Sunday, June 13, 2010

Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai


Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, 
Wafa Ka Man Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, 

Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Gay Faqeeron Ka, 
Milan Aasaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, 

Judayi K Dino Mein Log Chehray Bhool Jatay hain, 
Meri Pechaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, 

Judayi Toh Main Seh Longa Magar Tum Phir Se Milnay Ka, 
Koi Imkaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, 

Agar Shaya Karao Apna Pehla Sheri Majmua, 
Toh Yeh Unwaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai.....!!!!

Mohabbat naam hai mera Agar chaho gay tum mojhko


Mohabbat naam hai mera

Agar chaho gay tum  mojhko

Tumhari saans se pehle 

Tumhari jaan bun jaun

Tumhare khuwaab bun jaun....

Agar socho gay tum mujhko

Tumhare paun se pehle

Tumhari raah bun jaun

Tumhari khaak bun jaun....

Mohabbat naam hai mera 

Mujhe tum soch kar dekho...!!!!

Kabhi mushkilon ka tha samna

Kabhi mushkilon ka tha samna
Kabhi rahaton mein guzar gye 
Wo jo din thy mere shabab k
Teri chahaton mein guzar gye 
Teri justuju mein rawan dawan
Kabhi sang thy kabhi kehkishan
Wohi din thy kitnay haseen tr
Jo musafton mein guzar gye
Kabhi razdan ny sitam kiya
Kabhi mein rakkeeb sy ja mila
Wo jo lamhay thy mere pyar k
Wo rakabton mein guzar gye
Kabhi dil gya kabhi jaangai
Kabhi rooh badan sy nikal gye
Wo jo lamhey haseen thy pyar k
Wo hamakatun mein guzar gye...

Yu hasraton ke daag mohabbat main dho diye

Yu hasraton ke daag mohabbat main
dho diye
Khud dil se dil ki baat kahin aur to diye.

Gher se chale the khushi ki talaash main,
Gum raah main khare the wo hi saath ho liye.

Murjha chuka hai phir bhi phool hi to hai,
Ab aapki khushi ise katon mai roliye.

Hoton ko see chuke to zamane ne ye kaha,
Ye chup si kyon lagi hai aji kuch to boliye.

Yu hasraton ke daag mohabbat main dho liye.

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho 

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho 

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho 

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho 

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho 

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

Ab To Uth Saktaa Nahin Aankhon Se Baar-E-Intizaar


Ab To Uth Saktaa Nahin Aankhon Se Baar-E-Intizaar
Kis Tarah Kaate Koi Lail-O-Nahaar- E-Intizaar 

Unkii Ulfat Ka Yaqeen Ho Unke Aane Kii Ummiid
Hon Ye Dono Suuraten Tab Hai Bahaar-E-Intizaar 

Merii Aahen Naa-Rasaa, Merii Duaein Naa-Qubuul
Yaa Ilaahii Kya Karo Main Sharmsaar-E- Intizaar 

Unke Khat Kii Aarzuu Hai, Unkii Aamad Kaa Khayaal
Kis Qadar Peilaa Hua Hai Kaarobaar-E- Intizaar

Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do

Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do
Mai Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do 

Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do 

Mai Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga?
Dil-o-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do 

Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do 

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar Ka Muda’wa Hai
Mai Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do

Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye

Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye'
Jo beeti hai us per wo to suna jaye'

Hans hans k Gham chupanay ka hunar,
Is se kaho hum ko bhi sikha jaye'

Us ki yaad mein tarapta rehta hoon her pal,
Us se kaho mere dil se apna naam to Mita jaye'

Arsa huwa hai chand ko dekhy huwe logo,
Us se kaho k Apna chehra to dikha jaye'

Aaye bhi to kya de sakoon ga Us ko,
Fqat ek zindagi hai, Wo apny naam likhwa jaye

Tumhein shayad ye lagta hai

Tumhein shayad ye lagta hai..
M0habbt khubsurat ha.. 
Tmhara ghar sanwary gi..
Tmhain yunhi naikharay gi..
Tmhain apna bana lay gi..
Tmhain shayd ye lgta ha..
Tmhein dukh se nikalay gi..
Tmhary dard smjhegi.. 
Tmhare gham sambhaly gi..
Mjhe maloom ha itna.. 
Mohabbat shab ki surat ha..
Ujalon ko ye kha lay gi..
Tmhe tm se chura le gi..
Tmhe pagal bna de gi.. 
Mohabbt maar deti ha.. 
Mohabbat maar dale gi.

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon, 

Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon, 

Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon, 

Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main ho0n.

tera har rang hamne dekha hi

tera har rang hamne dekha hi
tera har dhang hamne dekha hi
hathe khele hian teri zolfon se
aankh waqif hi tere jalwon se
ankharion ka bayan jante hian
dharkano ki zoban jante hian
chorion ki chanak se waqif hian
chagalon ki dhanak se waqif hian
olji olji laten sanwar ke aa
dolhan ki tarha sharma ke aa
andaze beyan jante hian 
tera har raaz jante hian
to nahi to raat soni hi
ishq ki kaaenat soni hi
kher howe tari zindagani ki 
bhik de de hamin jawani ki
so jaan se fida hian ham
ik modat ke ashina hian ham
ajj kion hamse parda hi 

Tarap rahi hai har Ek tamanna


Tarap rahi hai har Ek tamanna,
Na Us se milte,Na aisa hota.
Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,
Na Us se milteNa aisa hota.
Hum aisi mehfil mein kaise jain,
Jahan k manzar hamein jalain.
Agar hai jalna Jalein gein tanha.
Na Us se milte,Na aisa hota.
Na chain aaye, Na mout aaye,
Na jee rahe hain,Na mar rahe hain.
Kahan tha pehle ye haal Apna.
Na Us se milte,Na aisa hota...!

Suno! Jab dil ke aangan mein

Suno!
Jab dil ke aangan mein,
Khizayain muntzir pao,
Suno!
Jab behti aankh0n se, 
kisi ko dhondhna chaho,
Suno!
Jab dhair logon mei, 
kisi ko pas na pao,
Suno!
Jab yad hum ayain,
humain aap bholna chaho,
To bas ek baar apney dil pe,
apna hath rakh lena,
Faqat awaaz de dena,
Faqat ehsaas kar lena,
Suno!
Hum loat aaein gay
tumhain apna banaein gey...

Tha Mir jinko shair ka azaar mar gaye

Tha Mir jinko shair ka azaar mar gaye
Ghalib tumharay saray tarafdar mar gaye 
Jazbon ki woh sadaqatein marhom ho gayi
Ahsas k naye naye izhaar mar gaye 
Ahbaar ho rahi hy ghazal ki zuban ab
Paikar tarash shair k fankar mar gaye 
Saaqi teri sharab bhara kaam kr gayi
Kuch raastay mein kuch pas-e-deewar mar gaye
Taqdees dil ki asiyaan nigaari kahan gayi
Shayad ghazal k sitaray gunahgaar mar gaye 
Shairon mein ab Jihaad hy , Roza , 
Namaz hy Urdu ghazal k jitne thay kafaar mar gaye
Misriyon ko humne Naraa-e-Takbeer kr dia
Gheeton k pukhtadar gulukaar mar gaye 
Asloob takht itna garajdaar ho gaya
Mehdi Hassan k hasshiya bardaar mar gaye 
Naz-o-adaa se machliyan ab hn ghazal sirra
Tehmad pakar k shahab-e-dastaar mar gaye 
Ya Rab talism hosh raha hy mushaira
Jinko nahi bhulaya woh gham khawar mar gaye..

Tere Sapne Dekhta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai

Tere Sapne Dekhta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Motti Rol Deta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai, 

Tumhari Yaad Ki Kirnon Ko Aksar Ankh Mai Rakh Kar,
Main Apni Neend Khota Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai, 

Hoowa Aehsaase Kushboo Chandni Ko Dekh Kar,
Tere Dhokey Main Rehta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai, 

Falak Pe Chaand Taaron K Haseen Jhurmat K Manzar Mai,
Tere Chehrey Ko Taqtta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai, 

Main Apni Zindagi K Saarey Jazbon Ko Meri Jaan,
Tumhare Naam Karta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai, 

Kabhi Tu Dekh Lo Aa Kar Tum Rahey Mohabat Main,
K Main Khud Hi Khud Se Larrta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai

Nigahen nigahon se mila kar toh dekho

Nigahen nigahon se mila kar toh dekho,
Naye logon se rishta bana kar toh dekho.

Hasratein dil mein dabane se kya haasil hoga,
Apne hoth hila kar toh dekho.

Khamoshi se kab hoti hai khwahishein poori,
Dil ki baat bata kar toh dekho.

Jo hai dil mein usey kar do bayaan,
Khud ko ek baar jata kar toh dekho.

Aasmaan simat jayega tumhare aaghosh mein,
Chahat ki bahein phaila kar toh dekho.

aik ajeeb sa rishta aik ajeeb sa bandan

aik ajeeb sa rishta aik ajeeb sa bandan.........
dono saath saath dono alag alag 
jab ye sawal kisi or per uth te hain to itni takleef nahi dete ....lekin jab ye sawal khud kiye jay to kitni aziyat dete hain ....kitna chubta hia aik aik sawal ......or jab in sawalo ka saath dene AANSOO b chale ate hain to jese ....sare jahaan ka ghum hamare hi daman mai basne aya ho ...........awaz mai itni silwate ajati hain k khud apna karahna ander tak mehsoos hota hia ..... kio itni aziyate mere aas paas hain ...... kio uss derya ki manind hoon jis ka koi samander nahi.... kio ye udassi baal khuly sare sham mere hi angan mai ati hai .... kio........ 

dekha ye kio aaj b kitna chuba hai .....kitna gehra hai ....... kio itne sawal zindagi se jure hain .........

zindagi in k baghier kio nahi kat sakti .............................?

Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey


Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey 
wohi donno jo bhegee reet per 
ek dosarey ka haath thammay door taak 
kabhi hansttey,kabhi kuch gungunattey 
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may 
ropposh honay walla sooraj dekhttey 
ansoo bhahattey loat jattey! 
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay 
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay 
kabhi sahiL say dehairoon Seepiyaa chunttey thay 
Nangay paoo pani may challey attey thay 
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay 
aur un may seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay 
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay 
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay! 
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay 
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa 
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha 
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta 
phir ussnay dair sarey khaat 
buhut say phool sookay aur tasveeray 
aur apnay akhri ansoo 
samander kay hawalley kerdiyey!!!!

tera jub kabhi mujh say saamna ho ga

tera jub kabhi mujh say saamna ho ga
rub jaanay wo manzar bhi kiya manzar ho ga

qadam qadam pay sitaray jagmaga uttein gay
teray chaand say maathay pay bhi paseena ho ga

teri khusboo se meray dil o damagh mehak utthein gay
khushi kay maray teri aankhoun mein bhi paani ho ga

shaam dhaltay hi tou meray khayaaloun mein uttar aata hay
mujhay yaqeen hay tanhaai mein tou mujhi ko yaad karta hoga

Mile Kaise Sadiyon Ki Pyaas Aur Paani Zara Phir Se Kehna


Mile Kaise Sadiyon Ki Pyaas Aur Paani Zara Phir Se Kehna,
Badi Dilruba Hai Ye Saari Kahani Zara Phir Se Kehna,

Kahan Se Chala Tha Judayi Ka Saya Nahi Dekh Paya,
Ke Raste Mein Thi Aansuon Ki Rawani Zara Phir Se Kehna,

Hawa To Khabar Ye Sunati Rahi Aur Main Sunta Rahun,
Ke Badalne Ko Hai Ab Ye Mausam Khizani Zara Phir Se Kehna,

Mukar Jane Wala Zindagi Mein Khushi Phir Na Paye,
Yunhi Khatam Kar Lein Chalo Ye Kahani Zara Phir Se Kehna,

Same Ke Samundar Kha Tune Jo Bhi Suna Par Na Samjhe,
Jawani Ki Nadi Mein Tha Tez Paani Zara Phir Se Kehna...

Yun Bicharna Tha To Mere Paas HI Aana Na Tha

Yun Bicharna Tha To Mere Paas HI Aana Na Tha
Khuk Ko Hum Pahchaantay Tha Jab Tujhay Daykha Na Tha

Pehlay In Zulfon Ki Mehkaarain Mujhe Bakhshi Gain
Aur Phir Taptay Howe Sahra Main Ik Saaya Na Tha

Pehlay Un Aakhon Nay Mujhse Ye Kaha "Zinda Raho!"
Aur Phir Mere Lye Koi Bhi Weerana Na Tha

Haan Wahi Sochain Wahi Aakhain Wahi Rukhsaar-o-Lab
Chor Betha Hoon Jise Us Shakhs Main Kya Kya Na Tha

Zindagi ko paya menay tu jo shamil-e-zindagi thi

Zindagi ko paya menay tu jo shamil-e-zindagi thi

Jaan si meri nikalti gae yun tujh say bichernay kay baad

Keemti tha woh her lamha jo sang teray guzara tha

Her lamha jo nakara jana yun tujh say bochernay kay baad

her khushi dugni hui teri khushi jo sath thi meray

Khushi ko bhi ghum he jana tujh say bichernay kay baad

sab ankhon mein khushi pai meri ankh mein tu smai

Karb he paya her ankh mein tujh say bichernay kay baad

Woh jo aye meray angan mein bahar nay qayam kia

Rahi khizan meray angan mein tujh say bichernay kay baad

Dil mein armaan jagay saath tera jo paya mein nay

Ab to khaak huay her armaan tujh say bichernay kay baad

tu hamsafar jo hua mera karwan bhi ruh-e-rawan tha

Ab to yeh bhi raasta bhola tujh say bichernay kay baad

Tu saath tha to saath meray alam yeh sara tha

Ab to TANHA bhi tanha hua tujh say bichernay kay baad

Yun to guzar raha hai har pal khushi ke saath

Yun to guzar raha hai har pal khushi ke saath
Phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath

Rishtey, wafayen, dosti sab kuch to paas hai
Kya baat hai pata nahin dil kyun udaas hai

Har lamha hai haseen nayi dilkashi ke saath
Phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath

Chahat bhi hai, sukoon bhi hai, dilbari bhi
Aankhon mein khuwab hain labon par hansi bhi

Dil ko nahin hai koi shikayat kisi ke saath
Phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath

Socha tha jaisay waisa jeevan to hai magar
Ab aur kis talash mein bechain hai nazar

Qudrat ki fayyazi hai darya dili ke saath
Phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath...

Tumharay saath rehna hai

Tumharay saath rehna hai 
Mujhe har waar sehna hai 

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai 

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai 

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai 

Chalo ab bey rukhi choro
Humain aik saath rehna hai 

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?

Hairat se tak rahe haiN jahan-e-wafa mujhe


Hairat se tak rahe haiN jahan-e-wafa mujhe
tum ne bana diya mohabbat meiN kya mujhe 

har manzil-e-hayaat se gum kar gaya mujhe
muD muD ke raah meiN woh tera dekhna mujhe 

kaif-e-be-khudi ne mauj ko kashti bana diya
hosh-e-khuda hai ab na gham-e-naakudha mujhe 

saaqi bane hue haiN woh ~Saaghar~ shab-e-wasal
us waqt koi meri qasam dekhta mujhe

Rote rote yun he raat ghuzar jati hai

Rote rote yun he raat ghuzar jati hai 
Rote rote yun he din ghuzar jata hai
Jaise koi farsh peh toot keh seesha bikhar jata hai
Aise toota hua dil appna nazar ata hai 
Tumhari yaad ati hai mein kitna toot jata hoon
Barasti mein meri ankhein
Mein bus ansoo bahata hoon
Tum kisi aur ke ho ab saha mujhse nahin jata
Mujhe joh dard hota hai kaha mujhse nahin jata 
Dheere dheere yun he raat ghuzar jati hai 
Dheere dheere yun he din ghuzar jata hai 
Jaise koi farsh peh toot keh seesha bikhar jata hai
Aise toota hua appna dil nazar ata hai 
Rote rote yun he raat ghuzar jati hai 
Rote rote yun he din ghuzar jata hai
Nibhane the nahin waade 
Kyun waade kar diye humse 
Shikayat hai shikayat yeh karein ge umar bhar tumse
Hazaroon chaut uthti hein tere seene mein reh reh ker
Tumein maloom ab mein yun he jeete hoon mar mar keh 
Chupke chupke yun he raat ghuzar jati hai
Chupke chupke yun he din ghuzar jata hai
Jaise koi farsh peh toot keh seesha bikhar jata hai
Aise toota hua dil appna nazar ata hai 
Rote rote yun he raat ghuzar jati hai 
Rote rote yun he din ghuzar jata hai
Jaise koi farsh peh toot keh seesha bikhar jata hai
Aise toota hua dil appna nazar ata hai

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay

Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay.......

Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay.

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo 
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo 

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka 
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo 

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se 
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo 

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main 
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai

Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai


Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai


Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai


Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai


Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai


Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya
Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai


Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai


Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!!
Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai


Ye Khood-Aziyati kab tak ----
Tu b use na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

Woh kesa shaks hay k har rooz saza deta hay

Woh kesa shaks hay k har rooz saza deta hay..
Phir hansta hay woh itna k sab bhula deta hay...

Kabhi jo ro day to mujhy bhi bhool jata hay..
aur phir bhool k mujh ko bhi rula deta hay...

Hamaray pas na aany ki kasam kha kar woh..
"AAJA" Likhata hai woh, khaghaz pay urra deta hay..

Us say poocho k bata kis say muhabbat hay tumhein..
naam sargoshi main mera hee suna deta hay...

Kabhi kehta hay chalo saath hamesha mere..
chal paroon saath to raasta hi phira deta hay..

Khud hi kehta hai na dohraao purani yaadein..
mein na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hay...

Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey

Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

Tu Har Waqt Har Garhe Har Waqt Merey Sath Rahe Hai,
Haan Yeh Jism Kabhi Dour Kabhi Paas Raha Hai,
Jo Bhi Ghum Hain Yeh Terey Unhey Tu Mera Pata Dey,
Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

Mujhe Ko Tu Terey Chehrey Pey Yeh Ghum Nahi Jajta,
Jayez Nahi Lagta Mujhey Ghum Sey Tera Yeh Rishta,
Sun Mere Guzarish Issey Tu Chehrey Sey Hatah Dey,
Kuch Is Tarah Tere Palkain Mere Palkoon Sey Mila Dey,
Aansoo Terey Sarey Mere Palkoon Pey Saja Dey.

kiya tumhain judaie lagti hai aasaan


kiya tumhain judaie lagti hai aasaan
woo khwaab woo lamhe woo armaan

jo hum ne kabhi banaey theh 
sajaey theh gungunaey theh

nahy nahy yeh mat socho
aik baar zara apne dil se tu poucho

hum ne aik dosrey ko chaha hai
samja hai parkha hai maanaa hai 

kessey bhool jaein hum yeh saath
jo hum ne nibhaya din o raat 

pyar ki manzilein mushkil hain per namumkin nahy
hum ne pyar kiya tu nibhana parega q k yeh koi kheil nahy......

Tum jao hum se door to ek kaam ker jana


Tum jao hum se door to ek kaam ker jana
Kuch pal apnay hamaray naam ker jana

Agar aa jaye mout hamen aap k anay se pehlay
To aa ker mere janazay ka ehtraam ker jana

Na rona iss qadar k takleef ho hamen
Mout ko bhi mazaq samajh ker anjan ban jana

Main ek din so jaoon ga sadaa k liye
Phir mujhe bewafa keh ker badnaam kr jana

Jo guzro meri qabar se to nazrein na phairna
Ajnabi hi ban k DUAA salam ker jana....

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi mosam aaye
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai
Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay
Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho

Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho, 
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho, 

Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora, 
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora, 

Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho, 
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho, 

Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki, 
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki, 

Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho, 
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho.

Kabhi is nagar tujhay dekhna

Kabhi is nagar tujhay dekhna.. 
kabhi us nagar tujhay dhondna.. 
kabhi raat bhar tujhay sochna.. 
kabhi raat bhar tujhay dhoondna.. 
mera khawab tha kay khayal tha.. 
woh urooj tha kay zawal tha.. 
teri yaad aye to roo diya.. 
jo tu mil gaya tujhay kho diya 
meray silsilay bi ajeeb hain.. 
tujhay choor kar tujhay dhondana 
kabi is nagar,kabhi us nagar....

Rut jo badli tho badalthey hue deka usko

Rut jo badli tho badalthey hue deka usko 
Mom ki thrah pigalthey hue deka usko
Rut jo badli tho badalthey hue deka usko

Woh jo kaanto ko bhi narmi se chuwa kartha tha
Aaj poolon ko bhi masalthey hue deka usko

Jaaney kis gham ko chupaaney ki thamanna hai usey
Aaj har baat pe hansthey hue deka usko

Jaaney woh mangna chahtha hai duaaoon mein kissey
Haath uthaathey hii sisakthey hue deka usko

Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab


Aankhon main khuwab rakhna mumkin nahi raha ab
Sach hai mera sambhalna mumkin nahi raha ab

Jatay huwe thi us ki aankhon mein jo udaasi
Woh keh rahi thi milna mumkin nahi raha ab

Kis ko kahein mohabbat kis ko kahein wafa 
Yun aatebar karna mumkin nahi raha ab

Thi tark-e-talluq ki ab ibtada zaroori 
Shayad k sath chalna mumkin nahi raha ab

Ab intezar kyun hai dil beqarar kyun hai 
Us ka to lot aana mumkin nahi raha ab

Hai her taraf andhera ruswaiyon ka dor hai 
Ghar se bahar nikalna mumkin nahi raha ab

Khamooshi Ki Bhi Ek Zuban Hoti Hai


Khamooshi Ki Bhi Ek Zuban Hoti Hai
An Kahe Lafzoon Sy Jo Bayan Hoti Hai

Laboon Sy Kuch Kehne Ki Zaroorat Nahi Parti
Aankhon Sy Hi Her Baat Ayaan Hoti Hai

Lafzoon K Hajoom Main Phanse Rehty Hen Aksar Log
Jab K Mohabbat Main Lafzoon Ki Zaroorat Kahan Hoti Hai

Kabhi Kabhi Lafz Hi Kyun Ahmiyat Rakhty Hain
Jab K Khamooshi Main Bhi Mohabbat Panhaan Hoti Hai

Her Baat Ka Izhaar Zaban Sy Zaroori Nahi Hota
Koi Koi Baat Aankhoon Sy Bhi Bayan Hoti Hai

Dil Ki Gehrai Main Chupi Mohabbat Ki Bhi
Khud Yeh Khamooshi Hi Pehchan Hoti Hai

Gehry Sannaty K Peechy Bhi Ek Tofaan Bapa Hota Hai
Iss Tofaan Ko Bhanpna Her Ek K Bas Ki Baat Kahan Hoti Hai…….!!!

Dard ko chupate hain hum


Dard ko chupate hain hum
dard dikhane ki adat nahi 

khud ashk pee jate hain hum
dusron k ashk bahane ki adat nahi.

Humari dil ki awaz to puhach jati hai un k dar pe,
per shayad unhe dil tak puhchane ki adat nahi.

Na kisi ki hamdardi na kisi ka pyar chahiye
per yun nafrat main jal janey ki adat nahi.

Ashk to aj b un ki yad main beh ate hain
per kisi k peechay par janey ki adat nahi.

Rona to ab adat si hai humari
per ansoon k selab main doob janey ki adat nahi.

Kash nafrat hum b dhar lete unki tarah
per yun pathar dil ban janey ki adat nahi.

Bhulana to chahte hain hum b unhe
per yun kisi ki yaden mitane ki adat nahi...

har lafz ko likha nahi jaata


har lafz ko likha nahi jaata,
har dard ko zahir nahi kiya jaata hai,
aur har kisiko afreen nahi kaha jaata hai.... 

anjaan raston pe har koi nahi chalta,
gairon ka dard har koi nahi baatta hai,
isilye har kisiko afreen nahi kaha jaata hai.... 

zamane ke sitam sehkar har koi nahi muskurata,
tufaano mein har koi nahi khelta,
isiliye har kisiko afreen nahi kaha jaata..... 

afreen ko koi kya samjhega,
agar usse ek kitab samjho
toh yeh wo kitaab hai jise
aaj tak koi padh hi nahi paya
toh usse samjhega kya? agar usse fiza samjho
toh yeh wo fiza hai jisne
kai logo ke dilon ko chua hai
par aaj tak kisi ne usse mehsus nahi kiya
toh usse samjhege kya?

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafer


Mujhe Maaf Kar Mere Humsafer..
Tujhe Chahna Meri Bhool Thi,
Kisi Rah Per Jo Uthi Nazer...
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi,
Koi Nazam Ho Ya Koi Ghazal..
Kahin Rat Ho Ya Kahin Seher...
Woh Gali Gali Woh Sheher Sheher....
Tujhe Dhondna Meri Bhool Thi,
Tere Ghum Ki Koi Dava Nahi....
Mujhe Tujse Koi Gila Nahi....
Mera Koi Tere Siwa Nahi...
Yeh Sochna Meri Bhool Thi.

Baat purani hai

Baat purani hai...
Shayed kahin baras pehlain ki
Sardi ki ik khunak shaam ka zikar hai
Tu ne mere hathon per hath rekha tha
Aur kaha tha...
"Garam hath BAWAFA logon ki nishani hotay hain"
Mujhe kafi arsa aik bat khatakti rahi
Kia???
Wo aaj mujhe maloom hoi
Aaj iss uljhan se nikal saka hon main
Jab tumne yeh kaha tha
Tab hath tumharay sard thay!!
BAWAFA kon???

Ansu Ki Zindagi Itni Choti Kyun Hai


Ansu Ki Zindagi Itni Choti Kyun Hai
Aankh Se Janma Gaalo Per Fanha Hua
Kyun Us Ka Koi Astitva Nahi
Sagar Ki Tarah Namkin Magar

Kyun Woh Khud Pyasa Hai
Sukh Mein Aate Hai
Dukh Mein Bhee Saath Nibhate Hai
Kabhi Haste Haste Bhee Chalak Jaate Hai

Sab Mehmaano Se Pehle Aa Jate Hai
Phir Hum Inhe Kyun Nahi Sambhaal Pate Hai
Kabhi Ma Ki Aankho Se Mamta Ban Kar
Kabhi Premika Ki Aankho Se Prem Ban Kar

Kabhi Bache Ki Aankho Se Bukkh Ban Kar
Chalak Jata Hai
Kyun Phir Hum Inhe Bhhul Jate Hai
Jab Apno Ka Zikr Aata Hai

To Kyun Inhe Paraya Kar Jate Hai
Ansu Kyun Tumhara Koi Wajud Nahi
Kyun Tum Chup Chaap Sab Sehan Karte Ho
Kabhi To Aawaz Uthao Apne Liye

Kabhi To Sab Ko Batao
Ke Tum Bin Yeh Duniya Niras Hai
Tum Se Hi To Ehasas Hai Khushi Ka
Warna Khushi Ka Koi Astitav Nahi

Ansu Mere Mere Dost Mere Humdum
Tum Mera Astititv Ho Meri Pechaan Ho
Meri Aankho Mein Raho Woh Ghar Tumhara Hai
Is Duniya Mein Aur Koi Na Ho Per Mera Dil Tumhara Ha

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi



Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi

Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi

Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi

Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi

Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi

Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

Mohabaton ka diya jala ker kabhi to dekho

Mohabaton ka diya jala ker kabhi to dekho 
Tum mery dil main jhank ker kabhi to dekho

Mery dil ki raahain teri muntazir hain 
Kabhi in rahoon main a ker to dekho 

Meri mohabat sipion ki manind bekimat perhi hai 
Kabhi barish ka pehla katrah ban ker to dekho 

Mujhy meri mohabat mily gi zaroor ! 
Isy yakeen ka bharam rakh ker to dekho

Mery saber ka imtihan aur na lo 
Bas aik..! aik bar mery samny a ker to dekho

Milain gay tujhy wafaon ke naghmay 
Mery dil ki dharkan ban ker to dekho

Tujhy door asmano pe chand ki manand chamakta dekhta hun 
Kabhi asman se is dil ki zamin pe uter ker to dekho

Ye wadhay ye wafaian ,ye khushian ye ansu, tarap ye kasak! 
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho

Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise? 
Kabhi Khuda se meri mohabat ke bary main poch ker to dekho

Aina ban ke jo toota woh dil tha mera


Aina ban ke jo toota woh dil tha mera 
chootha tere haath se jo woh haath tha mera 

Kismet ko ab kia dun ilzam mein 
Jo paya mein ne shayad wohi naseeb tha mera 

Har khushi thi meri sirf tere hi dum se 
Murr ke dekh baad tere kia haal hua mera 

Na pa saka tujhe phir bhi har sans pe barhi khawahish teri 
Khuda ke ghar bhi jo khali raha woh daman tha mera 

Dunia wohi hai dunia walay bhi wohi hain 
Koi kia janay kia kuch khoya tha mera 

Koi shareek-e-gham na ho ga yahan tera 
Jis ka sab kuch luta woh ghar tha mera

Bicchra to yaad ban kar raagon mein samaa gaya

Bicchra to yaad ban kar raagon mein samaa gaya 
Jab bhi mila woh mil kar dil hi dukha gaya 

Hasrat se uthayi nigah aasman ki taraf 
Chand bhi aankh mein askh dekh kar mun phair gaya 

Zindagi to kab ki ho chuki hai apni khamosh 
Phir woh kon tha jo dil ko dharkanay ka sabab de gaya 

Khayi thi qasam murr ke na dekhoon ga peechay kabhi 
Phir kon mere mazi mein hulchul macha gaya 

Atta hai kon meri yaadon ko besabab churanay 
Dhoondho usay jo meri yaadon ko urra ke le gaya 

Dil to khud hi dia tha us ko mein ne 
asif woh to teri neendain bhi ura le gaya

Ansooun ki barish mein bheeg na jaoun kahin mein

Ansooun ki barish mein bheeg na jaoun kahin mein 
Tere anay se pehle mar na jaoun kahin mein 

Humsafar aa bhi jao ke baat nahi mere bus ki 
Reh jaoun na tanha bin tumhare kahin mein 

Tujhko kia khabar katay hain kitnay rat-jagay mein ne 
Khuli aankhon se dunia se rukhsat ho na jaoun kahin mein 

Baad muddat ke aj samjha hun yeh 
Saaye ki talash mein khud ko kho na dun kahin mein

Jo kuch mila hai usi me khush hain


Jo kuch mila hai usi me khush hain..
Tum ko dil mein basa kar khush hain hum..

Dey gayee khwab in ankhon ko..
Kaha chup gayee ho tum..

Deh gaye ansu in me tum...
Kaise dikhon dun ye ansu...

In me bhi to rehte ho tum..
Zindagi ke safar mein guzarain hai woh lamhe..

Uss lamhe koh abb laoo kaise..
Zakham aisa diya ke koi dava kaam na aayi..

Woh lamha tuj bin muskil se guzari..
Aab yeh suni dil ki pukar koh suune..
Akele tumare intezar mein kathe na yeh din..

Kaisi hai ye mohabbat jis ko nibhany sy dar lagta hai



Kaisi hai ye mohabbat jis ko nibhany sy dar lagta hai 
Dil to chahta hai phir bhi muskarany sy dar lagta hai 

Kitni berukhi karta hai muj sy nazrin b churata hai 
Ji bhar k us ny rulaya mujhy ussy rulany sy dar lagta hai 

Uska na milna taqdeer mein likha tha yehi shayid 
Pas reh nahi sakta dur jany sy dar lagta hai 

Bat us sy kiye bina dil ko chian ata nahi 
Khud uski batin ussy sunany sy dar lagta hai 

Sary wady sari batin bhool gya wo 
Na chahty hoye bhi bat bharhany sy dar lagta hai 

Bohat Din Se Tujhe Hum Ne Dekha To Nahi


Bohat Din Se Tujhe Hum Ne Dekha To Nahi
Main Zinda To Hon Magar Zinda To Nahi

Main Jaise Bhi Chahon, Marr Sakta Hon
Kismat Main Jeena Ka Koi Rasta To Nahi

Jab Bichar Jane Ka Us Ne Faisla Kiya Tha
Mere Baare Us Ne Kuch Socha To Nahi

Mujh Ko Apni "Zindagi" Kehti Thi Woh....!
Kaise Keh Don Us Ne Mujhe Chaha To Nahi

Chor Jane K Baad Jo Phir Woh Lout Aai Hai
Darta Hon Yeh Koi Naya Tajurba To Nahi

Us Ka Sath Nibhane Ko Ek Jahan Mojood
Woh Koi Meri Tarah Yahan Tanha To Nahi

Roshni Ki Khuwaish Bhi Jurm Hai 'Mansoor'
Door Tak Zindagi Main Koi Sawera To Nahi

Bhatak rahi hai andheron me zandgi

Bhatak rahi hai andheron me zandgi
Nazar dur tak bhi aata nhi koi,


Phir aas lagye baithe hai tere intazaar me,
Tu aayega tu aayega ek din……..!!!!! 

Tera didaar hoga ye ummed hai ek din,
Tujhe hamara pyar bhi yaad aayega ek din,

En nazron se lakh dur raha tu ,
Hamari justjo tujhe khich layegi ek din..!!!!

hil jayengey ik baar to arshon ke dar-o-baam 
ye khaak nasheen log jo bolengey kisi din...

apas ki kisi baat ka milta hi nahin waqt 
har baar ye kehtey hain ke bethengey kisi din... 

aaj waqt na milta hai hamse milne ka,
hamare liye apna ek din barbaad karoge ek din..

jab ham na honge is duniya me royege ek din,
lakh bulaoge bhi to wapas na aayege us din….!!!

Kanch se banay putley thori door chalty hen


Kanch se banay putley thori door chalty hen
Chaar din ka hota hey ye khumaar sheeshay ka

Bann sanwer k herjaai aaj gher se nikla hey
Janay kon hota hey phir shikaar sheeshy ka

Dil k aazmaanay ko aik sung kaafi hey
Imtehaa’n na lena tum baar baar sheeshay ka

Is zamany main aarzi hen sab rishtay
Hum ney bhi banaya tha aik yaar sheeshey ka....

Dil kabhi sorat e halat say bahir nahin geya


Dil kabhi sorat e halat say bahir nahin geya
main mohabbat main bhai oqaat say bahir nahin geya 


ik tu hai k jahan bhar say hai taluq tera
ik main hoon k tere zaat say bahir nahin geya

soach koey na tere soach say hut kar soachey
tazkara koey bhi tere baat say bahir nahin geya 

merhala tuj say judaey ka bhi aan pohncha hai magar
main abhi pahlee mulaqat say bahir nahin geya

ao sooraj ko batatay hain k tamaazat keya hai
chand keya janay wo tu khud raat say bahir nahin geya

Youn to meri ankhon se usy piyar bohat hay lekin

Youn to meri ankhon se usy piyar bohat hay lekin,
Jab bhi jee chahay un main ashk saja deta hay.

Khud ko ganva kar, usay mene paya hay,
Iss baat ki bhi wo mujhko saza deta hay.

Wo jo ik shakhs mere dil p raaj kerta hay,
Kabhi hukum deta hay marny ka, Kabhi jeeny ki Dua deta hay.

Gila jo karun us sy, berukhi ka main...,
Khud Hansta hay, aur mujhko rula deta hay...

Popular Posts