Saturday, November 17, 2012

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus


Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

No comments:

Popular Posts