Saturday, July 3, 2010

kis ne kaha tujhe k anjaan

Zindagi jaisay aik saza ho gai hai



Zindagi jaisay aik saza ho gai hai
Dektay dekhtay kia se kia ho gai hai

Jab se choora hai touney meray dil ka nagar
Dhoul se haar gali ashna ho gai hai

Sar khushi ki kayfiyat tari rehti thi haar dam
wo bhi hum se na janay kahan kho gai hai

Tou jo rootha hay mujh se too yeh to bata
meri kia thi khata jo saza ho gai hai

Meray lafzoon ki taqat na teray lehjay ki chahat
lagta hay har sada be sada ho gai hai

Main ny guzar din judai ki sabi ghrian


Main ny guzar din judai ki sabi ghrian
Mujy beperwai teri rass buht aii

Jub sy to badla hae tamana nai rahi khushion ki
Phr b rat akelay main teri yaad buht aii

Pather si ho gai hon ,thum k rah gai hon
Aub to aa ja nindiya kah rat buht aii

Aik kiamat muj py toti thi , tofan bhi zor sy aya tha
Us roz arssh pr kali ghata buht aii

Wo apna nai raha to kia howa pr usy dekhny k bad
Teri weran ankhon main chamak phr sy lot aii

phir yeh garee hai aaey teri yaad lot aae


phir yeh garee hai aaey teri yaad lot aae
sawan jo ab hai barsa tum bohat yaad aaey

barish na thee yeh barsee sub ashk thay yeh meray
aansoo hai jub yeh tupka tum bohat yaad aaey

barish mein woh nikelna kuproon ka bheeg jana
bheegay hein abjo kaprey tumbohat yaad aaey

barish mein waqat kaisey woh par laga kay urta
aab waqat hai jo thehra tum bohat yaad aaey

tum sath thay jo meray aikbar mein na roee
teray baad mein jo roee tum bohat yaaad aaey

lot aayakaisey wapas aik bar woh aachanak
mein tub bhee keh na paee kum bohat yaad aaey

main lafzioon may kuch bhi izhaar nahi kartaa


main lafzioon may kuch bhi izhaar nahi kartaa
is ka matlab ye nahi k main tujhay pyar nahi karta

chahta hoon main tujhay ajj bhi par
teri soch may apnaa waqt be-kar nahi karta

tamasha na ban jay kahin muhabat meri
is liay apnay dard ko namoudar nahi karta

jo kuch mila hai usi pay khush hoon main
teray liay khuda say taqrar nahi karta

par kuch too baat hai teri fitrat may meray dost
warna tujhay chahnay ki khata bar bar nahi karta

A Dil-e-Bekhabar Jo Hawa Ja Chuki Abb Nahi aay Gi


A Dil-e-Bekhabar
Jo Hawa Ja Chuki Abb Nahi aay Gi
Jo Shajer Toot Jata Hai Phelta Nahi
Wapsi Mosaamon Ka Muqadar To Hai
Jo Saman Beat Jay, Palatta Nahi
Jane Wale Nahi Loatte Ummer Bhar
Abb Kisse Dhoondta Hai Sar-e-Rah Guzar!
A Dil-e-Kaamnazar, A Mere Bekhabar, A Mere Humsafar, A Dil-e-Behunar
Garam Sanson Ki Woo Khushbooain, Bhool Ja
Woo Chakehti Hui Dharkanein, Bhool Ja
Bhool Ja Naram Honton Ki Shadabian
Haraf-e-Iqrar Ki Lazatein Bhool Ja
Bhool Ja Woo Hawa, Bhool Ha Woo Nagar
Kon Jane Kahan Roshni Kho Gai
Lut Gaya Kahan Karwan-e-Sahar!
Abb Kahan Gesuon Ke Woo saay, Kahan
Isski Ahat Se Chamakte Huat Baam-o-Dar, A Dil-e-Bebasar
Rang-e-Asudgi Ke Tamashe Kahan
Jhatpata Hai Yahan Rah Guzar, Rah guzar!
Woo To Khushboo Tha Aglay Nagar Ja Chuka
Abb Kisse Dhoondta Hai Are Bekhabar
Jane Wale Nahi Loatte Ummer Bhar
A Dil-e-Kam Nazar, A Mere Charagar, A Mere Humsafar

paas itna kyon mere aa rahe ho


paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho

manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho

thak gayin hoon mai zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur barhaa rahe ho

andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho

tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho

uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho

ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho

ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho

rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho

mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho

uss k asal chahray ko benekaab dekha hae


uss k asal chahray ko benekaab dekha hae
khudd farebi kehti hae maen nay uss k asal chahray ko benekaab dekha hae
khudd farebi kehti hae maen nay khawaab dekha hae

aagahi ka lamnoon nain dil ka khoon kar dala
iss bahaar ki rut maen kiya azaab dekha hae

woh badal gyaa hae jo ho gi uss ki majboori
verna pyaar bhi usska behisaab dekha hae

zindgi ko socha hae jab bhi iss hawaley say
khaar khaar tehni pay ik gulaab dekha hae

dusht e hijar maen ae dil uss k kurb ka lamha
rutjagoon k aalam maen koi khawab dekha haekhawaab dekha hae

aagahi ka lamnoon nain dil ka khoon kar dala
iss bahaar ki rut maen kiya azaab dekha hae

woh badal gyaa hae jo ho gi uss ki majboori
verna pyaar bhi usska behisaab dekha hae

zindgi ko socha hae jab bhi iss hawaley say
khaar khaar tehni pay ik gulaab dekha hae

dusht e hijar maen ae dil uss k kurb ka lamha
rutjagoon k aalam maen koi khawab dekha hae

Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai


Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai
chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai

hame.n salaam karo ai havaadis-e-dauraa.N
tumhaare saath hai.n phir bhii qaraar baaqii hai

guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa
raah-e-yaqiin pe ab bhii Gubaar baaqii hai

hame.n pukaar lo jab chaaho ham mile.nge vahii.n
mile hai.n Khaak me.n lekin vaqaar baaqii hai

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya


Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Baher k musam andar assar nahi kartay


Baher k musam andar assar nahi kartay
DIL ho paresha tou zikar nahi kartay

lakh pochain dunya walay humain
kya batain jub appni khabar nahi rakhtay

zindage kab tak satay abb dosti kar lay
akher ko zindagi is terha basar nahi kartay

haan yaqeen hai har dukh par kuch milay ga sellah
najanay phir bhikyun sabar nahi kartay

Arzouoon Main Tarasha Hua Hai Ik Sapna


Arzouoon Main Tarasha Hua Hai Ik Sapna

Kabse Is Dil Main Chupaya Hua Hai Ik Sapna

Koi Shabnam Se Dhula Surkh Poshak Dhala

Khushboein Leke Haseen Dil Ho Ger Phool Khila

Unki Zulfoon Main Laagaya Hua Hai Ik Sapna

Unse Khuch Deer Agar Kash Miljay Nazar

Unko Dikhlana Hai Unki Tasveer Jidhar

Apni Aankhoon Main Basaya Hua Hai Ik Sapna

Chand Ratoon Main Milein Dil Ki Her Baat Kahein

Chihra Hathoon Main Liye Who Sharam Se Simten

jab zindagi k safar main saharon k taqub main


jab zindagi k safar main,
saharon k taqub main,
chalte chalte hum thak jate hain
aur manzil bhatak jate hain
to aise kamzor lamhon main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi sahara bante hain,
aur jab chahat k samunder main,
hum raahein dhoondtein hain,
magher hum apna app bhi kho dete hain
aur jab yaas se dobny lagte hain
to aise bebas lamhoo main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi kinara bante hain,
aur jab dil ki chardiwari main,
muqeed dukh dard ko khamoshi se seh ker,
man panchi ghutan mehsoos kerta hai,
khushi-o-roshni ki aas kerta hai,
to aise sarab lamhon main,
khwaab dilasa dete hain,
yahi darwaza bante hain,
aur jab pyar ki bazi main,
hum apna sab kuch kho dete hain,
aur khali hath-o-nigahon se,
zeesth guzarni parthi hai,
to aise mayoos lamhon main,
khwaab dilasa dete hain
yahi asasa bente hain

Woh muj se door bohat door jana chahta tah


Woh muj se door bohat door jana chahta tah,
Woh mujhe bhool,bilkul bhool jana chatha tah,
Soo may nay ussay bahanay dai diya,
kiyon kay wo waqai jana chatha tah,
Bulandi ke safer,
may saat na dai sakon ghi,
ye toa ada thi talnay ki,
werna toa wo sata ka safer bi,
tunha kerna chatha tah
May us se bohat kuch chupanay lagi hon,
ye ussay shikayat thi,
Wohi sitam zareef ye kah ker khud ko muj se chupana chatha tah,

MAIN NAY DEKHA AIK SITARA SAB SAY TANHA REHTA THA


MAIN NAY DEKHA AIK SITARA SAB SAY TANHA REHTA THA
MUJH KO AISAY TAKTA THA JAISAY MUJH SAY KUCH KEHTA THA

TAROON BHARI IS DUNIYA MAIN SHAYAD US NAY BHI KUCH KHOYA THA
HUNSTA THA NA KHAILTA THA BUS GHABRAYA SA REHTA THA

US KA BHI IK JISM THA SHAYAD AUR SHAYAD IK ROOH BHI THI
SHAYAD US KAY SENAY MAIN IK DIL BHI DHARAKTA REHTA THA

US KAY NANEY SAY DIL MAIN SHAYAD BOHAT ARMAN BHI TAHY
ISI LIA WOH DIN BHAR SHAYAD CHUPA CHUPA SA REHTA THA

DIL BHI THA ARMAN BHI THAY AUR SHAYAD US KAY KHUWAB BHI THAY
ISI LIYA WOH JAB BHI DEKHO SHAYAD KUCH SOCHTA REHTA THA

ARMAN BHI THAY KHUWAB BHI THAY TU SHAYAD KUCH ANJAM BHI THAY
AUR ANJAAM KAI KHAUF SAY SHAYAD WOH KUCH DARA DARA SA REHTA THA

US KAY DIL PER CHOT BHI THI AUR WOH SHAYAD KUCH ZAKHMI THA
ISI LIA TU SHAYAD KHUD MAIN BANTA TOTATA REHTA THA

USKO TANHAI BHI SHAYAD BOHAT ZIADA DASTI THI
ISI LIYA TAROON KA SANJAM SHAYAD DHONDTA REHTA THA

WOH BAHIR SAY ROSHAN THA ANDER SAY TU ZAKHMI THA
BOHAT DHUKI THA YA PIR SHAYAD DUUR SAY AISA LAGTA THA

Hoti hai azeem yun too her eek MAA


Hoti hai azeem yun too her eek MAA
Meri MAA kay jasi nahin koi MAA
Han in ki duaayn too main shaad hon
Koi in kay jasa duniya main hai kahan
In kay hi paak qadmoon main jannat meri
Bhatakta phiroon kiun main sara jahan
Hai likhnay ko main nay uthaya qallam
Magar in ki shafqat ho kasay biyaan
Meri piyari MAA, meri piyari MAA
Main tujh pay qurban main tujh pay qurban

Ub bhi hamain woh ghataain yaad ati hain


Ub bhi hamain woh ghataain yaad ati hain
Dharti maan ki woh sadaain yaad ati hain

Woh rataain jo is pak sarzameen per guzrin
unhi raaton ki thandi hawaain yaad ati hain

Ghar se dur main kisi aur dees betha hun
Apney watan ki mo-attar fazaain yaad ati hain

Woh jin ko piyaar hai is ghareeb-ul-watani se
Un ko bhi aksar apni maain yaad ati hain

Wahan ke paniyon main jo mohabbat pinha hai
Udhar ki must mojon ki adaain yaad ati hain

Jis ne mohabbat main watan ki jaan tuk de di
Us mard-e-momin ki wafaain yaad ati hain

Tum ko is matti ki kasam laut ao ehsaas!
Tumhain di hui woh sub sazaain yaad ati hain

Ek Guria Rang Us Ka Sunehra


Ek Guria
Rang Us Ka Sunehra !
Madhoosh Si Nazroon Say Dekhey...
Aur Aankhoon Say Neer Bahaye !!
Janey Kab Tak Bethey Gi Wo....?
Youn Dukh Key Saye May !!!
Leyti Hay Nigahoon Say Naam Us Ka...
Hountoon Say Dukh Sunaye !!
Ek Guria !!
Us Key Paoon Taley Chalkey Barsaat Key Gunghroon....
Jis Ki Cahat Pay Fida Sara Aalam.....
Wo Dil May Dukh Basaye !!
Ek Guria !!
Bey Naam Muhabbat Key Liyea .....
Apna Jiwan Youn Jalaye

Ek umer ke baad uss ko dekha


Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judai
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr-e-guraiz aap ki khatir
Main kaise shajar se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii thi

Charey pey meri zulf ko philaoo ksi din


Charey pey meri zulf ko philaoo ksi din
kia roz garajtey ho baras jaoo ksi din

razoon ke tarah utroo merey dil mein ksi shab
dastak pey meray haath ke khul jaoo ksi din

peiron ke tharh husan ke barish mein naha loon
badal ke tarah jhoom ke ghar aao ksi din

khushboo ke tarah ghuzroo merey dil ke ghali sey
pholoon ke tarah mugh pee bekhaar jaoo ksi din

phir haath ko khirat miley bundkaba ke
phir lutaf shab o wasal ko dohraoo ksi din

ghuzerein jo merey ghar sey rukh jey sitarey
is tarah meri raat ko chumkaoo ksi din

mein apni her ek saans is raat ko dee doon
sir rakh ke merey seeney pey soo jaoo ksi din

kahani ko hamesha aik naya woh moor deta ha


kahani ko hamesha aik naya
woh moor deta ha
magar meray fasanay ko adhora choor deta ha
kabhi chanchaal sa saat rung sa
kabhi bargad sa, pepal sa
kabhi harjai, saudai
kabhi deta ha tanhai
kabhi qaus o qaza jesa
kabhi rung e hina jesa
kabhi woh pehli barisha sa
kabhi anjan khwahish sa
kabhi rasta ,kabhi manzil
shanasa ha ,kabhi ghafil
kabhi shola ,kabhi shabnum
kabhi ha ma ,kabhi ha hum
hazaroon rung hain usskay sabhi rangoon ma aik rung ha
Muhabat rung ha usska

Zindagi ne sikaya hamein Kissi par umeed na rakana


Zindagi ne sikaya hamein
Kissi par umeed na rakana
Par rakana aithbar har kisi pe

Zindagi ne sikaya hamein
Agar tum kudh ko chaho gay
Tho Har koi achcha lagey ga

Zindagi ne sikaya hamein
Tum ko bura nahin lagey ga
Agar dekho ke samne wale ki nazar se

Zindagi ne sikaya hamein
Na rona uss par jo nahin hai tumara
Jo hai tumara ussi se kush rahena

Zindagi ne sikaya hamein
Nafrat se mohabbat karo ke tho, Nafrat ko mohabbat ho jaye ki
Mohabbat se Nafrat karo ke tho, Mohabbat nafrat mein badal jaye ki

Zindagi ne sikaya hamein
Na dhoon do kushi ko, Na dhoon do chain
Kushi, Chain dhoone se nahin milti
Yeh hain kudh ke andhar, mehesoos karke dekho

Zindagi ne sikaya hamein
Kaate hain malee phool ke
Phool ko chaha aur kaate ko chodiya

Zindagi ne sikaya hamein
Koi achcha lagta hai
Jab tak woh bura na kardhe

Zindagi ne sikaya hamein
Bewafa wafa nahin kar sakthey
Wafa kare jo woh bewafa nahin ho sakthey

Zindagi ne sikaya hamein
Maut ne ki wafa tho
Zindagi ko bewafa kahe diya

Zindagi ne ithna sikaya hamein ke
Na gila hai zindagi se.

woh Nazuk Mizaj Larki Baadlon ki garaj sey


woh Nazuk Mizaj Larki
Baadlon ki garaj sey seham janey wali
achanak badal gai thi
usey baadlon ka garajna bey mainey lagne laga tha,
dil key mausam ney sarey mausamo par hukmorani kar li thi,
aaj bethi sooch rahi hay,key
dil key mausam kitney bewafa hotey hey
us hi shakhs ki tarah jis ney
aaj usey us key pichley maqam sey bhi mehroom kar dia
aaj usey barish ki bondey bhi
aasmani toofan ka peshkhema lagti hay

tumhain bholnay ka irada chaha jab say


tumhain bholnay ka irada chaha jab say
yaad or shidat say aani lagi tab say

dil hama ra ab kahin bhi nahi lagta hai
daikha hai jab say hum nay tumhain tab say

socha tha k ddua karain gay tum hamain mil jao
lekin hum ye dua kar na sakay rab say

hum pay sirf ek bar atibar karli
kasam say piar kartay hain hum ziada sab say

choro is ka zikar jis nay ki baiwafai
to shoro karta hon ek naya door main ab say

woh mere dil mein rehti hai main uske dil mein


woh mere dil mein rehti hai
main uske dil mein rehta hoon
woh aankh churaa kar takti hai
main nazar churaa kar hansta hoon

jaanay na jaanay koyi na jaanay
ye chaand sitaaray jaantay hain
woh mujh peh jaan chirakti hai
main uske dam se jeeta hoon

kitnee hee dilkash tehreerain
kitnay hee pyaaray afsaanay
woh mere dil peh likhti hai
main uskee aankh mein parhta hoon

meri uski raaz ki baatainn
khushboo ki tarah ur jati hain
sau pehray lagaa k hothon par
jab nazmon mein likh deta hoon

Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai


Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai
Her pal yahi lagta hai ke wo aate hoon gain

Mein tu un ki yaad may khud ko mitta baitha hon
Jannay wo meri yaad kya karte hon gain

Meri to raaat katti hai unhi ki yaad may akser
Per wo tu ghar apne chain se sote hon gain


Jin ki yaad may Raaton ko oth oth kar Rotaa hon
Kya wo meri yaad may pal bhar bhi rotee hon gain

Dil ki her dewaar per jis ka naam likha hum ne
Wo to apne khayalon se bhi mera naam mittate hon gain


Jin ki rahon ko phoolon se sajaya hum ne
Wahi meri rah may kaanton ko bichate hon gain


Kabhi na kabhi meri yaad bhi un ko sattati ho gi
Yunhi meri shairon se wo dil ko behlate hon gain

uljhi hui bashar ki nazar hai saraab mein


uljhi hui bashar ki nazar hai saraab mein
bedaar khud ko samjha hai, ghaafil hai khaab mein

aata hai roo-e-yaar nazar yoon hijaab mein
khursheed ki tajalli ho jaise sahaab mein

sheereen labon kay lams se uqda yeh hal hua
narmi kahaan se aayee hai barg-e-gulaab mein

tashbeeh roo-e-yaar se main doon to kis tarah
kitne ayan hain daagh rukh-e-mahtaab mein

mahram hai dil ke raaz ka har gohar-e-basar
qulzum ki dastaan nihaan hai habaab mein

chubhti hai dil mein aaj bhi asghar ki tashnagi
pinhaan hai karbala ki kasak jaam-e-aab mein

quwat hai woh jo antar-o-marhab ko kaat dey
naan-e-shaeer hai shikam-e-boo turaab mein

sajda malaaeka ne kiya is ko bil-yaqeen
insaan ki dastaan hai ummul-kitaab mein

aay phool kis ko dekh ke shabnam fana hui
tasveer kis ki hai waraq-e-aaftaab mein

Kuch khuab hain jin ko likhna hai



Kuch khuab hain jin ko likhna hai

Taabeer ki sorat deni hai


Kuch log hain ujray dil walay

Jinhain apni muhabbat deni hai


Kuch phool hain jin ko chunna hai

Or haar ki soorat deni hai


Kuch apni neendyn baqi hain

Jinhain bantna hai kuch logon main


Unko bhi to rahat deni hai

AEY UMER-E-RAWAN


Aahista chal

Abhi khasa QARAZ chukana hai

Is bey naam se rishte ko nibhao kisi din


Is bey naam se rishte ko nibhao kisi din
jo mil jaye kbhi fursat to pas aa jao kisi din

milta hai sabhi kuch sabhi ko ye suna hai
mujh ko to faqt tum hi mil jao kisi din

barson se ye Dil mera khali he para hai
tum apne naam ki takhti he laga jao kisi din

barson ki mohabat ko kis tarah bhulate hain
mujh ko bhi hunar aisa sikha jao kisi din

muqadar main jo likha hai na mitey ga kabhi b
fursat miley to is dil ko yeh samjha jao kisi din

Mohabbat tu kisi bay deep Qabrustan ki


Mohabbat tu kisi bay deep
Qabrustan ki Boseeda si ik Qaber per
Who nassb kutba hay
Key jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-rahay ulfat Ashiq-e-nakam ka marqad……!
Mohabbat aik kutba hay
Laga hota hay jo aksar
Kabhi layla kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi soni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per…..!
Mohabbat aik kutba hay Kay jis per saaf likha ho
Mohabbat maot ki aghoosh may sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq roog hay
Taa umer rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna hay Jan khona hay…..!
Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydan may rakhee hui aik aysee mayyat hay
Kay jis ko kandha dayney kay liye Koi nahi aata…..!
Mager phir bhi Mager phir bhi
Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY…..
Koi mujh say ager kah day
Mujhey tum say mohaBbat hay
Tu dar jata hon may bayhad
Yah he bas wehem aata hay
Kay ye izhar ka jumla
Mohabat ka yah ik kutba
Phir kisi bay deep Qabrustan ki
Boseeda si ik Qaber ki Zinat na ban jaey
Mohabbat ka yah kutba Phir naee aafat na ban jaye…..!
Wohee kutba Kay jiss per saaf likha hay
Shaheed-e- rahey ulfat ashiq-e-nakaam ka marqad

Pagal aankhon wali larki itne mehnge khuwab na dekho


Pagal aankhon wali larki
itne mehnge khuwab na dekho
thakk jao gi ...
kaanch se naazuk khuwab tumhare
toot gaye to pachtao gi
soch ka sara uljha kundhan
zabt ki raah mein ghul jaye ga
tum kya jano !
khuwab safar ki dhoop ke sheeshay
khuwab adhoori raat ka dozakh
khuwabon ka haasil tanhai
tum kya jano !!!
mehnge khuwab khareedna houn to ...
aankhein bechna parti hain ...

Ek raah per saari umr chale ek dooje ko na samaj sake


Ek raah per saari umr chale
ek dooje ko na samaj sake
jeevan ka safar anjaan safar
bekhuwahish be aaraam safar

jeevan ke kisi b dukh sukh mein
woh mere saath shareek nahee
hum dono mein ek rishta hai
per jazbon ki tehreek nahee

main sochta houn ek din yunhi
woh mujh se juda ho jaye gi
ya pehle main marr jaoun ga
ya shayed woh marr jaye gi

phir log kahein gey k inka
yeh rishta kitna sacha tha
per kis ko khabar
saara jeevan....

woh tanha thi !!!

main tanha tha !!!

Kuch bhi tou nahi howa assa jassa hum nay socha tha



Kuch bhi tou nahi howa assa
jassa hum nay socha tha
ankhoon mea jo sapnay thay
ansoo ban kar bha niklay
reath ki dewaray thin
kitnay ratjagay bhi thay
ishq mea jo guzray thay
bey naam sa aik bandhan tha
jiss mea hum jaltay thay
assa ager ho jata
jassa hum nay socha tha
Wafa ki lag rakh litay aik bat
yeh bol detay
haan mujay MOHABBAT hai

YEH KAB KAHA THA K NAZAROON SEY KHOUF ATA HAI


YEH KAB KAHA THA K NAZAROON SEY KHOUF ATA HAI
MUJHEY TU CHAND SITAROON SEY KHOUF ATA HAI

MAIN DUSHMANOO K KISI WAR SEY NAHI DARTA
MUJHEY TU APNEY HI YAROON SEY KHOUF ATA HAI

KHIZA KA JABAR TU SENEY PE ROK LETEY HAI
HUMEY UDDASS BAHAROON SEY KHOUF ATA HAI

MILEY HAI DOST BESAKHION SEY DARD ITNEY
MERE BADAN KO SAHAROON SEY KHOUS ATA HAI

Tum say kya gila! gila too taqdeer say hay


Tum say kya gila!
gila too taqdeer say hay
tum say kya shikayat
shikayat too naseeb say hay!
aayy thay mairi zindagi main
aik tufaan ban kay
gaay too aandhi!ban kay!
ab tufano say kya gila
yeh too aata hay or jata hay !!
! ab!
kisi say kya gila jab woh
hi saat nahi ab raha
chalnay waley sey kiya gila
jab apna jisay kaha!
~~wohi saat nahi

jab kisii se koii gilaa rakhanaa


jab kisii se koii gilaa rakhanaa
saamane apane aaiinaa rakhanaa

yuuN ujaalon se vaastaa rakhanaa
shammaa ke paas hii havaa rakhanaa

ghar kii taamiir chaahe jaisii ho
is men rone kii jagah rakhanaa

masjiden hain namaaziiyon ke liye
apane ghar men kahiin Khudaa rakhanaa

milanaa-jhulanaa jahaaN zaruurii ho
milane-jhulane kaa hausalaa rakhanaa

bohat din pehlay tum nay muj say kaha tha


bohat din pehlay tum nay muj say kaha tha
mere muthee main hazaroon jugnoon hazaroon taray haan
agar main jangle main kho jaoon
to apni muthee khool doon
taray asmaan pay ja tikaan gay
jugnoon maang main aa sajaan gay
dakhoo
main nay muthee khool de ha
taray asmaan pay ja tikay haan jugnoon maang main aa sajay haan
per main ye q ker dakh paoon ge
k mera ujalla to tum ho
sirf tum

Jo darrd ke sahra mea akila bhi bohat hai


Jo darrd ke sahra mea akila bhi bohat hai
us ke liay dewar ka sayaa bhi bohat hai

dekha nahi tanhai mea kabhi tum nay is ko
bcharray howo ko who roya bhi bohat hai

kuch tuj ko mohabbat par yaaqin tha na wafa par
kuch tou meari taqdeer mea likha bhi bohat hai

kardar se mehroom tha yah shahar tou is nay
hum ko darro dewar par likha bhi bohat hai

to jab say gaya hai chor kar hamain tanhayun main


to jab say gaya hai chor kar hamain tanhayun main
din to hota hai magar raat nahi hoti

hum nay jo kia un sa judai ka shikwa
kehnay lagay piar main shikayat nahi hoti

tujh say umeed ab bhi hai jab k maloon hai mujhay
shaam say pehlay kabhi sehar nahi hoti

jin k jhar jatay hain behtay khizaon main
un drakhton ki chaon ghani nahi hoti

buray waqt main hi log badal laytay hain aankhain
khus-hali main ye dosti kabhi zalil nahi hoti

wo uus say judai ka lamha yaad hai ab tak


wo uus say judai ka lamha yaad hai ab tak
wo us ka baywafai karna yaad hai ab tak

wa us ka pehla tohfa mujhay phol bhejna
wo us ka qemti tohfa yaad hai ab tak

wo us ka mairi zulfon ko yun baikherna
wo us k piar ka aandaz yaad hai ab tak

wo us ka mujhay bay baat dillana or sunnana
wo us ka hansana yaad hai ab tak

wo us ka yun mujh say aankhain churana
wo us ka nighahain millna yaad hai ab tak

wo mairi mohabbat ko bhi dushmani main samjhi
wo us ka badalna yaad hai ab tak

wo bhol gaya aasay jaisay kabhi milla na tha
wo us ka rothna yaad hai ab tak

main us ki rah taktay taktay thak gaya hoon
wo us ka intizar karana yaad hai ab tak

is zindagi ki rah par milo tum mujh se


is zindagi ki rah par
milo tum mujh se kabhi agar
na ankhon mein shnasai ho
na ho mera naam honthon par
yun guzaro jaise ke ho ajnabi
na milana mujh se nazar
ke ankhein hain meri bewafa
yeh raaz na tum par khol dein
jo anso hain roke hue
palkon ke band na thor dein
tum moor kar bhi na mujh ko dekhna
ke kia khabar woh ik nazar
mujhe phir se dagmega na de
phir aik bar mere seene mein
ik aur zahm laga na de
to suno na bhool jana tum
kissi aur rah par milo jo tum kabhi
guzer jao ke jaise ho ajnabi

kiya hai pyaar jisse hum ne zindagi ki tarha



kiya hai pyaar jisse hum ne zindagi ki tarha
woh ashna bhi mila hum se ajnabi ki tarha

sitam to yeh hai ke woh woh bhi naban saka apna
qabool hum ne kiye jiss ke ghum khushi hi tarha

barha kar pyas meri is ne hath chor diya
woh kar reha tha morawat bhi dil lagi ki tarha

kabhi na socha tha hum ne qateel us ke liye
kare ga hum pe sitam woh bhi har kissi ki tarha

Taqdeer ne qismat mein kuch likha hi nahi



Taqdeer ne qismat mein kuch likha hi nahi
Aisa jiya mein jese koi jiya hi nahi

Teri yadon ka hi ujala hai warna
Mere kamre mein to koi diya hi nahi

Woh kia jane ishq-o-mohabbat ke suroor
Jam-e-judai jis ne pia hi nahi

Kuch is tarhan laga is say milne ke bad
Jese hum say koi mila hi nahi

Khud ke liye apne ahsan na jatao
Chahat to woh hai jis ka sila hi nahi

Ye adaab-e-ishq nahi to kia hai sathi
Halat-e-niza aur koi hajat hi nahi

TARI AMAD SAY ZINDAGI MEIN AYA AIK NAYA MAZA


TARI AMAD SAY ZINDAGI MEIN AYA AIK NAYA MAZA
KHIL UTHAT SARAY RUNG
TARI HI YADON KA SUNG
BADAL GAYA SARA SAMAN
JHOM UTHA YA ASMAN
KHUSHIYON SAY HOI ZINDAGI BHURPOOR
TITLIAN GAYIN SARI JHOOM
BHOL BATHI SARAY GUM
JUB SAY TUJH KO APNA MANA SANAM
HER PAL TUJH KO HI CHAHA
HER LAMHAY TUJH KO YAAD KIA
JUB SAY TUJH SAY PYAAR KIA
BUS TARA HI INTIZAAR KIA

Thaki thaki si nigah dil bojhal hua


Thaki thaki si nigah dil bojhal hua
Main teri yaad main kitna bay kal hua

Na raha hosh apna teri talash main
Der der bhatakta phira main pagal hua

Jeetey jeetey sanum teri yaad ka mausam
Derd say dariya phir situm badal hua

Bikhri meri hasti ko sameyta tu nay
Teri chahat kay sabab main mukamal hua

Kehney walay keh chukkay aks-e-sehra mujhay
Jo tera saath paya shokh-o-chanchal hua

Chah kay tujhay ghum ka siyaah badal
Ab kiyoun meri nazar ka kajal hua

Wo aber der haqeeqat mausam-e-milan tha
Jis say kay sara aalam jal thal hua

Ik ehsas-e-bay basi dherkanoon main
Ik derd ka gumaan pal pal hua.

Kuch dair to jee laynay diya karo


Kuch dair to jee laynay diya karo

Apni aawaz kay seher main

Apni zulf kay saaye main

Bay khudi ki raah pay

Zara kuch dair chalnay diya karo

Tanhaiyoun say paray mere dil ko

Haal-e-dil ru ba ru

Keh deynay diya karo

Shab-e-furqat main tarapta hoon

Bin sawan kay barasta hoon

Meri khamosh dherkanoon ko

Apni qurbat kay seher main

Chund lamhey

Shor ker laynay diya karo

jab koi chupkay say aaye or pata bhi na chalay


jab koi chupkay say aaye or pata bhi na chalay
hawa ka eik jhonka aey
kuch kehnay or sunnay k liyay
phir chala jaey, kuch kahay bina or kuch sunay bina
ek asar chor jaey
kuch samjhaey bina kuch bataey bina
kia main samjhoon
kia main janoon
aisa kiyon hota hai
kahin yah wo to nahin...
jo anjanay main apna ban ker aey......
aisa kiyon hota hai
aisa kiyon hota hai

jab yunhe kabhi baithey baithey


jab yunhe kabhi baithey baithey
kuch yaad achanak a jaye
tab yaad tumhari ati hai

her baat say dil bayzaar sa ho
her cheez say dil ghabra jaye
tab yaad tumhari ati hai

karna bhi mujhey kuch aur he ho
kuch aur he mujhsay ho jaye
tab yaad tumhari ati hai

kuch aur he sochoon main dil mein
kuch aur he hontoon per ajaye
tab yaad tumhari ati hai

kuch phool achanak khil jaein
kuch betey lamhey yaad aein
tab yaad tumhari ati hai

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo


Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo

ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hai "Mohsin"
dil ko sheeshe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Shaam phir udaas hai Dard dil kay paas hai


Shaam phir udaas hai
Dard dil kay paas hai
AAnkh be weraan hai
or tuti hoi aas hai
Shaam phir udaas hai
bhaphra howa samandar hai
hawa be bay chain hai
paaun thandi rait par
dil main lagi aag hai
Shaam phir udaas hai
Kahaani bari puraani hai
bay kaif zindgaani hai
Kis ko batain
dil main teri yaad hai
Shaam phir udaas hai

Batao kya mila tum ko bhala hum say khafa ho kar


Batao kya mila tum ko bhala hum say khafa ho kar
Suna hai tum bhi pareshan ho hum say juda ho kar

Qasoor aakhir tumhara tha yah mera tha khuda jaane
Kabhi yeh baat soochain ge phir say ek jagha ho kar

Abhi tuk yaad hai hum ko tumhara woh haseen wada
Na tum jee paao ge dunya main hum say bewafa ho kar

Jo hain boondain in aankhon main mohabbat ki hain sooghatain
Yahi to tohfe mile hain hum ko tum say bawafa ho ker

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhe



Ghum Mila Toh Ro Na Sakhe,
khushi Mili To Hans Na Sakhe,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sakhe,
Jis Ko Chaha, Apna Na Bana Sakhe...

Aap Chale Gayen,
Phir Bhi Dilse Nikhaal Na Sakhe,
Par Jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sakhe,
Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaake Phirthey Hai,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Ham na Samaj Sakhe,
Jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhe...

Ab Palko Ko Band Karke ,
Pal Mein Apke Pass Hothe Hai,
Magar Jab Ankhon ke Samne Tha,
Jee Bher Ke Dekh Bi Na Sakhe,
Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na Sakhe,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Ham Na Samaj Sakhe,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar Jataa Sakhe...

Ab Aap Ke Saath Ke Liye
Har Pal Tarapte Hai,
Magar Jab Hum Tarap Rahe the,
To Saath Na Desakhe,
Dil Tho Rotaa Rahe Per
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar Ke is Riwaj Ko Na Samaj Sakhey...

Dil Itni Chot Khaker Bi
Aap Hee ko Chhahta Kyu Hai,
Hum Samaj Na Sakhe,
Aap ke Laakh Inkaaron Ke Baad Bhi....
Aap Hamare Nahii Hao!!
Ye, Dil ko Samjha Na Sakhe,
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...

Aap Humein Bhool Gaye,
Magar Hum Na Bhoola Sakhe..
Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey
Waise Aap Hamare Na Ho Sakthey
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe... !!

Koi Baat Aisi Kia Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo


Koi Baat Aisi Kia Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo
Milay Jis Say Dil Ko Qarar Sa, Koi Shair Aisa Parha Karo

Na Hi Dukh Main Is Ko Rakha Karo, Kabhi Sukh Bhi Is Ko Dia Karo
Yeh Udaas Hai Kaiey Roz Say, Merey Dil Main Aa K Raha Karo

Jo Kathan Kathan Say Hain Rastay, Yeh Sabhi Hain Kion Merey Wastay
Yeh Jo Jal Raha Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Is Main Jala Karo

Abhi Tak Tumhari Hi Aas Hai, Merey Dil K AB Bhi Tu Paas Hai
Hai Yeh Dil Tumharey Hisaar Main, Is Main Meri Jaan Raha Karo

Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho, Faqat Ek Tumhari Hi Baat Ho
Abhi Jaisey Tum Merey Sath Ho, Yohn Hi Merey Sath Raha Karo

Aaj Phir Bad Baharan Nay Meray Kanon Main


Aaj Phir Bad Baharan Nay Meray Kanon Main
Chupkay Chupkay Say Teray Aanay Ka Pocha Mujh Se
Pocha,Sandaisa Koi,Chithi Koi Aye Hay?
Gungunatay Huay Jharnon Ne Zara Thum Thum K
Pocha Sajan Ki Khabar Bolo Kahin Paye Hay?
Aaj Phir Ratjaga Aangan Main Meray Utray Ga
Aaj Phir Neend Ki Devi Mera Ghar Bholay Ge
Aaj Phir Barha Ki Mari Hui Badli Koi
Mere Aankhon Main Jo Jhankay Ge Thithak Jaye Ge
Aaj Phir Dair Talak,,Dair Talak,,Dair Talak,,,,
Tu Na Aaye Ga,,
Tere Yaad Chali Aaye Ge....!

Shaam-E-Gham Ki Qasam Aaj Ghamzada Hain Hum



Shaam-E-Gham Ki Qasam Aaj Ghamzada Hain Hum
Aa Bhi Jaa Aa Bhi Jaa Aaj Mere Sanam
Shaam-E-Gham Ki Qasam
Dil Pareshaan Hain Raat Veeraan Hai
Dekh Jaa Kis Tarah Aaj Tanha Hain Hum
Shaam-E-Gham Ki Qasam

Lehrein bhi samundar se ruth chuki hain


Lehrein bhi samundar se ruth chuki hain

Ankhonse aanson bhi toot chuke hain
jis rahpe thi hamari nazar wo rahein bhi mit chuki hain gehra hua tha asmaa baadlonse suraj ki roshni bhi zamee se chuphi hoi thi hum apni parchai kaise dekhte raat ke andhere mein chand ko baadlone ghair rakhkha tha
tab koi na tha jo mujhe ek jiney ki aas deta lekin
Tumne bhi hamara saat chhor rakhkha tha
Hawaone bhi Teri mehek Lana chhordya shaed hawaone bhi apna rukh meri mohabbat se mor rakhkha tha
Bewafa
Bewafa kaun tha
Shaed koi Kisi ke lyeh hi Na tha
Yeh naam banaaye the dunya waloon ne
Inka naam hi reh Jana hi kafi tha

Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon main


Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon main
lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main


Bhikra para hai tere hi ghar mein tera wajood
bekar mehfilon mein tujhe dhoondta hoon main


Kya jaane kis ada se liya tune mera naam duniya
yeh samajh rahi hai ke sab kuch tera hoon main


Le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do chaar saal umr mein tujhse bara hoon main

Mujhe Kitnay Hi Barsoon Say Agarchay Janta Hai Woh


Mujhe Kitnay Hi Barsoon Say Agarchay Janta Hai Woh
Yeh Kaisa Zulm Hai Kay Ajnabi Gardanta Hai Woh !

Meray Hatoon Nay Jis Ko Chand Jaisa Roop Baksha Tha
Mujhe Tareeq Lamhoon MAin Kahan Pehchanta Hai Woh ?

Magar Phir Bhi Ussay Apna Bananay Kay Ghuman Main Hoon
Mujhe Maloom Hai Kay Kab Kisi Ki Manta Hai Woh ?

Sahara Mangta Hai Sirf Tanhai Kay Lamhoon Main
Muhabbat Ka Taluq Kab Kisi Say Bandta Hai Woh ?

Main Iss Duniya Kay Har Eik Jabar Ko Phir Phool Bhool Jata hoon
Kab Apnay Qurb Say Meray Badan Ko Dapta Hai WoH !

Mera Dil Chahta Hai Is Ko Seenay Say Laga Loon Main
Raday Ghum Ko Apni Rooh Pay Jab Janta Tanta Hai Woh

Mujhe Jab Dukh Milin Tu Kis Qadar Khusyan Manata Hai !
Chalo Kisi Tarhan Tu Mujh Ko Manta Hai Woh !

Tere aanso teri aanhain teri haqeeqat ki


Tere aanso teri aanhain
teri haqeeqat ki tazleel na kar dain

Sambhal ja waqt hai ab bhi k
tujhey koi zaleel na kar dey .....

Zamaney ko doosh deeney se pehley
a ye mere hum zulf …

Itna tu jaan le ke teri khawahshain
tere aangan ko kaleel na kar dain

Itna dam hai terey aansuoon mein
tu mujhey bhi dekha zara

Haal-e-dil bhi na kah saka gar che Tu



Haal-e-dil bhi na kah saka gar che
Tu rahi mudattoon qareeb mere
Kuch teri azmatoon ka dar bhi tha
Kuch khayalaat thay ajeeb mere
Aakhir kaar wo ghadi aahi
Baarwar ho gahe raqeeb mere
Tu mujhe chor kar chali bhi gahi
Kher kismat meri,naseeb mere
Ab mein kyon tujhko yaad karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Main nay jis say pyar kiya wo tum hi tu ho


Main nay jis say pyar kiya wo tum hi tu ho
Beronak zindagi main roshni ki kiran tum hi tu ho

Main jis kay sapnay daikti hon wo tum hi tu ho
Ankhain jisay daiknay ko baikarar hai wo tum hi tu ho

Maray kyalon par jo chahya rahta hai wo tum hi tu ho
Ghumnam rastoon par manzil batanay walay tum hi tu ho

Jaisay daik kar apnaiyat ka ahsas hota hai wo tum hi tu ho
Mojhay jis ki wafaon par goror hai wo tum hi tu ho

mujhy nend se dar lagta hai


mujhy nend se dar lagta hai
k neend or khabon ka
ghaira rishta hai
ab to bas aisa lagta hai
k gar phir se ankhain band huin
phir se khab palkon ki had ko torain gay
tum se rishta jorain gay
phir se tanha chorain gay
phir tanhai ek nag bane gi
her pal ye mujhy dase gi
tan man main phir zehar bhare ga
her apna phir mujh se dare ga
phir zat meri ek khail bane gi
dard ki phir ek mehfil saje gi
isi lye hi bas
mujhy neend se dar lagta hai
k khabon ka tum se
ghaira rishta hai
bohat ghaira rishta hai

Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey


Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey
Des ki yaad ney pardesi banaya hai mujhey

goad mai maa ke rakhoon saar mai tarapta hoon bohat
Dant abba ki miley mujhko mai tarasta hoon bohat

bhai bhenoo ki shararat mujhe yaad ati hai
Ghar ki bailoon se mohabbar mujhe yaad ati hai

dost gherey howe rehtey thai hamesha mujhko
kerdia hai meri takdeer ne tanha mujhko

Gardish-e-waqt ne pardes dikhaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

Dhool urata mer bachpan nahi milta mujhko
taaptey jhuloon ke woh saawan nahi mlta mujhko

ishq mai duubi hawaoon se buhat durr hoon mai
husn-e-laila ki adaaoon se buhat durr hoon mai

koi chera jo shana sa yahan miljata hai
chaand weraan si aankhoon mai utar ata hai

esa lagta hai merey ghar ne bulaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

akey pardes mai pheeki howi meethi eidain
pair ki yaad ne jhulsa di meri umedein

deep diwali ke jaalte meri aankhoon mai
meley sawan ke machalte hai meri aankhoon mai

aj bhi pairoon se lipti hai watan ki mitti
yeh meri jism yeh mere chaman ki mitti

durr kiun apni fazaoon se basaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

jaab watan se koi chitthi mere naam ati hai
Raushini mere ehsaas mai lehrati hai

ek ek harf chamakta hai sitara ban ker
dharasein deta hai har dil ko sahara ban ker

likhne wala mujhe kaghaz pe nazar ata hai
ban ke khushboo meri saanson mai sama jata hai

esa lagta hai ke milne koi aaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

aj yaadoon mai gheera soch raha hoon itna
aur jeewan ka yeh banwas hai baki kitna

raas ayeingi mujhey ghar ki fazaien kis din
hongi makbul mere dil ki duaein kis din

kaab mera ghaar mujhe lootayegi kismat meri
kaab meri bahoon mai mehke gi mohabbat meri

en sawalat ke shoolon ne jalaya hai mujhe
Aj phir yaad-e-watan tuney rulaya hai mujhey

kehne ko mera us se koi wasta nahin


kehne ko mera us se koi wasta nahin
amjad magar woh shakhs mujhe bhoolta nahin

darta hon ankh kholon to manzar badal na jaye
magar mein jaag to reha hon magar magar jagta nahi

tanha udaas chand ko na samjho bekhabar
har baat sun reha hai magar bolta kuch nahin

amjad woh ankhein jheel si to hain magar
un mein koi bhi aks mere naam ka nahin

Tu door he muj se par pas bi he



Tu door he muj se par pas bi he
Teri kami mein kaheen tera ehsaas bi he

Tuj se dost hein lakhoon jahaan mein mere
Par tu dost bi he aur khas bi he

Tu ne kushiaan muje etni di hein k ajj
Tuje khone ka dl mein ehsaas bi he

Khuda ne yun nawaza teri dosti se muje
K muje khud pe gumaan he aur naaz bi he

Bhooli bhooli see meri janaa


Bhooli bhooli see meri janaa
Yaadasht ker dee tum nay

Dherkan kay dehaktey angaron pay
Bersaat ker dee tum nay

Thum gaye waqt kay peher kaisi
Ghaat ker dee tum nay

Naee dosti ki ghum say
Mulaqaat ker dee tum nay

Kaisay tanhaee main jeenay ki
Shuruaat ker dee tum nay

Such kahon to dukhon kee
Bohtaat ker dee tum nay

Meri zindagee to shatranj ki
Bisaat Ker dee tum nay

Badnaam ishq ki jahan main
Zaat ker dee tum nay

Jeet kay qareeb tha mager
Maat ker dee tum nay

Ghayron say meri kum shaiki
Ouqaat ker dee tum nay.

mein samjha tha mein uss k liye sab kuch hon


mein samjha tha mein uss k liye sab kuch hon
meri chahat
ussey sansaar kar dey gi
mere jazbon ki shiddat
ussey mujh sey mohabbat karney par majboor kar dey gi
meri payar bhari baatain
jadoo ka assar rakhti hain
lakin woh kisi or ki kismat
shyad kisi ko mohabbat mujh sey zayada ghahri thii
uss k jazbey
mujh sey zayada suchey thaay
issi liye woh mujh sey chen gaye
or mein!
uss k liye kuch bhi nahi tha

Humara ishq tumhari BeRukhi hi kaafi hai


Humara ishq tumhari BeRukhi hi kaafi hai
Merne ke lye ishq me Nakami hi kaafi hai

Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura daina,
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai

Mujhe bahar ke mausam se kuch nahi laina
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kaafi hai

yeh log konsi manzil ki baat karte hain
musafiron ke liye to raasta hi kaafi hai

udaas root maen khushi ka pyaambar woh shakhs


udaas root maen khushi ka pyaambar woh shakhs
haseen khawaab dikha kar kehan gaya woh shakhs

khud aetmaadi e izan e safar mila jiss say
meray liye hae bichar k bhi motabir woh shakhs

meray hisaar e ana nay na pass aanay diya
vergarna saath raha yun tu umer bher woh shakhs

saba mazaaj hae uss kkeh, surishat hae badal
magar yeh zid meray dil ki , ho humsafar woh shakhs

faseel e shab k kaheen aas paas bichra hae
chalaa tha haath pakar k dum e sehar woh shakhs

iss aik khawaab nay sonpay haen rutjagay mujh ko
khilee hae chandni aur mera muntazir woh shakhs

qasam to khai hai tum nay



qasam to khai hai tum nay
mujhay kabhi bhi yaad na karna ki
magar main janta hoon
tum mujhay kabhi bhula na sako gi
din bhar hanstay kheltay rehnay main shayad
meri yaad na aay tumhain
magar suno!
subha jab ankh khulay tumhari to takyay par
phelay hoe apnay kajal ko chupa lia karna
k koi jan na sakay
tum raat deer tak rooti rahi ho meri yaad main!!!

Popular Posts