Friday, December 16, 2011

Kuch marasam puraney humain yaad hain

Kuch marasam puraney humain yaad hain
Wo Milan ke zamaney humaiN yaad hain

Munkashif raaz tha jo samajh na sakey
Sadagi ke zamaney humaiN yaad hain

Husn se ishq ney phir kaha baaz aa
Dard ke sub fasaney humaiN yaad hain

Aatish-e-dil bujhai bujhi na magar
Yaad ke par jalaney humaiN yaad hain

Aank sey jab giray ashk raqsaN rehay
Rat jagey sub puraney humaiN yaad hain

Aashanai rehi kab talak kia khabar
doriyuN ke zamaney humaiN yaad hain

jo likhey they kabhi piyar se khat mujhey
wo sitarey jalaney humaiN yaad hain

No comments:

Popular Posts