Saturday, November 17, 2012

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai



Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf iss liye nahi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...

No comments:

Popular Posts