Saturday, July 3, 2010

qasam to khai hai tum nay



qasam to khai hai tum nay
mujhay kabhi bhi yaad na karna ki
magar main janta hoon
tum mujhay kabhi bhula na sako gi
din bhar hanstay kheltay rehnay main shayad
meri yaad na aay tumhain
magar suno!
subha jab ankh khulay tumhari to takyay par
phelay hoe apnay kajal ko chupa lia karna
k koi jan na sakay
tum raat deer tak rooti rahi ho meri yaad main!!!

No comments:

Popular Posts