Saturday, July 3, 2010

Baher k musam andar assar nahi kartay


Baher k musam andar assar nahi kartay
DIL ho paresha tou zikar nahi kartay

lakh pochain dunya walay humain
kya batain jub appni khabar nahi rakhtay

zindage kab tak satay abb dosti kar lay
akher ko zindagi is terha basar nahi kartay

haan yaqeen hai har dukh par kuch milay ga sellah
najanay phir bhikyun sabar nahi kartay

No comments:

Popular Posts