Tuesday, June 29, 2010

hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya


hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya

kaise mar-mar ke guzaari hai tumhein kya malum
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya

kitane betaab the rim_jhim mein piyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe rona aaya

kaun rotaa hai kisi aur ke Gham kii Khatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya

ye din to qayamat kii tarah guzara hai
jaane kyaa baat thi har baat pe rona aaya

No comments:

Popular Posts