Monday, November 22, 2010

Roshan howy hazaron deep in sooni ankhon main


Roshan howy hazaron deep in sooni ankhon main
Kab sekha dil ny tery namm per dharakhna ,pata na chala

Appny hathon kassy bekhairr don chun chun ky chahat ky phool
Kab ban gay yeh pouddy tanawar darkhaat ,pata na chala

Aammar ho gay who sary pal jo saang tery guzzry
Kab nikal ky dil say ban gay rohh meri ,pata na chala

Na jee sakin gy bin tery ,sirf! Humrahi chahon teri
Kab ban gy tum meri tarapti duaon ka hissa,pata na chala

Dil bhi ek zid pe adha hai


Dil bhi ek zid pe adha hai kisi bachche ki tarah
Ya to sab kuch hi ise chaachiye ya kuch bhi nah

Ye ishq-o-muhabat un dino ki baat hai


~.-"Ye ishq-o-muhabat un dino ki baat hai"-.~ 
  ~.-"Jab makan kachey aur log sachey howa krtey they"-.~

Bebas hai insaan apni kismat ke aage


Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage, 

Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hay

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hay
Khud Bhi Jalta Hay Mujhe Bhi Saath Jalata Hay 

UsKo Manate Hove Main Khud Hi Rooth Jaun To
Phir Mere Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhe Manata Hay 

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hay
Phir Mere Sene Se Lag Ke muje donya bhula deta Hay 

Us ek Pal Ke Sadqe Me Meri To Har Khushi Qurbaan
Jab Wo Baat Karte Hove Aahista Se Muskurata Hay 

Subha Ka Sitara Lagta hay Zindgi Se Pyara Lagta Hay
Meri Bahon Me Aate Hove Jab Wo Bohat Sharmata Hay 

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hay
Guzre Hove Har Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhe Batata Hay 

Mere Bageer Kaisi Guzri UsKi Kal Ki Raat
UsKi Aankh Ka Pehla Kajal Saari Kahani Sunata Hay 

is Shehar ki Galiyun Me Mohabbat Ki Raat Jab Aati Hay
Be ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohat Aa Jata Hay 

Main UsKe Naam Ki Nisbat Se Zinda Hon Apni Zaat Me
Meri rooh me utar kar jab wo mujh me sama jata hay

Ghum Bade Aate Hai Qatil Ki Nigahon Ki Tarah

Ghum Bade Aate Hai Qatil Ki Nigahon Ki Tarah,
TuM Chhupa Ko Mujhe Aye Dost Gunahon Ki Tarah, 

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote Kyon Kar,
Dil Hi DushMan Hai Mukhalif Ke Gawahon Ki Tarah, 

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Khadi Dhoop Hai Dost,
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hai Panahon Ki Tarah,

Jinki Khatir Kabhi IlzaaM Uthaye,
Wo Bhi Pesh Aaye Hai Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah...

Sunte hain phir chup chup unke ghar mein aate jate ho

Sunte hain phir chup chup unke ghar mein aate jate ho.
Insha sahab na'haq ji ko vahshat mein uljhate ho.

Dil ki baat chhupani mushkil,lekin Khoob chhupate ho;
Ban mein danaa,shehar ke andar divane kehlate ho.

Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadab ke saath;
Aankh chura kar dekh bhi lete ho, bhole bhi ban jate ho.

Peet mein aise lakh jatan hain, lekin ek din sab nakam;
Aap jahan mein rusva ho ke, vaaz hamein farmate ho.

Ham se naam junoon ka qaim, ham se dasht ki abadi;
Ham se dard ka shikva karte, ham ko zakhm dikhate ho.

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya.

Kis qayamat ki ghaTa chhayi hai

Kis qayamat ki ghaTa chhayi hai.
Dil ki har choT ubhar aayi hai.

Dard badnaam, tamanna rusva;
Ishq rusvaai hi rusvaai hai.

Us ne phir yaad kiya hai shaayad;
Dil dhaRakne ki sada aayi hai.

Zulf-o-ruKhsar ka manzar tauba;
Shaam aur subh ki yakjaai hai.

Ham se chhup chhup ke sanvarne vaale;
Chashm-e-aaina tamashai hai.

Dil tamanna se hai kitna bezaar;
Thokarein kha ke samajh aayi hai.

Tum se 'Mahir' ko nahien koi gila;
Us ne qismat hi buri paayi hai.

Tarap uthoon bhi to zalim teri duhai na doon

Tarap uthoon bhi to zalim teri duhai na doon.
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhai na doon. 

Tere badan main dharakne laga hoon dil ki tarah;
Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunai na doon. 

Khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai;
Ke ab kabhi use ilzam-e-bevafai na doon. 

Mujhe bhi dhundh kabhi ae mahv-e-ainadari;
Main tera aqs hoon lekin tujhe dikhai na doon.

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo’n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza’n aaye tau phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee’n bhatee’n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hoo’n chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai

Mein khayaal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai

Mein khayaal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-aaenaa mera aks hai, pass-e-aaena koi aur hai 

Mein kisi ke dast-e-talab mein hoon tu kisi ke harf-e-dua mein hoon
Mein naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangta koi aur hai 

Kabhi laut aayain tu na poochna sirf dekhna bare gaur se
Jinhain raastay mein khabar huwi ke yeh raasta koi aur hai 

Ajab aitbaar-ba-aitbaari ke darmeyaan hai zindagi
Mein qareeb hoon kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai 

Wohi munsifoon ki riwayattain wohi faisaloon ki ibarattain
Mera jurm tu koi aur thaa per meri saza koi aur hai

Teri raushni meri khado-khaal se mukhtalif tu nahee magar
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai 

Jo meri riyazzat-e-neem shab ko 'Saleem' subah na mil saki
Tu phir is ke maeni tu yeh huwe ke yahaan Khuda koi aur hai ...

Chahat ke mehfil main bulaya hy kisee nay

Chahat ke mehfil main bulaya hy kisee nay,
Khud bulaa ker phir sataya hy kisee nay,
Jab tak jali hy shama jalta raha parwanaa,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hy kisee nay
Armaan mere raiza raiza ho gye hain,
Yun kil k aangan sy giraya hey kisee nay,
Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hy kisee ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kr k kisee ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hy kisee nay,
Sangdil jo tha aaj woh b ro parha
Us ko bhi tarpaya hy kisee nay,

Divaron se mil kar rona achcha lagata hai

Divaron se mil kar rona achcha lagata hai
Ham bhi pagal ho jayenge aisa lagata hai
Duniya bhar ki yaden ham se mil ne ati hain
Sham dhale is suune ghar men mela lagata hai
Kitane dinon ke pyase honge yaro socho to
Shabanam ka qatara bhi jin ko dariya lagata hai
Kis ko "qaiser" patthar maruun kaun paraya hai
Shish mahal men ik ik chehara apana lagata hai

Chiragh-e-tur jalao baRa andhera hai

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai.
Zara naqab uthao baRa andhera hai.
Mujhe Khud apni nigahon pe aitmad nahien;
Mere kareeb na aao baRa andhera hai.
Vo jin ke hote hai Khurshid aasteenon mein;
Unhein kahien se bulao baRa andhera hai.
Abhi to subh ke maathe ka rang kala hai;
Abhi fareb na khao, baRa andhera hai.


Husn ko be-hijab hona tha

Husn ko be-hijab hona tha.
Shauq ko kamyab hona tha.
Hijr mein kaif-e-iztirab na pooch;
Khoon-e-dil bhi sharab hona tha.
Tere jalvon mein ghir gaya aKhir;
Zarre ko aftab hona tha.
Kuch tumhari nigaah kafir thi;
Kuch mujhe bhi Kharab hona tha.
Raat taron ka TooTna bhi 'Majaz';
Ba'ais-e-iztirab hona tha.

Hijr ki raat Dhale na Dhale

Hijr ki raat Dhale na Dhale.
le Gham-e-janaan ham to chale.
Divane ki maut na pouch;
Ahl-e-Khirad ne haath male.
Apni lagan hai apna laag;
Kaun bure aur kaun bhale.
Duniya mein daanaa hai vohi;
Jo duniya ke saath chale.
Chashm-e-tamasha ye bhi dekh;
Phool hanse aur shaaKh jale.
BichhRe huhe dukh 'Saif' hamein;
Ro ro ke milte hain gale.

Subh ta shaam sochta hoon main

Subh ta shaam sochta hoon main.
Sau tere naam sochta hoon main.
Ye jo ek taza aag bhaRki hai;
Is ka anjaam sochta hoon main.
Saamne hai qalam bhi kaaGhaz bhi;
Aur paiGhaam sochta hoon main.
Tujh se is dil ka jo ta'alluq hai;
Us ka kuchh naam sochta hoon main.
Aik shaam-e-firaq Dhal bhi gayi;
Phir bhi har shaam sochta hoon main.
Kya sabab hai Gham-e-zamana ka;
La zara jaam, sochta hoon main.
Ab koi fikr hi nahien 'Baqi';
Bas tera naam sochta hoon main.

Kaash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota


Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Baray Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath
Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhate Mujh Ko
Or Bay Tabi Say Fursat Kay Khezaan Lamhoon Main
Tu Kese Soch Main Doobi Jo Ghumate Mujh Ko
Teray Hath Ke Khushboo Say Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karte
Teray Hontoon Ke Main Hiddat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nindoon Kay Safer Per Jate
Marmareen Hath Ka Ak Takya Banaya Karte
Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaee Bateen Karta
Teri Zulfoon Ko Teray Galoon Ko Choma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana
Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mhakta Rahta
Main Teray Jsam Kay Aangan Main Khanakta Rahta
Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota
Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Mere Khwabon ke jharokon ko sajane wali

Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali..............
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin......
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko................
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin........
Char din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahin............
Umr bhar ke liye azaar hui jaati hai........................
Zindagi yun to hamesha se pareshan si thi...............
Ab to har sans giraanbaar hui jaati hai.....................
Meri ujadi hui neendon ke shabistanon mein.............
Tu kisi khwaab ke paikar ki tarah ai hai...................
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar ai hai.....................
Kabhi ikhlaas ki moorat, kabhi harjai hai..................
Pyar par bas to nahin hai mera, lekin phir bhi............
Tu bata de ke tujhe pyar karoon ya na karoon..........
Tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhen........
Un tammannaon kaa izhaar karoon ya na karoon.......
TU kisi aur ke daman ki kali hai lekin.......................
Meri raatein teri khushboo se basi rehti hain.............
Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki kasam..............
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain.............
Tere haathon ki haraarat, tere saanson ki mehak.......
Sar'sarati rehti hai mere zahen ki pahnai mein...........
Dhoondhti rehti hain takhayeel ki bahein tujhko.........
Sard raaton ki sulagti hui tanhai mein.....................
Tera altaaf-o-karam ek haqeeqat hai magar.............
Ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho........
Teri maanoos nigahoun ka ye mohtaat payaam.........
Dil ke khoon karne ka ek aur bahana hi na ho............
Kaun jane mere imroz ka farda kya hai....................
Qurbatein badhke pashemaan bhi ho jati hain...........
Dil ke daman se lipati hui rangeen nazrein................
Dekhte dekhte, anjaan bhi ho jaati hain..................
Meri darmaanda jawani ki tamannaon ke..................
Muzmahil khwaab ki taabeer bata de mujhko.............
Tere daaman mein gulistaan bhi hain, veraane bhi......
Mera haasil, meri taqdeer bata de mujhko................
Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali..............
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin......
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko................
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin........
~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.~.

Sab maya hai sab dhalti phirti chaya hai


Sab maya hai , sab dhalti phirti chaya hai
Is ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
Jo tum nay kaha hai, Faiz nay jo farmaya hai
Sab maya hai
Haan gahay gahay deed ke doulat haath aayi
Ye aik woh lazat naam hai jis ka ruswayi
Bas us kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
Sab maya hai
Ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahien
Jab daikh liya is sooday mein nuqsaan nahien
Tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
Sab maya hai
Maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
Sab aik say hain, yeah Ranjha bhi, yeh Insha bhi
Farhad bhi jo ik nahar si khood kay laya hai
Sab maya hai
Kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoon
Jis saat samandar par ke naar ke baat karoon
Us naar say koi aik nay dhoka khaya hai?
Sab maya hai
Jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
Tum jantay ho, hum kiyonkar us ka naam likhain
Dil us ke chookhat chom kay wapis aaya hai
Sab maya hai
Woh larki bhi jo chaand nagar ki raani thi
Woh jis ke alhaar ankhoon mein hayraani thi
Aa us nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai
Sab maya hai
Jo loug abhi tak naam wafa ka laytay hain
Woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
Haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
Sab maya hai
Jab daikh liya har shakhas yahaan harjayi hai
Is shehar say door aik kutiya hum nay banayi hai
Aur us kutiya kay maathay pay likhwaya hai
Sab maya hai

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main abhi us ko shanasa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karoon
Us ko ruswa na karoon waqf-e-museebat na karoon
Sochta hoon ke abhi ranj se azad hai wo
Waqif-e-dard nahien, khoogar-e-alam nahien
Sehr-e-aish mein us ki asar-e-sham nahien
Zindagi us keliye zehr bhara jam nahien
Sochta hoon ke muhabbat he jawani ki khizan
Us ne dekha nahien dunya mein baharon ke siwa
Nik'hat-o-noor se labraiz nazaron ke siwa
Sabza zaron ke siwa aur sitaron ke siwa
Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaoon us ko
Samne us ke kabhi raz ko uryan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast-o-garayban na karoon
Us ke jazbat ko mein shola ba-daman na karoon
Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Wo muhabbat ki bhala taab kahan laye gi
Khud to wo atish-e-jazbat mein jal jaye gi
Aur dunya ko is anjam se taRpaye gi
Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main usay waqif-e-ulfat na karoon

O des say aney waley bata

O des say aney waley bata
Kis haal mein hain yaran-e-watan?
Aawara-e-ghurbat ko bhi suna
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi watan mein waise hi
Sar-mast nazarey hotey hain?
Kiya ab bhi suhani raton ko
Wo chand sitarey hotey hain?
Hum khail jo khaila kartey they, kiya
Ab bhi wo sarey hotey hain?
O des say aney waley bata
Shadab shagufta pholon sey
Ma'moor hain gulzar ab k nahien?
Bazar mein malan lati hai
Pholon k gundhey haar ab k nahien?
Aur shouq sey totey partey hain
No-umr khareedar ab k nahien?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan
Aur madh bhari ratain hoti hain?
Kiya raat bhar ab bhi geeton ki
Aur piyar ki batain hoti hain?
Wo husn k jado chaltey hain
Wo ishq ki ghatain hoti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan k panghat per
Pinhariyan pani bharti hain?
Ungrai ka naqsha ban ban kar
Sab mathey pe gagar dharti hain?
Aur apney ghar ko jatey howe
Hansti hoi chehlain karti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein
Ghanghor ghatain gonjti hain?
Sahil k ghanerey pairon mein
Barkha ki sadahien gonjti hain?
Jhengar k taraney jagtey hain
Morom ki sadahien gonjti hain?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi
Barsat ka joban hota hai?
Phailey howe Pair ki shakhon mein
Jholon ka nasheman hota hai?
Umdey howe badal hotey hain
Chaya howa sawan hota hai?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi wahan barsat k din
Baghon mein baharain ati hain?
Masoom o haseen do-shiza'ain
Barkha k taraney gati hain?
Aur tetariyon ki tarha sey rangeen
Jholon per lehrati hain?
O des say aney waley bata
Kiya pehli si hai masoom abhi
Wo madrasey ki shadab fiza?
Kuch bholey howe din guzrey hain
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi kisi k seeney mein
Baqi hai humari chah bata?
Kiya yad humain bhi karta hai ab
Yaron main koi Aah bata?
O des say aney waley bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des say aney waley bata
Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey
Rewar ko charaney jatey hain?
Aur sham k dhundhley sayon k
Ham-rah ghar ko atey hain?
Aur apni raseeli bansriyon
Mein ishq k naghmey gatey hain?
O des say aney waley bata
Akhir mein ye hasrat hai k bata
Wo gharat-e-eman kaisi hai?
Bachpan mein jo aafat dhati thi
Wo aafat-e-doran kaisi hai?
Hum dono thay jis k parwaney
Wo shama-e-shabistan kaisi hai?
O des say aney waley bata
Marjana tha jis ka naam bata
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai?
Jis per thay fida tiflan-e-watan
Wo jan-e-watan kis haal mein hai?
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan
Wo seem badan kis haal mein hai?
O des say aney waley bata
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan
Maikay mein hai ya susraal gai?
Do-sheeza hai ya aafat mein usay
Kam-bakht jawani daal gai?
Ghar per hi rahi ya ghar say gai
Khush haal rahi, khush haal gai?
O des say aney waley bata

Ruk Jao Mujhe Kuch Kehna Hai

Ruk Jao Mujhe Kuch Kehna Hai
Tumhien Pyaar Bhi Thora Dena Hai
Phir Apna Rasta chalna Hai
Jis Raste Per Chaya Bhi Nahin
Aur Tum Bhi Nahin
Bus Yaad Tumhare Saath rahe
Yun Jaise Dil Pe Haath Rahe
Kuch Dard Ka Bhi Ahesaas Rahe
Ruk Jao Ye Tuhfa Lena Hai
Bus Pal Do Pal Tum Saath Raho
Phir Beshaak Dur Chale Jaana
Phir Laut Ke Bhi Tum Na Aana
Bus Yaad Amar Ho jane Do
Aik Lambi Umer Judai Ki
Us Saath Se Pehle Katee Hai
Is Pyaaar Ke Baad Guzarein Ge
Bus Is Pal Mere Saath Raho
Aur Ye Pal Kash Teher Jae!!!...

Phir wohi main, wohi tu

Phir wohi main, wohi tu
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi baat, wohi raaz
Phir wohi din, wohi raat
Phir wohi gham, wohi aas
Phir wohi rang, wohi roop
Phir wohi agaaz, wohi anjam
Phir wohi main, wohi tu
Phir wohi jaan, wohi pahchan
Phir wohi loog, wohi khuda
Phir wohi main, wohi tu
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi yaad, wohi naam
Phir wohi pal, wohi lamhe
Phir wohi tum, wohi main
Phir wohi rothna, wohi manana,
Phir wohi paas aakar door jana
Phir wohi hansii, wohi rona
Phir wohi Raat, wohi zaat
Phir Wohi dil,wohi dharkan
Phir wohi ehsaas,wohi pyar
Phir wohi mehfil,or tere geet
Phir wohi main, wohi tu,
Phir wohi sham, wohi Tanhai

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana para

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana para.
Sham-e-tanhahi mein yadon se lipaT jana para.
Har dafha pahli shana-sahiyan na yaad aayeen use;
Har dafha apna taharruf phir se karvana para.
Reza reza ho gaye hain aaj mere Khwaab phir;
Aaj ek patthar se phir sheeshe ko takrana para.
Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana para.
Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana 'Jaleel';
Dil ke go har faisile par hameen pachtana para.

Koi ham-nafas nahien hai, koi razdaan nahien hai

Koi ham-nafas nahien hai, koi razdaan nahien hai.
Faqat ek dil tha apna, so vo mehrbaan nahien hai.
Kisi aur Gham mein itni Khalish-e-nihaan nahien hai;
Gham-e-dil mera rafiqo, Gham-e-rayegaan nahien hai.
Meri rouh ki haqeeqat mere aansuon se poochho;
Mera majlisi tabassum, mera tarjumaan nahien hai.
Kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro;
BaRi dhoop paR rahi hai, koi sayebaan nahien hai.
Inheen pattharoon pe chal kar agar aa sako to aao;
Mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahien hai.

Dil mein ek lehar si uthi hai abhi


Dil mein ek lehar si uthi hai abhi.

Koi taza hava chali hai abhi.



Shor barpa hai Khana-e-dil mein;

Koi divar si giri hai abhi.



Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;

Aur ye choT bhi nayi hai abhi.



Bhari duniya mein ji nahien lagta;

jaane kis cheez ki kami hai abhi.



Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;

Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.



Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;

Teri aavaz aa rahi hai abhi.



Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;

Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.



So gaye loug us haveli ke;

Ek khiRki magar khuli hai abhi.



Tum to yaro abhi se uTh baiThe;

Shehar mein raat jagti hai abhi.



Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';

Gham na kar zindagi paRi hai abhi.

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon, har cheez muqabil aa jaaye.
Manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye.
Kashti ko Khuda per chhoR bhi de, kashti ka Khuda Khuda hafiz hai;
Mushkil to nahien in maujoon mein, behta huva saahil aa jaaye.
Ae dil ki lagi chal yuon hi sahi, chalata to hoon unki mahfil mein;
Us vaqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mahfil aa jaaye.
Ae rahbar-e-kamil chalane ko, tayar to hoon par yaad rahe;
Us vaqt mujhe bhaTka dena, jab saamne manzil aa jaaye.
Haan yaad mujhe tum kar lena, aavaz mujhe tum de lena;
Is rah-e-muhabbat mein koi, darpaish jo mushkil aa jaaye.
Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam;
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.
Is jazba-e-dil ke bare mein, ek mashvara tum se leta hoon;
Us vaqt mujhe kya lazim hai, jab tujh pe mera dil aa jaaye.
Ae barq-e-tajalli kya tu ne, mujhko bhi Moosa samjha hai;
Main toor nahien jo jal jahoon, jo chaahe muqabil aa jaaye.

Ek umr se Khamosh hain divar ki surat

Ek umr se Khamosh hain divar ki surat.

Yeh bhi to muhabat mein hai izhar ki surat.



Is Khauf se main band kiye baitha hoon aankhein;

Ho ghar mein mere phir na shab-e-taar ki surat.



Jaane vo kahaan dafn hohe phool se jazbe;

Ab haath bhi malte hain to talvar ki surat.



Surat hai kuch aisi ke mere charagaron se;

Dekhi nahien jaati tere beemar ki surat.



Un se to 'Asad' kuch na huwa raah-e-vafa mein;

Ab tum hi nikaalo koi Aisar ki surat.

Popular Posts