woh jo aa jaate thay aankhon mein sitaare le kar
jaane kis dais gaye khwab humare le kar
chhaon mein baiThnay wale hi to sabse pehle
paiR girta hai to aa jaate hain aare le kar
wo jo aasooda-e-saahil hain inhein kya maaloom
ab ke mauj aai to palTe gi kinaare le kar
aisa lagta hai ke har mausam-e-hijraan mein bahaar
honT rakh deti hai shaakhon pe tumhaare le kar
sheher walon ko kahan yaad hai woh khwab farosh
phirta rehta tha jo galiyon mein ghubaare le kar
naqd-e-jaan sarf hua kulfat-e-hasti mein FARAZ
ab jo zinda hain to kuch saans udhaare le kar