ke Wasta
Gar Gham Hi Moqadar Hain To Ye Soghaat Adhori Lagti Hai

Kis Se Gila Karoon Koun Sune ga Meri Daastan-E-Tanhaai
Likha Tha Jis Per Mera Naseeb Wo Kitaab Adhori Lagti Hai

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha
samnay baitha tha mairay or wo maira na tha 

wo khusbo ki tarha phaila tha mairay chaar so
main usay mehsos kar sakta tha chosakta na tha 

raat bhar pichli si aahay kaan main aati rahi
jhaank kar daikha gali main koi bhi aya na tha 

aaj is nay dard bhi apnay alehda karliay
aaj to main roya to mairay sath wo roya na tha 

ye sabhi veranian is k juda honay say thin
aankh dhund lai hoi thi shar dhund laya na tha...

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI

TU NEY AGIYAR SE MAHFIL KO SAJA RAKHA HAI
MAIN KHUD SE B MAGAR KHUD KO BACHA RAKHA HAI

KYA HUWA JO TU MARE SATH NAHIN CHAL SAKTA
HAMSAFAR YAAD K JHUKON KO BANA RAKHA HAI

UMAR BHAR SATH NA CHORIN GY SADA CHAHIN GY
SIRF ILAFZ THY, ILAFZ MAIN KYA RAKHA HAI

BEWAJA MAIN NEY GIREBAN KO NAHIN CHAK KIYA
SANG TU NEY B HATON MAIN UTHA RAKHA HAI

THI FAROZAN KABHI EK SHAMA_E_MUHABAT JIS MAIN
MUJH KO DEWANA US DIL NE BANA RAKHA HAI

DAM-BAKHUD DEAKH RAHA HAI WOH MARE DAMAN KO
MARE DAMAN MAIN TO BAS KHUWAB-E-WAFA RAKHA HAI

Aankon pe aansoo ki lakeer ban gayee Kabhi

Aankon pe aansoo ki lakeer ban gayee Kabhi
na socha tha aise takdeer ban gayee
Humne to pheri thi yuin hi rait mein ungliyan ..
Ghor se dekha to teri tasveer ban gayee ....


Hum use bhula kar bhi nahi ji sake,
hum use yaad rakh kar bhi nahi ji sake,
mar jaate kabke unke bina par unki baaho
ke bina mar bhi nahi sakte.




Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jagti ankhon me bhi kuch khawb hote hai,
zaruri nahi ki gum me hi ansu nikle,
muskurati ankhon me bhi sailab hote hain.



Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
wafa karke bhi bewafai mili hai,
jitni dua ki tumhe pane ki,
us se jyada teri judai mili hai.


Ae palak tu band ho ja,
khwabo mein unki surat to nazar aayegi,
intezar to subah dubara shuru hoga,
kam se kam raat to khushi se kat jayegi.

Aansoo Mein Na Dhoondna Humein

Aansoo Mein Na Dhoondna Humein
Dil Mein Hum Bas Jayen gye

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon Mein Nazar ayen gye

Lamha Lamha Waqt Guzarr Jaye ga
Chand Lamhoo Mein Daaman Choot Jaye ga

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse
Kal Kya Pata Kon Apki Zindagi Mein Aa Jaye ga.

Paas Aa kar Sabhi Door Chale Jaate Hai
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai

Dil Ka Dard Kisse Dikhaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai

Waqt To Humein Bhula Chuka Hai
Muqaddar Bhi Na Bhula De

Dosti Dil Se hum Isi liye Nahin Karte,
Kyun ke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milen gye
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milen gye

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milen gye

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayen gye
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayen gye

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazar Ayen gye

ik baat kahoon ger suntay ho

ik baat kahoon ger suntay ho
tum mujh ko achay lugtay ho
kuch chunchal se kuch chup chup se
kuch pagal pagal lugtay ho
hein chahnay walay our bohat
per tum mein hai ik baat bohat
tum apnay apnay lugtay ho
ik baat kahoon ger suntay ho
yeh baat baat pe kho jana
kuch kehtay kehtay ruk jana
yeh kis uljhan mein rehtay ho
kaya baat hai hum se keh dalo
ik baat kahoon ger suntay ho
tum mujh ko achay lugtay ho

kal hum ne sapna daikha hai

kal hum ne sapna daikha hai
jo apna hoo nahi sakta hai
uss shakhs ko apna daikha hai
woh shakhs ke jis ke khatir hum ne
iss dais phirain, uss dais phirain
joogi ka bana kar bhais phirain
chahat ke niraale geet likhain
jee mohne walle geet likhain
dharti ke mehakte baghoon se
kaliyoon ke jhooli bhar layain
anbar ke sajeele mundal se
taaroon ke dooli bhar layain
haan kis ke liye, sab us ke liye
woh jis ke lap pe taisoo hai
woh jiss ke naina ahoo hain
jo khaar bhi hai aur khushbo bhi
jo dard bhi hai aur daroo bhi
woh alhar si, woh chanchal si
woh shair si, woh pagal si
loog aap hi aap samajh jayen
hum naam na uss ka bat'layain
aye daikhne waloo tum ne bhi
uss naar ki peet ke anchoon mein
iss dil ka tapna daikha hai ?
kal hum ne sapna daikha hai...

Usay apnay ferd ki fikar thi

Usay apnay ferd ki fikar thi
Jo mera waqif-e-haal tha
Wo jo us ki subah urooj thi
Wohi mera wakt-e-zawaal tha

Kaha jao ge mujhay choor k
Main yea pouch pouch k Thak giya
Wo jawab mujh ko na desaka
Wo to khud hi sarapa-e-sawal tha

Mere baat kase wo maanta
Mera Dard kase wo jaanta
Wo to khud fana ke safar main tha
Usay rookna bhi mohaal tha

Wo jo us ke samnay aa giya
Wo hi roshany mian naha giya
Ajab uski haibat-e-ishq thi
Ajab uska rang-e-jamal tha

Dam-e-Wapisey
Arey kiya hua
Na wo roshany na wo tazagy
Wo sayara kaisay bikhar giya
Jo apny misaal app tha

Wo mila to sadyo k bad bhi
Mere lab pai koi gila na tha
Usay mere chup na rula diya
Jisay guftago main kamal tha

Mere paas aa k wo ro diya
Mujhay itna hi kh saka
Jisay jaanta tha main zindagy
Wo to mera weham-0-khayal tha

gairon ko dard sunaney ki zaroorat kya hai

gairon ko dard sunaney ki zaroorat kya hai,
hal-e-dil sub ko bataaney ki zaroorat kya hai,

na mita pao gay tum dil se mera naam kabhi,
phir kitabon se mitaney ki zaroorat kya hai,

yun to umer kum hai muhabbat k liye,
root ker waqt gawaney ki zaroorat kya hai,

jub muhabbat ka sila milta nahi logoun se,
uney is kader toot k chahney ki zaroorat kya hai,

Itni muddat bad mile ho,kin sochoon mein gum phirte ho

Itni muddat bad mile ho,kin sochoon mein gum phirte ho
itne khaaef kiyon rehte ho, har aahat say darr jate ho 

tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhti rehti ho
kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kiyon jagti ho

Kaisay kahoon main akaili hon tujh bin aay dost meray
saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehtay ho.

Main dariyaa say darrti hon, tum dariyaa say bhi gehray ho
koun se baat hai tum mein aisi, itnay achay kion lagtay ho.

Meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhtay ho
kehnay ko rehtay ho dil mein, phir bhi kitney doore rehtay ho.

Dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par
JAAN MERI! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehtay ho.

Hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisay ho
tum ziddi bahot ho, jaisay ho, phir bhi achay lagtay ho.

Usey main hi likha tha

Usey main hi likha tha
Lehjey barf ho jain
Tu pigla nahi kertey
perndey dur ker ur jaian
Tu phir lota nahi kertey
Usey main hi likha tha
Yaqeen uth jaey tu shaid
khabi wapis nahi ata
Hawaon ka koi Tufan
khabi barish nahi lata
Usey main hi likha tha
Key shesha tout jey tu
Khabi jur nahi pata
Jo rastey sey Batuk jaey
Wo wapis mur nahi pata
Usey kehna wo bey-mani adhura khat
usey main hi likha tha
Usey kehna key Deewaney
Mukamal khat nahi likhtey!!

Zindagi Main Meri Yeh Ajab Mour Hai Aya

Zindagi Main Meri Yeh Ajab Mour Hai Aya
Who Shaks Bhi Kho Gaya Jisey Tha Mudaton Main Paya
Uss Ka Masoom Sa Chera Meri Nigahon Ko Bhaya
Iss Pasandeedgi Ney To Isqh Ka Hai Rogg Lagwaya


Kabhi Jo Hasney Hasaney Ki Baat Kerta Tha Mujh Sey
Aaj us Ki Narazgi Ney Mujhey Betahasha Rulaya


Woo Na Mana To Pall Main Bikher Jaon gi Main
Dil Hota Hai Woo, Gher Jo Ujjra To Kissi Ney Na Basaya

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo
Nazar Say Harf-e-Salam Likhna



Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein
Sulagtay Din Thay, Sulagti Ratein
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par
Muhabbaton Kay Payaam Likhna




Gulab Chehron Say Dil Lagana
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana
Wo Arzu'on Kay Khwab Bun'na
Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna



Mere Nagar Ki Haseen Fizao
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao
To Poochna Ke Kahan Basay Wo
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna



Gayee Ruton Mein Rubab Apna
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha
Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna
Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi
Agar zid meri pakki hai to aey Khuda asman ko bhi hila de gi

Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakeen hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi

Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga de gi

Na bhula sakon gi woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya de gi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat mein to woh ik din, aye ga zaroor
Jab meri yaad mein to tarpe ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho.
Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Saiban Day Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho

Tum Chao To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar
Tum Chao To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho

Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chao To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chao To Kia Nahi Kar Saktay

Tum Chao To Sub Kuch Kar Saktay Ho
Bus

Baat Tumhary Chahny Ki Hai..

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans liye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jeewan raat andhairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

jab sawan badal chaye hoon
jab phagan phool khilaye hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam ne basti ghairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

haan dil ka daman phaila hai
kiyon gori ka dil maila hai
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed se dil ko sairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

kiya jhagra sood khasare ka
ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa le jaye
sab duniya, duniya le jaye
tum aik mujhe bohteri ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko

wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko
dil main rehta hai kahan dhoondne jaon us ko

ajj phir pehli mulaqaat se aaghaz keroon
ajj phir door se hi dekh k aaon us ko

qaid ker loon usse aankhoon k naha khaane main
chahta hoon k kisi se na milaaon us ko

usse duniya ki nigahoon se keroon main mehfooz
wo wehaan ho k jehan dekh na paoon us ko

chalna chaahe to rekhe paaoon mere sine pe
bethna chahe to ankhon pe bithaoon us ko

wo mujhe itna sabak , itna sabak lagta hai
kabhi gir jaaye to palkoon se uthaon us ko

mujhe maloom hai akhir to juda hona hai
lekin ik baar to sine se lagaoon us ko

YAAD se us ki nahi khaali koi bhi lamha
phir bhi darta hoon kahin bhool na jaoon us ko

mujh pe yeh raaz isi aik hawale se khula
baat us ki hai mager kaise bataoon us ko

yeh mera dil , mera dushman , mera deewan dil
chahta hai ke sabhbi zakham dikhaoon usko

aaj too dhoop main taizi hi bohat hai warna
aapne saye se bhi shehzaad bahaoon us ko

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnon Ka Bashinda
Sath Humain Yon Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Door
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Wehshat K Saaz Pe Raksaan Matam K Kuch Alfaaz
In Hontoon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hai

Apnay Hontoon Se Ana K Talay Hum Se Na Khol Payen Gain
Door Hote Sathi Ko Bholna Mitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apne Zakham Logon Ko Dikhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Se Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bache Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Se Kehne Wale Tum Hontoon Ko Sunane Wale
Apni Chahat Yon Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...

Is rangein duniya mein udasi ka sabab...

Is terha toot kay chahne ka sabab...

yun apne dil mein Basane ka sabab...


har lamha us ko sochne ka sabab...

apne naam Se yun jorne ka sabab...

bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab...

labon se choone ki tamana ka sabab..

juda ho janay kay dar ka sabab...

kho janay kay dar ka sabab...

bichar janay kay dar ka sabab...

bhool janay kay dar ka sabab...

kia kahoon mein...kia kehta

bas yahi keh saka...Kay

tum meri ho

mujhay tum se mohabat hai..

Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa

"Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey, Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh, Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa


Woh Tere Naseeb Ki Baarishein Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun, Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa


Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein, Teri Aass Tere Gumaan Mein
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein, Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa


Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya, Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain


chahe "manzil" "dushwar" ho aur "duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain


yun to "raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain


mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye
ke main tumhein kitna chahta hoon
Tumse kitni mohabbat karta hoon
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain aisa lage ke
koi tumhare sang nahi hai
koi tumhara hamdam nahi hai
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain zindagi dushwar lage
Jab koi umeed na koi aas ho
koi bhe na tumhare pass ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Agar kabhi yadein bohat dukh de
Tanhai ka ehsas bohat satae
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi


Jab you lage tumhain ke
Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti
Mazeed is aag main nahi jal sakti
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab har saans boojh lagne lage
Tum andar hi andar tootne lago
To ausi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Na mile panah kisi key banhoon main
Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
Ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko
Yah phir koi tumhain tukra de
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Aankhoon main ajay agar ashk tumhari
Aur koi shaks pouchne wala na ho
koi ghum bant ne wala na ho
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Koi tord de agar dil tumhara
Ho agar na koi muqabil tumhara
Tanhai ka ehsas bohat sataee
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh to dukh deti hain sada
Tumhain bhe yadein sataye jab
Mehfil main bhe khud ko tanha paoo
To us din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh mera wada raha tumse
Jo kuch bhe main ne kaha tumse
Yeh sab na bhool paoo gi
Tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi,

Yeh ik piyara sa jo rishta hai

Yeh ik piyara sa jo rishta hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kahen likha nahin kahen parha nahin
Kahen dekha nahin, kahen suna nahin

Phir bhi jana pehchana hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kuch masum sa, Kuch ulbela
Kuch apna sa, Kuch begana hai

Kuch chunchul sa, Kuch shurmila
Kuch sukh sa, Kuch sunjida hai

Kuch uljha howa, Kuch suljha suljha
Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa hai

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi kari dhoop main saya hai
Kabhi andheri raat main jugnu hai

Kabhi bin badal barsaat hai
Kabhi bhutkay hawaon ka rah-bur hai
Kabhi rasta hai, Kabhi munzil hai

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi dhagay say isay badha nahhin
Kabhi ehad-o-paiya'n main jukra nahin
Kabhi haq bhi to apna jutaya nahin

Phir bhi yeh kitna piyara hai
Jisay hum nay sachey moti ki turha
Dil ki sipi main qaid kiya
Sub ki nazro'n say dhanp liya

Kabhi maan diya, kabhi aitbar kiya
Sub kuch hi is par var diya

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko
Teray Pass Anay Ko Dil Chahata Hai


Dosti Tujh Say Nahi Teri Seerat Say Ki Hai
Is Liye Dost Bananay Ko Dil Chahata Hai


Bharoosa Na Tha Dosti Par Kabi Hum Ko
Teray Milnay Ke Bad Bharoosa Karnay Ko Dil Chahata Hai



Hamain Narazgi Main Is Terhan Manaya Hai Tu Nay
K Phir Ruth Janay Ko Dil Chahata Hai


Tu Acha Hai Tujh Say Tu Rutha Na Jaye
Per Tujhay Satanay Ko Dil Chahata Hai


Dosti Nay Diya Bohat Faraib Hum Ko Mager
Teri Dosti Ko Nibhanay Ko Dil Chahata Hai


Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Piyar Kerta Hai
ALLAH Say Tujhay Mangnay Ko Dil Chahata Hai

dosti ik anmol rishta hai

dosti ik anmol rishta hai
jo ik phool ke manind hai
woh phool ke jo khil kar sare bhaag ko mautar kar de
haan dosti woh rishta hai
jo do dilon se shoro hota hai magar
janmon yaad rehta hai
janmon sath rehta hai
haan woh rishta hai,
ke jo kabhi bulaya nhi ja sakta
kabhi tora nhi ja sakta
haan sachi dosti kabhi toot ti nhi
kabhi mit ti nhi
to aao phir ik ehad karen
hum bhi sachi dosti karen

Baat suno dostoo Jo bi dunia kehye

Baat suno dostoo
Jo bi dunia kehye
us ko parkhye bina maan layna nehi
sari dunia yeh kehti hai
Parbaat par charnye ki nisbaat utarna bohat sehal hae
Kis tarha maan lain ?
Sarfarazi ki dhun mein
Koi aadmi jab bulandi k rastye chalta hae
toh baat tak karnye ko rukta nehi
aur oushi shakhas ko
umar ki siriyoon se utartye huye Paaoon uthta nehi
Iss liye Dostoo
jo bi Dunia kahe
ous ko Parkhye bina jaan layna nehi
Sari dunia yeh kehti hai
aasal safar toh in aankhoon mein pheala huwa khawab hai
Kis tarha maan lain ?
tum ne dekha nehi
umar kiss saraab mein b aajab khal hain
khawab toh khawab hain
hum khuli aankh se jo dekhtye hain woh hota nehi
Rabtey k liye Rastye ki tarha aadmi
apne khawaboon ko bi kaat dyta hae
lekin sulagta huwa rasta phir bi kaata nehi
Iss liye Dostoo
jo bi dunia kahe

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon
Teri dosti ki khushbo mere hathoon main aaj bhi hai

Mohabbat se bhar ker mujhe tum se aqidat hai aye dost
Ye muqaam tera buland tera sab doston main aaj bhi hai

Tu woh hai jo barson ki talash ka samer hai
Tumhain sochna meri yaadon main aaj bhi hai

Ye aur baat hai k majburiyon ne nibhane na di dosti
Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai

Mera her shair meri chahton ki gawahi de ga
Chahton ki khushbo inn lafzon main aaj bhi hai

Zindagi main jis ko bhar ker chaha wo tum he ho
Wasy shamil her shakhs mare doston main aaj bhi hai

Shairon ka lafz lafz tasawar bana hai
Safhy safhy main ek aks kitabon main aaj bhi hai

Her lamha zindagi main mohabatain naseeb hoon tumhain
Shamil meri duaon main tu aaj bhi hai........!!!

Itna hi yaad rakh mujhe Jaise kisi kitaab mein

Itna hi yaad rakh mujhe
Jaise kisi kitaab mein
Beetey dinon ke dost ka
Khat ik para huwa miley
Lafz mitey mitey se hon
Rang uraa uraa sahi
Lekin woh ajnabi na ho
Uth kar tere galey lage
Bhoole huwe tamaam dukh
Guzrey huwe tamaam sukh
Beetey dinon ki kathaa
Tujh se kahe aur ro pare
Itna hi yaad rakh mujhe
Beetey dinon ke dost ka
Jaise koi khat hoon main
Rakha huwa kitaab mein-

ay dost aoo meri janib apnay kadam barhaoo

ay dost aoo
meri janib apnay kadam barhaoo
mein tum ko apnay safer par sath lay kar chalna cahte hoon ke
pehly tum say kuch batay kah loo
ta kay tum mujay samajh sako
tumhay jazbat ki kader karni ho gi
meri tanhaya hatam karni hoon gi
mera har dukh har dard apna samajhna ho ga
meri ankhoo mein chupe iss nami ko
ponchna ho ga
mera har gham jan na ho ga
meray iss bikhray wajod ko
lamha lamha samaytna ho ga
meri har udasi ko apna banana ho ga
meray har ansoo kay katray ko
apni muskurahat say sajana ho ga
mein kia bataoo
kay tumhay
aur kia karna ho ga meray liyeh
ay dost
kar kay mujh say doste ka haq ada
tumhay mujh par ahsan karna ho ga

Subha ki thandak main Phoolon ki shabnam main

Subha ki thandak main
Phoolon ki shabnam main
Din ke ujaley main
Chand ke haley main
Sham ki shehnai main
Raat ki tanhai main
Dostoon ke jhameley main
Aur beth ke akeley main
Main ne dhonda saber-o-qarar
Khushiyon ke mausam main
Aanson ke aalam main
Dosroon ki batoon main
Beechain ratoon main
Dostoon ki qurbat main
Apno ki muhabat main
Chand ki chandni main
Main ne dhoonda saber-o-qarar
Chain se na soya main
Din raat roya main
Haqeeqat hoyi mujh pe zahir
Aur mil gaya mujh ko aakhir
Merey dil ka saber-o-qarar
Meri duaon main
Sari iltajaon main
Sadgi ebadat main
Rab se muhabat main
Aur phir koyi dukh koyi azaab
Koyi ranj na raha iss khushi ke baad
Maire Khaliq maire Malik
Maire Allah se dosti ke baad

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo
Hamara tumhara saath bas yahin tak tha 

Manzil milay na milay ab hamari Kismat
Ke Zindagi ke sath safar bas yahin tak tha 

Tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
Ruk jao ke Phoolon ka Chaman yahin tak tha 

Aage arahe hain gham mujh se milne gale
Ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha 

Uttho aur naye Hamraahi talash karo
Ke yeh khuwaab Suhana bas yahin tak tha

Basi hain ajab khawashain mere dil main

Basi hain ajab khawashain mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawaish nahi hai
Hameisha rahe woh mere samne bas
Main us se kahoon aur woh mujh ko sune bas
Mere dil main utre yeh hasrat nahi hai
Basi hain ajab khawaishein mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai
Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye
Jo main rooth jaon to mujh ko manaye
Mere paas aaye zara muskaraye
Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye
Dopatte ke pallu se meri bheegi palkon k aansoo samete
Mere paas baithe
Mujhe batlaye, Mujhe samjhaye
Yeh har pal udaasi kuch achi nahi hai
Tumhari nigahon main rim jhim yeh shabnam
Kuch sajti nahi hai
Nahi chahta main k woh mujh ko soche
mujhi ko woh chahe
Mujhe apne jeewan ka hissa banaye
Mujhe us ki chahat se matlab nahi hai
Us ki mohabbat ki chahat nahi hai
Haan khawahish hai jis ki
Hai woh lafz Tawajjah
Woh shab Dosti hai

Dosti ka farz nibhaya tum ne

Dosti ka farz nibhaya tum ne
Dil ko dharakna sikhya tum ne
Zindagi ki rahoon mein...
Humesha dil mein samaya hai tum ne
In anderi rahoon mein roshni ka chirag laye ho tum
Jaise dhoop mein khara hoon mein aur saye ho tum
Saba ki in tez raftaroon mein
Asman say aye tarey ho tum
Tareef mein tumhari abb kia kahoon mein
Banyan nhi kar skta inhen lafzoon mein
Kabhi door nhi hona mujh say
Rakhna humesha apne khayaloon mein.

Tum Mujhe achi Lagti ho

Suno!
Tum Mujhe achi Lagti ho
Tumhare bhooley pun sa baaat karna
Mujhe Sacha Lagta hai
Duniya ke Fareb Main
Aik Tumhara Lehja he Sucha Lagta hai
Tumhari Mohabbatain hia aik sogat Meri
Tumhari zaat hai aik Roshan Sitara
Zamane ki sakhti rahe Dor Tum se
Sada Qaim rahe Rishta hamara
Dua deta hai Yeh DiL hamara
Youn he Sada khush raho
Shad Raho
Abad Raho
khushiou se hum kanar raho

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain

Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain
Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain

Tum Say To Khair Ghari Bher Ki Mulakat Rahi
Log Barsoon Ki Rafakat Ko Bhula Daitay Hain

Kaisay Mumkin Hai Ke Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jalay
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Daitay Hain

Kon Hota Hai Musibat Main Kisi Ke  
Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Daitay Hain

Jin Pay Hota Hai Bohat Dil Ka Bharosa faysal
Waqt Parney Pey Wohi Log Daga Daitay Hain

Doosti aik nazuk sa Ehsaas hai

Doosti aik nazuk sa Ehsaas hai
Jo kitni bhi door ho phir bhi dil ke bahut paas hai


Koi nibha paye to dosti bahut khaas hai
Aur naa samajh paye to ais ka matlab bilkul bakvaas hai


Doost se kar sakte hain dil ki har baat
Naa jaane phir bhi duniya ko dosti par kyun har pal aiteraaz hai

Kyoon Eik ladka aur aik ladki dost nahi ho sakte
Jab ke dosti ka rishta to har rishte se pak hai.

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain
Haal-e-dil sab hi khul kay bata diya tumhain

Kis tarah say chupatey dherkan kay shor ko
Shor jab had say berha to suna diya tumhain

Khaali khaali say dar-o-deewar they mere dil kay
Is khalish ko jo pur kiya to saja diya tumhain

Chalak rahi chahat mere chehrey say khushi ban kay
Jab say dil ki panahoon main basa diya tumhain

Soona soona sa tha meri umeedoon ka aangan
Machalti umangoon ki tarap nay paa liya tumahin

Kab say tanha phir raha tha humsafar ki talab main
Bus younhi ik roz qismat nay mila diya tumhain

Nikhra nikhra tumhara husan meri amanat samjhna
Kali say badal kay gul-e-gulzaar bana diya tumhain

Deewanay pan ki hadain choo raha jazboon ka junoon
Doob kay mohabbat ki gehraiyoun main dikha diya tumhain

Cheen na lay yeh ehsaas shaiki beyderd zamanay ki rasam
Isi sabab duniyaan ki nazar say chuppa diya tumhain

dost ban-banke mile muJhko mitaane waale

dost ban-banke mile muJhko
mitaane
waale
maine dekhe haiN
kaI rang
badalane waale
tumne
chup rehkar
sitam aur bhee
Dhaayaa
mujhpar
tumse achchhe
haiN mere
haal pe haNsne waale

maiN to
ikhalAq ke hathoN hi
bikA kartaa
hooN
aur hoNge tere
baazAr meiN
bikne waale
akhree
daur pe
salaam-e-dil-e-mustar le
lo
phir
naa lauTenge
shab-e-hiJr pe
ronewaale

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai.

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai.
Teri Kami Mein Kahin, Tera Ehsaas Bhi Hai.

Tujhse Se Dost Hain Lakhoon Jahan Mein Mere
Par Tu Dost Bhi Hai Aur Khaas Bhi Hai

Tune Khushiyan Mujhe Itni Di Hain Ke Aaj
Tujhe Khone Ka Dil Mein Ehsaas Bhi Hai

Khuda Ne Yun Nawaza, Teri Dosti Se Mujhe
Ke Mujhe Khud Pe Gumaan Hai Aur Naaz Bhi Hai

Dosti Kya Hai

Dosti Kya Hai???
Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO
Tum Itni Sundar Ho Ke Nahi!
Tumhe Aik Nazar Jo Dekhe Woh
Sudh Budh Bhoole,Madhosh Rahe
Bus Tum Mughe Achi Lagti Ho
Tum Hans Do Tu Mausam Badle
Tum Jago Tu Dunya Jage
Jhilmil Jhilmil Manzar Hon Sub
Aur Na Sooghe Kuch Aagey
Bus Tum Ko Dekhein,Dekhte Hi Jayein
Maloom Nahin Tum Itni Pyari
Itni Sundar Ho Ke Nahin
Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu

Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Meray Hathoon Se Apna Hath Chura Laina..
Apnay Daman Se Meri Umeedain..
Meray Sajdoon Se Apna Ser Hata Laina..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Toar Daina Pyaar Ki Zanjeerain..
Mita Laina Apnay Hathoon Se Lakeerain..
Meri Ankhoon Se Apnay Khawaab..
Khawaboon Se Meri Tasweer Mita Laina..
Magar Shert Yeh Hai..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..

Itni si duaa hay k anay wala har lamha

Itni si duaa hay k anay wala har lamha
Haseen chahtoon k phool bakshay urooj baksahy
Tumhari duniya mein roshni ho
Tumhari mahfil mein khushian hun
Kabi b tum tak dukhun ki dastak na punch paiy
Tumhari annkhun mein jo sitaray chamak rahay hain
Yoon hi chamaktay rahain hamesha
Tumharay dil tak judayion,befayion ki koi andari kiran na punchay.
Khuda karay k tum har aik dil ka qarar looto
Tumhari har aik tumnna har aik khawahish tumharay
honton tak atay atay tumharay qadamon tak aa punchay
Jo ho sakay to main tumharay sab dukhun ko apnay andar utar lun.
Janta hun yah momkin nehi magar Duaa to mera haq hay.
Yah mukhtasir duaaion ka tuhfa sanmbal rakhna.
Meray anderon ki fikar chur do.
Tum bas appna khail rakhna.....................

qudrat ne jab hamaarii hastii ka biij Daalaa

qudrat ne jab hamaarii hastii ka biij Daalaa
tab kokh mein tirii hii nau maah ham ko paalaa

phir is jahaaN meN ham ne jab aaNkh apnii kholii
nazroN meN teraa ruKh thaa, kaanoN meN terii bolii

ho goad kii vo narmii yaa haath kii ho shafqat
har pal rahii nichhaavar ham par tirii muhabbat

tuu ne sukuuN ganvaayaa, raatoN kii niind khoii
hone na dii kabhii bhii takliif ham ko koii

terii hii ungliyoN ko pakRaa to chal sake ham
mamtaa ko terii ham ne paayaa to pal sake ham

dunyaa kaa ilm siikhaa, paayaa sha.uur-e-mazhab
donoN jahaaN ke laayaq tere baGhair the kab

piichhe jo dekhte haiN, har samt tuu khaRii hai
ahsaanmand terii, har saans, har ghaRii hai

ik chiiKh par hamaarii fauran vo teraa aanaa
phir sar pe haath rakhnaa, ham ko gale lagaanaa

raatoN ko imtihaaN kii teraa vo saath jagnaa
himmat baRhaate rahnaa, sau sau duaayeN paRhnaa

mamtaa meN terii Duube taazaa vo garm khaane
gaajar ka garm halvaa, bhuTTe ke narm daane

sardii ke vo paraaThe, vo garmiyoN kii lassii
kuchh Khaas hii khilaayaa, mausam ho vo koii bhii

apnii zaruuratoN ko baalaa-e-taaq rakkhaa
ham ko diyaa hai tuu ne, jo kuchh bhi ham ne maaNgaa

KhushiyaaN mileeN jo ham ko, tujh saa na Khush thaa koii
kuchh dard ham ne paayaa, to saath tuu bhii roii

tujh se banii hamaarii aasaan zindagaanii
tuu to judaa hai sab se, teraa nahiiN hai saanii

har har qadam pe tuu ne kitne karam kiye haiN!
jo kuchh haiN aaj, terii mehnat se ham bane haiN

teraa kiyaa kisii ne ab tak kiyaa na hogaa
thoRaa bhii qarz teraa ham se adaa na hogaa

karte haiN terii izzat, tujh se hai pyaar, ai maaN!
qadmoN meN tere apnii hai jaaN nisaar, ai maaN!

maaN! behtariin hai tuu in.aam aasmaaN kaa
yaa rab! rahe salaamat saayaa hamaarii maaN kaa!

Main jidhar gaya,main jahan raha

Main jidhar gaya,main jahan raha
meray saath tha
wohi aik saya-e-meharban
woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
pus-e-hur gumaan
woh jo aik harf-e-yaqeen tha
meray har safar ka ameen tha
woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
woh ujar gaya........
woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
woh bikhar gaya.......
meray gham ko jarr say ukharta
woh jo aik lams-e-azeez tha
kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
wohi so gayii......
woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
wohi kho gayiii.........
AAY KHUDA-E-WAHID-O-LAM YAZAL
teray aik harf kay said hain
yeh zaman makan
teray faislon kay huzoor main
na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
yeh jo zindagi ki mat'a hai
teri dain hai,tera maal hai
mujhay hai to itna malaal hai
kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
main wahan na tha.....
meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
main wahan na tha.......
sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
main wahan na tha.......
meray chaar soo hai dhuan dhuan
meray khwaab say meri ankh tak
yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
issi sail-e-ashk kay paar hai
kaheen meri maan
teray raham ki nahi had koi
teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
kay to maan say barh kar shafeeq hai
woh rafeeq hai
kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
yeh izziyatain,yeh rukawatain
faqat aik nigah ki maar hain
yeh jo khaar hain
teray dast-e-mu'ajza saaz say
gul-e-khush jamal-e-bahar hain
meri iltija hai to bas yahi.......
meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
teray durguzar kay huzoor main
teri barkatoon kay hisaar main
woh jo khaas chashm-e-karam main hai
ussi roshni ki qatar main
kissi cheez ki bhi kami nahi
teri bakhshishoon kay diyaar main
meri maan ki rooh-e-jameel ko
sada rakhna apnay jawar main
sada pur faza woh lahad rahay
teray lutf-e-khaas ki chaoon main

Agaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa

Agaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa
jab merii kahani main wo naam nahin hotaa

Jab zulf ki kaalikh mainn ghul jaaye koii rahii
badnaam sahii lekin gumnaam nahin hotaa

Hans hans ke javan dil ke ham kyon na chune.
har shaKhs kii qismat main inaam nahiin hotaa

Bahte hue aansuu ne aankhon se kahaa tham kar
jo mai se pighal jaaye vo jaam nahin hotaa

Din Duube hain yaa Dubii baaraat liye kashtii
saahil pe magar koi kohraam nahiin hotaa

Yeh Shaam Bhi Ajeeb Hai Woh Kal Bhi Paas Paas Thi

Woh Shaam Kuchh Ajeeb Thi

Yeh Shaam Bhi Ajeeb Hai
Woh Kal Bhi Paas Paas Thi
Woh Aaj Bhi Kareeb Hai...
Jhuki Hui Nigah Mein
Kahin Mera Khayaal Tha
Dabi Dabi Hansi Mein
Ek Haseen Sa Gulal Tha
Maein Sochta Tha Mera Naam
Gunguna Rahi Hai Woh
Na Jaane Kyon Laga Mujhe
Ki Muskura Rahi Hai Woh
Woh Shaam...
Mera Khayal Hai Abhi
Jhuki Hui Nigaah Mein
Khili Hui Hansi Bhi Hai
Dabi Hui Si Chaah Mein
Maein Jaanta Hoon Mera Naam
Gunguna Rahi Hai Woh
Yahi Khayal Hai Mujhe
Ke Saath Aa Rahi Hai Woh
Woh Shaam....

tum ek baar lot aao hum har baat bhool jayeinge

tum ek baar lot aao hum har baat bhool jayeinge
tum ek baar sada do hum har awaaz bhool jayeinge
mana k humne dil dukhaya hai tumhara
bas ek baar milo hum apni ana bhool jayeinge
hum jaantey hain khush tum bhi na reh paaoge
har baat main hum yaad tumhein bohat ayeingey
ab maan lo k hum tumharey apney hain
tumse alag ho kar ab hum kahan jayeinge
chalo sab giley bhool kar ek vaada kartey hain
ek doosrey ka saath hum qayamat tak nibhayeingey

Jub Chand Nay Chandni Se Sargoshiyan Ki

Jub Chand Nay**

**Chandni Se Sargoshiyan Ki**

**Jub Phoolon Nay**

**Shabnum Ko Chooma**

**Jub Samandar Nay**

**Lehron Ko Banhon Mein Samaita**

**Jub Sooraj Nay**

**Kirnon Ko Chaha**

**Jub Ankhon Nay**

**Kuch Adhooray Khuwab Sajaye**

***To Mujhe Tum Yaad Aaye***


"**Jub Chand Nay**

**Chandni Se Sargoshiyan Ki**

**Jub Phoolon Nay**

**Shabnum Ko Chooma**

**Jub Samandar Nay**

**Lehron Ko Banhon Mein Samaita**

**Jub Sooraj Nay**

**Kirnon Ko Chaha**

**Jub Ankhon Nay**

**Kuch Adhooray Khuwab Sajaye**

***To Mujhe Tum Yaad Aaye***

Ankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Ankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aina naqsh
Phir yun huwa k khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe ham tum na reh sakay
To kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

Kadmon talay jo rait bichee thi woh chal pari
Us nay churhaaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

Uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
Parda utha to saara tamaasha badal gaya

Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

Kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

Shayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
Manzil kay paas aakay jo rasta badal gaya

Qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
Us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

Ankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
faysal yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Jis ne chout na khaee ho Wo chehra kaya pehchanay ga

Dil Na Roo "
"Jis ne chout na khaee ho
Wo chehra kaya pehchanay ga
Dil ka dard tu yaro koi
Dil wala hi janay ga"
Ek dard sabhi ko hota hai
Ek marz sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Tere sath ye aasamaan rota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Koon kehta hai sab ko gam nahi hai
Haan ye kaho kay sab ki ankhein nam nahi hain
"Bhari mehfil main dil hansta hai
Tanhaee main rota hai
Kisi ko yaad karna bhi
Bara doshwaar hota hai"
Tanhaee main chup kay say roo latay hain
Gam ka zehar pe pe kay ge letay hain
Dil na roo
Dil na roo
Ye he hashar sabhi ka hota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Doshwareaan sabhi ki zindage main hain
Magboriaan sabhi ki zindage main hai
Tarpata rahay jo sari omar wo
Ek waqaya sabhi ki zindage main hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Ye hi Qehar sabhi pay hota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Dil na roo
Ge kay ghabra geya
Koi ghabra kay ge geya
Or koi hanstay hanstay
Zakhmoon ko see geya
"Musebat ki gharee main
Koon kis ka sath deta hai
Andharay main tu saaya bhi
Juda insaan se rehta hai"
Kisi ne zehar samaj kay ansoo baha deay
Or koi may samaj kay ashkoon ko pe geya
Dil na roo
Dil na roo
Yahaan zikar osi ka hota hai
Ek sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo

Woh ke jo saath nibhaanay ki qasam laiay thay

Woh ke jo saath nibhaanay ki qasam laiay thay
Kaisay woh saari wafaao'n ki rasam torr chalay


Hum nay barsaat mai'n , mee'n maang ke kyaa paap kiya?
Chal paree aisee hawaa, abr hee rukh morr chalay


Ab mere saath, un ki yaad, un ki soochai'n hai'n
Aay koee aisee hawaa, in kaa bhee rukh morr chalay


Hum isi sooch mai'n baithay rahay yun saari umar
Un k dil per bhee kabhi kaash apnaa zorr chalay


Tuhfaa tanhaa'iyo'n ka de ke wo muskaay bhee thay
Bazm ko aag lagaa ker wo kahi'n aur chalay


Kon, kab kis ki khataa'on ko muaaf kertaa hai
Hum bhee ab un ki khataa'on ki ridaa orhh chalay


Zoorr to aaj bhee is dil nay lagaayaa hai bohot
Per sanam aaj tera shehr-e-wafaa chorr chalay


Aao, risht'n kaa bharam torrnay waalo , daikho
Dair se hee sahee, hum aaj , sahee aur chalay


Raah chaltaa huaa shayad koee bhoolaa bhatkaa
Qissa-e-ghum jo sunaa'ay to kahi'n aur chalay


majmaa-e-zoq kahai'n yaa ke tamaashaa faysal
daad de ker sabhi phir bazm apni chorr chalay

yun hi to shakh se pate gira nahi kerte

yun hi to shakh se pate gira nahi kerte
Bicher k log zayada Jia nahi kerte

Jo aane wale mosam hain enheen shumar main rakh
Jo din guzer gaye un ko gina nahi kerte

Na dekha jaan k us ne koi sabab ho ga
Isi khayal se hum dil bura nahi kerte

Munafqat pe janheen ekhtayar hasal hai
Wo Araz kerte hain tujh se gila nahi kete

Tere Yaad Aee

Tere Yaad Aee

"" Tere Yaad Aee "
"Tere yaad aee
Aay sawan kay din
Tuj se milay thay
Hum bhi chaar din
Payar se O tera
Tera muskarana
Has kay wo kehna
Mat bhool jana
Hum ne bhi yoheen
Yoheen kaha
Mere hi rehna
Sang sang chalna
Tere yaad aee
Aay sawan kay din
jane mujay Qeun
Tum yaad aay
Aay hai ye din
Jeta hoon tum bin
Kitni baharein
Baharein sohani
Biti hoon jesay
Kal kay sapnay
Tere yaad aee
Aay sawan kay din
Tuj se milay thay
Hum bhi chaar din"

kuch yadain dil per jum jati hain

kuch yadain dil per jum jati hain
jinhy nah barish ka pani mita sakta hai
na hi uonhy hawa ka zoor doour laiy ja
sakta hai
nah yee kisi terha hawa mai tahleel
ho sakti hain
nah mai inhe khurach ker
nikl sakti hain
aaisi hi ek yaad mery dil per hai
woh ekpal jisme humne dunya ji li
woh lamha amer ho chuka hai
lakin
aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota
sunno ek baatkahni hai
lout ao
lout ao

yeh phool mughe koi wirasat se mile hain

yeh phool mughe koi wirasat se mile hain
tum ne mera kaanton bhara bistar nahi dekha

hamari zindage mein phool ban ker koi aaya tha
uss ki yaad mein abb tak tehreeren mahekti hain

kaghaz ke phool sar pe saja ker chali hayat
nikle jo gher se raah mein barish ne aa liya

kuch iss tarah se hum ne guzari hai zindage
kaanton pe jaise phool basera na ker saken

phoolon ki dori se chalak parthi hai tabassum
hasne ko tere peeche bhi so bar hansi hoon

uss phool ko pana to bari baat hai ali
uss phool ko choone mein bhi nakam rahe hum

uryan hain shajar abb ke baras dekhe ya ho
phir aae woh rut jis mein buhat phool jhure the

kuch phool jaise aae the abb baghban magar
kuch daag le chale hain tere gulistan se hum

Mohabaton k diyain jala ker kabhi to dekho

Mohabaton k diyain jala ker kabhi to dekho
Tum mery dil main jhank ker kabhi to dekho



Mery dil ki raahain teri muntazir hain
Kabhi in rahoon main a ker to dekho




Meri mohabat seepion ki manand bekimat perhi hai
Kabhi barish ka pehla katrah ban ker to dekho


Mujhy meri mohabat mily gi zaroor !
Isy yakeen ka bharam rakh ker to dekho




Mery saber ka imtihan aur na lo
Bas aik! aik bar mery samny a ker to dekho



Milain gay tujhy wafaon k naghmy
Mery dil ki dharkan ban ker to dekho



Main tujhy door asmano pe chand ki manand chamakta dekhti hun
Kabhi asman se meri dil ki zamin pe uter ker to dekho



Ye wadhain wafaian ,ye khushian ye ansoon, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho



Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi khuda se meri mohabat k bary main poch ker to dekho

Aate aate mera naam sa rah gayaa

Aate aate mera naam sa rah gayaa
Us ke honton pe kuch kanpata rah gayaa

Wo mere saamne hi gayaa aur main
Raaste kii tarah dekhtaa rah gayaa

Jhuth vaale kahin se kahin barh gaye
Aur main tha ki sach bolata rah gayaa

Aandhiyon ke iraade to ache na the
Ye diyaa kaise jalataa hua rah gayaa

Chalo na moond lo aankhain

Chalo na moond lo aankhain

Chamaktey chaand taaroon tum

Kahin na yaad aa jaaye

Mujhay un ki nigahoon ki

Kahin na daikh kay tum ko

Wo samjhay kay abhi din hay

Zara sa daal lo aanchal

Kahin na yaad aa jaaye

Wo pariyoun sa haseen chehra

Chamak main kuch kami laooo

Sitarooon maand per jaoo

Kahin na yaad aaye wo ....................

Kabhi ussey bi meri yaad stati ho gi

"Kabhi ussey bi meri yaad stati ho gi

Apni ankhon main merey khuaab sajati ho gi

Wo jo her waqt khiyaalon main bassi rehti hai


Kabhi to meri bi sochon main kho jaati ho gi

Wo jiski raah main palkein bichi rehti hain

Kabhi mujhey bi apney pass bulati ho gi

Labon per rehti hai wo her pal hansi bann ker

Tasawar se merey , wo bi muskuraati ho gi

Wo jo shaamil hai merey geet merey naghmon main

Kabhi tanhai main mujh ko gun gunaati ho gi

Jis ke liey mera dil beqaraar rahta hai

Merey liey apna chain bi guanti ho gi

Jiss se izhaar e wafa her pal karna chahoon

Kabhi iqraar to wo bi karna chahti ho gi

Jiske liey meri her raat hai karwat karwat 

Kabhi to ussey bi neend na aati ho gi

Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan

Meri chahat ke wo bi deep jalati ho gi

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir

Meri judaai ussey bi yunhi rullati ho gi

Nayyab Hain Hum dhondho gay agar mulkoin mulkoin

Nayyab Hain Hum
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
tabeer hai jis ki hasratooghum,
aa humnafas-o-khowaab hain hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
ay dard bata tu kuch hi bata,
ab tak yeh muamma hal na hua,
humain hai dilay betaab yahaan,
ya apdilay betaab hain hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
main harato hasrat ka maraaa,
khamosh khara hoon saahil per,
daryaaa mohobat kehta hai,
tha kuch bhi nahi payaab hain hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
lakoeen musafir chaltay hain,
manzil phochte hain do eik,
aa ahlehzamana kadar karoo,
nayaab na hoon kamyaab hoon hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
mughaney kafaas ko phoolon ney,
aashad yeh kehla bhja hai,
ajaooo jo tum ana hoo,
asisay main abhi shadab hain hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum,
abeer hai jis ki hasratooghum,
aa humnafas-o-khowaab hain hum,
abeer hai jis ki hasratooghum,
aa humnafas-o-khowaab hain hum,
dhondho gay agar mulkoin mulkoin,
milne ke nahi neyaab hain hum

zindagi k melay main khawahishon k railay main

zindagi k melay main
khawahishon k railay main
tum se kya kahain janaan
iss qaddar jhamailay main
waqt ki rawani hai, bakht ki garani hai
sakhat bay-zameeni hai, sakht la-makani hai
hijar k samandar main
takht aur takhtay ki aik he kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhai ki hai, umar bhar ki baatain kab do ghari main hoti hain
dard k samandar main
an-ginnat jazeeray hain, be-shumaar moti hain
aankh k dareechay main tum nay jo sajaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gilay ki hai
jo lahoo ki khalwat main chor ban k ata hai
lafz ki faseelon pe toot toot jata hai
zindagi se lambi hai
baat ratt-jagay ki hai
raastay main kaise ho?
baat takhliyaye ki hai!
takhliyaye ki baaton main guftugoo azafi hai
pyar karnay walon ki ikk nigah kaafi hai
ho sakay to sunn jao aik din akelay main
......tum se kya kahain janaan iss qaddar jhamailay main !!!

Kyon udas behta hai Wo shakhas

"Kyon udas behta hai
Wo shakhas.....:?:
Jo khabi mehfilki jan tha
Jis ki batain khabi khatam honay ko na ati the
Aj khamoshi ka jo tlism
Us pe chahya he
Totnay hi nahi paa rha
Wo jo rotoon ko hansa deta tha
Aj khud muskara nahi paa rha

Kyonn udas betha hai
Wo shakhas......:?:
Jis ko khabi kisi ne udas na dekha tha
Jo khabi roya bhi to cheray per muskan liye
Aj apnay ansoo chupa nahi paa rha
Kya ese baat hoi
Jis nay aj us ko bh rula dya

Aj apnay office mein
Cigrate jalae chup chap betha hai
Esa lagata hai jese khud se bezar betha hai

Koi dekhe to us ki ankhoon mein
Kese udasii si chai hai
Shaid ankhon meinik mayosi se dar aee hai

Han mayous ho rha hai shaid?.
Wo shakhas.....:?:
Jo khabi mayous nahi howa tha

Halat badal nahi saktyy in raho pr jevan bhar

Halat badal nahi saktyy
in raho pr jevan bhar
hum sath chal nahi sakty!
mieny bmohabat ki hy...
or tony b mjh ko chaha hy
kam hona saky ga phir b!!
sajan yeh fasla apna;
ao k bhula dain isko
yeh chahat hy ik sapna
majbor thy dil k hatho
hum aik khata ker bythy!!!
kismat mien nahi tha milna
milny ki dua ker bythy!
bin sochy depak apna
andhi mien jala kr bythy

Hum Nazak Nazak Dil waley

Hum Nazak Nazak Dil waley
Bus aise he to hotey hain

Kabi Hanstey hain Kabi Rotey hain
Kabi Dil main Khowab pirotey hain


Kabi Mehfil Mehfil phirtey hain,
Kabi Zaat mai Tanha hotey hain

Kabi Chup ki Mohrr lagatey hain,
Kabi Geet Labon per latey hian


Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,
Kabi Khud main Tanha hotey hain

Kabi Shab-Bhar Jagtey rehtey hain,
Kabi Lambi Taan ker sotey hain


Hum Nazak Nazak Dil waley
Bus aise hi to hote hain

Kabi Hanstey hain Kabi Rotey hain
Kabi Dil mai Khowab pirotey hain

reit par likh ke mera naam mitaya na karo

reit par likh ke mera naam mitaya na karo
ankhein sach bolti hain pyar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana leite hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo

ye zarori nahin har shakhs maseeha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehasas mein pattharao bohat hain 'Mohsin'
dil ko sheeshe ke jharonkon mein sajaya na karo

Bechpan k din kitnay achhay thay

Bechpan k din kitnay achhay thay
tab to khilonay toota kertay thay
wo khushian kaisee khushian thein
titlee k per noch k uchhla kertay thay
paoon mar k barish k panee mein
apnay paoon khud dboya kertay thay
chhotay thay to mekro fraib bhee chhotay thay
dana dal k chirya pekra kertay thay
ab to ik ansoo bhee ruswa kerta hai
chhotay thay to jee bher k roya kertay thay

Sab jaanti hoon magar phir bhi

Sab jaanti hoon magar phir bhi ...
Kyun tumko bhula nahin paati....
Is dil se teri tasveer hata nahin paati....
Muskurane ki koshish karti hoon lekin
Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati...


Jab sochti hoon ki ...
Tum ho kisi aur ka muqaddar
Jalan si hoti jise mita nahin paati....



Jab barasta hai saawan toot ke kahin...
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain....
Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko.....
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati...!!!

Kaha Chale Gaye Chor Kar Humhain

"~*~Kaha Chale Gaye Chor Kar Humhain~*~
~*~Ke Hum Mar Jaye Ge Bin Tumhare~*~
~*~Koi Rah Nahi Koi Manzil Nahi~*~
~*~Meri Tanhai Ko Koi Dekhta Nahi ~*~

~*~Main Ho Kis Qadar Tanha Kawish ~*~
~*~Koi Ye Baat Janta Hi Nahi.....~*~

~*~Koi Meri Wafa Dekhta Hi Nahi~*~
~*~Dil Hai Kitna Bechain Tum Janu Na~*~
~*~Meri Ankhoo Main Ashk Koi Dekhta Nahi~*~
~*~Koi Samjhta Nahi Janta Nahi..........~*~

~*~Main Ho Kis Qadar Tanha Kawish ~*~
~*~Koi Ye Baat Janta Hi Nahi.....~*~

~*~Meri Khamushi Mera Dard Bardta Rahe Ga~*~
~*~Tere Gum Main Kawish Ab Marta Rahe Ga~*~
~*~Zehar Zindagi Ka Jo Pina Hai..........~*~
~*~Ashko Se Ab Ye Gum-e-Dagh Ab Mitana Hai~*~

~*~Main Ho Kis Qadar Tanha Kawish~*~
~*~Koi Ye Baat Janta Hi Nahi.....~*~

~*~De Kar Hathu Main Hath Harjai Le Gaya~*~
~*~Zindagi Mera Chain Mera Sakoon Sab Kuch~*~
~*~Dil Janta Hai Ye Kia Chahta Hai........~*~
~*~Chaha Tha Tuje Roshan Karna Ke Kawish~*~
~*~Wo Tu Bhuja Gaye Cherag Tere Dil Ka~*~

~*~Main Ho Kis Qadar Tanha Kawish~*~
~*~Koi Ye Baat Janta Hi Nahi.....~*~

besabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai

besabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai


aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam
aap jab hai.n to Thikaane kii zaruurat kyaa hai


teraa kuuchaa, teraa dar, terii galii kaafii hai
beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai


dil se milane kii tamannaa hii nahii.n jab dil me.n
haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai 

rang aa.Nkho.n ke liye buu hai damaago.n ke liye
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai

wo zulf ki zanjeer thee khalq ki tanveer thi

wo zulf ki zanjeer thee
khalq ki tanveer thi
alfaz ki toqeer thi
wo khushboo bhari taqdeer thi
wo dharkano ka saz thi
wo ek haseen mahanaz thi
wo ishqie ka andaz thi
andaz dikhlati thi wo
rafat nazar ati thi wo
hanske bal khati thi wo
iqrar or inkar se
din beete the pyar se
us zulf bhari mehkar se
kia lutf tha us ke pyar se
aisi thi ulfat ki lagtan
mehka tha tan badan
phir ek bheegi sham ko
aye apne bam ko
kehte hain pyar nam ko
tora nazre jam ko
maine kaha kia bat ahi
lagta hia gum ki rat hai
main tum ko khone lagi
kisi ger ki hone lagi
phir phoot ke rone lagi
roye humari yad main
kia dard tha faryad main
us ne kaha ye mat kaho
hansker ek dukhsaho
wada jo us ne lelia
ashko ko hum ne pi lia
yado ke khatir ji liye
us ne jane jahan ke pyar main
hum ro pare iqrar main
ab wo juda hone ko hai
hum se wida hone ko hia
gum hosle khone ko hai
per ab na ghabrayenge hum
us ki khushi main chahinge hum
Ah kis qadar majboor hain
ager cha gumo se choor hain
us dil nasheen se door ahin
phir bhi kare huns ke dua
un ko mile khushiyan sada

Mein sadiyon se adhora hoon mukammal kerdoo

Mein sadiyon se adhora hoon mukammal kerdoo

Na tumhein hosh rahey na mujhe hosh rahey

Is qader toot ker chaho mujhe pagal kerdoo

Is key saaye mey mere khaab dahak uthein gay

Mere chehre pe mehekta hua aanchal kerdoo

Dhoop hee dhoop hoon mein toot ker bersoo mujh per

Mein tow sehra hoon mujhe pyar ka badal kerdoo

her lamha jab ho jaye qalam, her dukh jab ho jaye khatum

her lamha jab ho jaye qalam,
her dukh jab ho jaye khatum
mera tumhara rishta
kuch aaisa hi tu hai
kay jis mein nigahon ka kamal nain
jis mein sawalon ka b jaal nain
kay tumharay sang guzra her pal
titliyon k paron ki manind hai
yon lagta hia
dosti ka jo hath barhaya hai tum nay
wo meri janib hai
tu kyon na is sath ko koi naam dein
apnay in muqadas jazbon ko hum
tahayat DOSTI ka naam dein.

Jab Say Uss Nay Saath Choora Hai

Jab Say Uss Nay Saath Choora Hai
Her Aahat Say Wehshit Hooti Hia


Her Cheez Main Wohi Nazar Aata Hai
Her Shaee Say Bewafai Ka Khatka Rehta Hai


Mehfil Mian B Main Tanha Rehta Hoon
Jab Say Saath Choora Uss Nay


Ik Pal B Chain Nahi Paya Main Nay
Her Taraf Uss Ki Hi Yadoon Ka
Ik Tareek Andhaira Chaya Hai


shayad Yahi Andhery Uss Ki Yaadoon Se Wabasta Hain
Aur Uss Ki Yadein Hee farri Ki Zindagi Ka Sahara Hain

Ek gulab tha Bara odas tha

Ek gulab tha
Bara odas tha
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Main nay ju dekha usay
Pass ja k pocha us say
Kyon ha odas to?
Kyon kerta ha dil barbad to?
Kis ko kerta ha yad to?
Yeh sun ker who ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga
Or rotay rotay bas yeh kehnay laga
Mera yar mugh ko chor gaya hai
Mera pyar mugh say moon mor gaya hai
Ab main kis k liyay khil jaoon
Ab main kis k liyay khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagaie ga
Mujh ko kon apni sansoon may basay ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yar mujh say bichar gaya hai
Bas ab to her lamhay us ki yad hai
Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koe meray yar say mila dai
Mujh ko koe mera pyar lota dai
Woh ayey ga tu khil jaoon ga maiN
Apni zindagi say mil jaoon ga maiN

Tere liye ab tak kar rahi intzaar.

Tere liye ab tak kar rahi intzaar.
suni sab ke baatein, sahe julm bhi maine,
hui takrar jamane se, ,,,,,kam na huya mera payar,
tune kaha tha aayonga mai laut ke,
aur aaya bhi , lekin vo tha tera khat .
likha tha tune ki ab mai nahi rehti tere dil mai, vahan koi aur bas gayi hai.
maine maan liya tere is sach ko bhi kyonki muje tha apne payar pe aitbaar.
bus soochti ho ki kyon kiya tha tune pehle ikraar.......
shayad Kar rahi mai ab bahi tera intzaar.

Bichar K Mojh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai

""Bichar K Mojh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai
Adhora Chand Bhi Kitna Odaas Lagta Hai

Ye Khatme Wasal Ka Lamha Hai Raigan Na Samajh
K Is K Bad Wohi Daryoon Ka Sehra Hai

Kuch Aor Der Na Jharna Odasion K Shajar
Kise Khabar Tere Sai Main Kon Baitha Hai?

Ye Rokh Rokhao Mohabbat Sikha Gai Is Ko
Wo Roth Kar Bhi Mojhe Moskora Kar Milta Hai

Main Kis Tarah Tojhe Daikhoon Nazar Jhijhakti Hai
Tera Badan Hai K Ye Ainoon Ka Darya Hai?

Kuch Is Kadar Bhi To Aasan Nahe Hai Ishq Tera
Ye Zeher Dil Mai Oter Kar Hi Raas Aata Hai

Mai Tojh Ko Pa K Bhi Khoya Hoa Sa Rehta Hoon
Kabhi Kabhi To Mojhe To Ne Theek Samjha Hai

Mojhe Khabar Hai K Kia Hai Jodaiyoon Ka Azaab
K Main Ne Shaakh Se Gul Ko Bicharte Dekha Hai

Mai Moskura Bhi Para Hoon To Kyon Khafa Hain Ye Log
K Phol Tote Hoi Qabar Par Bhi Khilta Hai

Ise Gonwa K Main Zindah Hoon Is Tarah
K Jise Taiz Hawa Mai Chiraagh Jalta Hai

Main Bhool Jaon Tughko Ab Yehi Munasib Hai

Main Bhool Jaon Tughko Ab Yehi Munasib Hai
Lakin Bholna Bhi Chahun Tu Kis Tarha Bhoolon
Keh Tum Tu Phir Bhi Haqiqat Hu Koi Khawab Nahi
Udhar Dil Ka Yeh Alam Hai Keh Kya Hain Kambhakt
Bhola Saka Na Wo Silsila Jo Tha Hi Nahi
Wo Khayal Jo Awaz Tak Gaya Hi Nahi
Wo Baat Jo Main Keh Nahi Saki Tumse
Wo Rabt Jo Ham Main Kabhi Raha Hi Nahi
Agar Yeh Hal Hai Tu Dil Ko Koi Samghaye
Keh Bholna Bhi Chahon Tu Kistarhan Bholaon
Keh Tum Tu Phir Bhi Haqeeqat Hu Koi Khawab Nahi

luta k tumari mohobat pay sub kuch apna

luta k tumari mohobat pay sub kuch apna
motabar tumari nazar mayn hum nahi

bay erada hi sahi ik nazar hum pay bhi dall lia karoo
k say kah dayn tayray talabgar hum nahi

tum ko hum say hazar shikayattn hi sahi
shikwa laboon pay layagay hum nahi

barbad maray dil ki dunya tum nay ki lakin
aaj bhi dil say tumhay nikal sakay hum nahi

shadman raho tum "faysal"ki ye dua hai
k hoa jo tumri is khushi mayn hum nahi

Tum bin guzarr tau jaye gi zindagi Par main ji na paun ga


Tum bin guzarr tau jaye gi zindagi Par main ji na paun ga tum bin Hazaaron sitaron ki bheer main bhi dekho Yeh chaand kitna tanha hai tum bin Rahoon kahin bhi, kisi ke sath bhi Par main hamesha udaas hoon tum bin Agar charaghon ki raushni mein hoon main Par meri zindagi mein andhera hai tum bin Bahaaron ka mausam tau hai gulshanon mein Par phoolon mein khushboo nahi hai tum bin Iss hansi ke kehkahon mein dekho Mera dil ro raha hai tum bin.. Mera sab kuch tau tum ho Main tau kuch bhi nahi hoon tum bin

kubhe yaad aoo to is tarah

kubhe yaad aoo to is tarah
kay lahoo ke sari tamazteen
tumhain dhoop dhoop may sameet lain
tumhain haraf haraf may sooch lain
tumhain daykhnay ka jo shook hooo
to dyaar hijar ke teergee ko
mizraaa ke nook say nooch lain
kuhbee yaad aao to is tarah
kay dilo nazar may uteer sukoo
kubhe hud say hubso janoon barhay
to hawass bun kur bikharr sukoo
kubhee khill sukoo shubay wasal may
kubhe khoonay dil may sanwer sukoo
mayray zakham phir say gulab hoon
kubhee muskaraioo to iss tarah
mayra durd bhurr kay gazal banay
kubhee gunganaio to iss tarah
mayree dharkunain be laraz uthain
kubhe choot khaoo to iss tarah
jo yay nahee to baray shook say
subhee rabtay subhe zabtay
kubhe dhoop chaayoon may toor do
na sunno kissi ka azabay jan
na kissi say apni khalash kahoo
yoon khoosh raho yoonhe khoosh rahoo
na ujar sukain na sanwer sukain
kubhe dil dukhaoo to iss tarah
na simit sukain na bikhar sukain
kubhee bhool jayoo to iss tarah
kissi toorjan say guzar sukain
kubhee yaad aao to iss tarah

Popular Posts