Saturday, July 3, 2010

Pagal aankhon wali larki itne mehnge khuwab na dekho


Pagal aankhon wali larki
itne mehnge khuwab na dekho
thakk jao gi ...
kaanch se naazuk khuwab tumhare
toot gaye to pachtao gi
soch ka sara uljha kundhan
zabt ki raah mein ghul jaye ga
tum kya jano !
khuwab safar ki dhoop ke sheeshay
khuwab adhoori raat ka dozakh
khuwabon ka haasil tanhai
tum kya jano !!!
mehnge khuwab khareedna houn to ...
aankhein bechna parti hain ...

No comments:

Popular Posts