Saturday, November 17, 2012

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
to kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?

na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
 ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain

tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain

bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain

bayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain

abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain

abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain

No comments:

Popular Posts