Saturday, June 19, 2010

Rab Na karein ke yeh zindagi Kabhi kisi ko daga de


Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Tere phelu mein jo raatein gurajri 
Shab-e-mohtab mein nazrein utari

Tere phelu mein jo raatein gurajri 
Shab-e-mohtab mein nazrein utari

Hum bhi ruke hai us mod per
koi Humko sada de
Hum bhi ruke hai us mod per
koi Humko sada de

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de

Salamat rahe taki owau na lage
Teri hizjr mein koi sare raat jage

Salamat rahe taki owau na lage
Teri hizjr mein koi sare raat jage


chain se soye jaan meri 
Sukh vaade sa vade


chain se soye jaan meri 
Sukh vaade sa vade

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de


Kaise chukaun tere eshaan mein 
Rakh dun yeh gir bhi din -o- imaan mein 
Har saans meri naam tere 
rab mujhko kaza de

Har saans meri naam tere 
rab mujhko kaza de

Rab Na karein ke yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga de

Kisiko rulaye na dil ki laagi 
Maula sab ko dua de

pahale pahal to Khvaabon kaa dam bharane lagatii hain


pahale pahal to Khvaabon kaa dam bharane lagatii hain
phir aankhen palakon mein chhup kar rone lagatii hain

jaane tab kyon suuraj kii Khvaahish karate hain log
jab baarish mein sab diivaaren girane lagatii hain

tasviiron kaa rog bhii aaKhir kaisaa hotaa hai
tanhaaii mein baat karo to bolane lagatii hain

saahil se Takaraane vaalii vahashii maujen bhii
zindaa rahane kii Khvaahish mein marane lagatii hain

tum kyaa jaano lafzon ke aazaar kii shiddat ko
yaaden tak sochon kii aag mein jalane lagatii hain

hum ehl_e_dil mohabat par wo waqt be aye hein

hum ehl_e_dil mohabat par wo waqt be aye hein
khud qatal houey aur khud qaatil kehlaye hein

roye toh hein ruswai chup rehney pe dum tootey
phooloon ke iwaz hum ne wo zakham be khaye hein

apnoon ki mohabat ki itni si haqeeqat hai
jitna be galey miley utney hi paraye hein

iss daur mein bach kar be kahan jayein
jo aag barsatey hein wo apnoon ke hi saye hein!!

AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN


AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN

IK MUDAT SAY ZAMANAY MAIN BHATAKTAY HOWAY HUM
KHUD SAY GAR MIL HEE GAY HAIN TO KOWEE BAAT KARAIN
AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN

AAO SAPNO SAY SUNAIN APNEE KAHANEE DIL KEE
APNA IZHAAR KARAIN INN KEE ZUBANI DIL KEE
KHUD KAY DARYAFT JO KARNA HAY TO YOON KARTAY HAIN
DIL MAIN INN JALTAY CHARAGHON KAY ISHARAAT KARTAY HAIN

AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN
KHUD MAIN DOOBAY HOWAY LOGON KAY ISHARA TO KARAIN
AA HEE JAIN GAY CHALO INN KO PUKARA TO KARAIN
DIL MAIN LAHRATAY HOWAY ZAKHMON KAA CHARA TO KARAIN
DIN GUZARAIN KISEE KHUSHBOO MAIN
KISEE LAMS KEE RIM JHIM MAIN KAHEEN RAAT TO KARAIN

AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN
HUSN OR AMAN KAY LEAY MAYRAY SARAY LOGO
IKK NAEE DUNYA, NAY DIN KEE SHUROOAT KARAIN
AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN
AAO KHAWABON SAY MULAKAAT KARAIN

dukh dard k maro se mera zikar na karna

dukh dard k maro se mera zikar na karna
ghar jao to Yaro se mera zikar na karna

wo zabt na kar paen gay Ankho k samandar
tum gum guzaro se mera zikar na karna

pholon k Nasheman Main raha hon sada se
dekho kabhi gairoon se mera zikar na karna

shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai
ab chaand sitaro se mera zikar na karna

wo meri kahani ko ghalat rang na de day
afsana nigaro se mera zikar na karna

shayad wo mere haal pe be-sakhta roo de
is bar baharo se mera zikar na karna

le jaingay gehrai mai tum ko bhi baha kar
darya k kinaro se mera zikar na karna

wo shakhs mile tou ussay har baat batana
tum sirf isharo se mera zikar na karma

zalim tha wo aur zulm ki adat be bahot thi

zalim tha wo aur zulm ki adat be bahot thi
majboor the hum us se mohabat be bahot thi

us but ke sitam seh ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiyat mein bagawat bi bahot thi

wakif hi na tha ramz_e_mohabat se wo warna
dil ke liye thori se inayat be bahot thi

yoon hi nhin mashoor_e_zamana mera qatil
us shaks ko iss fun mein maharat bi bahot thi

kya daur_e_gazal tha ke lahoo dil mein bahot tha
aur dil ko lahoo karney ki fursat be bahot thi

har shaam suntatey the hasinoon ko gazal hum
jub maal bahot tha aur sakhawat be bahot thi

boolawa ke hum hum ajiz ko pashemaan bi bahot hein
kya kijiye kambakht ke shohrat be bahot thi!!

peshaaniyon pe likhe muqaddar nahiin mile


peshaaniyon pe likhe muqaddar nahiin mile
dastaar kahaan milenge jahaan sar nahiin mile

aavaaragii ko Duubate suuraj se rabt hai
maGrib ke baad ham bhii to ghar par nahiin mile

kal aa_iinon kaa jashn huaa thaa tamaam raat
andhe tamaash_biinon ko patthar nahiin mile

main chaahataa thaa Khud se mulaaqaat ho magar
aa_iine mere qad ke baraabar nahiin mile

pardes jaa rahe ho to sab dekhate chalo
mumkin hai vaapas aao to ye ghar nahiin mile

Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Teray Baad Bhi

Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Teray Baad Bhi 
Wohi Hoslay Maray Dam Ba Dam Teray Baad Bhi  

Taray Saath Bi Mari Her Jafa Mujha Mohtaber 
Taray Saray Ghum Mujha Mohtaram Teray Baad Bhi 

Taray Gham Se Hai Meri Har Khusi Main Waqar Sa 
Maray Haal Pay Hain Taray Karam Teray Baad Bhi  

Barhay Muztarib Maray Rastay Teray Baad Bhi 
Barhay Pur Sukoon Hain Maray Qadam Teray Baad Bhi 

Taray Saath Bi Mari Her Khusi Tari Muntazir 
Tari Muntazir Meri Chasam-A-Ghum Teray Baad Bhi  

Taray Saath Thi Mari Dastrus Main Jo Roshani 
Fakat Ek Pal Kabi Subha-A-Dum Teray Baad Bhi 

Tujha Jaan-A-Ghum Jo Kaha Kabi To Ghala Kaha 
Mari Zindgaii Ka Jawan Hain Ghum Teray Baad Bhi  

Tujhe Pass Ahad-e-Wafa Raha Maray Saath Kub? 
Mujha Jaan Se Bher Ker Tara Bharam Teray Baad Bhi 

Maray Baad Kitna Hee Roop Tu Na Badal Liye 
Main Wohi Hoon Abb Bi Tari Kasam Teray Baad Bhi  

Tu Kisi K Qalib-e-Aarzoo Main To Dhal Gaya ! 
Main Na Ho Saka Kabi Khud Main Zum Teray Baad Bhi 

Tari Aahatoon Ka Ghudaaz Tha Mara Hum Safar 
Yehi Ek Ghumaan Mara Hum Qadam Teray Baad Bhi  

Tu Chala Gaya Sabhi Qhaqahoon Ko Samait Ker 
Maray Pass Hai Mera Zurf-e-Ghum Teray Baad Bhi

hamein jis zameen par utaaraa gayaa hai kaheen


hamein 
jis zameen par utaaraa gayaa hai 
kaheen 
parvaton kee hai oonchaaee ismein 
kaheen 
vaadiyon-see hai neechaaee ismein 

yahaan se 
jo aakaash kaa faasalaa hai 
kaheen se hai chhotaa 
kaheen se barhaa hai 

kisee ke qadam-do-qadam par sitaare 
kisee ko 
sadaa yoon hee chalnaa parhaa hai 

issee door-o-nazdeek ke faasalon mein 

koee paa ke aakaash ko kho rahaa hai 
koee kho ke aakaash ko ro rahaa hai

Meri Nazar Say Kabhi Jo Eik Dafa Dehko

Meri Nazar Say Kabhi Jo Eik Dafa Dehko
Apne Liye Piyar Hi Piyar Chahat To Dehko

Tum Ko Sab Batane Mein Lage Gi Muddat Mujhay
Ho Sakay Tu Har Lamhay Ko Mehsoos Karkey To Dehko

Dhondti Hai Hartaraf Dil Ki Bayqarari Jessey
Aey Dil! Mein Ussay Kidhar Kidhar Ko Dehko

Hona Na Khabhi Tum Mujh Sey Juda..
Qabool Hote Huay Kash Meri Dua Ko Dehko

Nahi Chahyeh Apni Chahat Ka Koi Silah
Bas Teeri Nazar Main Apne App Ko Dekhon

akhiri baar jaane kyon maine


akhiri baar jaane kyon maine 
mud ke dekha tumhari aankhon men
ek lamha tha vo faqat lamha 
bheed men doobkar jo tanha tha 
sans bhi chup thi dhadkane bhi gum 
ek sannata sa tha chaya hua 
waqt ke belagam ghode ko 
maine bebas sa ruka paya tha 
kaash jo mere paas men hota 
waqt ke ghode ka makhsoos chabook
main yaqeenan us ek lamhe ko
itna dushwar na banane deti
tez gaam zindagi ki rahon men 
khushq patte sa hi uda deti

tu nahi to zindagi main aur kia reh jaye ga

tu nahi to zindagi main aur kia reh jaye ga
door tak tanhaiyoon ka silsala reh jaye ga

dard ki sari tahein aur sarey guzrey hadsey
sab dhowan hojayein gey ek waqiya reh jaye ga

yuou bhee hoga woh mujhey dil sey bhula dey ga magar
yeh bhee hoga khud ussi main ek khala reh jaye ga

dairey inkaar key iqraar ki sargoshiyaan 
yeh agar totey kabhi to fasla reh jaye ga

tu nahi to zindagi main aur kia reh jaye ga
door tak tanhaiyoon ka silsala reh jaye ga

Ghum bare aate hain qaatil kii nigaahon kii tarah

Ghum bare aate hain qaatil kii nigaahon kii tarah 
tum chhipaa lo mujhe, ae dost, gunaahon kii tarah 


apanii nazaron mein gunaahagaar na hote, kyon kar 
dil hii dushman hain muKhaalif ke gvaahon kii tarah 


har taraf ziist kii raahon me.in karii dhuup hai dost 
bas terii yaad ke saaye hain panaahon kii tarah 


jinake Khaatir kabhii ilzaam uThaaye, 'faakir' 
vo bhii pesh aaye hain insaaf ke shaahon kii tarah

phir wohi dard sa jagaa hai ragoon mein meri

phir wohi dard sa jagaa hai ragoon mein meri
phir wohi aah si nikli hai mere seeney say
phir wohi khawab say totey hein meri aankhoon mein
phir wohi dard ki talkhie hai meri batoon mein
phir wohi ashak say theray hein meri palkoon per
phir wohi raat si jeevan mein uttar ayi hai
aj phir wohi akhri manzar hai meri ankhoon mein
aj phir shaam dhaley mujhey tum yaad aye ho

kathan ha zindagi kitny safar dushwarh a kitna

kathan ha zindagi kitny 
safar dushwarh a kitna 
kabhi paon nahi chaltay 
kabhi rasta nahi milta 
hamara sath day pay 
koi aisa nahi milta 
fakat aisay guzaroon 
to yah roz o shab nahi kattay 
yah kat tay thay kabhi pahlay 
magar han ab nahi kat tay 
mujhay phir bhi meray malik 
koi shikvva nahi tuj sa 
ma her dukh jhail sakta hon 
agar to aj hi kar day 
mohabbat hum safar meri

Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay


Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay 
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay 

Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat 
Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay 

Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay 
Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay 

Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say 
koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay 

Jo waqt guzar jayee tho wapis nahi aata 
Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay 

Hum us kee justajoo main hua khud say be-ganay 
Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay

Ab jo bichry hain to ehsas huwa hay hum ko

Ab jo bichry hain to ehsas huwa hay hum ko
Dard kiya hota hay ruswai kise kehty hain
Char suu gunjti ruswai kise khety hain
Ab jo bichry…………………………….
Koi lamha ho teri yaad main kho jaty hain
Ab to khud ko b muyasar nahin aapaty hain
Raat ho din ho tere pyar main behty hain
Dard kiya hota hay tanhai kisi kehty hain
Ab jo bichry………………………………
Jo b gum aye use dil pe saha kerty hain
Ek wo tha hum mil k raha kerty thy
Ab akely hi zamany k sitam sehty hain
Dard kiya hota hay………………….
Ab jo bichry …………………………
Hum ne khud apny hi rahty main bichaye kanty
Gahr main phoolon ki jaga la k sajaye kanty
Zakhm is dil main basaye huwy khud rehty hain
Dard kya hota hay………………………….
Ab jo bichry…………………………………..
Yun to duniya ki har ik cheez haseen hoti hay
Pyar se barh ker mager kuch b nahin hoti hay
Rasta rok ker har ik cheez yeh hi kehti hay
Ab jo bichry hain to ehsas huwa hay hum ko
Dard kya hota hay tanhai kise kehty hain
Char su gunjti ruswai kise kehty hain
Ab jo bichry hain to ehsas huwa hay hum ko

Aahad-o-paman ka tum barham rakhna


Aahad-o-paman ka tum barham rakhna
Apna Dil mane mari Jagha rakhna 

Chand Chra zaroor latane ga 
Dil ka Darwaza Tum khula rakhna


Tum mja kis tarha Bulho ga 
Ayna Tum Apna robaro rakhna

Tatlyan yad ke na ur jayne 
Bund muthi ko is tarha rakhna

Qurbatne fasla na bun jayne 
Rur jagaa guman mane rakhna 

Multams houne amra khuda Tuj sa 
Muj par apna karm sada rakhna

wasal to aap ke anyat ha 
shab-a-farqat ka b maza chkna

ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe

ye mojazaa bhii muhabbat kabhii dikhaaye mujhe 
ki sang tujhape gire aur zaKhm aaye mujhe 

vo maharabaan hai to iqaraar kyun nahiin karataa 
vo badaguman hai to sau baar aazamaaye mujhe 

main apane paanv tale raundataa hun saaye ko 
badan meraa hii sahii dopahar na bhaaye mujhe 

main ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikalun
barahanaa shahar mein koii nazar na aaye mujhe 

vo meraa dost hai saare jahan ko hai maaluum 
daGaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe 

main apanii zaat mein niilaam ho rahaa hun 'Qateel'
Gam-e-hayaat se kah do Khariid laaye mujhe

Mera dil bohat udaas hai


Mera dil bohat udaas hai
yeh raatain bay sukooN haiN
yeh din bay aaraam haiN
Mujhay mohabbat ki piyaas hai
Mera dil bohat udaas hai

Go kay tu mujh say bichar gaya
Mera chayn bhi mujh say lay gaya
Na janay kyoon phir teri aas hai
Mera dil bohat udaas hai

Tujhay bholnay ki jab koshish kari 
Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari
yun laga tu kahiN aas pass hai
Mera dil bohat udaas hai

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
Salman yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai
Mera dil bohat udaas hai

ik tum ke dil mein dard kisii Gair ke liye

ik tum ke dil mein dard kisii Gair ke liye 
ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye

ham apane aashiyaane mein tere muntazir 
tum tinke chun rahe the kisii aur ke liye

ham jaanate hain dil mein tumhaare nahiin hain ham 
jo Khat tumhaarii aankhon mein the ham ne parh liye

Gam hai ke tuu ne luuT liyaa aitamaad ko 
ik daaG de diye hain hamen umr ke liye

qaatil kii is adaa pe bhii qurbaan jaaye 
Khud de ke zahar aankhon mein aansuu bhii bhar liye

thii kaun sii Khataa ke milii jis kii ye sazaa 
hamane to umr bhar tere nqash-e-qadam liye

ye maanaa bojh hai ab tujh pe zindagii 
par zindagii to terii nahiin hai tere liye

Piyaar hi who jazba hey jo sab key dil mey basta hey

Piyaar hi who jazba hey jo sab key dil mey basta hey 
Piyaar hi key dam sey insaan rotey rotey hansta hey, 

Piyaar hi apni kamzori, piyaar hi apni taaqat hey 
Piyaar hi her aik ki manzil ko janey wala rasta hey,  

Piyaar hi aayyashi hey, piyaar hi zaroorat hey 
Piyaar hi anmol hey sab sey, piyaar hi sab sey sasta hey,  

Piyaar kisi key jeeney ka maqsad, kisi key jeewan ka amrat hey 
Piyaar hi kisi ko naag ki manind, baar baar dasta hey,  

Piyaar hi who jazba hey jo sab key dil mey basta hey 
Piyaar hi key dam sey insaan rotey rotey hansta hey.

teray firaaq key lamhey shumaar kartey huwey

teray firaaq key lamhey shumaar kartey huwey
bikhar gaye heiN tera intizaar kartey huwey

to meiN bhi khush hooN us sey jaa key keh dena
agar wo khush hey mujhey beqaraar kartey huwey

meiN muskuraata huwa aai'ney meiN ubhrooN ga
wo ro parrey gi achaanak singhaar kartey huwey

tumhey khabar hi nahi hey key koi toot gaya
mohabbatoN ko bohat paaeydaar kartey huwey

wo keh rahi thi samandar nahi aaNkheN heiN
meiN un meiN doob gaya aetibaar kartey huwey

mujhey khabar thi key ab lot kar naa aa'ooN ga
so tujh ko yaad kiya dard paar kartey huwey

Hum bhi shikasta dil hein pareshan tum bhi ho

Hum bhi shikasta dil hein pareshan tum bhi ho
Ander se reza reza meri jaan tum bhi ho 

Hum bhi hein aik ujrey huwey sheher ki tarha
Aankhein bata rahee hein ke weeran tum bhi ho 

Darpaish hei hamein bhi kari dhoop ka safar
Saye ki aarzoo mein pareshan tum bhi ho 

Hum bhi khizan ki shaam ka aangan hain, be charaagh
Belein hein jis ki zard, wo daalan tum bhi ho 

Jaiesey kisi khayaal ka saya hein do wajood
Hum bhi agar qayas hein, imkaan tum bhi ho 

Mil jayein hum tau kaiesa suhaana safar katey
Ghayal hein hum bhi, sokhta saaman tum bhi ho

shehr kee raat aur maiN naashaad o naakaara phirooN

shehr kee raat aur maiN naashaad o naakaara phirooN
jagmagaati, jaagti saRkoN pe aavaara phirooN
Ghair kee basti he kab tak darbadar maaraa phirooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jhilmilaate qumqamon kee raah maiN zangeer see
raat ke haathoN maiN din kee mohni tasveer see
mere seene per magar dhakee huee shamsheer see
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

ye ropehlee chaaooN ye aakaash per taaroN ka jaal
jaise soofi ka tasavvur jaise aashiq ka Khyaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

phir voh toota ik sitaara phir voh chooti phuljhaRee
jaane kis kee god maiN ayee ye moti kee laRee
hook see seene maiN uTThee, *** see dil per paRee
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

raat hans hans kar ye kehtee he ke maiKhaane maiN chal
phir kisi shehnaaz lala ruKh ke kaashaane maiN chal
ye naheeN lekin to phir aye dost veeraane maiN chal
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

har taraf bikhree huee rangeeniyaaN, raanaayiaaN
har qadam per ishrataiN leti huee angRayiaaN
baRh rahee haiN god phelaae hue rusvaaiaaN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

raaste maiN ruk ke dam looN ye meri aadat naheeN
lout ka vapis chalaa jaaooN meri fitrat naheeN
aur koi hamnavaa mil jaye yeh qismat naheeN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

muntazir he aik toofaan e balaa mere liye
ab bhee jaane kitne darvaaze haiN vaa mere liye
per museebar he meraa ahd e vafaa mere liye
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jee maiN aata he ke ab ahd e vafaa bhee toR dooN
un ko paa saktaa hooN maiN ye aasraa bhee toR dooN
haaN munaasib he, ye zanjeer e havaa bhee toR dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

ik mehal kee aaR se niklaa voh peela mahtaab
jaise mulla kaa amaama jaise banye kee kitaab
jaise muflis kee javaani jaise bevaa ka shabaab
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

dil maiN ik sholaa bhaRak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
meraa paimaana chalak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
zaKhm seene kaa mahak uTThaa he aaKhir kyaa karooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

jee maiN aata he ye murdaa chand taare noch looN
is kinaare noch looN aur us kinaare noch looN
aik do ka zikr kyaa, saare ke saare noch looN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat dil kyaa karooN

muflisi aur ye mazaahir haiN nazar ke saamne
saiNkaRoN sultaan o jaabir haiN nazar ke saamne
saiNkaRoN changaiz o naadir haiN nazar ke saamne
aye Gham e dil kyaa karooN, aye vehshat e dil kyaa karooN

le ke ik changaiz ke haathoN se Khanjar toR dooN
taaj per us ke damaktaa he jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe maiN hee baRh kar toR dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

baRh ke is andar sabhaa ka saaz o samaaN phoonk dooN
is kaa gulshan phoonk dooN, us ka shabistaaN phoonk dooN
taKht e sultaaN kyaa, maiN saara qisr e sultaaN phooNk dooN
aye Gham e dil kyaa karooN aye vehshat e dil kyaa karooN

Toota jo aake lab pe, tera naam hi to hai


Toota jo aake lab pe, tera naam hi to hai
Dil mein bas aik khuahish-e-nakaam hi to hai

Pehla qadam hi aakhri hai, uth sake agar
Manzil yaqeen-e-ishq ki aik gaam hi to hai

Rehne do wapsi kay liye raasta khula
Woh bad nahi hai, aik zara badnaam hi to hai

Sabit karega kia koi ham par jafa ka jurm
Aik roz dhul hi jaayega ilzaam hi to hai

kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahiin

kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahiin 
Gam denaa maaluum hai lekin Gam kii davaa maaluum nahiin 

jin kii galii mein umr ganvaa dii jiivan bhar hairaan rahe 
paas bhii aake paas na aaye jaan ke bhii anjaan rahe 
kaun sii aaKhir kii thii hamane aisii Khataa maaluum nahiin 

ai mere paagal armaanon jhuuThe bandhan tor bhii do 
ai merii zaKhmii ummiidon dil kaa daaman chhor bhii do 
tum ko abhii is nagarii mein jiine kii sazaa maaluum nahiin

Maine to tumse pyar kiya tha


Maine to tumse pyar kiya tha, 
dil jaan apna tum pe nissar kiya tha, 
chorhogi na saath mera saari zindagi, 
wafa ka tumne bhi ikraar kiya tha, 
hamne to tumhari rahon par phool bichaye the, 
un rahon ke kaante apne haathon se uthaye the, 
magar ey-bewafa tune meri wafa ka kya sila diya, 
gair ki khatir mujhko dil se bhula diya, 
main koun hoon tumhara jo mujhe yaad karo tum, 
apne do aansoo bhi mujh par barbaad karo tum, 
khud ki naav to kinaare par laga li, 
mujhe beech manjhdhaar main hi **** diya, 
is dil main jo basa tha pyar tera, 
maine bhi us dil ko hi tod diya, 
jo gali tere ghar tak jaati thi, 
us gali se hi maine mooh morh liya, 
badnaam na ho jaaye tu dunia main kaheen , 
isliye tera naam lena hi **** diya, 
jab kabhi bhi yaad aayegi tumhari, 
samjhain ge kabhi tumhe chaha hi nahi, 
jab bhi tum rahon main nazar aayogi, 
sochainge tumhe dekha hi nahi 
tu jahaan bhi rahe sada khush rahe, 
tujhe dil se main bhula raha hoon, 
tere pyar ki jo haseen yaadain hain dil main, 
un yaadon ko louta raha hoon, 
tumhari bewafai ka kya charcha karoon, 
apni wafa pe sharma raha hoon, 
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi, 
main tumhari zindagi se ja raha hoon

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai

Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ho abhi la-zawaal honaa hai

Baja hai k khaar hain lakin bahar ki ruut mein
Ya taaa hai ab k hamain bhi nihaal hona haai

Tumhain khabar hi nahi tum tu laut jaao gaa
Tumhara hijar mein lamha bhi saal hona haai

Hamrai rooh per jab bhi azaab otrain gaay
Tumhari yad ko is dil ki dhal hona hai

Kabhi tu roy ga wo bhi kisi ki bahoon mein
Kabhi tu is ki hansi ko zawaal hona haai

Milain ge hum ko bhi apna naseeb ki khooshiyan
Bus intizar hai kab ya kamala hona haaai

Har aik shaks chala ga hamari rahoon peeer
Mohabataoon mein hamain wo misaal hona hai

Zamana jis k kham-o-pache mein oljh jaaaay
Hamari zaaat ko aisa sawaaal hona haai

Wasi yaqeen hai mujhy ko wo laut ay ga
Isi bhi apna kiya k malaaal honaaa hai

Diye Umeedon kay Bujha gaya hai koi

Diye Umeedon kay Bujha gaya hai koi
Andhery Zindagi mein Barha gaya hai koi

Lafzon ka Intikhab Kabhi itna Mushkil na tha
Sochoon par bhi Pehrry laga gaya hai koi

Dil kay Singhasan par Brajman hokar
Meri Zindagi par Hukoomat kar raha hai koi

Zeest ka safar itna Kathin na tha kabhi
Manzil kay Nishan bhi Mita gaya hai koi

Ujar rasty par Tooti Deewar kay Sayyee Tally
Pathrai Ankhon se Tera Intizar kar raha hai koi

gayay dino main khobsurat mijaz is ka tha

gayay dino main khobsurat mijaz is ka tha
mager kuch aur hi andaz aj is ka tha

main kya bataon kyun is nay bewafai ki
mager yehi k kuch aisa mizaj os ka tha

humay bhi dukh hay ay dil!zinda dil k marnay ka
kisi k pass mager kab ilaj is ka tha

tujhay gila hay k is nai pher leen ankhain
ay dil!yeh to sada se riwaj is ka tha

Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah

Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah

Mujhay Buss Itna Kehna Hai,Kabhi Main Yaad Aaon Tou

Kabhi Tanhai Ki Ratain Tumhen Ziyada Sataen Tou

Kabhi Titli Na Bolay Tou, Aur Jugnou Lout Jaye Tou 

Kabhi Jab Dil Bhi Bher Jaye,Koi Jab Sun Na Paye Tou

Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tum sey Routh Jain Tou 

Kabhi Jab Khud Sey Larr Kar Thakan Sey Chour Ho Jao Tou

Kabhi Chahtey Hoey Bhi Khud akelay Roo Na Pao Tou 

Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena

Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena 

Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena

Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana 

Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main 

Hamien Dil Sey Pukaro Gay,Tou Hamen Tum Saath Paao Gay 

Main Tumray Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah

Mujhye mat batana Ki tum ne mujhaye chorne ka iradah kiya tha


Mujhye mat batana
Ki tum ne mujhaye chorne ka iradah kiya tha
To kiyon
Aur kiss wajeh se
Abhi to tumhare bichrne ka dukh bhi kam nahin hua
Abhi to main
Baton ke,wadon ke shehr-e tilismaat men
Ankh par khush gumani ki patti liye
Tu ko peyron ke peeche,darakhton ke jhund
Aur deewar ki pusht par dhooondne men magan hon
Kahin par tumhaari sada aur kahin par tumhari mehak
Mujh par hansney men masroof hai
abhi tak tumhaari hansi se nabrad aazma hon
Aur iss jang men mera hathyaar
Apni wafa par bharosa hai aur kuch nahin
Issye kund karne ki koshish na karna
Mujhaye mat batana

Kuch is qadar bhi to asan nahin hai ishq tera


Kuch is qadar bhi to asan nahin hai ishq tera 
yeh zehar dil main utar kar hi raas ata hai 

main tujh ko pa kay bhi khoya hoa sa rehta hoon 
kabhi kabhi tu mujhay too nay theek smjha hai 

Mujhay khabar hai kay kia hai judaioon ka azab 
kay main nay shaakh say gul ko bichartay daikha hai 

main muskura bhi para hoon to kioon khafa hai yeh log 
kay bool toti hoi kabar par bhi khilta hia 

usay gunawa kay main zinda hoon is tarah 
kay jaisay taiz hawa main charagh jalta hai

Aajeeb Shaam khari hay Kahin Say Aajao


Aajeeb Shaam khari hay Kahin Say Aajao
Bari Uddas Ghari Hay Kahhin Say Aajao



Kissi Say Milna So Miltay Hi Pher BiChar Jana 
Saza Yai Itni Bari Hay Kahin Say Aajao 



Bohat Kathan Hay mEray Dost Hijer Ka MOsam 
Judai Bol Pari Hay Kahin Say Aajao 



Zamana Jiss Ko Samajhta Hay Motiyon ki Chamak 
Wo Aasoon Ki Ladi Hay KAhin Say Aajaoo

Mujhay acha sa lagta hai

Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai 
tumhie ko dekhte rehna 
tumhie ko chahte rehna 
tumhie ko soochte rehna 
tumhie ko sunte rehna 
Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai 



bohut gehray khayaloon mein 
jawaboon main sawaloon mein 
mobhabbat kai havaloon mein 
tumhara naam aaaa jana 
Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai 

tumhary sung sung chalna 
wafa ki agg mein jalna 
tumhey naraz kar dena 
kabhi khud rooth bhi jana 
Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai 

kabhi iqrar kar lena 
kabhi inkar kar dena 
kabhi aankhon se kuch kehna 
kabhi keh kar mukar jana 
Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai 

tumharai berukhi per bhi 
tumharai arzooo karna 
khud apne dil ki dharkan se 
tumharai guftagoo karna 
Mujhay acha sa lagta hai 
bohut acha sa lagta hai.

Kabhi Shikaston Ka Dukh Uthaye Tou Us Se Poochon


Kabhi Shikaston Ka Dukh Uthaye Tou Us Se Poochon
Wo Meri Manind Toote Jaye Tou Us Se Poochon


Usay Bhi Koi Sitara Manzil Se Door Ker De
Usay Bhi Rasta Nazer Na Aaye To Us Se Poochon


Safar Mai Wo Bhi Kisi Karay Imtihan Se Guzre
Usay Bhi Koi Aazmaye To Us Se Poochon


Usay Mohabbat mai Konsa Dukh Diya Maine
Kabhi Nazer Se Nazer Milaye To Us Se Poochon


Meri Tarah Din Charhay Talak Wo Bhi Sooye Saalik
Usay bhi Shab Bhar na Neend Aaye To Us Se Poochon...

meri muhobbat ho tum

meri muhobbat ho tum 
meri dil kii dhadkhan ho tum 
mera ishq ho tum 
mera junoon ho tum 
meri ankhein ho tum 
meri saans ho tum 
meri aawaz ho tum 
meri khushi ho tum 
meri saansoo kii mehak ho tum 
meri hontoon kii lali ho tum 
meri ankhoon ka kajal ho tum 
mera sub kuch ho tum 
or kya kaho tum sei 
meri zindagii ho tum

Kisi ko hum say hain chand shikway kisi ko beyhud shikayatain hain

Kisi ko hum say hain chand shikway kisi ko beyhud shikayatain hain 
hamarey hissey main sirf apni safaiyaan hain, wazahatain hain 

qadam qadam par badal rahey hain musaafiroun ki talab k raastey 
hawayoun jaisi mohabbatain hain, sadayoun jaisi rafaqatain hain 

kisi ka maqrooz main nahin par meray girebaan pay haath sub k 
koi meri chahatoun ka dushman kisi ko darkaar chahatain hain 

teri judaayi k kitney sooraj ufaq pay doobey magar abhi tuk 
khalish hay seenay main pehlay din si lahoo main wesi hi wehshatain hain 

meri muhabbat k raazdaan nay yeh keh k lautadia mera khat 
k bheegi bheegi see aansooun main tamaam gunjalak ibaaratain hain 

main doosroun ki khushi ki khaatir ghubaar bun kar bikhar gaya hoon 
magar kisi nay yeh huq naa maana k meri bhi kuch zarooratain hain

Main lafzoo Mean kuch Bhi Izhar Nahi Karta

Main lafzoo Mean kuch Bhi Izhar Nahi Karta
iss ka Matlab yea nahi ke Mean tuje Se pyar nahi Karta


Chahata hoo Mean tuje Ajj Bhi Par 
Teri Soch Mean Waqt Apna barbaad Nahi Karta


Tamashah Na Baan Jaye Kahin Muhabbat Meri 
Iss Liye Apney Dard Ko Namoodar Nahi Karta


Jo Kuch Mila Hai Usi Mean Khush Hoo Mean
Tere Liye Khuda Se Taqrar Nahi Karta


Per Koi To baat Hai Teri Fitrat Main Zalim 
Warna Mean tuje Chahane Ki Khata Baar Baar Nahi Karta

Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin

Aashna hotay hue bhi aashna koi nahin,
jantay sab hain mujhai pehchanta koi nahin,

hum nai kudh sai peda keye hain zindagi main maslay,
werna sachi baat yeh hai masla koi nahin,

khudkashi bhi jurm hai aur mai kashi bhi jurm,
kaun kis mushkil main hai yeh diekhta koi nahin,

mukhtaser lafzoon main hai yeh aab mizaj-e-dosti,
rabta bai shak hai sab sai wasta koi nahin.

Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak

Humein khabar hi nahin kuchh tumhare aane tak
ke dil ko chain na aaye ga ik zamane tak 

jo hum yaqeen bhi kerlein tumhare wadon ka
jiye ga kaun tumhare palat kay aane tak 

gumaan bhi nahin hota hai sun-ne walon ko
ke waqia hi badal jaata hai sunane tak 

guzar gai hay isi darmiyan saari umar
swaal kerne se le ker jawab aane tak 

har ik chaal agarche buhat hi mushkil thi
mein aa chuki hoon magar jeetney ke khaney tak 

tumhein kuchh unkay dilon ki khabar bhi hai ke nahin
pahunch sake na parindey jo ashiyane tak 

har ik mehaz pe hara hi hay mera dushman
thaher saka hi nahin aakhri nishane tak 

mujhe ye dar hai ke "abii" mere munafiq dost
samet den na meri dastan fasane tak

Ulfat mei kisi ko yun sataya nahin karte

Ulfat mei kisi ko yun sataya nahin karte
Rayij Shub e Furqat bhi mittaya nahin karte

Mana ke Ghum w ranj to deti hai Mohabbat
Naalay bhi magar Lub per tu laya nahin karte

Eik waqat muqqarar hai Duaaon mei asar ka 
Be waqat kabhi haath uthaaya nahin karte

Badnaam zamanay mei wahi Ashaaq huwe hain
Wada jo Mohabbat mei nibhaya nahin karte

Kehne ko shub e ghum bhi guzar jaye gi
Toofan shub furqat mei uthaya nahin karte

tere pyaar mein rusavaa hokar jaaye kahan diivaane log

tere pyaar mein rusavaa hokar jaaye kahan diivaane log 
jaane kyaa kyaa puuchh rahen hain ye jaane pahachaane log 

jaise tumhen hamane chaahaa thaa kaun bhalaa yun chaahegaa 
maanaa aur bahut aayenge tum se pyaar jataane log 

kaise dukhon ke mausam aaye kaisii aag lagii yaaro 
ab saharaaon se laate hain phuulon ke nazaraane log 

kal maatam beqiimat hogaa aaj inakii tauqiir karo 
dekho Khuun-e-jigar se kyaa kyaa likhate hain afasaane log 


jaanate hain ye ishq musalasal rog hai aah-o-zaarii kaa 
phir bhii usake kuuche mein jaate hain umr gavaane log

Azeem hain yeh qurbaat ki doorian bhi

Azeem hain yeh qurbaat ki doorian bhi 
Saath reh kar bhi us ko na pana kaisa lagta hai 
Qismat mein nahi phir bhi us ko chahte hai 
Phool samajh kar kantoon per chalna kaisa lagta hai 

Aab too mehfil mein bhi hamare liye tanhaai hai 
Gaam chupa kar mehfil ko sajana kaise lagta hai 
Mehfil mein dosron se hans hans kar milte hain 
Tanhaai mein gaam k aanso bahana kaisa lagta hai 

Samajhne par bhi samajhta nahi hai yeh dil 
Us ki yaad mein raaton ko jaagna kaisa lagta hai 
Us ki berukhi ne itne diye hai zakhm k 
Zakhm kha kar bhi muskurana kaisa lagta hai 

Jab woh hans hans kar baat karen dosroon se 
Tab aapne aanson ko chupana kaisa lagta hai 
Us sey kho kar too mere pass raha kuch bhi ahi 
Phir bhi khud ko ameer batana kaise lagta hai 

Khud ko anmol samajhne ka tha bara ghumand 
Phir bhi baymool bik jana kaisa lagta hai 
Khaye hai dhokey mohabbat mein itne kay 
Phir bhi is ko chahana kaisa lagta hai 

Maloom hai is deewane ki manzil nahi hai koi 
Phir bhi safar karte rehna kaise lagta hai 
Woh too aa kar bhi kab kay jaa chukay hain 
Phir bhi is ka intezaar karte rehna kaisa lagta hain..

Aisa kyon hay Keh ab insan bhi Samjhte nahin


Aisa kyon hay
Keh ab insan bhi
Samjhte nahin
Ik doojay ki kahi
Aisa kyon hay
Baat Sun kar bhi
Samjhte nahin
Sun kar bhi unsuni
Aisa kyon hay
Dukh dekh kar bhi
Samjhte nahin
Madawa kartay nahi
Aisa kyon hay
Har insan nay
Gird apnay hi
Ik deewar chun li
Aisa kyon hay
Koi awaz sunta nahin
Koi bahir dekhta nahin
Koi sochta nahin
Aisa kyon hay
Kay hamaray dilon mein
Apnay siwa kisi kay liye
Koi dard nahin
Koi aas nahin
Aisa kyon hay
Kay hamari soch ka
Markaz ham hi
Aur koi fikar nahi
Aisa kyon hay
Apni awaz sunta har koi
Apni baat samjhta har koi
Apni fikar karta har koi
Aisa kyon hay
Sab ghalt hein
Dirf mein sahi
Sirf mein khara
Khota har koi
Aisa kyon hay 

Mere wajood ki mujh mein talash chor gaya

Mere wajood ki mujh mein talash chor gaya
Jo poori na ho kabhi aaisa aas chor gaya

Woh chahtoon ki talab maan ki pyaas chor gaya
Mujhe bana ke woh ek zinda laash chor gaya

Yahi karam nawazii us ki mujh pe kaam hai kiya
K khud too door hai yaadein too paas chor gaya

Jo khawishen thi kabhi HASRATOON mein dhaal gayein aab
Mere LABOON mein woh ek lafz KAASH chor gaya

Yeh mera zarf hai ek rooz us ne mujh se kaha
Ke Aam logoon mein ek tujh ko khaas chor gaya

Baharoon se mujhe isi liye too NAFRAAT hai
inhi routoon mein mujhe woh UDAAS chor gaya

Mere deewane dil ko woh farat itna keh kar ......
Hai AASHIQUI ka safar kis koo RAAS chor gaya..

Popular Posts