Saturday, May 1, 2010

CHAMAN KI MEHAKTI KALIYON SE

CHAMAN KI MEHAKTI KALIYON SE

ASMAN KE CHAND SITARON SE

BAHARON SE KHIZAON SE

ZAMEEN KE KUCH NAZARON SE

SAHIL SE SAMANDAR SE

BEHTEY ABSHARON SE

ZAMANE SE GHATAON SE

JAHAN KI HAR PARWAZON SE

MUJHY SIRF ITNA KEHNA HAI

MUJHY SIRF  TUM SE MOHABBAT HAI

SIRF TUM SE

kubi yaad aoo to is tarah

kubi yaad aoo to is tarah
kay lahoo k sari tamazatayn
tumhayn dhoop dhoop may samayt layn
tumhayn huraf huraf may soch layn
tumhayn daykhnay ka jo shok ho
to dayaar hijar k teergi ko
mizra k nook say noch layn
kabi yaad aao to is tarah
k dilo nazar may utar sakoo
kuie hud say hzada janoon barhay
to hawais bun kur bikharr sakoo
kubi khill sakoo shab e wisal mayn
kubi khonay dil may sanwer sakoo
mayray zakham phir say gulab hon
kubi muskaorao to iss tarah
mayra durd ban kay gazal banay
kubi gungunaon to iss tarah
mayri dharkunayn bi laraz uthayn
kubi chot khaoo to iss tarah
jo ye nahi to baray shok say
subi rabtay subi zabtay
kubi dhoop chaaon may tor do
na sunno kissi ka azabay jan
na kissi say apni khalash kahoo
yon khoosh raho yon khoosh rahoo
na ujar sukayn na sanwer sakayn
kubi dil dukhaoo to iss tarah
na simit sakain na bikhar sakayn
kubi bhol jao to iss tarah
kisi toorjan say guzar sakayn
kubi yad aao to iss tarah ..........

Khuwab Sahary Tu Hain Door Aaj Hain

~*`Khuwab Sahary Tu Hain Door Aaj Hain ,

Yaad Atay Tou Hain
Khawab Udhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain

Aaj Bhi Meri Rahien Rokti Hian
Yaadein Teri Daman Kheenchti Hain
Bhool Chukay Hain Jo Hamay ,
Yaad Atay Tou Hain

Sadyion K Faslay ,
Aaj Hain Dermiyan
Ho Jayien Mager Jitni Bhi Dooriyian
Aap Jahan Bhi Rahein ,
Aap Hamaray Tou Hain
Khawab Adhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain

Janay Kab Phir Milay Tere Mere Rastay
Saath Tootay Nahi , Yaad Itna Rahay
Raat Dhalni Hai ,
Ujalay Anay Tou Hain
Khawab Udhuray Sahi ,
Khawab Saharay Tou Hain!

Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n

"Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n
jins-e-ulfat kaa talab_gaar huu.N mai.n

ishq hii ishq hai duniyaa merii
fitanaa-e-aql se bezaar huu.N mai.n

chhe.Datii hai jise mizaraab-e-alam
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huu.N mai.n

aib jo haafiz-o-Khayyaam me.n thaa
haa.N kuchh is kaa bhii gunah_gaar huu.N mai.n

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam
zindagii hai to gunah_gaar huu.N mai.n

merii baato.n me.n masiihaa_ii hai
log kahate hai.n ki biimaar huu.N mai.n

ek lapakataa huaa sholaa huu.N mai.n
ek chalatii hu_ii talavaar huu.N mai.n

Ashk palkoon mein aa nahi saktay

Ashk palkoon mein aa nahi saktay
Dil mein hai teri aabroo ab bhi
Tujhse roshan hai kainaat meri
Tere jalway hain chaarsoo ab bhi
Apne gham khaana takayyul mein
Tujhse hoti hai guftugoo ab bhi
Tujhko veeran-e-tassavur mein
Dekh leta hoon roo-ba-roo ab bhi
Ab bhi mein tujhko pyar karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Bewafai ki ab to inteha ho gayi

Bewafai ki ab to inteha ho gayi
Be panha chahat meri ab saza ban gayi

Bujh gaye diye mere pyar ke
Meri ulfat ghamon ki nazar ho gayi

Tha sheeshey ki tah per banaya gharonda
Usse dil jalon ki nazar lag gayi

Thi safar main saath kissi ki yaadien
Raastien main kahiin who bhi kho gaien

They hum kitney khush jab saath they tum
Ajj main bhi maut ki nazar ho gayi

Ujar gaya har raasta manzil kho gayi
Shayad Sahil ki taqdeer so gayi

Sochoon Tu Woh Sath Chal Raha Hai

 Sochoon Tu Woh Sath Chal Raha Hai
Dekhoon Tu Nazer Badal Raha Hai

 Kyun Baat Zabeen Say Kah Kay Koee
DIL Aaj Bhi Hath Mal Raha Hai

 Ratoon Kay Safer Main Waham Sa Hai
Yah Main Hoon Kah Chaand Chal Raha Hai

 Ham Bhi Teray Badd Jee Rahay Hain
Or Tu Bhi Kahi Behal Raha Hai

Samjha Kay Abhi Gaee Hain Sakhyaan
Or DIL Hai Kah Pher Machal Raha Hai

 Phele Se Woh Roshni Nahi Ab
Kia DARD ka Chaand Dhal Raha Hai

Tumhyn Kis Qadar Hai Caha

"~*~Tumhyn Kis Qadar Hai Caha~*~"Ye Jo Zeist Ka Safar Hai

Ye Jo Rasta Hai Mera
~*~~*~~*~
Tum Aagar Na Sath Do Gy
To Ye Kis TArhan Katy Ga
~*~~*~~*~
Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Keasy Aay
~*~~*~~*~
Koi Pal Bina Tumhary
Bhala Keasy Beit Jay
~*~~*~~*~
Mery Pas Tum Nahin Ho
Mery Pas Kab Nahin HO
~*~~*~~*~
Meri Yaad Key Nagar Mein
Mery khuwab Key Safar mein
~*~~*~~*~
Meri Soch Ki Tahoon Tak
Meri Aankh Key Bhanwar Mein
~*~~*~~*~
Mery Dil O Jaan Mein Tan Mein
Meri Hasratoon Key Ban Mein
~*~~*~~*~
Mery Dil Ki Teirgi Mein
Meri Shab Ki Roshni Mein
~*~~*~~*~
Haan Tumhin Ho,Har Kahin HO
Mery Pas Tum Nahin Ho
~*~~*~~*~
Mery Pas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mhwar
~*~~*~~*~
Bas Aik Aarzoo Tumhari
Aes Aarzoo Key Aagy
~*~~*~~*~
Koi Rasta Nahin Hai
Tumhyn Kis Qadar Hai Caha
~*~~*~~*~
Ye Tumhyn Pata nahin hai!!!

mere hum nafaz mere hum nawa mujhe dost ban ke dagha na de

"mere hum nafaz mere hum nawa mujhe dost ban ke dagha na de
may hoon dard-e-ghum se jaan balab mujhe zindagi ki dua na de

may gham-e-jahan se nidhal hoon ke srapaye huzn-o-malaal hoon
jo likhe hain mere naseeb may wo alm kisi ko khuda na de

na yeh zindagi meri zindagi na yeh dastan meri dastan
may khayal-o-wehem se door hoon mujhe aaj koi sada na de

mere gher se door hain rahatein mujhe dhoondti hain musibaten
mujhe khauf yeh hai ye ke mera pata koi gardishon ko bata na de

mujhe chhorde mere haal per tera kiya bharosa aye chara ger
teri yeh nawazish mukhtasir mera derd too aur barha na de

mera azam itna buland hai ke paraye sholon ka dar nahi
junaid ka khauf aatish-e-gul se hai ke yeh hi chaman ko jala na de

Meri to apni bi sab wafaein ajeeb si hein

Meri to apni bi sab wafaein ajeeb si hein
Mohabaton mein yeh entahaein ajeeb si hein

Qabuliat ke tamaam raste khule hein lekin
Mere laboon pe sabi duwaein ajeeb si hein

chraag mein ne jala diye hein mundeer par bi
Yeh bat alag he k sab hawaein ajeeb si hein

Jo us ne muj ko nahi bulaya to roo diya mein
Ajeeb hoon mein,meri anaein ajeeb si hein

Use mana kar kesi bhane se ruth jana
Phir us ka kehna k ye adaein ajeeb si hein

Isi pe rehte to thik rehte k saad ham ne
Jo ki hein tajveez sazaein ajeeb si hein

Hum ek nahi sau-sau raat jaage hain unke intazaar mein

Hum ek nahi sau-sau raat jaage hain unke intazaar mein

Lagta hei ek sau saal ka wakt aur lage ga unke ikraar mein




Koi baat nahi yeh unki marzi hai, kabh pyaar karna

Jaan kar bhi anjaan bane mera dil kyon aas rakhta hai bekaar mein



Unki aankhon mein madhoshi hai labho pe halki si hansi bhi

Inhein apnaane ka mauka de de, kaash humein is jiwan ke safar mein



Woh sochte hain ki sirf mere geeto main base hue hain woh

Par meri dharkan ke maalik hain woh har pal base hue hain nazar main



Kyon itna pyaar karte hain tumse, kya baat hai tum main

Aakhir kyon ho rahe hain nisaar tum pe, sochti hoon aksar main

mere humnaseen mere hum-nawa odass na ho

"mere humnaseen mere hum-nawa odass na ho

kathan sahi tere manzil magar odass na ho





har aik talash k rastay mein mushkilain hain magar

har aik talash muradoon k phool lati hai

hazaroon chand sitaroon k khoon hota hai

tu aik subh ojaloon mein muskurati hai





kadam kadam pe chatanain kahri rehin magar

jo chal nikaltay hain wo drya phir nahi ruktay

hawain jitna bhi takrain andhiyan ban ker

magar ghatoon k par-chaam kabhi nahi jhuktay




jo apna khoon ko pani bana nahi saktay

wo zindagi mein naya rang la nahi saktay

jo rastoon k andheron sa haar jatay hain

wo manziloon k ojaloon ko paa nahi saktaay

Udass Shamoon Main Talkh Batoon Main

Udass Shamoon Main
Talkh Batoon Main
Zindagi kay samandar ki khoni moojon main
khawabon kay sahilon per
majborion kay toofano main
khahishon ki kishti main
baithey pur ummed musafroon ki
muskurahatoon ko kabhi gor say daikho
shikasta dil logon ki khilkhilhaton main karb kikirchion ko kabhi gor say daikho
khusion kay jazeray par gham kay samandar ko kabhi gor say daikho
khawabon ki khirkiyon say
haqiqaton kay shajar ko kabhi gaor say daikho.

Wo shaks hum se bhulaea na gaya

Wo shaks hum se bhulaea na gaya
Ek pathar raaste se hataea na gaya

Azmaeshon me tamam dukh dab gae
Magar us ka dukh kahin chupaea na gaya

Abshar tasawur me ek ansoo kya girra
Waesa mahol hum se sajaya na gaya

Kisi parinde ki tarha thaka hara hun main
Tuta jab ashiyana phir banaya na gaya

Hoslon me pehli si takat na rahi
Khud apna hi boj uthaya na gaya

Mohabat ki bazi me har chuka hun
Yeh sakhan dil ko samjhaya na gaya

Inhi raaston par katte gi umar apni
Mujhe jis manzil ka patta bataya na gaya

Kisi ki Yaad mein palke zara bhago lete hain

Kisi ki Yaad mein palke zara bhago lete hain
Udas raat ki tanhai me roh lete hain

Dukhon ke bhoj akele nahi sambhalta
Kahin wo milte to us se lipat kar roh lete hain

Agar safar mein hamara bhi humsafar hota
Badi khushi se inhi patharo par soh lete hain

Yeh kya ke roz wohi chandni ka bistar ho
Kabhi dhoop ki chadar bacha kar soh lete hain

dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaa.N larzaa.N hai.n

dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaa.N larzaa.N hai.n
terii aavaaz ke saaye tere ho.nTho.n ke saraab
dasht-e-tanhaa_ii me.n duurii ke Khas-o-Khaak tale
khil rahe hai.n tere pahaluu ke saman aur gulaab

uTh rahii hai kahii.n qurbat se terii saa.Ns kii aa.Nch
apanii Khushbuu me.n sulagtii hu_ii maddham maddham
duur ufaq par chamakatii hu_ii qatraa qatraa
gir rahii hai terii dil_daar nazar kii shabnam


us qadar pyaar se ai jaan-e jahaaN rakkhaa hai
dil ke ruKhsaar pe is vaqt terii yaad ne haath
yuu.N gumaa.N hotaa hai garche hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga_ii vasl kii raat

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day

shaam ke sanwle chehre ko nikhara jaye

shaam ke sanwle chehre ko nikhara jaye
q na sagar se koi chaand ubhara jaye  

raas aya nahi taskeen ka sahil koi
phir mujhe pyas ke daria mein utara jaye  

meharaba'n teri nazar, teri adayein qaatil
tujhko kis naam se ae dost pukara jaye  

mujhko dar hai tere wade pe bharosa kar ke
muft mein ye dil-e-Khushfehem na mara jaye  

jiske dam se tere din-raat darakhshaa'n the "Qateel"
kaise ab us ke bina waqt guzaaraa jaaye

Dil Se Ager Kabhi Tera Armaan Jayega

Dil Se Ager Kabhi Tera Armaan Jayega
Ghar Ko Laga K Aag Yeh Mehmaan Jayega 

Sab Hongey Us Sey Apni Tarif Ki Fiker Main
Mujh Ko Meray Sakut Sey Pehchan Jayega 

Is Kufr-e-Ishaq sey Mujhay Kiyon Roktey Ho
Emaan Walo ! Mera Hi Emaan Jayega 

Aaj Us Sey Main Ney Shikwa Kiya Tha Shirartun
Kis Ko Khaber Thi Kay Itna Bura Maan Jayega 

Ab Us Muqaam Per Hain Meri Beqarariyan
Samjhaney Wala Khud Hi Preshan Ho Jayega 

Duniya Pay Aesa Waqat Bhi Ayega faysal
Insaan Ki Talash Main Insaan Jayega

Jo Na Mil Saka Wo Bewafa

Jo Na Mil Saka Wo Bewafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Aa saka Rah Mein Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justujoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar ,Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Meri Talassh Hai
Wohi Dard Mera Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai

mere dil ki rahoon main aa kar to dekho

mere dil ki rahoon main aa kar to dekho
mohabat k diye jala kar kabhi to dekho
mere dil main zara jhank kar kabhi to dekho
mere dil ki rahain tere muntazir hai
kabhi in rahon main aa kar to dekho
mere mohabbat sepe ki manind bekimat pari hai
kabhi barish ka pehla qatra ban kar to dekho
mujhe meri mohabbat mile gi zaroor
kabhi is yaqeen ka bharam rakh kar to dekho
mere sabar ka imtihan aur na lo
bas aik
aik baar mere samne aa kar to dekho
milain gye tujhe wafaon k naghme
mere dil ki dharkan ban ke to dekho
main tujhe door asmaan par chand ki manind chamakta dekhti hoon
kabhi asmaan se mere dil ki zameen par utar kar to dekh
yeh wade wafain,yeh anson yeh khushiyan tarap yeh kasak
mohabbat ka mafhoom samajh kar to dekho
main apni mohabbat ki sachai ka yaqeen dilaon to kaise
kabhi KHUDA se mere mohabat k bare main pooch kar to dekho

Mujh se ziyada agar tumein Koi Chahe To

Mujh se ziyada agar tumein Koi Chahe To
mere haathon se apna hath chura laina
apne daman se meri umeedain
mere sajdoon se apna sar hata laina
mujh se ziyada agar tumein Koi Chahe To..
tor daina pyaar ki zanjeerain
mita laina apne haathon se lakeerain
meri Ankhoon se apne Khawaab
khawaboon se meri tasveer Mita laina
magar shart yeh hai
mujh se ziyada agar tumein koi Chahe To..

Najaney Kiyoon Mera Kajal

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai

Main Roi To Nahi Hoon......

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak

Main Roi To Nahi Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo

Main Roi To Nahi Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai

Main Roi To Nahi Hoon......
Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho

Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin

Main Roi To Nahin Hoon.....

Tum apni ranj-o-gam, apni pareshaani mujhe de do

Tum apni ranj-o-gam, apni pareshaani mujhe de do

Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main

Bura kya hai, ye hairaani, ye dukh, mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,

Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai,

Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do

Aankhoon main raha dil main uter kar nahi dekha

Aankhoon main raha dil main uter kar nahi dekha
Kashti kay musafer nay sumander nahi dekha 

Bay waqt ager jaon ga sub chonk paray gay
Ak umer hoe din main kabhi ghar nahi dekha 

Jis din say chala hoon meri manzel pey nazer hay
Aankhoon nay kabhi mail ka pather nahi dekha 

Yah phool mujhay warasat main melay hain
tum nay mera kantoon bhara bister nahi dekha 

Mahboob ka ghar ho ya buzurgoon ke zameen
Jo choor dia pher usay mur kar nahi dekha 

Khat easa likha hay kah nageenay say juray hay
In hatoon nay lakin koe zever nahi dekha 

Pather mujhay kahta hay mera chahanay wala
Main moum hoon us nay mujhay choo kar nahi dekha 

Wo meray masaael ko samaj hi nahi sakta
Jis nay meri aankhoon main sumander nahi dekha

wo dil hi kia jo tere milney ki dua na karey

wo dil hi kia jo tere milney ki dua na karey.
main tujh ko bhool ker zinda rahoon khuda na karey.

rahey ga saath tera pyaar zindagi ban ker.
yeh aur baat hai zindagi mere wafa na karey.

yeh theek hai nahi marta koi judaii main.
khuda kisi ko kisi se mager judaa na karey.

ager wafa per bharosa rahey na dunya ko.
to koi shaqs muhabbat ka hosla na karey.

suna hai muhabbat uss ko duaian dete hai.
jo dil pe chot khaye mager gilla na karey.

bhuja diya naseebon ne mere pyaar ka chand.
koi diyaa mere palkoon pe ab jala na karey.


raho ga sath teray zindag baar ye wada raha
ye bhat or hai zindagi mere muje se wafa na karey

Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga

Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga

Usse mujh se kyun gila mujhe sochna parhe ga

Dil e muztarib hua hai teri yaad se gurezaan

Yeh maqaam kaun sa hai mujhe sochna parhe ga

Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai

Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhe ga

Dar -e- Dil pe di hai dastak sahb -e- intezaar kis ne

Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga

DIL KA HAL BATAON KAYSA HAI

DIL KA HAL BATAON KAYSA HAI
JAYSAY KHIZAN K MOUSAM MAYN
JAYSAY ZURD PATON KA GIR JANA
JO KABI POCH LIYA KISI MEHARBAN NAY
BATAO TO KIA HOA
KAYSAY CHUPA PAON GA MAYN
AANKH KA AANSON SAY BHAR JANA
MAYN HAIRAN HON
K MAYN ZINDA HON
ITNA BI ASAN NA THA
ZINDAGI MAYN MOUT SAY GUZAR JANA
KOI MUJHAY SAMAYTAY GA TO KAISAY
KISI NAY DAYKHA HI NAHI
MAYRI ZAT KA KIRCHIYON MAYN BIKHAR JANA

Tha aik zamana jab muje us say pyaar thaa

Tha aik zamana jab muje us say pyaar thaa..Ankhoon mein nasha thaa dil mein khumaar tha..Os ka wajoud...Os ki hansi...Os ki bathein..Dil mein thi..Sawan ki rutoon mein dil bay qrar tha..mein us say keh na saka dil ki baat kabhi..Najanay mery demagh per kia sawar tha..Main us say keh bhi detha tho kya faida tha...Hamaree rahoon mein fasla bay shumaar tha..Ajj bhi jab hota hai os ka ziker mery samnay...Dil kehtaa hai wohi teraa pehlaa pyar tha..Ajj woh apni zindagi mein magan hai roza..Kabhi mein us ko panay k liye tiyaar thaa.....

zamin se arsh pe tare uchalne wale

zamin se arsh pe tare uchalne wale
bhanwar se nooh ki kashti nikalne wale

ahad hai wahid wahi-o-wahab-o-wajid tu
tamam bandishen lamhon mein talne wale

karam,kareem tera har taraf karan ta karan
aae aab nisiyan ko gohar mein dhalne wale

majeed-o-majid-o-mabood aur mueed hai tu
hamara paker khaki sunwarene wale

qadeer qadir-o-ghaffar-o-awwal-o-akhir
nizam-e-shams-o-qamar ko sanbhalne wale

mila ke abb mein khak-o-hawa-o-aatish ko
phir is khamir ko banda pukarne wale

zamin pe sabza ki chadar bichai kun keh ker
aae farsh-e-khak ki kismat nikharne wale

shikam mein sang ke deta hai rizq keere ko
hajar shajar ko parindon ko paalne wale

banaya ashraf makhlooq tu ne faysal ko
farishte ho gae sajda guzarne wale

aj jub badlioon ney asmann ko

aj jub
badlioon ney asmann ku
dhanp ker
ujaley ku achanuk
andherey mein badal dia
tu
mujhey yeh ehsas hua
keh jub teri yaad key
bey-e-durd lumhey meray dil per cha jatein hein
tu meray wajood mein yeh andehra sa kyun cha jata hey
tu jana furk sirf ittna hey keh
badal zameen per chhatein hein
or teri yaar keh pal mujh per chhatein hein
teri yaad key woh zalim pal
mujhey
pagal ker jatein hein

Musafir to bichartey hein,rafaqat kab badalti hai

Musafir to bichartey hein,rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahtey hein,tumhi say pyaar kartey hein
yehi barsoun say adat hai aur adat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
jo pathar pay likhi jaye, ibarat kab badalti hai

kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hai
yehi kanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pay naqash kar jaye aur aankon mein simat aye
alamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaha,ussey pooja,yehi toqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hai

woh keh ke chale Itni Mulaqat Bohat Hai

woh keh ke chale Itni Mulaqat Bohat Hai
Main Ne Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohat Hai 
Aansoo Mere Tham Jayen To Phir Shoq Se Jana
Aise Main Kahan Jao Gye Barsaat Bohat Hai
Woh Kehne Lage Jana Mera Bohat Zerori Hai
Nahi Chahti Dil Toron Tera Par Majbori Hai
Gar Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Ne Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohat Hai
Samjh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kehna Zerori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zerori Nahi
Phir KAbhi Na Aaon ga Tumhari Zindagi Mein Lot K
Sari zindagi Tanha Kaatne Ke Liye Aj Ki Raat Bohat Hai

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,
Ulfat Nakaam Ho Jaane Se Darr Lagta Hai.


Nahi Hai Mumkin Jeena Tere Bin,
Tujh Bin Mar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Kise Hai Fikr Duniya Ki, Zamaane Ki,
Tere Mukar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Nahi Koi Aarzu Zindagi Me Tere Siwa,
Tujhse Bichhar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Tujh Bin Saansein Haraam, Dhadkan Gunaah,
Tujh Bin Jeeye Jaane Se Darr Lagta Hai.

Meri Zindagi Ki Zaroorat Ho Tum

Meri Zindagi Ki Zaroorat Ho Tum
Chaha Hai Dil Ney Jis Ko ....
Woh Chahat Ho Tum
Manga Hai Dil Nay Jis Ko
Woh Khahish Ho Tum

Mehkaya Jis Nay Zindagi Ko
Woh Khushbo Ho Tum
Ankhon Main Basnay Wala
Aik Haseen Khaab Ho Tum

Dil Main Dharaknay Wali
Woh Dharkan Ho Tum
Mera Dil Bhi Ho.....
Meri Jaan Bhi Ho
Mera Piyaar Bhi Ho Tum....

Uski bay rukhi ka Malal to raha

Uski bay rukhi ka Malal to raha
Kuch pal ka sahi Wisal to raha

Samnay na raha Dil mein to raha
Usay hamara itna Khayal to raha

Chot laganay aata raha lout kar
Us say rabita Bahal to raha

Kiya thi mohabat khata hamari
Dil say yehi Sawal to raha

Pehlay dil ko phir jaan ko laga
Rog laganay ka Kamal to raha

Jab sey taerey naam ker di zindagee achee lagi

Jab sey taerey naam ker di zindagee
achee lagi
Taera naam achaa
laga,taeree khushee achee
lagi
Taera paeker,taeree
khushbu,taera lehja,taeree
baat
Dil ko taeree guftagoo ki
sadgee achee lagi
Taerey qadmon
ki dhanak phaelee chaar
soo
Taeree basti ki mujhey her
gali achee lagi

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh
Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh
Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh
Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi
Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai
Dard kitne hain bata nahin sakta
Zakhm kitne hain dikha nahin sakta
Ankhon se samjh sako tu samjh lo
Ansoon gire hain kitne gina nahin sakta

Udaas Shameen, Ujrey Rastey, Kabhi Bulain To Lout Aana

Udaas Shameen, Ujrey Rastey, Kabhi Bulain
To Lout Aana
Kisi Ki Ankhon Main Rangoon K Azab Aen
To Lout Aana
Abhi Nai Vadiyan Naey Nazaron Main Reh Lo
Mager Meri Jaan...!!!
Yeh Sarey Aik Aik Kar K Jab Tumhin Chor Jain
To Lout Aana
Jo Shaam Dhaltey Hi Apni Apni
Panah Gahon Ko Loutay Hain
Ager Woh Panchi Kabhi
Dastaan Sunain
To Lout Aana
Naye Zamano Ka Qarb Orrey
Zaief Lamhey, Nidhaal Yaadien
Tumharey Khaboon K Band Kamrey
Main Ager Jo Aaen
To Lout Aana
Ager Andheron Main Chor Ker Tum Ko
Bhool Jain Tumharey Saathi
Aur Apni Khatir Hi Apny Apny Diyey Jalen
To Lout Aana
Meri Woh Batin Jin Pay Beikhtiar
Tum Hanstey Thay Khilkhila Ker
Bicharny Waley Meri Woh Batin Kabhi
Tum Ko Rullaen
To Lout Aana
Bicher Kay Mujh sey Arien
Kabhi Udaas Ho To Lout Aana
AkelayPan Ki Udaas Raatin
Na Kut Saken To Lout Aana
Parraye Logon Main Kon Tum Ko
Siwaye Meray Manna Sakey Ga
Kissi se Yun Mazaq Ya Jhagrey
Main Routh Jao,
To Lout Aana

Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say

Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apno Say Choot Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say

to jo na thi to is duniya nay bikharna sikha

to jo na thi to is duniya nay bikharna sikha
tayray any say duniya nay badalna sikha
to jo chalta to hawaoon nay bi chalna sikha
to jo rukta to samander nay bi rukna sikha
to jo hansti to in qalio nay mahakna sikha
tayri baton say in pholoin nay bi khilna sikha
ankh nay yad kia ashkqo nay bayhna sikha
tujko hi soch k roty hoay nay hansna sikhaa
logon nay tujhko jo daykha to sanwarna sikha
tujhko hi daykh k shishy nay chatakhna sikha
ghusa baadal nay jo daykha to garajna sikha
jhom kar phir tujay taron nay manana sikha
to jo sojati to mosam nay bi dhalna sikha
ankh khuljati to soraj nay nikalna sikhaa
chaha tujhko to mohobat nay bi palna sikha
daykh k chahra tayra dil nay dharakna sikha
zulf bikhri to ghataon nay bi ana sikha
tayray ronay pa to badal nay barasna sikha
aj sani tujhko batata hai kia isnay sikha..
sach to phir ye ha tujhay daukh k likhna sikha

Dil tou Tuta hai .. magar abhi tak zinda hoo

Dil tou Tuta hai .. magar abhi tak zinda hoo ...
Dil tou Dukha hai .. magar abhi tak zinda hoo ...

Abhi aur .. dard khane ke .. takkat hai ..
abhi aur ruswa honey ke himmat hai ...
abhi na rukh na .. humare humdam .. abhi tak jaan baki hai .. sans chal rahey hai ...
Dekhtey hai .. kab tak hummey azmaye gey ...
Dekhtey hai .. kab tak hummare imtehaan aur .. le gey
eik din woo aye ga hum .. na hongey ...
eik din woo aye ga .. jaha .. ehsas hoga ...
bejaan si ho jaye gey hummare ankhey ...
bejaan si ho jayeh gey hummare sapney
Hum ne .. socha tha zindagi mei tumhey paya ... magar .. ab yeh dekhtey hai paa kar bhi kiya paya ?
aur bhi duniya mein mil jaye gey chane waley ...
lekin .. jaha woo hongey .. humm na hogey

ab kiya dhoondtey hai tumhare ankhey .. ??
Jo app ke liyeh eik khel tha us ke liyeh .. Duniya hi eik khel ke meidan ho gai ...

yeh rog bhi esa ke kuch na keh paye ...
duniya bhi chor gai t ou .. tarastey huwee ke ..
kash aj bhi hummey woo keh jaye

jo barsoo se sun ne ke liyeh taras gai t hey ...
ke haan tum se pyar hai .. ke haan tum se pyaar hai ...

Jhootii ankhey dildar ke ... kabhi sakoon na dey paaya ...
hum bhi eik hawas ko .. pyar samaj baithey ...

Zamana unhey galat na .. samjhey ..
humey he dil lagana nai aya ...
Umeed kar baithe us ko ...
jo sadiyoo se na tha humara ...
jan kar be .. anjaan bane rahey ...
ke shayed .. es dil ko bhi .. chain aye
Dil bad kismati thi humari ..
app kabhi humare na ho paye ...

kabhi .. yaad kar li jiyehga hummey ...
zindagi ke .. har safal .. rahoo mein ..
ke koi tha .. kabhi .. itna pagal
ke app se pyaar karne .. ke .. galati kar baithey

Ab tou yeh he Duwa hai ..
Ke Agar duniya mein Khudha hai ...
sansey hummari .. abhi .. rukh jaye ..
na jee saktey hai un ke sath na un ke begair
ab tou buss zindagi ke .. chah na rahi dil mein!

Tumhari yaad arahi hai, pal pal roola rahi hai

Tumhari yaad arahi hai, pal pal roola rahi hai
meri tanhie bhi aj bohat sata rahi hai

rastay bhi hain ab sunay,der bhi hain veran
khamoshi bhi aj tum ko khud hi pokar rahi hai

tumhari har baat say mehsoos kuch un hota hai
jasay kisi phool ki khushboo sara alam mehka rahi hai

tumhari yaadoon kay saharay din raat ghuzartay hain
jasay andehray main kahin roshni jagmaga rahi hai

qadam qadam par muj ko ehsas yeh hota hai
jasay koi manzil khud mujay bola rahi hai

"ab to aksar mujay ghoman kuch un hota hai
Hawa bhi jasay us say mil kar pegham wafa kay la rahi hai

duusaro.n ko hamaarii sazaaye.n na de

duusaro.n ko hamaarii sazaaye.n na de
chaa.ndanii raat ko bad-duaaye.n na de

phuul se aashiqii kaa hunar siikh le
titaliyaa.N Khud ruke.ngii sadaaye.n na de

sab gunaaho.n kaa iqaraar karane lage.n
is qadar Khubasuurat sazaaye.n na de

motiyo.n ko chhupaa siipiyo.n kii tarah
bevafaao.n ko apanii vafaaye.n na de

mai.n bikhar jaa_uu.Ngaa aa.Nsuuo.n kii tarah
is qadar pyaar se bad-duaaye.n na de

Muhabbat se daman churana nahi

Muhabbat se daman churana nahi”
Kabi chor kr mujhko jana nhi”
Kaha tha dilse muhabbat na krna”
Magar baat meri yeh mana nhi”
Tumhy dil diya hai hifazat se rakhna”
Kabhi isko thokar lagana nhi”
Koi baat tumko jo meri na bhaye”
Khudara bura tm manana nhi”
Koi baat hojaye kesi b isko””
Tum masla ana ka banana nhi”
Ho mujhse shikayat to mujhse hi kehna”
Kisi ghair ko tum batana nhi.

meri zindgi hi mujhe azaab lagti hai

meri zindgi hi mujhe azaab lagti hai,
aankh me ashkon ka sailaab lage.
tere husn ka sani duniya me nahi koi,
chehra tera mujhe khilta gulaab lage.
kya zarurat hai tumhe parde ki,
tere qesu hi sanam tera naqaab lage.
kyon toden teri kasmon ko mahkhane jakar,
jab in aankhon ke ashq hi mujhe sharab lage.
kya khabar teri inyaten hain kitni mujhpar,
zakhmo ko ginu to kuch hisaab lage.
yoon to kai roop saje the rahon me,
dekha to har shakhs me janaab lage…….

Zindagi main meri ye ajab morr hai aya

Zindagi main meri ye ajab morr hai aya
who shaks bhi kho gaya jisey tha mudaton main paya

uss ka masoom sa chera meri nigahon ko bhaya
iss pasandeedgi ney to isqh ka hai rogg lagwaya

kabhi jo hasney hasaney ki baat kerta tha mujh sey
aaj us ki narazgi ney mujhey betahasha rulaya

who na mana to pall main bikher jaongi main
dill hota hai who gher jo ujra to kissi ney na basaya

uss ki udassi per dil ko na kiuon udaas karoon
jee ney merey bhi to hai ussey shidat sey caha

is qader aadat hogaee hai mujhey us ki
kano main ahat aati hai, nazar aata hai deewaar per saya

khayaalon main tazaad baton main kafgi agaee hai
darr lagaq hai mann ko kahin who ho jaey na paraya

samney labb uss key khamosh hojatey hain faysal key
warna tasawur main tha main ney usey khub manaya

pyaar kar ke jo wafa karte hain

pyaar kar ke jo wafa karte hain
aese kam log mila karte hain

kyun woh khud hum se nahi keh dete
aur logon se gila karte hain

hum se milne ko wo ajaye kabhi
har ghari yehi hi dua karte hain

chahate hai unhe ji jaan se hum
bas yehi ek khat likha karte hai

tum karam karo yaa sitam karo hum gila nahi karte
khizaaon main phool yakinana khila nahi karte

mila do khak main khiyaal rahe itna
hum jaise log dubara mila nahi karte

Popular Posts