Friday, December 16, 2011

Mere Mayar Ko Samajne K Liye Bas Itna Kafi hai


Mere Mayar Ko Samajne K Liye Bas Itna Kafi hai
Main Uska Hargiz Nahi Hota Jo Har Kisi Ka Ho Jaye

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm saanson ki mehek,
baazuon ke sakht halke mein koi naazuk badan,
silvatein malaboos par aanchal bhi kuch dhalka hua,
garmi-e-rukhsar se dhanki hui thandi hawa,
narm zulfon se mulayam ungliyon ki chhed chhaad,
surkh honthon par shararat ke kisi lamhe ka aqs,
reshmi baahon mein chudi ki kabhi madhham khanak,
sharmagin lehjo mein dhire se kabhi chahat ki baat,
do dilon ki dhadkano mein gunjti thi ek sada,
kaanpte honthon pe thi allah sirf ek dua,
kaash ye lamhe theher jaaye theher jayein zara..

Woh aadmi hai aam sa ek qissa na tamam sa

Woh aadmi hai aam sa ek qissa na tamam sa
Na lehja bemisal hai, Na baat mein kamal hai,
Hai dekhne mein aam sa, Udasion ki shaam sa,
Jaisay k eik raaz hai, Woh khud se be-niaz hai,
Na mehjabinon ka rabt hai, Na shohraton ka khabt hai,
Ranjha na Qais hai koi, Insha na Faiz hai koi,
Woh peker-e-ikhlas hai, Wafa Dua aur Aas hai,
Woh shaks khud shanas hai, Tum he karo yeh faisla!!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?? Ya Phir Bohat He Khas Hai

rooz ghar ko sanwarti hoon

rooz ghar ko
sanwarti hoon
guldaan mein
pholoon ko sajati hoon
naye pardey darechoon par lagati hoon
aur saleekay say shelf mein rakhti hoon kitaabein
raat bhar darwaaza
khula raakhti hoon
khud ko bhi aarasta karti hoon
aankhoon mein kajal lagati hoon
chooriyoon say bahoon ko
hateyli ko mehndi say
sajati hoon
aur nikharti hoon bikharti hoon
tu nay aanay ka sirf aik baar
wada kiya tha

Sataya na karo humein yun is tarah

Sataya na karo humein yun is tarah
Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,
Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom
Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,
Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo
Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,
Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil
Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom!!!

Gali ke uss moor pe khada tha

Gali ke uss moor pe khada tha
Jidhar se rasta juda houa tha

aas ka aek jalta diya bhi le kar
Janey kis baat pe wo ada tha

Kadi dhoop may wo mar gaya hai
Paas hi jiskey saya Ghana tha

Ghamon may kiyun ho haath maltey
Hansi may usko gunwa diya tha

Suna hai usko mili hai manzil
Do gaam hi jo abhi chala tha

Ye jo hum ne tumhey rullaya hai

Ye jo hum ne tumhey rullaya hai
Mat samjho ke zulm dahya hai
Behtay hain jo ashk teray nainoon se
Girtey hain meri zameen-e-dil per ye
Kia karon mai majboor hon
Halaat kea gay buhat kamzoor hon

Binna teray meri saans nahi
Per milan ki bhi koi aas nahi
Isliye hum ne khud ko giraya hai

Shabeeh hamari jo teray dil pe ban bethi hai
Uss shabeeh ko hum ne yun mittaya hai
Ab jaan lo hamari hikmat
Kiyun tum ko hum ne rullaya hai

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain
Shehar-e-dil ki fizaaon may alm jag uthtey hain

Surgazisht likhney ko jab bhi kagaz uthata hon
Khiyal ki zameenon may talatum jag uthtey hain

Baazecha-e-atfaal may nanhey nanhey phool mehakte dekhon tu
Dard key sehraaon may marhan rog bantey hain

Meri basti may kabhi mehfilain saja karti thein
Khoon-e-insan ki khusboun se ab sar-e-sham soog biliktey hain

Ghar se nikalna chaho tu ujaalon may hi nikalna
Meray arz-e-pak ki galiyun may har sham naag nikaltey hain

Buhat houa ab rehney do

Buhat houa ab rehney do
Subah suhani aaney do

Raat buhat hai ye kaali
Diya koi ab jalney do

Sisak sisak kar mar chukay
Chein se unko sooney do

Kaantey bichaye bethey ho
Phool bhi thodey khilney do

Reh gaye hewaan bhi heraan
Sheetan ke cheelay marney do

Soocha hai ab naam na lain
Insaniyat ko marney do

Dard magar ye barhta hai
Chalo phir dard likhney do

Aye arz-e-watan

Aye arz-e-watan
Zara mujh ko ye to bata
Aakhir majraa ye hai kia
Kiyun aakhir teri arz-e-paak per
Nezon pe saron ko uchala gaya
Namoos-e-bint-e-hawa ko rondaa gaya
Bachon ke sar se saya-e-pidr
Kiyun aakhir uthaya gaya

Betiyun ka yahan bazaar sajaya gaya
Jo bik na saki
Uss rooh ko phir jalaya gaya
Kal talak jahan
Chehchachaat chiryun ki thi
Wahan aaj phir kiyun
Barood chalaya gaya

Aye arz-e-watan
Teri fizaaon may aaj
Rooh-e-Quaid phir se
Sharminda hoi
Har ankh phir se ranjeeda hoi
Poochey hai yehi aik sawal aaj bhi

Kiyun aakhir
Khoon-e-shehedaan se rangeen
Ye chand tarey ka parcham
Lehraya gaya


Aik masoom bacha

Aik masoom bacha
Meri gali ka
Kehnay laga mujh se
Dar lag raha hai
Nahi chahata main bada hona yahan par
Paraya paraya sa jag lag raha hai

Anhkon may uski vehshat jo dekhi
Pocha sabab mai ne paas bula kar
Aye masoom bachey
Kiyun dar rehay ho
Sitam ye kaisa khud pe kar rehay ho

Ankhon may bhar kar
Aansu wo apney
Bola ye mujh se

Dekha hai mai ne hasher in badon ka
Nikaltey hain ghar se
Sapney sajaye palkon pe apni
Magar sham dhaltey
Lout aatey hain
Liptay houaye aik be rang kafan may
Janey kahan chhor aatey hain
Sapnon ki doulat
Bataao mai kaisey
Karon phir tammana
Badey honey ki
Badey honey ki

Zameen-e-dil pe aksar

Zameen-e-dil pe aksar
Aasman-e-chahat se
Yaadon ki barsat rehti hai
Qatra qatra girta hai
Zakhm zakhm banta hai
Ashkon ki rawani hai
Buhat ajab veerani hai
Ho sakey to lout aana
Wadi-e-muhabbat may
Vasl ki koi shama
Hathon se tum apney
Phir se jala dena
Andehra jo chhaya hai
Durr usay tum kar jana

Aik Masoom si Larki

Kitni khamoshi se kaheen
Kisi andehray kounay may
Bethi masoom si aik larki

Aatish-e-hijar may
Jal rehi ho gi
Janey kab se moom ki manind
Pighal rehi ho gi
Uskey honton pe saji
Muskaan ab to
Behtay ashkon may
Dhal rehi ho gi

Khana-e-dil may kaheen
Aik khuwahish-e-vasl
Chupke se
Pal rehi ho gi
Likhi thi jo usney
Haathon se apni
Dastaan-e-ulffat kabhi

Apney hi aansuon se
Ab wohi ibaarat
Dhul rehi ho gi
Anjam-e-chhahat dekh kar
Wo phir shehar-e-adum ko
Chal rehi hogi

Lout aaye na kaheen phir se Wo mousam-e-hijar

Lout aaye na kaheen phir se
Wo mousam-e-hijar
Mujh ko apni tanhai se lagta hai dar
Badi mushkil se banaya hai
Teri sangat may ye ghar

Firdoos sajai hai jaisey tu ney
Aisa lagta hai yahan ka
Har aik manzar
Teri saanson ki mehak se janaan
Aangan bhi houa hai muataar

Chalo mil kar karain hum dua
Khushiyan rooth na jayen yahan
Lout kar aaye na kabhi
Mousam-e-khizaan
Kuch aisi taseer-e-wafa chhor jayen
Dekh kar jisko
Ahl-e-wafa bhi reh jayen heraan

Rehay hamesha hamarey
Milan ki sehar
Peena na padey hum ko kabhi
Judai ka zehar
Bus
Sada rehay yahan
Mousam-e-vasl

Socha hai muhabbat kar loon

Socha hai muhabbat kar loon
Dunya se baghawat kar loon

De kar ke nishani dil ki
Us ko mai sakhawat kar loon

Badal se chura kar pani
Sawan se adawat kar loon

Qurbat may kisi ki mar kar
Furqat se baghawat kar loon

Raston ko karon mai gumrah
Manzil se shikayet kar loon

Likhtey rehay jis ko wafa

Likhtey rehay jis ko wafa
Milti rehi us se jafa
Sehtay rehay dard-e-hijar
Nikla nahi hurf-e-dua
Sajti magar shaam-e-ghazal
shaan-e-ghazal mil na saka
Kehnay lagi mujh se sehar
Ye lab teray na hon kusha
Suntey rehay qissa wohi
Jis may likha zikr-e-saza

Sitam garon ka shehar hai logo



Sitam garon ka shehar hai logo
Nazar nazar may zehar hai logo

Sunaa na humko dilon ki chahat
Ye khuwahishon ka behar hai logo

Humain sehar ki khabar nahi hai
Jaga houa aik qehar hai logo

Ruku zara tum kidhar chaley ho
Behi lahu ki nehar hai logo

Sada hamari rehay gi sakin
Lagi labon pe mohar hai logo

Main barish ki khata likhon

Main barish ki khata likhon
Ke sawan ko saza likhon

Sitam jo bhi rawa rakhay
Wo khuwabon ki jaza likhon

Diya jo zakham tha mujh ko
Usay apni qabaa likhon

Ajab matam bapa hai yaan
Khuda ki kia raza likhon

Khuwahishon ka ajab hai bun
bata phir tu main kia likhon

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho
Shayed humain phir bana rehay ho

Rehnay lagey phir khamoshiyun may
Matum ye kis ka mana rehay ho

Uljhan wohi phir khadi hai laiken
Rishta yunhi kiyun nibha rehay ho

Rakhtey nahi tum shikayton ko
Kiyun dil humain phir dikha rehay ho

Samjha nahi jo teri wafa ko
Sapna usi ka saja rehay ho

Kabhi mousam rulatey hain

Kabhi mousam rulatey hain
Kabhi humdum jalatey hain

Gilay shikway nahi kartey
Na janey kiyun rulatey hain

Khilay jo gul chaman bhar may
Humain sapney dikhatey hain

Sharab-e-ghum pilatey they
Wohi saqi bulatey hain

Jinhey samjha nijat-e-gham
Wohi hum ko satatey hain

Humain unse shikayet hai
Nahi jo ghar basatey hain

Mila jo bhi khazeena hai
Wohi tum per lutatey hain

Chalo ke qissa sunain tum ko



Chalo ke qissa sunain tum ko
Suna suna kar rulain tum ko

zameeN pe taarey sajaye hum ne
sehar ye kaisa batain tum ko

shajar jala kiyun barastey sawan
ajab karishma dekain tum ko

gira lahu kiyun zameeN pe uss ka
chalo fassana sunain tum ko

mila nahi phir sarab-e-ulfat
chalo ke dhoka khilain tum ko

Teri yaad ko bhula kar chaley

Teri yaad ko bhula kar chaley
nishaN apney sub mita kar chaley

biyanN kia karain guzarti hai kia
shab-e-gham yahaN mana kar chaley

chirag-e-sehar jalaya the jo
bhuja kar ussay saza kar chaley

hai larzaN buhat ye dil pur khata
ke sar ko yahaN jhuka kar chaley

hai taarikiyun ka baseera yahan
diya aas ka jala kar chaley

Bojhal badi aaj ki shaam hai

Bojhal badi aaj ki shaam hai
Sochon pe haavi ye kia naam hai

Mujh ko parishan karey ga nahi
Toofan ne bheja ye piyaam hai

Pathar bhi barsey chaley teer bhi
Basti teri kiyun ye bad-naam hai

Sikka tera chal sakey ga kahan
Dhokey se bhara ye nizaam hai

Manzil bhi teri buhat durr hai
Rastey may khadi ye kiyun shaam hai

Mila kar chalo tum qadam dosto



Mila kar chalo tum qadam dosto
Na karna kisi per sitam dosto

Badi aas lekar chala aagaya
Na tum toor dena bharam dosto

Jala kar chala phir ye kishti kidhar
Iradey na hon phir ye khum dosto

Batao humain kia sehar koh gayii
Utartey rehay kiyun alam dosto

Jalatey raho bus diyya tum yahaN
Jabhi durr hon ge ye gham dosto

Tujhey aazma kar saza de raha hai

Tujhey aazma kar saza de raha hai
Bharosa kabhi tha magar ab dagha hai

Kaha tha tumhey bhi na karna muhabbat
Tarapna ye shayed muqadar bana hai

Suna kar meri ab nasihat yahaN per
Sulagta houa phir ye darya khada hai

Samay ka ye chakar chala ja raha hai
Ye marham baney ga kabhi to, suna hai

Jagatey raho tum umeed-e-baharaN
Khadi phir teray dar nai aik saba hai

Kuch kaha bhi nahi kuch suna bhi nahi

Kuch kaha bhi nahi kuch suna bhi nahi
Sil gaye lab meray di sada bhi nahi

Phir giri bijliyaN kiyun meray aashiyaN
Jal gaya kiyun nagar kuch pata bhi nahi

Maeh humain tu pila bhool ja jo houa
Saaqiya gham abhi tak mita bhi nahi

Kar diya sub hawaley teray aye khuda
Kia karoN kuch yahaN ab bacha bhi nahi

koh gaye raasatay bujh gaye sub diye
seh gaye sub sitam kuch kaha bhi nahi

Ye peena pilana nahi jantey hain

Ye peena pilana nahi jantey hain
Ye kohna ye paana kahaN sochtey hain

Rehay dair tak kiyun piyasey wahaN per
Ye saqi teri hum khata pochtey hain

kahaN tak bacho ge qaza se bataao
saza ke farishtey tumhey dhoondtey hain

ye maqtal saja kar kahaN gum gaye ho
raho tum salamat dua maangtey hain

guloN ka ye mousam gurezaN raha hai
wajah kia rehi sub yahan pochtey hain

Tujhey aazma kar mujhey kia milay ga

Tujhey aazma kar mujhey kia milay ga
Ye chahat bhara silsila kab rukay ga

gumaN ho raha hai ussay koh diya hai
na janey kahaN ab ye sar phir jhukay ga

chalo ijz se tum zameeN per hamesha
ye dour-e-jawani kabhi to dhaley ga

kahaN paa sako ge sakoN tum jahaN may
agar dil ye tera baghawat karay ga

kabhi munsifoN se ye ja kar kahu tum
ye insaaf hum ko yahaN kab milay ga

Nazar mein teri go khatakar hoon main

Nazar mein teri go khatakar hoon main
Teri rehmatoN ka talabgar hoon main

Kathin jo houa hai safar zindagi ka
Chala raasta koii purkhar hoon main

Meray haal-e-dil ki tujhey sub khabar hai
gunahoN se moula ke laachar hoon main

uda do hawa may meri khaak ko tum
jahaN ki nazar may khatakar hoon main

chala aaya hoN mai jabeeN ko jhukaye
teri maghfirat ka talabgar hoon main

bastiyan bastiyan uth raha hai dhuwan

bastiyan bastiyan uth raha hai dhuwan
kis tarah ho sakey dard phir ye biyan

mil rehi thi sehar jab tumhey dour kar
pi gaye mout ka jam kiyun tum yahan

bujh gaye sub diye jab chali kuch hawa
chhup gaye hain meray zakhm ke sub nishan

roshani se laga dar humain jo buhat
teeragi oorh li sub mita kar nishan

chup rehain kis qadar zulm ke samney
beh gaya hai lahu iss baras ab yahan

jabeen aastan per jhukaye hi rehna

jabeen aastan per jhukaye hi rehna
hateli ko apney uthaye hi rehna

tawalat na shab ki tumhey digmaga de
umeed-e-sehar tum jagaye hi rehna

yahaN ho rehi hai parastish bashar ki
khudaya mujhey tu bachaye hi rehna

kabhi aasmaN se nazul-e-reham ho
zameen per duain bichaye hi rehna

jaga kar tumhey dard hi to milain ge
nai khuwahishoN ko sulaye hi rehna

Yaad aati rehi bus ussi shaam ki

Yaad aati rehi bus ussi shaam ki
Jo manaai gayi thi teray naam ki

choriyuN ki khanak ab mujhey na suna
chahataiN ab nahi ye meray kaam ki

baarishoN se lagay dar buhat iss baras
khair maango sabhi ab dar-o-baam ki

zindagi ke sabhi rang bhikarney lagay
reh gayi hain ye saansain to bus naam ki

meh kaday may na jao kahain wo humain
kia karain barh rehi piyaas phir jam ki

Silsilay piyar ke sub bhula kar chala

Silsilay piyar ke sub bhula kar chala
Naqsh apney sabhi wo mita kar chala

Likh raha tha muhabbat ki jo dastaan
Phr achanak wo kaghaz jala kar chala

Zakhm miltay rehay muskara kar ussay
Jo wafa ko ibadat bana kar chala

Ho gayi thi ussay maat jab ishq may
Kiyun wohi khail phr se racha kar chala

Shaam se kuch udaasi thi chahai yahan
Be wajah aik diya kiyun jala kar chala

Meray gird janey ye kaisa dhuwan hai

Meray gird janey ye kaisa dhuwan hai
Meri raat ki ay sehar tu kahaN hai

kaheeN dar khula ho kaheeN ho dareecha
meri justaju ki yehi dastaN hai

teray qaatiloN ney pukara hai tujh ko
chalo soo-e-maqtal ruka kiyuN yahaN hai

meray jism ko jab mitao to kehna
bata ab teri wo baghawat kahaN hai

meray dil ki halat ussay sub pata hai
meri laghzishoN ko atta ik zubaN hai

Maajra kia houa kuch bata zindagi

Maajra kia houa kuch bata zindagi
Mool phir se tera kum laga zindagi

Kis qadar chahatain hum gunwa kar chaley
Zid ka haasil humain yuN milla zindagi

Toot kar gir padey khuwab jitney bhi they
Neend ney khail kaisa racha zindagi

saahiloN se mitay phir nishaN paer kay
ho gayi phir lehar se khata zindagi

doobti nabz hai haath may ab teray
mar chali hai umeed-e-wafa zindagi

uss gali talkh yaadoN ne gheera humain
uss gali zikr tera raha zindagi

dar ba dar phir rehay they ye kassa liye
ja bajaa de rehay they sada zindagi

Badi be rukhi sey bulatey rehay woh

Badi be rukhi sey bulatey rehay woh
Na janey humaiN kiyuN rulatey rehay woh

Buhat piyar sey hum mananey gaye they
Adain humaiN phir dikatey rehay woh

zubaN bhi na kholi na palkaiN uthain
khamoshi se bus sar hilatey rehay woh

kaha unsy hum ney khata dar guzr ho
laga kuch ke gussa dabatey rehay woh

yaqeeN hai humaiN ke nuhabbat unhaiN hai
muhabbat ke jazbey chupatey rehay woh

Chalo tum wahaN per jahan ho na sawan

Chalo tum wahaN per jahan ho na sawan
Barasti ho boondain na bheega ho aangan
Wo soondhi si matti jalaye hai mun ko
Ye qatray jo choo lain lagay aag tun ko
Le aata hai sawan wo yaadain purani
Kisi shookh chanchal ki baaghi jawani
Haseen raat thi ik barsata tha paani
Ussay chomaney ko tarasta tha paani
Achanak giri phir wahaN bijliyaN woh
jala aashiyana bujha har diyya jo
juda ho gaya haath uss gul badan ka
kiya haal ye baarishon ne chaman ka
humaiN raas ab to nahi hai ye sawan
baras haa baras se bhigoye hai daman

Ik satara bano jagmagatey raho

Ik satara bano jagmagatey raho
kehkashainN nai tum banatey raho

jis dagar se guzar ho kabhi bhi tera
har taraf phool hi tum khilatey raho

jab watan ko zararot padey khoon ki
phir lahu ke diye tum jalatey raho

aan se tum jiyo aur maro shaan sey
ik naya tum jahaN yuN basatey raho

umr ki kuch khabar ab nahi hai tumahiN
har samay bus khuda ko manatey raho

Jal raha tha chiragh-e-wafa shaam se

Jal raha tha chiragh-e-wafa shaam se
Kar gaya be-wafaai suna, shaam se

Iss qadar hai khizaN kiyuN shehar me teray
Kuch suhaney se pal tu chura shaam se

choriyuN ki khanak bhi sunai na dey
kis qadar tha hajoom-e-balaa shaam se

jab gira koii patta zameeN per kaheen
al-vidaa zindagi ne kaha shaam se

mat jagao humaiN neend sey ab yahan
soo chukien hasratooN ne kaha shaam se

humain neend se jab jaganey wo aaye

humain neend se jab jaganey wo aaye
laga khuwab koii churaney wo aaye

pehan kar libaas-e-faqeeri shehar may
na janey kisay aazmaney wo aaye

laga roog hai jo muhabbat ka tujh ko
haqiqat usi ki bataney wo aaye

parhi ja saki na jo tehreer ab tak
usi ko diloN se mitaney wo aaye

umeedoN ki kashti lagi doolney thi
usi ko kinarey laganey wo aaye

Kuch marasam puraney humain yaad hain

Kuch marasam puraney humain yaad hain
Wo Milan ke zamaney humaiN yaad hain

Munkashif raaz tha jo samajh na sakey
Sadagi ke zamaney humaiN yaad hain

Husn se ishq ney phir kaha baaz aa
Dard ke sub fasaney humaiN yaad hain

Aatish-e-dil bujhai bujhi na magar
Yaad ke par jalaney humaiN yaad hain

Aank sey jab giray ashk raqsaN rehay
Rat jagey sub puraney humaiN yaad hain

Aashanai rehi kab talak kia khabar
doriyuN ke zamaney humaiN yaad hain

jo likhey they kabhi piyar se khat mujhey
wo sitarey jalaney humaiN yaad hain

pathron se kabhi dil lagatey hain kia

pathron se kabhi dil lagatey hain kia
aag sey haath apney jalatey hain kia

raat ne phir kiya hai gila chand sey
husn apna bhala yuN dikhatey haiN kia

aayiney gar kabhi toot kar jo giraiN
aks ko kirchyuN may sajatey haiN kia

dar khula chhor kar tum chaley aaye ho
inteezar-e-qaza yuN jagatey haiN kia

jab milo shaam sey to ye kehna usay
aas ke kuch diyye yuN bujhatey haiN kia

Faslaa gar barhay to bataya karey

Faslaa gar barhay to bataya karey
Koii to raasta phir dikhaya karey

Raet per jab mera naam likha karo
Phr lehar se kaho na mitaya karey

Aaj tak wo mehak saans may hai basi
Phool baaloN may woh na sajaya karey

kashtiyaN sahiloN se khafa ho gayieN
na khuda se kaho ke manaya karey

kiyuN hawaiN jhagarti rehieN baam se
baat sachi humaiN wo bataya karey

neend se rooz hoti ladai hai ab
ab meray khuwab may wo na aaya karey

hai andehroN se pur raastay ye kathin
kehkashaN koii to yaN sajaya karey

pagalon mein gina jab muhabbat hui

pagalon mein gina jab muhabbat hui
mujrimon mein likha jab baghawat hui

lab hila kar kiya kia ishara bata
hum samajh na sakey aur hamaqat hui

jab sana may teri geet hum ney kaha
kiyuN laga tha tumhey ke shirarat hui

phir shru se suna dastaan-e-wafa
kiyuN humain hai gumaN ke tijarat hui

pi rehay they kabhi aankh se hum teri
kiyun bhala jam ki ab zarorat hui

Pee rehay ho yahan baat achi nahi

Pee rehay ho yahan baat achi nahi
Chal chalain maekadeh raat achi nahi

doriyuN ko karo tum tavalat aata
roz hi yuN mullaqat achi nahi

jeet jaao kabhi baazi-e-dil sanam
yuN musalsal milay maat achi nahi

chal basa ley haseeN dasht aankhoN may tu
neer ki hai jo barsat achi nahi

mat sunao humaiN dard apney sanam
zakhm khul jayeN ge baat achi nahi

kahan tak khizan mein bikharna padey ga

kahan tak khizan mein bikharna padey ga
inhi mousamon ko badalna padey ga

shab-e-vasl ka ye nasha dair tak kiyuN
sawera jo ho ga bicharna padey ga

karo na safar manziloN ki hawas may
wagarna tumhey phir bhatakna padey ga

muqadar may teray kadi dhoop jo hai
kisi din isay bhi simatna padey ga

abhi khaak ka jo ye zarra yahaN hai
usay aasmaN per chamakna padey ga

Dil ka aalam kabhi yun bataya nahi

Dil ka aalam kabhi yun bataya nahi
Mukhtasir tha fasana sunaya nahi

Raat phir chaand se guftagu jo rehi
Dair tak woh nasha phir bhulaya nahi

Rait par likh diya lafz ik jo wafa
Dair tak phir hawa ko jagaya nahi

Ik tamasha raha sahiloN ki taraf
Dobati naao ne kiyuN bataya nahi

Qais ne jo kehi ik ghazal khuwab may
Neend ney par kisi ko bataya nahi

Izn hota kabhi jo zia mangtey

Izn hota kabhi jo zia mangtey
Dard ki hum teray phir dawa mangtey

Housley ishq may hum nahi hartey
Vasl ki par nahi hum dua mangtey

Aaj kal kiyun udasi tabiyat may hai
KiyuN nahi tum khuda se khuda mangtey

muddataiN ho gayieN pi nahi dosto
har baras hum nahi ye bala mangtey

raat ke pichley pehar bulata hai woh
sooch kar ruk gaye hum ke kia mangtey

rooh par zakhm haiN is qadar hum nasheeN
chhup sakaiN is liye woh qaba mangtey

Raat bhar khuwab mein un se milna howa

Raat bhar khuwab mein un se milna howa
Jo khuli aankh to phir bicharna howa

Kis tarah ki kadi aazmaish thi woh
Anjuman may raqeeboN se milna howa

Hum khadaiN haiN usi moor par ab talak
Dena tum phir sada jo guzarna howa

Ik yehi baat hai jo samjh na sakey
kiyuN achanak se unka badalna howa

ab to aansu bhi aankhoN se behtay nahi
iss qadar chahaton mein bhikarna howa

Popular Posts