Tuesday, June 29, 2010

Shaam kay dhalney main kuch lamhey baqi hain


Shaam kay dhalney main kuch lamhey baqi hain
Din kay ghuzarney main kuch lamhey baqi hain

Dastaan khatam honey main kuch waqat tu lagey ga
Keh Haal ko mazi baneney main kuch lamhey baqi hain

Haqeeqatoon ka hisaab bhi abhi kar lein
keh khawab ke chaalney main kuch lamhey baqi hain

Challo keh muhabatoon ke hisaar ko aur mazboot kar lein
keh hamarey bicherney main kuch lamhey baqi hain

Manziloon ki hadoo ko choo ayein Challo
Keh safar ke khatam honey main kuch lamhey baqi hain

Sooraj ki rooshni ko challo apney andar samo lein hum
Keh taroo ke nikalney main kuch lamhey baqi hain

Khual kar hans lein abhi hum
Keh toot kar rooney main kuch lamhey baqi hain

Ujaloon ke tasavoor ko La-muheet kar lien
Keh tareeqi ke honey main kuch lamhey baqi hain

Challo sab kuch abhi keh dein hum
Keh Khamoshi ke honey main kuch lamhey baqi hain

Khushiyan sari sameet kar daman bhar lein
keh dard ke jagney main kuch lamhey baqi hain

Challo Aao keh ik bar pher se jee uthein
Keh iss pal ke guzarney main Kuch Lamhey Baqi Hain!!

Kal isi moor par to tumharay thay ham


Kal isi moor par to tumharay thay ham
Tum say mil kar to bas khood ko haray thay ham

Us ko panay ki khoahish main ab
Na samandar hovay na kinaray thay ham

Ishq or dosti shartoon say aaree rahi
Ham tumharay rahay or tumharay thay ham

Ham nay bharh bharh k rishtoon ko thama magar
Woh zameen bar rahay or sitaray thay ham

Sitam taktay rahay, gaam bhi sahtay rahay
Ham ajaab hi jeeyaa or neralay thay ham

Is sitam dor main tum hi ek aass thay
Tum bhi ya keh gaye "Kab tumharay thay ham?"

Har safar zindagi main raha na tamaam
Na us par thay na is PAAR thay ham

JAB BHI AATI HAIN KHAYALON MAI TUMHARI AANKHAIN

JAB BHI AATI HAIN KHAYALON MAI TUMHARI AANKHAIN
BHEEG JATI HAIN KISI GHAM SE HUMARI AANKHAIN

TUM MERAY PAS NAHI PHIR BHI TUMHARA CHEHRA
SOOCHTI REHTI HAIN DARD KI MARI AANKHIN

SILSILA TOOT BHI SAKTA THA BASARAT KA KABHI
THAM LETI NA AGAR AANKH TUMHARI AANKHAIN

MANZIL-E-ISHQ MAI AISA BHI MUQAM AYA HAI
LE GAYE AANKHON K BADLAY WOH HUMARI AANKHAIN

ASHK SAGAR BANAY TEHRIR BANI HAI ZANJEER
JAB SE BICHRI HAIN TERI PYAR SE PYARI AANKHAIN

JANAY KIA BAAT HAI KUEN DEKHTI REHTI HAIN
MERI AANKHON KI TARAF SHEHAR KI SARI AANKHAIN
 

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye
itne hue kareeb ke hum door ho gye

aisa nahin ke hum ko koi bhi khushi nahin
likhen yeh zindagi to koi zindagi nahin
kiyon is ke faisly humein manzoor ho gye

paya tumein to hum ko laga tum ko kho diya
hum dil pe roye aur yeh dil pe ro diya
palkon se khawab kiyon gire kiyon choor ho gye

kiyon zindagi ki rah mein majboor ho gye
itne hue kareeb ke hum door ho gye
 

fasly aise bhi hon gye yeh kabhi socha na tha


fasly aise bhi hon gye yeh kabhi socha na tha
samne betha tha mere aur woh mera na tha

woh ke khushbo ki tera phela tha mere chaar soo
main use mehsoos kar sakta tha cho sakta na tha

raat bar pichali si ahat kaan mein ati rehi
jankh kar dekha gali mein koi bhi na tha

aaj us ne dard bhi apne alaida kar liye
aaj main roya to mere sath woh roya na tha

yeh sabhi waraniya is ke juda hone si thi
ankh dhond layi hui thi shehar dhond laya na tha

SHAM AYI TERI YADOON KE SITAREY NIKLEY

SHAM AYI TERI YADOON KE SITAREY NIKLEY
RANG HI GHAM KE NAHEE NAQASH BI PIYAREY NIKLEY

AIK MOHOM TAMANA KE SAHAREY NIKLEY
CHAND KE SATH TEREY HIJAR KE MAREY NIKLEY

KOHI MOSAM HO MUGHAR SHAN-E-KHAM-O-PECH WOHI
RAAT KI TARHA KOHI ZULF SANWAREY NIKLEY

RAKAS JIN KA HUMEIN SAHIL SE BAHA LAYA THA
WO BANWAR ANKH TAK AYE TO KINAREY NIKLEY

WO TO JAAN LE KE BI WESA HI SUBAK NAAM RAHA
ISHQ KE BAAB MAIN SAB JURM HUMAREY NIKLEY

ISHQ DARIYA HAI TO TEREY WOHI TAHI DASAT RAHEY
WO JO DOOBEY THEY KISI AUR KINAREY NIKLEY

DHOOP KI RUT MAIN KOHI CHAYOON UGATA KESEY
SHAAKH PHOOTI THI KE HUMSAYOON MAIN AAREY NIKLEY

EK LAMHA SAKOON KA GUZARTEY LUMHOON MEIN

EK LAMHA SAKOON KA

GUZARTEY LUMHOON MEIN

AUR IS TEZ RAFTARR ZINDAGI MEIN

JAHAN MERAY PASS UPNAY LYE WAQT NAHI HAY

JAHAN EK EK LUMHA TEZI SAY GUZAR RAHA HAY

JAHAN QADAM QADAM PER EK NAYA DUKH MILTA HAY

JAHAN HER WAQT EK NAYE KAAM KA MUNTAZZAR HAY

JAHAN SUBHA SAY SHAAM AUR SHAAM SAY RAAT TAK KA SAFFER

PULUK JHUPAKTAY HI GUZAR JATA HAY

JAHAN DHOOP HI DHOOP HAY

AUR KOI SAYA DAAR SAJAR NAHI

JAHAN QADMOON MAY THAKAN HI TAHKAN HAY

jAHAN SAATH CHALTA HUA HER SAKS AJNABEE HAY

JAHAN SUB LOOG MANZIL KI TALAB MEIN

AGAY BHER RAHAY HEIN

JAHAN KOI GHUM BAANTNEY WALA NAHI

JAHAN SIRF SEHRA HI SEHRA HAY

AUR BARISH KI UMEED NAHI HAY

AISI ZINDAGI KAY IS SAFAR MEIN

SIRF EK ARZOO EK TAMMANA HAY

KAY IS SOCHO BHERI

GHUMOON BHERI

DAURRTI HUI MASROOF ZINDAGI MAY

KAASH MUJHAY MIL JAYE

"EK LAMHA MIL JAYE SAKOON KA"
EK LAMHA SAKOON KA!!

Zindagii ka taweel safar hai Hazaron gham hain


,Hazaron dukh hain
Kahan kehkashaan sii rahguzar hai
Ghame hastii, ghame janaa
Shakastagii ka musalsal toofan
Charon taraf jaise
khada hai wehshat ka azdhaa
Ruston mein jaise muqadar huwa
Narsayon, Namooradiyon ka ghnaa jangle
Aur idher hai faqat!
Ikk sehmaa huwa Dil......
Magar janaa! Mujhe yaqeen hai
Main itnii be yaqeenyon ke darmiyaan bhi chamakta rakhoon gii
tumharii mohabbat ka qeemtii jugnoo
Apne Dil mein Zindah rakhoon gii
*Tumhara Naam*

aks khushbo hon bikharne se na roke koi


aks khushbo hon bikharne se na roke koi
aur bikhar jaon to mujh ko na samete koi

kanpe uthti hon mein yeh soch kar tanhai mein
mere chehare pe tere naam na parh le koi

jiss tarha khawab mere ho gye reza reza
is tarha se na kabhi toot ke bikhare koi

main to us din se harasa hon ke jab hukam mile
khushk pholon ko kitaabon mein na rakhe koi

abh to us rah se woh shakhs guzerta bhi nahin
abh kiss umeed pe darwaze se jhanke koi

koi ahat koi awaz koi chaap nahin
dil ki galian bari sunsaan hain aye koi

AIK WADA HAI KISI KA JO WAFA HOTA NAHI

AIK WADA HAI KISI KA JO WAFA HOTA NAHI
WERNA IN TAROO BARI RATOON MAIN KIA HOTA NAHI

JI MAIN ATA HAI ULAT DEIN UN KE CHEHREY SE NIQAAB
HOSLA KERTEY HIN LEKIN HOSLA HOTA NAHI

SHAMAH JIS KI ABROO PER JANEY DE DE JOOM KER
WO PATANGA JAL TO JATA HAI FANA HOTA NAHI

AAB TO MUDAT SE RA-O-RASAM NAZARA BAND HAI
AAB TO UN KA TOOR PER BI SAMNA HOTA NAHI

HAR SHANAWAR KO NAHEE MILTA TALATUM SE KHIRAJ
HAR SAFINEY KA MOHAFIZ NA KHUDH HOTA NAHI

HAR BIQARI PA NAHEE SAKTA MUKAM-E-KHUAAJGI
HAR KIS-O-NAQAS KO TERA GHAM ATA HOTA NAHI

HAYE YE BEGANGI APNI NAHEE MUJ KO KHABAR
HAYE YE ALAM KE TU DIL SE JUDA HOTA NAHI

BARHA DEKHA HAI SAGAR` RAHGUZAR-E-ISHQ MAIN
KARWAN KE SATH AKSAR RAHNUMA HOTA NAHI
 

bara kathan rasta hai jo a sako to sath do


bara kathan rasta hai jo a sako to sath do
yeh zindagi ka fasla mita sako to sath do

bare fareeb khao gye bare sitam uthao gye
yeh umar bar ka sath hai nibha sako to sath do

jo tum kaho to yeh dil to kia main jaan bhi fana kar doon
main kaho to ik nazar luta sako to sath do

hazaar azmaishein hazaar imtiyhan
hazaar dukh hazaar ghum utha sako to sath do

yeh zindagi yahan hazaar ghumon ke sath sath hain
rula sako to sath do hanssa sako to sath do

Sun liya hum nay yha faisla tera aur sun kar udaas hoo baithay


Sun liya hum nay yha faisla tera
aur sun kar udaas hoo baithay
zahin chup chaap ankh khali hay
jaisay hum kainaat khoo baithay


Dhundhlay dhundhlay say munzaroon say gulo
chairti hain tajaliyaan teri
bhooli basrii hui rutoon say udhar
yaadh aien tasaliyaan teri


Dil yah kahta hya hoosla rakhna
sung rasaty say hut bhi saktay hain
iss say pahlay kay ankh bugh gayye
janay walay palutt bhi saktay hain


Dil yah kahta hay zabtt lazimm hay
hijr kay din ki dhoop dhalnay takk
aitraf-e-shakast kiya karna
faislay ki gharri badalnay takk


Abh charaghaan karien hum askoon say
yah manazar bughya bughay daikhien
aik taraf tu hay aik taraf dil hay
dil ki manien kay tughya daikhien


Khud say bhi kashmakash sii jarri hay
rah main tera ghum bhi hayaal hay
chaak dar chaak hay qabay-e-havas
bay rafoo sooch-o-rooh bhi ghayaal hay


Tugh ko payya tu chaak si lain
ghum bhi amrat samagh kai pii lain ghay
varna yunn hay kay daman-e-dil main
CHUND SANSIEN HAIN GIN KAY JII LAIN GHAY

Ujre hue loogoon kay hawale na diya kar


Ujre hue loogoon kay hawale na diya kar
Jate hue darwazoon per tale na diya kar

Aa jaye gi khuwaboon main bheese badal kar
Khawhis ko kabhi daas nikale na diya kar

Hum loog khizaoon ka asasa hain mere dost
Girte hue pedoon ko sambhalay na diya kar

Ya hum ko tu aadi na bana terguon ka
Ya iss tarha yek lakt ujale na diya kar

Tuu koi samander hai too bhipra bhi kabhi kar
Darya hai too lehron ko uchale na diya kar

jo poch na tha mujhay us nay kabhi bataya nahi


jo poch na tha mujhay us nay kabhi bataya nahi
mairi talash nay us ka surak paya nahi

mujhay us ki tamanna thi jis say dur thi main
jo mil gaya tha yunhin ,mairay dil bhaya nahi

khushi kay din bhi nighahon may aik nami sii rahi
tha intazar usi zakham ka jo khaya nahi

raha jo sath dil ki dharkano ki tarhan
wo bhol kar bhi kabbhi mairay ghar may aya nahi

go aik shehar main raihtay hain ,par nahi miltay
jinhonay hum ko abhi rasta dikhaya nahi

bas aik yaad ka rishta kabhi na toot saka
zaihan nay us ko kabhi bhol kar bhulaya nahi

Ab ke hum bichre toH shayad kabhi khuwabon mein milain


Ab ke hum bichre toH shayad kabhi khuwabon mein milain
Jis tarha sukhay hoa phool, kitaabon mein milain

Dhoond ujray huwe logon mein wafa ke moti
Ye khazaane tujhe mumkin hain, kharaabon mein milain

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itna hijaabon mein milain

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil karlo
Nasha barta hai sharaabain jo sharaabon mein milain

Aaj hum dar pe khainche gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaane ko nisaabon mein milain

Ab wo na mein hun, na tu hai, na wo maazi hai
Jaise do shaks tammana ke saraabon main milain!!!

Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye


Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Tuba meri tuba soocha bhi nahi tha aysa hal ho ga ishq main
Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Kiyon jane kiyon youn lage lagan badla mizaj bekhabar hain ham
Ishq ka he yeh koun sa makam na mille jahan ek pal aram
Bechain karne laga he yeh dewanapan
Yeh dharkahn milli he sirf tujhe pyar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Pyar ki gali khuab ka sheher har jaga tujhe dekhe nazar
Zoor na chale jazbat per de diya tujhe jano jigar
Tere bina ab to mushkil he mera guzar
Yeh sansain mili hain sirf tujhe pyar karney ke liye
Yeh aankhain milli hain bass tera didar karne ke liye
Tuba meri tuba soocha bhi nahi tha aysa hal ho ga ishq main
Yeh dill to milla he sirf tujhe pyaar karney ke liye
sirf tujhe pyaar karney ke liye

Tum mang ker dekho ! main kuch to doon tumhain


Tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain..

eik jhonka huwa ka!
eik tukra badal ka.......
mutthi bher mitti!
ghoont bher pani......

tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain..

asman si bulandi!
samander si gehrai.....
paharon si khamoshi!
chand si tanhai........

tum mang ker dekho !
main kuch to doon tumhain...

patton si sansanahat!
jholi bher azadi..........
mohabbat sa ahsaas!
sitaron si jagmagahat.....

eik baar !fakhat eik baar!
aey kaash key tum mang ker to dekho.....

KAHANIA AB BADAL GAIN HAIN


KAHANIA AB BADAL GAIN HAIN
JO SACH THA AB JHOOT HOGAYA HAY
JO IN MAIN SURAJ BANA HOA THA
WO SHAB KI TARIK WADION MAIN UTAR GAYA HAY
NA KOI TEH,REER JAAGTI HAY ,NA KOI HURF BOLTA HAY
NA ANKH RASTON KO DEKHTI HAY, NA RAH MANZIL SAY ASHNA HAY
WO SARA MANZAR BADAL GAYA HAY
NA AB ZABAN KI HATELION PAR DUA THEHRI HAYNEKION KI
HAWA NAY BARBAD KAR KAY RAKH DEIN ANNA MASUM TITLION KI
NA AB GULAB MAIN WO MEHK HAY
JO RAH SAY BAHTKA Y MUSAFERON KO
BAHR MOSAM KI BASTION KA PATA BATAY
NA AB WAFA KI BASTIAN HAIN
JO THAKNAY WALON ,JO APNAY PIYARON KI RAH GUZAR SAY BICHARNAY
WALON KO HOSLA DAIN
INHAY DUA DAIN
YEH SARI BATAIN KAHANIA HAIN
NA AB WO ANKHAIAN HAIN JIN MAIN KHUAB KAY SARAY MOSAM
GULAB MOUSAM BANAY HUAY THAY
NA AB WO SHAMAIN HAIN JIN MAIN TERI FARAIB BATAIN RAFIQ
LAGTIN THIN ZAHIN DIL KO
NA AB WO DIL HAY NA DIL KI GALION MAIN WO LAAHOO HAY
JO ZINDAGI BAN KAY DOoRTA THA
JO SHAYARI BAD KAY PATHAROON MAIN GARAAZ KHUSHBOO BEKHERTA THA
WO SARA MANZAR AB BADAL GAYA HAY
NA WESAL KA KOI KHUAB BAKI ,NA AB WO HURF-E- SUKHAN RAHA HAY
KAHANIAN AB BADAL GAIN HAY
TUMHARAY JANAY KAY BAAD UN HAY
JO KHUWAB ANKHOON MAIN CHAHATOON KA YAKIN BAN KAR THAHAIR GAIY THAY
WO KHUWAB SARAY BEKHAR GAIY HAIN
MALLAL DIL MAIN UTTR GAIY HAIN
NA ZINDAGI HAY NA ZINDAGI MAIN VESAL-E- MOUSAM KI CHAH KOI
NA SHAYERI HAY NA SHAYARI MAIN JO DUKH HAY IIS SAY PANAH KOI
JO SACH THA AB JHOOT HO GAYA HAY
JO IIN MAIN SURAJ BANA HUA THA ,WO SHAB KI THAREQ WADION MAIN UTAR GAYA HAY
KAHANIAN AB BAADAL GAIN HAIN...........

jo chaho mujhay koi inaam deyna


jo chaho mujhay koi inaam dena
mairay sar mohabbat ka ilzam dena
khushi ka nahi zar say koi bhi nata
khushi k musafir ko paigam dena
dia koi ulfat ka main bhi jalaon
mairi subha lay kar mujhay shaam dena
mohabbat ki rahon main no waron ko
munasib nahi koi ilzaam dena
mohabbat k maikhanay main kia kami hai
tahi dast hoon main bhar jaam dena
mohabbat hai aasi
jo chahhon isay dosra naam dena

Tanha Tanha mat socha kar mar jay ga mat socha kar


Tanha Tanha mat socha kar mar jay ga mat socha kar
appna app gawa kar tou nay paya hai kai mat socha kar

dhoop mea tanha karjata hai kyun yeh saya mat socha kar
pyar ghari bhar ka bhi bohat hai jhota sucha mat sucha kar

who bhi tum se pyar karray hai phir dukh ho ga mat sucha kar
moond lay ankhain or chal chala manzil par mat sucha kar

Who muj se poochta hi gaya mea yaad aya tou kai karro gi


Who muj se poochta hi gaya
mea yaad aya tou kai karro gi

abhi tou tum khushion mea rahrahi hoo
kahi kabhi jo yeh sakoon tumhara kissi nay choraya tou kai karro gi

mujay tou jatay waqat zabt karnay ka boll rahi thi
tum hari ankhoon mea ja bhi kabhi sawan aya tou kai karro gi

who hi mea hoon who hi tum howho hi saray zamany hain
waqt akhir kab rokta hai jo is nay palta khaya tou kai karro gi

MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA


MUJHE MILA YEH MERE PYAR KA SILA KAISA
WOH MUJH KO BHOOL GAI AAKHRI KALAM KE BAAD.

HUM US KI RAH MAI PALKEN BICHAEY BETHEY HAIN.
WOH PHIR NA PALTI MERE AAKHRI SALAM KE BAAD.

QUSOOR DIL KA HAI IS DIL SE HOGAEY MAJBOOR.
WAGARNA HUM BHI USKO BHOOL JATE SHAAM KE BAAD.

WOH MUJH SE ITNI KABHI BE KHABAR NO THI PEHLE.
KE JITNI AAJ HUI HAI WOH CHAND GAAM KE BAAD.

HAAN YEH YAQEEN TO NA THA KE MUJHE WOH BHOOL GAI.
MAGAR AB AAGAYA YAQEEN ITNEY AYYAM KE BAAD.

TUJH KO BHULA DENA ITNA AASAAN BHI NAHI MERE LIYE.
SHAYAD MAIN TUJH KO BHOOL JAOON APNI JAAN JANE KE BAAD.

TERI JUDAI NE MUJH KO BANA DIYA SHAER.
ATHER TU SHAER NA KEHTA YUN AADHI RAAT KE BAAD.

woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se


woh raste anjanay se kuch roothay se kuch deewanay se
hua karte thay paas kabhee tere aashiyane se

peechay murr kar dekhti hoon to aik dhundli see tasweer nazar aatee hai
apna aapko dekhti hoon to aik tooti hui taqdeer nazar aatee hai

jin raston par chaltay thay kabhee.....woh hogayee ab baiganay
tuu na raha reh gaye bus tujhpey likhay huay kuch afsanay

dil mera ab toota sa lagta hai
mausam bhee ab mujhse rootha sa lagta hai

kiyaa karoon agar ab bhee teri yaad aatee hai
jo mujhko aksar rula sa jatee hai

aa aa kar dekh le mere ashqon ko behtey huay
ab to shayad aik muddat see hogayee tujhay kehte huay

ke na baha aansoo yeh hain qeemti motiyon kee larryan
na baha ke chaltee hain dil pey mere yeh churryan

ab kiya kahoon tere janay ke baad dil ka hua hai haal hai
ab to sahr kiya mausam-e-shaam kiya

bus ab to aakhri khwhish hai baaqi
tuu ne jo diya ghum bankay mera sathee

tujhko rulaoon main waisay hee tujhko sataoon main
waqt aagaya ke apne aanswon ka badla chukaoon main

Aaj udhas hoon tow zamana mujhey phochney aya

Aaj udhas hoon tow zamana mujhey phochney aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh tow ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhey woh yaad aya..

Zindagi ki musrufiyat ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,aur na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahti hoon har lamha ,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi rokka woh waqt utna woh mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na ho ga kabhi...
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh waade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya..

ana parast they tum tow khudaar thi main bhi
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
tu thi nadan, dil tera usse na samajh paya

tum aao to phool khilain


tum aao to phool khilain,
aur bad-e-saba ki baton se khushboo aay,
jab chand sitaron ki mehfil ho,
tum saath ho mere aur samandar ka sahil ho,
jab lehrain muj ko choomteen hon,
jab sooraj se chahat ki kirney phootein hoon,
jab sham ki surkhi dil ke tar bajati ho,
jab raat chandni ki nadia main nahati ho,
dil tanha ho,
dil pyasa ho,
jab dharkan shor machati ho,
tab tum aao,
aur tanhai ke zakhm silain,
tum aao to phool khlain

Mujh sey parda hai tu khawb mein aatey kyoun ho

Mujh sey parda hai tu khawb mein aatey kyoun ho
Pyar ki shama dil mein jalatey kyoun ho

Doost ho kar rahey zaroori tu nahi
Dil hi jab mil na saka hath milatey kyoun ho

Na laga paoun ga mein ilzam us per logoun
Merey mujrim ko merey samney latey kyoun ho

Alwida kehney aaey ho tu milna kia
Hai becharna tu phir galey mujh ko lagatey kyoun ho.

Zindgi mein to tumhari aa na sake


Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain
Kahne ko to tum bhul chuki thi, phir bhi anjaane mein pukarti ho
Tum kabhi bhuli nahin thi, sirf jaankar anjaane mein pukarti ho
Mann to mann hai, mann ko kya kahena
hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena!!!

Na dekha karo tum humein teerchhi nazaron se is tarah


Na dekha karo tum humein, teerchhi nazaron se is tarah
ke jaan jaati hai jism se, neend aankhon se jis tarah
Aaankhein hai ye tumhari, ya shab e maikhana
main hosh jo kho doon, mujhe hosh mein na lana
Dekha jo tumne pyar se, wafa ka izhaar hua
paya jo tumhein zindgi mein, mohabbat ka ikraar hua
Khoya jo tumhein, ik aah nikli is dil se
dil ko jala gayi, ik bijli is dil se
Ab na aao khwaabon mein tum, kahin neend se na jagoon
main zinda hi kab tha, kahin maut se na jagoon.....!!

Her shaks ka koi talabgaar ho


Her shaks ka koi talabgaar ho
YEH ZAROORI TO NAHI
her rishta ka koi naam ho
YEH ZAROORI TO NAHI
log karte hain sawal mujh se kitne
her sawal ka main jawab doon
YEH ZAROORI TO NAHI
ker bethe hain woh pyaar ke badle pyaar ki umeed
her kisi ko badle main pyaar mile
YEH ZAROORI TO NAHI
tum jis ki karo khuwahish rahe saath umer bhar
woh sada saath rahe tumhare
YEH ZAROORI TO NAHI
poshida rakhi hain Dil main humne jaane kitni baatein
her baat ka hum izhaar karen
YEH ZAROORI TO NAHI
logon ko na pasand hai humara andaaz -e - zindagi
badlen hum ab apni zindagi
YEH ZAROORI TO NAHI
tum per hai bharosa yeh karte hain Dawa
yeh Dawa hamesha qayyam rahe
YEH ZAROORI TO NAHI
be-dili se poochte hain mera haal hai kaisa
to yeh haal bhi woh poochen to
YEH ZAROORI TO NAHI

wo apne ishq mai kaisa kamal rakhta hai

Woh Apney Ishq Mein Kaisa Kamaal Rakhta Hai
Kay Be-Rukhi Mein Bhi Mera Khayaal Rakhta Hai...


Jo Aaj Mera Nahien Hai Woh Kal Mera Ho Gaa
Kay Har Zamaana Uroj-o-Zawaal Rakhta Hai...

Ajab Nahien Woh Jahaan Bhar Ko Beywafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai...

Kahaan Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey
Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhta Hai...

Meri UrDaan Kay Aagay Hai Kis Qadar Bey-Bas
Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai...

Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai...
 

Khurd ki maslihat-o-n ko ghulam mai ne kiaa


Khurd ki maslihat-o-n ko ghulam mai ne kiya
dayar-e-ishq ka ooncha muqam mai ne kiya

Muhabbaton ka safar yun tammam mai ne kiya
Mitta k zamanay mai naam mai ne kiya

Tamam shehar tha zulmat ki sazish-o-n mai shareek
magar Charagh Jallanay ka kaam mai ne kiya

Qadam qadam pe milien thokarain mujhay phir bhi
Chalan wafa ka zamanay mai aa'm mai ne kiya

Charagh hi nahi mujh ko bhi khauf lahak thaa
Hawwa k shehar mai laikin Qayam mai ne kiya

Nigah-e-Shauq ne hal ker dinn mushkilain meriii
Khamoosh reh ker bhi uss se qalam mai ne kiya

Kissi pe Waa na kia Fakhar`dil ka darwazaaa
Kissi ke Hijer mai yeh Ihtamam mai ne kiya

aag ho to jalane main dair kitnii lagatii hai


aag ho to jalane main dair kitnii lagatii hai
barf ke pighalane main dair kitnii lagatii hai

chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye
qaafiloon ko chalne main dair kitnii lagatii hai

chaahe koi jaisaa bhii ham safar ho sadiyoon say
raastaa badalne main dair kitnii lagatii hai

ye to vaqt kay bas main hai ke kitnii mohalat daay
varnaa baKht Dhakne mainn dair kitnii lagatii hai

mom kaa badan lekar dhuup main nikal aanaa
aur phir pighalne main dair kitnii lagatii hai

soch kii zamiino main raaste judaa hoon to
duur jaa nikalne main der kitnii lagatii hai 

kaheen aisa na ho daman jala lo


kaheen aisa na ho daman jala lo
hamare aansuon par Khaak Dalo

manana hi zaroori hai to phir tum
hamein sab se Khafa hokar mana lo

bahut roi huin lagati hain aankhein
meri Khatir zara kajal laga lo

akelepan se Khauf aata hai mujh ko
kahan ho ai mere Khwaabon Khayalon

bahut mayoos baithaa hoon main tum se
kabhi aakar mujhe hairat mein Daalo

Woh waqat meri jaan bohat door nahin hai


Woh waqat meri jaan bohat door nahin hai
jub ruk jain gi sub zeest ki rahain
Aur had say ghuzar jai ga andohe nihani
thak jain gi tarsi hoi nakam nagahain
chin jain gay mujh say meray ansoo meri aheen
chin jai gi mujh say meri baikar jawani

shiad meri alufat ko bohat yad karoo gi
apnay dil e masoom ko nasahad karoo gi
aoo gi meri goor pay tum ashak bahanay
nokhiaz baharoon kay haseen phool charhanay

shiad meri turbat ko bhi thukra kay chaloo gi
shiad meri bay sood wafaoo pay hansoo gi
is waza-e-karam ka bhi tumhain pass na ho ga
lekin nakam ko ahsas na ho ga

Alqisa maaale gham ulfat pay hansoo tum
ya ashk bahati rahoo faryad karoo tum
mazi pay naadamat hoo tumhian ya kay musarat
khamosh para soay ga da mandah e ulfat

khushaal se tum bhi lagtay ho yoon afsurda tau hum bhi nahi


khushaal se tum bhi lagtay ho
yoon afsurda tau hum bhi nahi
par jannay walay jantay hain
khush tum bhi nahi khush hum bhi nahi
tum apni khudi kay pehray main
aur dam-e-ghuroor main jakray huay
hum apni zaum kay narghay main
ana haath humaray pakray huay
aik mudat say ghalta paicha
hum apnay aap say uljhay huay
pachtaway kay angaro main
mehsoor talatum aaj bhi ho !
go tum nay kinaray dhoond liye
toofan se sambhlay hum bhi nahi
kehnay ko saharay dhoond liye
khamosh se tum hum mehar ba lub
jug beet gaye tik baat kiye
suno! khel adhoora chortay hain
bina chaal chalay bina maat kiye
jo bhaagtay bhaagtay thuk jayen
woh saaye ruk bhi saktay hain
chalo toro qasam .... iqrar karain
hum dono jhuk bhi saktay hain !!!

Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai


Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey Pochey
Kabhi Akelay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi RoLena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Yeh Jaan Kar Bhi k Aanay Wala Aye Ga Nahin
Us Ki Rahoon Main Palken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
Koi Hum sey pochey
Neend To Ankhon Se Koson Meel Door Hai
Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey pochey
Kiya Pata Agli Subha "UN" Ka Deedar Naseeb Ho
Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
K Abhi Din Ka Ujala Ho Jaey Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey....!!!

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya


Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..

Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...

Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya

Woh Intizar Ki Chonkhat Pey Soo Gaya Ho Ga


Woh Intizar Ki Chonkhat Pey Soo Gaya Ho Ga
Kisi Sey Waqt To Pochein Key Kya Baja Ho Ga

Main Hans Raha Hoon Latifon Ki Shairi Mehfil Mein
Woh Meri Ankhon Sey Us Waqt Ro Raha Ho Ga

Yeh Patharon Ki Tarah Kyon Udas Rehta Hai
Mujhey Yaqeen Hai Dil Us Ka Aaina Ho Ga

Main Is Khayal Sey Us key Qabeer Aya Tha
Key Dosron Ki Tarah Woh Bhi Beewafa Ho Ga

ab khushi hai na koi gham rulanay wala


ab khushi hai na koi gham rulanay wala
ham nay apna lia har rang zamanay wala

usko rukhsat to kia tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chor k janay wala

ik musafir k safr jesi hai sab ki dunya
koi jaldi men koi der men janay wala

ik bechehra se umeed hai chehra chehra
jistarf dekhye anay ko hai anay wala  

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraag-e-shab kii tarah

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraag-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n 

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huwen ek shamma yahan jala karti thee

Kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
Ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee

Sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofan mein
Garajte the badal bijli pehlay bhee gira karti thee

Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Na-omeedi is dil se door hee raha karti thee

Khata meri hee thee jo dunya se dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye
Kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee

Dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
Jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee
 

hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya


hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya

kaise mar-mar ke guzaari hai tumhein kya malum
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya

kitane betaab the rim_jhim mein piyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe rona aaya

kaun rotaa hai kisi aur ke Gham kii Khatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya

ye din to qayamat kii tarah guzara hai
jaane kyaa baat thi har baat pe rona aaya

yahan tangay-e-qafas hai,wahan fikre ashiyana


yahan tangay-e-qafas hai,wahan fikre ashiyana
naa yahan mera thikana naa wahan mera thikana

mere samne chaman tha,woh fasana chaer hamdam
mujhy yaad naa aa jaye apna ashiyana

mere roth jane wale,tujhy yoon mana rahan hoon
kay kaza kay wasty bhi koi chahey bahana

mujhy yaad hai abhi tak tere joor ka fasana
jo main fash ker doon,tujhy kaya kahy ga zamana

yeh raqeeb or tum se,raha o rasam dostana
abhi jis hawa main ho tum,woh badal gaya zamana

sar-e-raha kisy soojhii tujhy mayy ki wazh
naa yahan hai terii masjid,naamera sharab khana

kisi sarnagoon se shakh pe rakhin gey char tinkey
naa baland shakh ho gii,naagiree ga aashiyana

Qamar apney dagh-e-dil ki woh kahani main ney charii
k suna kiye sitary raat bher mera fasana

Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai


Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai

Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai

Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai

Kay uss ki ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay uss ki pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai

Kay uss ko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay uss ko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai

Kay uss kay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai
Kay uss ko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai

ishq mujh ko nahi wahshat hi sahi


ishq mujh ko nahi wahshat hi sahi
mari wahshat tari shohrat hi sahi

khataam na karna taaluk hum say
kuch nahi hay to nafrat hi sahi

hum bhi dushman to nahi haan apny
gyr to tujh say mohbaat hi sahi

apni hasti hi say ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflaat hi sahi

hum koi tarqy wafa karty haan?
na sahi ishq museebat hi sahi

Kabhi mayyus lamhon mai Kabhi khaaif nazaron mai


Kabhi mayyus lamhon mai
Kabhi khaaif nazaron mai
Kabhi berang sochon mai
Jo lamhay guzartey hain
K jin ka beetna mushkil
K jis say aashna ho tum
Unhain rangeen kardo tum
Na ab is aas mai rahna
K koi tum ko pukaray ga
Falak pe chand to dekho
Tumhara intezar karta hai
Usay na aazmao tum
K ab k laut aao tum
K jo beet chuka woh maazi tha
Jo ab hai usay apnaao tum
Kabhi mayyus lamhon mai
Kabhi khaaif nazaron mai
Kabhi berang sochon mai
Jo lamhay guzartey hain
K jin ka beetna mushkil
K jis say aashna ho tum
Unhain rangeen kardo tum

Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho


Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho .............
Tum Chao To Mujhay Saiban Day Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho
Tum Chao To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar .............
Tum Chao To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho .............
Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chao To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho
Tum Chao To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chao To Kia Nahi Kar Saktay ..........
Tum Chao To Sub Kuch Kar Saktay Ho ............
Bus
Baat Tumhary Chahny Ki Hai

mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hai


mujh ko bhi batao key yeh ghar kaisa laga hai
weeran diyaroon ka nagar kaisa laga hai

kuch sookhay hei lab bhi sunate hein kahanee
ujre huey daryaa ka safar kaisa laga hai

aik aas thee so toot gei zindagee haaree
bay-harf dua'oon ka asar kaisa laga hai

abb khawish-e-dunia na tamana hei deen kee
gumghushta sahifoon ka bhawanr kaisa laga hai

dekho mujhe zara bhi nahin khawhish-e-"Qarar"
socho ke sukhan ka ye hunar kaisa laga hai 

sab sapnay sachay nahin hotay


SAB SAPNAY SACHAY NAHIN HOTAY
kabhi soocha hai tu nay yeh aik pal ko bhee
kay jab bhee sham ho jay
to taray dikhnay laktay hain
who hum say kehnay lagtay hain
chamkoo tum bhee is tarhan
zameen yeh aasaman ho jay
magar yeh jan layna tum
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay

kabhi jab chand kay sang who
falak par chamaknay lagtay hain
woh hum say kehnay lagtay hain
tumharay man kay woh masoom say jezbay
tumhari aarzuoon kay woh un deekhay sapnay
who saachay hain…
magar yeh jan layna tum
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay

kabhi jab aasaman par badal chaa jain
to badaloon ki oot say woh dikhnay lagtay hain
woh hum say kehnay lagtay hain
kay aapnay khwab tum kabhi chupnay mat dayna
kabhi bhe badaloon ki oo! t main in ko tarapnay mat dayna
magar yeh jan layna tum faysal
yeh khawab aachay nahin hotay
kay sab sapnay sachay nahin hotay  

Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai


Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai

Jin Logoon Ko Main Janta Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai

Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai

Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai

Hur Sawal Kay Jawab Ko Jantay Huay Bhi
Apnay Hur Sawal Ka Jawab Mangta Hai

Ajeeb Shaks Hay Khusioon Ko Daman Main Lay Ker
Khushioon Ki Bheeg Sir-E-Bazar Mangta Hai

Hum Mout Ki Dehleez Per Hain Janta Hai Jana Hai Hamain
Pagal Hay Hamaray Ruknay Ki Dua Mangta Hai

Popular Posts