Saturday, November 17, 2012

suno iltija hai itni

suno iltija hai itni
jab meri sansain
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass
aisay lamhay tum aajana ik
lamhay kay liye hi per dua kay liye
hath uthana meri sard
paishani pay apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mairay jinazay ko kandha daina
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhare hathoon  ka
 lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga

sara zamana tha us k janazay mein shareek



sara zamana tha us kay janazay mein shareek
wo ek shaks jo tanhai k khouf se mar gaya

kabhi iss dard se guzro to ye maloom ho tum ko



kabhi iss dard se guzro to ye maloom ho tum ko
mohabbat wo balaa hai jo dilon ka khoon peeti hai

kash k wo lout aaye mujh se ye kehne


kash k wo lout aaye mujh se ye kehne
k tum kon hote ho mujh se bicharne wale

zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se




zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se
dil zid kar raha tha mujhe mohabbat chahiye

Suna Hai Ishq Se Teri Bohat Banti Hai


Suna Hai Ishq Se Teri Bohat Banti Hai
Ek Ehsan Kar Us Say  Pooch Qasoor  Mera

Khamosh reh Tanha beth Roo Or Yaad kar us ko


Khamosh reh Tanha beth Roo Or Yaad kar us ko
Tune Ishq kia hai Gunah chota nahi hai Tera

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle


Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle

Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk





Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk
Her Baat La-Jawaab Thi Agar Bewafa Na Hota

Ye Adaaien Ye Tabassum Ye Mast Nigaahein



Ye Adaaien Ye Tabassum Ye Mast Nigaahein...!
Hijab Orho Kay hum Phir Se Ujar Naa Jaein Kahin

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus


Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz


Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata,

Mekhana Bhi Ussi Ka Tha, Mehkaar Bhi Ussi Ka Tha,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To Sanam Jaata,

Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par,
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata,

Mere Gham Ki Dawa Na Thi Siwaye Yaar Ke Koochay Ke
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To Kidhar Jata.

Abhi Masroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mein Sochon Ga


Abhi Masroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mein Sochon Ga
K Tuj Ko Yaad Rakhne Mein Main Kya Kya Bhol Jata Hoon…!

Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon


Wo Kehta Hai Bata Tera Dard Kaise Samjhoon
Main ne Kaha Ishq Kar Bohat Kar Aur Kar K Haar Jaa

Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko




Chor ye baat milay zakham kahan se mujhko
Zindagi itna bata kitna safar baqi hai

Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri


Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri
Jo hansta raha auro ka saath deyta raha har baat par meri


Ek taraf tou Lipta raha wujood say merey
Dusri taraf Dushmano ko deyta raha Fouqiat har baat par meri


Merey liyey na sahi kuch logo k dar say he KARAM kiya
Ehsan tha tumhara YA ikhtiyar tha sirf us saa at par Meri


Thaam na saka jo meri MUHABBAT ko apney mazboot kaandho par
Janey kyu jacha raha wo BEYWAFA ab tak nigah par Meri


us BEYWAFA ki khatir kiya khud ko BARBAAD
Bey naam -o- nishaan kar gaya jo wujood Zindagi par Meri

uski nazar mein meri tabahi k wastey


uski nazar mein meri tabahi k wastey
itna kholoos tha k shekayat na hoo saki

Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par


Tufaan ki lehro ruk Jao Na le Jao Mujh ko Saahil par
Kashti ki Qasam,Mojon ki Qasam,Saahil pe Hamara koi nahi

jurm sirf ishq tha




jurm sirf ishq tha....???
to saza-e-mout detay
ye tanhai kyun?

ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam


ye dil hi to janta hai meri mohabbat ka aalam
k mujhe jeenay k liye saanson ki nahi teri zarorat hai

Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka


Ehsas to bohat hai usko meri chahat ka
wo tarpaata hai issliye k main aur bhi toot kar chahoon usko

be-qarari meri dekhi hai to ab mera zabt bhi dekhna


be-qarari meri dekhi hai to ab mera zabt bhi dekhna
itna khamosh rahoon ga k cheekh utho gay tum

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai



Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf iss liye nahi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...

Aaj usne aik aur dard diya to yaad aaya



Aaj usne aik aur dard diya to yaad aaya
Humne bhi to duaaon mein uske dard maangay thay

Phir nahi Bastey wo Dil jo Ek Baar ujar jatey hain



Phir nahi Bastey wo Dil jo Ek Baar ujar jatey hain
Qabrein jitni bhi Sajao, koi zinda nahi hota

Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum


Dilon mein fark par jaye to itna yaad rakhna tum
Daleelain, minnatain or falsafay bekaar jatay hain

Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi



Usko chaha to mohabbat ki takleef samajh aayi..
warna is lafz ki sirf tareef suna karte they....!!

Is duniya k log bhi kitne ajeeb hain



Is duniya k log bhi kitne ajeeb hain..!!
saarey khilone chor kar jazbaat se khela karte hain..!!!

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi

Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi
Itni Sangdili Se Barbaad Koi Ghair Nahi Karta

Kitni ajeeb hai iss shehr ki tanhai bhi

Kitni ajeeb hai iss shehr ki tanhai bhi
  Hazaron log hain magar phir bhi koi tum sa nahi

Karo phir Se koi Waada



Karo phir Se koi Waada Kabhi na phir bicharne ka,
Tumhein kya fark parta hai bicharne mein, Mukarney mein.

Aik naqsh bhi idhar se udhar na honey paaya

Aik naqsh bhi idhar se udhar na honey paaya
Main jaisa tumhien mila tha,mujhe waisa khud se juda kar

Ye Sab Rastay K Sathi thay



Ye Sab Rastay K Sathi thay inhein Aakhir Bicharna tha
Chalo Ab Ghar Chalen jana Bohat Aawargi Kar Li

Hum log zameen kay rehnay walay



Hum log zameen kay rehnay walay
phirty rahay asmaan sambhalay

aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay

sahir se bicharr gaye musafir
 darya main hain kashtiyon k halay

 ik bheed hai dostoon ki laikin
tanhai ny bun diye hain jalay

hum mujrim e raftaan e shab thy
tasdeeq na kar saky ujalay

duniya tjhy chortay hain hum bhi
ja tu bhi ab apna raasta lay

 soraj hai zameen pe girnay wala
mumkin ho to saye ko bacha lay

 mushkil hai Saleem ghar basana
diwar ka kya hai jo utha lay

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
to kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?

na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
 ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain

tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain

bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain

bayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain

abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain

abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain

Bhar Aayi Meri Aankhen Jab Uska Naam Aaya

Bhar Aayi Meri Aankhen Jab Uska Naam Aaya
Ishq Nakam Sahi Phir Bhi Bohat Kaam Aaya…

Humne Mohabbat Me Aisi Bhi Guzaari Raatein
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Na Aaraam Aaya……

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Main Ne

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Main Ne
Apni In Ankhon Ko Tere Khwaab Ka Laalach De Ker…

Ajeeb Saneha Mujh Par Guzarne Wala Tha

Ajeeb Saneha Mujh Par Guzarne Wala Tha
Main Gir Ke  Kal Raaat Marne Wala Tha

Tum Aagaye Chalo Acha Hua Yaqeen Karo
Abhi Abhi Main Tumhe Yaad Karne Wala Tha

aaj Kuch Waqt K Liye Pas Mere Kash Tum aa Jao



aaj Kuch Waqt K Liye Pas Mere Kash Tum aa Jao
Bohat Tanha Hoon Main Aj Kash Tum aa Jao

Kabi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Mainay
Par aaj Bikhar Gaya Hon Main Kash Tum aa Jao

Kaafi Din Say Ji Raha Hon Bin Teray
aaj nahi Guzar Raha Ek Pal Kash Tum aa Jao

Waqt Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gayi Hai
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum aa Jao

Raat Sari Guzarti Hai Inhi Hisaabon Mein



Raat Sari Guzarti Hai Inhi Hisaabon Mein…
Mohabbat Thi… Nahi Thi…? Hai…. Nahi Hai…

Do hi lafzon ka tha woh afsana



Do hi lafzon ka tha woh afsana Jo suna kr khamosh ho bethay
GALIB..!
Ibteda ye k tum ko chaha tha Inteha ye k khud ko kho bethay

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein

Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein
Kahan alfaaaz ka wazan kahan mere yaaar ka husssn

Dil ko ab tark e tamanna pe karain ge raazi

Dil ko ab tark e tamanna pe karain ge raazi
Ye shab o roaz mohabbat k sitam kon sahey

Khuda Rakhe Mohabbat Ke Liye Aabaad Dono Ghar

Khuda Rakhe Mohabbat Ke Liye Aabaad Dono Ghar
Main Unke Dil Main Rahta Hoon woh Mere Dil Main Rahte Hain

ab milo to ahd e guzashta k taqaze na karna



ab milo to ahd e guzashta k taqaze na karna
waqt badla hai wo bhi zaroor badla ho ga

ye meri anaa ki shikast hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

ye meri anaa ki shikast hai
na dawa karo na dua karo
jo karo tu bas ye karam karo
mujhe merey haal pe chor do
wo jo aik tarkash-e waqt hay
abhi us main teer bohat sey hain
koi teer tum ko na aa lagey,
merey zakhm-e dill pe na yoon hanso
na main kohkan hoon na Qais hon
mujhe apni jaan aziz hai
mujhe tark-e ishq qobool hay,
jo tumhain yaqeen-e wafa na ho
jo tumhaarey dil main shokook hain
too ye eh'hadd name fozool hain
jo merey khotoot hain phaar do,
ye tumhaari khat hain samait lo
jo kisi ko koi sataay ga
too gila bhi hontoo.n pe aay ga
ye too ik asool ki baat hai
jo khafa hai mujh sey koi too hoo
mujhe abb sadaoo.n sey kaam hai
mujhe khaal-o khad ki khaber nahi
too phir is farib sey
faida ye naqaab abb too utaar do
mujhe apney fuq'r pe naaz hai
mujhe is karam ki talab nahi
main gada nahi hon faqeer hon
ye karam gadaoo.n main bant do
ye faqat tumhaarey sawal ka
mera mukhtasar sa jawaab hai
ye gila nahi hai kholoos hai
meri guftugu ka asar na loo
ye udh'horey chand ki chandni bhi
undh'hairi raat main kum nahi
kahi ye bhi saath na chor dey
abhi roshni hai chaley chalo


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ *~*

Mere wajood main sachai meri maan ki hai

Mere wajood main sachai meri maan ki hai
wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai

safr main lamha e awargi bhi shart sahi
thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai

samandaroon main jazeeray panah detay hain
magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai

bala ka habs ragoon main utr gaya ab k
na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai

suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab
zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai

na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni
to phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai

khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem
bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai

Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya

Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya
jab mohabbatain ki hai phir koi gawahi kya

hum rutooN k mujrim hain per hawa ki nazroon main
teri parsai kya meri be-gunahi kya

wasl ka koi lamha raiygaaN nahin laikin
jo alag na karta ho aisa rastaa hi kya

tum to aankh walay thay aks mil gaya hoga
main sada ka be-chehra mera aaina hi kya

shab guzeedah logoN ko neend se ulajhna hai
raat ki musafat main razme subh gahi kya

janay kab bigar jaiN janay kab sanwar jaiN
dast e kozah gar main hain apna aasraa hi kya

tum Saleem shair ho shoratooN pe mat jao
masnade faqeeri per khabt e baadshahi kya

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari

Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari
neend main dagmagaty huway saye khwaboN main chlny lagy aur hawa chal pari

chand se aik bichri kirn baam o dar ki udaasi pe ik naam likhti rahi
raat bhr khirkiyaaN band karky yunhi loog sooty rahay aur hawa chal pari

koi aahat huwi, aany waly musafir ko dekha nahi, dhool urnay lagi
deep phailay huway rastooN per abhi to jalay bhi na thy aur hawa chal pari

ab k badal bhari bastiyooN ki hadooN se guzrty huway janay kya keh gaye
shaak dar shaakh bethay parinday bhi ghar chooR kr uR gaye aur hawa chal pari

door jaty mawaishi galay main paRi ghantiyooN ki sadaaoN pe hansty rahay
us purani haveli main jaga koi, wo dareechay khulay aur hawa chal pari

meray khaitooN main sona ugalti huwiiN saari faslain teh e khaak jalnay lagi
barishooN ki dua maangny k liye hath uThay hi thy aur hawa chal pari

jany kya baat thi hum kitabooN k safhay ultay rahay, habs barhta raha
phir achanak kisi naam per be-iradah hi lab rakh diye aur hawa chal pari

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga

to taye howa na, is gali k more tak to sath hain
per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga

udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga

jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye
khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga

wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka
kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga

tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga

sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga

Popular Posts