Saturday, January 1, 2011

Barsat kay Mosam Main Bheghtay Hoey Lamhoon Say


Barsat kay Mosam Main Bheghtay Hoey Lamhoon Say
Pehroon Main Nay Tanha Teray Ehsas Say Baten ki Hain

Dil Hai Seene Mein NahiN MaiN

Dil Hai Seene Mein NahiN MaiN Koi Patthar Ka Sanam.
Mujh Ko Rone Bhi Do HaNsne Bhi Do Insaan HoN MaiN.

muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai


muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
isi meiN lutf haiN saare, yahi takleef deti hai.

yahi dastoor hai shaayad wafaadari kii duniya ka
jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai.

shikaayat kar rahaa tha aasmaaN se aik sehra kal
mujhe khawaaboN meiN aksar ik naddi takleef deti hai.

palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehroN meiN
magar phir umr bhar ye ik ghaRi takleef deti hai.

kazaa ka khauf lekar jee rahe haiN sab zamaane meiN
haqiiqat meiN sabhi ko zindagi takleef deti hai.

kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
magar aathoN pehar kii bekhudi takleef deti hai.

savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
humeN to garmiyoN kii loo baRi takleef deti hai.

zaraa kachche makaanoN kii taraf bhi tum nazar dalo
jahaaN baarish kii har teekhee jhaRi takleef deti hai.


adaavat ke jinhoNne har taraf parcham uRaaye the
unheN ab dostoN kii berukhi takleef deti hai.

numu hote hi jiske baaghbaaN hasrat se taktaa hai
kaii kaaNtoN ko wo taazaa kalii takleef deti hai.

bhulaane kii tago-dou meiN jalaa daale haiN khat mere
magar usko usii kii diary takleef deti hai.

nazar aaye jahaaN se roshnii masloob aaNkhoN kii
bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai.

Gardish e waqt ki aafaat pe royaa jaaye


Gardish e waqt ki aafaat pe royaa jaaye.
Aise bigRe huwe Haalaat pe royaa jaaye.


Jin se baRh jaaye Gham o ranj o alam ki taceer,
Mustamir aise khayaalaat pe royaa jaaye.


SaHn e khaanah meN bhi kuchh der ho gham ki taqreer,
Yaar ke tark e i'laaqaat pe royaa jaaye.


DaastaN apni sunaaoNga maiN lekin yaaro !
Soz khwaani ke muqaamaat pe royaa jaaye.


Gham ki taqreer hai ye khoob ho giryah is par,
Ya'ni jaz'baat se jaz'baat pe royaa jaaye.


Poochh tu bhi sabab e girya o zaari kya hai,
Taake kuchh tere suaalaat pe royaa jaaye.


Us ke andaaz e taGhaaful pe jo ro kar nibtoN,
To phir andaaz e malaamaat pe royaa jaaye.


Z'bt' mumkin tha jo hote use do-chaar gile,
Beesh iz Hadd shikaayaat pe royaa jaaye


Jaane kya kya mujhe Haider wo gayaa hai keh kar,
Yaad aaye to har ek baat pe royaa jaaye.

mere khwaabon ke shajar par jab samar aa jaaeinge


mere khwaabon ke shajar par jab samar aa jaaeinge
jaanta huu.N mai.n bahut patthar idhar aa jaaeinge

tum idhar aa jaaoge to dekh lena eik din
chaahne waale tumhaare sab idhar aa jaaeinge

maine dekhe hai.n tumhaare aur bhi chehre bahut
ghaur se dekho in aa.Nkho.n mei.n nazar aa jaaeinge

guftguu mei.n shokhiyaa.N andaaz mei.n jaadugarii
aapko bhi is zamaane ke hunar aa jaaeinge

aashiyaane aasmaano.n mei.n kahaa.N ban paaye hai.n
shaam hote hi parinde lauT kar aa jaaeinge..

AB KI IS EID KI SHAB


AB KI IS EID KI SHAB
HUM SE GUZARI NA GAI.
DIL NE PHIR YAAD KIA TUM KO
BHALAY MAZI KI TARAH...
KITNA SOCHA GYA TUM KO,
MERI YADON K TUFAIL,
PHIR SE TUM PAS, BHT PAS THY,
SANSON KI TARAH..
PHIR SE NUM HO GAYEN ANKHAIN MERI,
BHEEGA ANCHAL.
DIL ME UTRA KOI GHUM,
SUBH KI LALI KI TARAH...
YAD KAR K TUMHAIN HUM CHAIN SY SOYE HI NHI.
JAISY CHAYA HO KISI AANKH MAI SADIYUON SE KHUMAR.
PHIR SE AANKHON SE MERI CHIN GAYA SAPNO KA KARAR
DIL YAHI SOCH K DOOBA, K NA BEHLA KAI BAR.
TUM NE SHAYAD K MUJHAY YAAD KIA B K NAHI?
AN GINAT KHUSHGAWAR LAMHON ME,
TUM NE IK LAMHA MERE NAAM KIA B, K NAHI?
AISI CHAHAT K JAZEERAY MEIN MAGAN THAY K TUMHEIN,
SIRF IK PAL KO MERI SOCH KI MOHLAT NA MILI?
IN JAZAAIR K SABHI PHOOL IKATHAY KAR LO.
IN MEIN KHO KAR KABHI TUM KO
MAIN B YAAD AA JAON,
MERI KHUSHBOO TUMHAIN WO PHOOL BHULA DE, SHAYAD,
MERI AANKHON KI THAKAN TUM KO RULA DE, SHAYAD,
MERI TAKLEEF MAI GUZRI,
AB KI IS EID KI SHAB.
KASH,
TUM KO KABHI YE PYAR SIKHA DE, SHAYAD,
KASH,
TUM KO MERI YE YAAD DILA DY,
SHAYAD....

zindagi ki marzi hai jis taraf bhi le jaye


zindagi ki marzi hai

jis taraf bhi le jaye

manzalain dikha ke phir

raastoon main kho jaye

roshni dikha ke phir

tareek ho jaye

habs main jala ke phir

khud bahar ho jaye

be qarar kar ke phir

khud qarar ho jaye

her khushi thama ke phir

ashkbaar ho jaye

raabte barha ke phir

khud khafa ye ho jaye

ba wafa bana ke phir

be wafa khud ho jaye

zindagi ki marzi hai

jis taraf bhi le jaye

manzalain dikha ke phir

raastoon main kho jaye

ab bhi kaali raton main phir takiah bheega kerta hai


ab bhi kaali raton main phir takiah bheega kerta hai
ikk aahatt si dil mai hoti hai,koi sog manaya kerta hai

dehleez pe a ke kuch bhatke punchi ansu asnu rote hain
koi in ko apni yadon ka phir dana dala kerta hai

be-kaif si her shay lagti hai,be-ronaq si zandano main
koi qaid mai bhi masroor hai bas keh naghme gaya kerta hai

jo hosh mai bhi deewana hai,talkhi bhi amrit jane hai
uss dana ko pagal samjho jo sach batlaya kerta hai

jo toot ke barsa kerta tha kal toot gaya wo chupke se
woh kese jurre ga phir mujh se jo toot ke jurr na paya hai

usko khwaabon me rakh lena mushkil bhi to kitna tha


usko khwaabon me rakh lena
mushkil bhi to kitna tha
dil se yun ik badla lena
mushkil bhi to kitna tha

shaam ki us dehleez pe jaake
saanson ke jo vaade the
un vaadon pe qaayam rehna
mushkil bhi to kitna tha

raahon me chalte chalte hum
khud ko kaise kho baithe
tujh se mil kar khud tak rehna
mushkil bhi to kitna tha

daanista ik soch bani ki
tu hi mera apna hai
aisi sochon se lard paana
mushkil bhi to kitna tha

naghma sara the zehan ke hisse
jinme teri yaaden thin
aisi dhun se ghaafil rehna
mushkil bhi to kitna tha

koi azeeyat dil me nishani


teri ban ke baith gai
honthon pe muskaan yun laana
mushkil bhi to kitna tha

khwab baras kar beet chuke hain
zehan me ab bhi unki nami
aankhon me us nami ko rakhna
mushkil bhi to kitna tha

teri khushi ki chaah liye hum
kitne dukhon me bhi khush hain
verna bemaqsad jee paana
mushkil bhi to kitna tha

yaadgaar-e-guzishtah jagaane chale


yaadgaar-e-guzishtah jagaane chale
Khud ko phir aaj hum aazmaanay chalay

kar gayii ham ko diiwaana fan ki lagan
uqta kay dost bhii sabh puraanae chale


dard pii kar chale ham to kuu-ye-ghazal
phir se haiN/[ham] rasm-e-ulfat nibhaane chale


baaqii ummeed kii lau nahiiN bin teray
zindagi "saagar" ab kis bahaane chale

duaaon ka koii samar de de MOULA



duaaoN ka koii samar de de MOULA
mujhe zindagi ka hunar de de MOULA.

Ye afwaaheN lekar yuN hi uR rahi haiN
hawaaoN ko sachchii khabar de de MOULA.

mere is safar ki to manzil hi gum hai
mujhe koii taazaa safar de de MOULA.

tujhe bhool kar bekasoN par na tooteN
har ik dil meiN itnaa to dar de de MOULA.

jise maiNne chaaha tha sab kuchh bhulaa kar
kahaaN hai wo jaane, khabar de de MOULA.

jo aaNkheN bhi mooNdeN to ho na andhera
sabhi ko ik aisii nazar de de MOULA.

makaaN to bahut haiN tere is jahaaN meiN
makeenoN ko ab thoRe ghar de de MOULA.

kabhi to khileN phool sehraaoN meiN bhi
zameeN regzaaroN ko tar de de MOULA.

mere waaste wo samandar hii hoga
mujhe aik qatraa agar de de MOULA.


udhar to ujaaloN ka jamghat lagaa hai
zaraa noor apnaa idhar de de MOULA.

bahut lambii shab hai, jee uktaa gayaa hai
kabhi to sunahri sehar de de MOULA.

rakho jholiyaaN har ghaRii saath apne
na jane kise kya kidhar de de MOULA.

meri arziyaaN sab pahuNch jaayeN tujh tak
meri arziyoN ko asar de de MOULA.

Teri nazar ka nasha kab utarne wala hai



Teri nazar ka nasha kab utarne wala hai
Suroor had se badha, rind marne wala hai

Bata rahi hai fiza'aoN ki naghmagi yaaro
Woh khush-khiraam idhar se guzarne wala hai

Hata rahay hain woh chehray se apni zulfoN ko
Andheri raat mein sooraj ubharne wala hai

Humein phir unki masihaa'yi ki zaroorat hai
Puraana ghaao jo dil par tha, bharne wala hai

Kiya bhi hum se tu izhaar-e-ishq kis ne kia
Jo apni baat se khud hi mukarrne wala hai

Main kia karoN, mujhay woh Jotashi nahi milta
Kaha tha jis ne muqaddar sa'Nwarne wala hai

Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain



Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain
Saari shamm'eyeN jhooti hain, saare parwa'anay jhootay hain

Apni zaat se badh ke ulfat kon kisi se karta hai
Jaan nicha'awar karne wale sab deewanay jhootay hain


Kab tak aas ka daaman thaamay tal'kh haqa'aeq jhutlaa'ein
Taabirein yeh batlaati hain khawaab suhaanay jhootay hain

Saaf hi keh do hum se milna baar-e-gira'aN hai ab tum ko
Idhar udhar ke jo karti ho laakh bahanay, jhootay hain!

Meray nanhay munnay such ki kia au'qaat wahaN, jiss jaa
Lamhay jhootay, sadia'aN jhooti aur zama'anay jhootay hain

Deepak-e-chashm phir se roshan hai


“shayad!!”

Deepak-e-chashm phir se roshan hai
Phir dhanak Theherti he chehre pe
Chandni phir gudaz jazbooN ko dil k kounooN maiN duddudati he
Phir kisi ki sarab aankhooN pe nazm kehne ko lufz muchle haiN
Aur kisi ki sharab batooN se baat kerne ko dil muchalta he
Phir kisi neemwa dareeche se subz mausam ki sans aati he
Husn phir ishq ki hudood maiN he!
Dil hatheli pe aagaya jaise!!
Phir tabahi ki had maiN he shayad!
Ya muhabbat ki zad maiN he shayad!!

dil-e-nadaan tu hi bata kaise usey chor doon


dil-e-nadaan tu hi bata kaise usey chor doon
tu shesha_e_jan hai tu wo aks hai mera

hawa ki beti


hawa ki beti

pareshan keyun hai

tujhe kia huwa hai

keyun bikhri hain zulfain

keyun daman hai maela

keyun jabeen pe shikan hai

hathoon ki mehndi kahan kho gaye hai

keyun khamosh hai

keyun majboor hai

pareshan keyun hai

tu hawa ki beti

tumhe ne to ghar ko ghar hai banaya

tumhe ne to hum ko muhabat sikhayi

tumhe ne to sab ko manzil dikhayi

tumhare liye to chaman khil khilaya

tumhare liye hai gulon ki ye khushboo

tumhe se to duniya main hai ye ujaala

phir ye tareek rahain

keyun tera muqadar

is jalti zameen pe

keyun tera thikana

aangan main tere ye shoole hain kaise

keyun tu ne hai apne ghar ko jalaya

hawa ki beti

pareshan keyun hai

tujhe kia huwa hai.......!

mathe pe shikan,aankhon main nami


mathe pe shikan,aankhon main nami,hontoon pe hasi
muhabat karne walon ke yahi aasaar hote hain.....!

Zara si dair tera haat haat main aaya




Zara si dair tera haat haat main aaya
Main raqs karta huwa apni zaat main aaya

Jamood TooT gya yak ba yak samuNbdar ka
Hanoot barf ka khitta hyaat main aaya

Mujhay uThaaya tha sooraj ki pehli kirnoN ne
Sahar se pehle mera zikr raat main aaya


Tera hi zikr rha shab kay shaamiyaanay maiN
isi kay saath maiN din ki Qanaat maiN aayaa

Mian khwaab gaah-e-takhayyul main ho gy abe khood
bla ka zor jo rang-e-nishaat main aaya

Mere Wajood main roshan huwa charaaGh-e-jahaaN
Main aik shab jo teri iltifaat maiN aaya

Teri talab jo meri khwahishoN maiN zinda huwi
mera jawaaz tabhi mumkinaat main aaya


Ae baad-e-sub'h tere lams ki wadiat se
Ghubaar tha mera chehra sbaat main aaya

Ghulaam karne ko niklaa tha waqt ki gardish
Main be sabab tau nahiN saanehaat main aaya

Tujhay main khood se milaaoN ga aik din
Mera junooN jo kabhi ehtiyaat maiN aaya

Syaah shab thi or aarzuuoN ka surkh maqtal khula rha


Syaah shab thi or aarzuuoN ka surkh maqtal khula rha
par aik dar jaanay kis liye raat bhar musalsal khula rha

nazar kay parday pe dheeray dheeray bas aik manzar safar karre
wo chaandni raat ki hawaayeN or us ka aanchal khula rha

jo aaina ban sanwar kay daikha tau yaad aayi nazar meri
khyaal jaise hi aaya maira tau saara kaajal khula rha

wo aalam-e-habs-e-hijr-e-daaim keh saaNs dushwaar ho gyi
na dhoop nikli na khul kay barsa falak pe baadal khula rha

na khul ska shehr-e-aarzu ka koi bhi rasta mere liye
mere junooN ki jilaa ko wahshat ka sabz jangal khula rha

na daikha shehr-e-gharaz sarishtaaN,aseer-e-matlab na ho saka
azal se dasht-e-junooN maiN be chain aik paagal khula rha

wo WARD ki bhini bhini khushbu,har aik ghar tak pohanch gyi
hasin khushbu ka ik daricha chaman se pal pal khula rha

Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin


Jaltay hain shoq se nar-e mohabbat me apni khabar nahin
Khotay hain hosh v hawas aisay ke apni khabar nahin

Rat din un ka vazifa hy mohabat me
Raz-e dil kya hy kisi ko mutlaq khabar nahin

Maza aata hy un ko azkar-e mohabbat me
Ghairon ke azkar ka un per koi asar nahin

Sada chaltay hain aaray dil per mohabbat me
Dil rota hy ishq me magar aankh tar nahin

Lutatay hain apni daulat sakhawat se mohabbat me
Dahr ka kiya gham ho pas gar mal v zar nahin

Sakun milta hy natavan ko uski qurbat me
Karam hota rahay youn khub, is se or khubtar nahin

Roti hain aankhain gunahon se nadamat me
Patay hain vohi manzil dono jahano me koi khatr nahin

Thokrain kha tay hain zamanay ki jo log mohabbat me
Inam-e mohabbat payaingay eik din jo be sabar nahin

Samad rahta hy mast har hal daulat-e mohabbat me
Gham-e doran ka dil per is ke koi asar nahin

iss se pehle ke shaam ho jaye


iss se pehle ke shaam ho jaye
keyun na aik aur jaam ho jaye

waqt_e_mulaqat bata do mujh ko
khuch to intezaam ho jaye

samandar main utar jate hain
shayad peyas tamam ho jaye

subah hate hi tarap uthte hain
un se thora kalam ho jaye

chandi raat main tanha badal
barasne main na kaam ho jaye

imran ye kaisi reet hai zamane ki
jo peyar kare wo badnaam ho jaye

Yoon Hawa chali Gard say


YooN Hawa chali
Gard say Ata tan-badan mera
phir utha chali
yooN hawa chali

main k khwab-gar, gharq sar-basar
Husn-o-ishq main , rung-o-noor main
thi yunhi talab
Zindagi dil-e-naasaboor main
Lehr waqt ki, sakht sangdil
sub baha chali


yooN hawa chali

naqsh jaaN-faza, rung dil ruba
Husn ki rida par naqoosh thay aesay ja-ba-ja
fan k aasmaN par najoom thay
qaaflay sabhi jo wafa ky thay, purhajoom thay
naqsh mit gaye, rang utar gaye
taaray bujh gaye
qaaflay lutay
main khara hoN ab, apnay ehd main
chaarsoo miray simtein mit gayieN
hooN khajil khajil , rooh muzmahil
sochta hon main
kab wafa chali
yooN hawa chali

Jo meri jaan maseehai tum karo to kahain


Jo meri jaan, maseehai tum karo to kahain
Jo ghao tum nay lagay unhain bharo to kahain

yeh jis main hum hain wohi imtehaan-e-ulfat hai
hamain to marna hi tehra, jo tum maro to kahain

yeh dar hai hum ko kay tum aik hi shanasaa ho
tumharay dost kai hain agar daro to kahain

sabhi nay moorid-e-ilzaam ham ko tehraya
ye tohmatain sarr-e-mehfil jo tum dharo to kahain

marain gay kehna to asaan hai magar
wisaal-e-yaar ki khater agar karo to kahain

Na haasil ho kisi ko jis ki shaakhoN se sam'ar koi


Na haasil ho kisi ko jis ki shaakhoN se sam'ar koi
Hamaray ghar ke aangan mein na ho aisa shaj'ar koi

sah'ar ke naam par dhabba na ho jiski zia-paashi
Meri raatoN ko de de aye Khuda aisi sah'ar koi

Jo dil rakhnay ko aaye ho tu maayusi tumhein hogi
Hamaray dil ki khud hum ko nahi Yaaro khabar koi

Tumhara aaftaabi husn, dekhay tu koi kion-kar
Jo taab-e-deed rakhti ho, kahaN aisi nazar koi

YahaN daulat ke haathoN tuu bhi bikk jaaye ga saath uskay
Chuppa rehne de pausheeda hai gar tujh mein hunar koi

Hamaari zindagi Shahzad kuch iss taur guzri hai
Kisi ki yaad ke sehra mein ho jaisay safar koi

CHOREE CHUPKAY SAY TERAA DIL KO BASAANA HAI RI


CHOREE CHUPKAY SAY TERAA DIL KO BASAANA HAI RI
ROOTH KAR YUN MAANANNA , ROOTHAY MANNANA HAI RI

SAAMNAY HOTEE NAHEEN EHSAAS HOTA HAI ZAROOR
DIL KAY KONON MAIN TERAA GHAR KO JAMMANA HAI RI

BAZM MAIN YAARON KI BAITHAY MUSKURAA DENAA MERA
YUN KHAYAALON MAIN TEREE TASWEER AANA HAI RI

MEREE CHAHET PHOOL JAISI ORH KAY JUB SAJTEE HO
AISAY ZEWER SAY TERAA SAJJNA SAJJANA HAI RI

TEREE ANKHAIN YUN GHAZAB KA JAAM CHALKATAY HUAY
TAUBBA KAAFIR MAIN NEHEEN, PEENA PILAANA HAI RI

NAAM LAITAY HAIN TERAA, MEHFIL SAJATAY HAIN KAHIN
TEREE BATAIN JAAN JI SUNNANA SUNNANA HAI RI

AIY MERII JAANAAN AGAR SUB KHO KAY TUJH KO PAA SAKA
YEH BHI KAR GUZRAY TERAA AZHAR DEEWANA HAI RI

Nighain tujh say aye dost milaon kahaan say


Nighain tujh say aye dost milaon kahaan say
NahiN milti meri duniya teray jahaN say

Tujhay khauf khud say tu jiyaya mehfiloN maiN
Tanha lagay haiN mujhko majmay sab yahaaN say

Ajnabi ban kay lagay milnay woh chehray aashna say
Chup kay say uth kay aa gaya maiN isliyayay wahaaN say

Meri terah meri duniya maiN aanaa "Sagar"
Chaaho jo kabhi aanaa uth kay apnay jahaaN say

Hum ney jis jis ko bhi chaha tere hijran mein wo log


Hum ney jis jis ko bhi chaha tere hijran mein wo log
Aatey Jaatey huey Mosem they..Zamana Tu tha

her taraf yaas hai andhairay hain


her tarraf yaas hai, andhairay hain
dakuon kay yahaan basairay hain

qaum hai aaj jin kay chungal main
woh meri jaan sub luteray hain

in ki duniya hai nafs ki duniya
yeh na teray hain aur na meray hain

aam to hain shikaar in kay sub
kuch to teetar hain kuch batairay hain

ujraton per rakhay muhafiz nay
khun kay cheentay yahaan bakhairay hain

mujhko ghar say nikaal kar azhar
meraay ghar per kiay basairay hain

Mohabbat ka anjaam judaai kiyun hai


Mohabbat ka anjaam judaai kiyun hai
Kabhi na mitne wali ruswaai kiyun hai

Waqt thaira nahin rehta kisi ke liyae yahan
Phir thairay hue pani main gehrai kiyun hai

udas chahra pe hai ab sawan barstaa
veerane main bajti hui shahnaai kiyun hai?

phool bhi chubh jate hain nashtar ki tarha
zakhmiN dil pe fizaa muskuraai kiyun hai ?

na koi shor hai na maatam ho raha hai
kanoN main cheekheN deti sunaai kiyun hai?

na woh bewafa hain na hum bewafa hain
to phir halaat par touba machaai kiyun hai?

isi soch main "Ana"ki raat beet.ti jaaye hai
Ke aakhir mohabbat ka naam hi judaai kiyun hai?

der tak muj per husta reha meri band gali ka chand


der tak muj per husta reha
meri band gali ka chand

gaya kuch nahin to
raha bhi kuch nahin mera
muje raat ki tanhaayi deta reha
meri band gali ka chand

kafi der tak khadhe rehe
hum ahhen bherte rehe
bina awaz diye dekhta reha
meri band gali ka chand

jaan ankho.n main rehi aise
deedar ki hasrat rehi jaise
dekhker b ankheN ferta reha
meri band gali ka chand

mohbbat khanzer si ho gai
zawani jhakham se so gai
zakhamon ki aur dekkhta raha
meri band gali ka chand

deewane ho gaye hain ab aise
dil laga ker muzrim hue ho jaise
hathon ki zanjeeron ko takta raha
meri band gali ka chand


hawa ke jhonke aate hain
tufan se patte jad jate hain
patto.n pe naam likhta reha
meri band gali ka chand

aye chaand ab to apni chup tod de
band gali kiye deewar tod de
keh de mujse aaj khul ke
main b tere paas ane ko hoon bekrar
main bhi kerta hoon tumse bhut payar
dil ke armaanon ka khoon karta raha
meri band gali ka chaand

are koi to bahar nikalo chand ko


dekho band padha hai mera chand
is behram duniyaan main
der b der bhatak raha
aye chaand aa tuje gale laga lo
sare jaha ki khushiyaan waar du
mat rah mujse yu door door
nai to teri Annu ho jayegi toot
aa ab lout ka aaja mere paas
ye dil tere bina hai bhut udaas
dil ki tadap tadap ke ker reha hai pukaar

na jane dil main konsi bebsi liye
meri aur udaas nazaron se dekhta raha
meri band gali ka chand

kabhi kisi baat pe naraaz nahi hota hoga


kabhi kisi baat pe naraaz nahi hota hoga
woh bhi kya saksh hain kis baat pe rota hoga

Raat ke andhere, taaron se guftgu karke
Din ke ujale aankh khol ke sota hoga

Mere aankhon se hurbaar chura kar moti
na jaane koun se mala mein pirota hoga

humesha rakhta hain phoolon ki hasi hoto par
Gum na jaane wo kis dariya mein dubota hoga

Uske dushman bhi diya karte hain duuayen usko
bade tareeqey se wo rishton ko sanjota hoga

Rakhta hain zakhmo ko salaamat, tohfe ki tarah
yun bhi lagta hain ki, usey dard nahi hota hoga

Iss puri kaaynaat ko us_sey hain mohabatt
Wo dilon mein pyar ko chup chaap se bota hoga

meri hayat ki ye talkhiyan keyun barh gaen hain is qadar


meri hayat ki ye talkhiyan keyun barh gaen hain is qadar
meri hasraton ki mayetain kabhi is qabar kabhi us qabar

tere wasl ki wo chahatain tere qurb ke wo haseen din
keyun hijr main hain dhal gae karon kaise main bata sabar

mujhe ishq tha teri zaat se mujhe shoq tha teri chah ka
aisa kar ke hai kia mila main to ho gia hoon darbadar......!

Milay Ho Baad Muddat Ke Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai


Milay Ho Baad Muddat Ke
Tou Kaisi Yeh Jhijak Si Hai?
Labon Per Lafz Kyun Aa Kar
Adaa Honay Se Qaasir Hain?
Jo Kehna Hai Woh Kehh Daalo
Magar Thehro!
Suno Lekin!
Mujhay MujhSe Bicharrnay Ki
Koi Taaweel Mat Daina
Tumhari Chuup Ke Lehjay Ko
Abhi Bhoola Nahin Hoon Main
Tumhari Kham'shi Ke Sab
Mujhay Mafhoom AzBar Hain
Tumharay Un-Kahay Lafzo'n Ko
Dil Ab Bhi Samajhta Hai
Suno! Be-Rabt Lafzo'n Ke
Koi Ma'aani Nahin Hotay
Suno! Lafzon Ke Pehloo Se
Agar Mafhoom Uthth Jaaye
Tou Baaqi Kuch Nahin Rehta
Khizaa'n Ki Ruut Mein Gulshan Ko
Kabhi Ba-Ghaur Dekha Hai?
Keh Jab Pattay Bikhar Jaayen
Tou Shaakhain Baanjh Lagti Hain
Keh Pattay Zard Bhi Ho'n Tou Shajar Ki Shaan Hotay Hain
Na Karna Ab Koi Waada
Hamesha Saath Rehnay Ka
Keh Bichhrray Mil Bhi Jaatay Hain
Keh Mil Kar Phir Bichharrnay Ke Bhi Tou Imkaan Hotay Hain
Jabhi Kehta Hoon Main Tum Se
Mujhay Mujh Se Bichharrnay Ki... Koi Taaweel Mat Daina

dil mein ye eik Dar hai baraabar bana hua


dil mein ye eik Dar hai baraabar bana hua
mitti mein mil na jaaye kahin ghar bana hua

ik lafz 'bewafa' kaha usne phir uske baad
main usko dekhta raha patthar bana hua

jab aaNsuon mei.n bah gaye yadon ke sab naquush
aaNkhon mein kaise rah gaya manzar bana hua

Lahro ! bataao tumne use kyon miTa diya
ik khwaab ka mahal tha yahaaN par bana hua

wo kya tha aur tumne use kya bana diya
itra raha hai qatra samandar bana hua

MUJHAY ITNA HE KEHNA HAI


Mujhay Ahl-e-Mohabbat Se
Faqat Itna He Kehna Hai
Keh Banjar Dil Ki Khaiti Mein
Koi Bhi Beej Daalo Ge
Tou Fasl-e-Gham He Kaato Ge
Wahaan Bas Dard Ugnay Hain
Wafaa Ki Khush-Numa Chirriyo!
Tumhain Bas Dard Chugnay Hain

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi


Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon

Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo'n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo'n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main

Koi Jazbaa He Ban Jaoo'n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo'n
Adaa Ho Jaoo'n Honto'n Se
Naye Lafzo'n Mein Dhal Jaoo'n

Hawaa Ka Jhau'nka Ban Jaoo'n
Tumhari Zulf Se Khailoo'n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo'n

Kabhi Jo Muskura Do Tum
Hansi Meri Bhi Khil Jaaye
Meri Khush-Rung Socho'n Ko
Tumhara Saath Mil Jaaye

Kabhi Jo Khwab Dekho Tum
Merii Soorat Nazar Aaye
Tumhain Na Dekh Paoo'n Main
Kabhi Na Woh Sahar Aaye

Phir Woh Khwaab Bhi Tum Ne
Palkon Per Sajaaya Tha
Magar Uss Mein Meray Badlay
Koi Chehra Paraaya Tha

Tum Ne Muskura Kar Bhi
Hansi Meri Churaa Li Thi
Per Iss Se Be-Khabar Tum Ne
Alag Duniya Basaa Li Thi

Bhula Paaya Na Main Lekin
Woh Beetay Din Gayii Raatain
Lagti Hain Jo Saari Abb
Khayaal-O-Khwaab Ki Baatain

Tumharay Baad Har Ik Din
Kahoo'n Kya Kaisay Kaata Hai
Kiye Hain Dil Ke Tukrray Khud
Khud Apna Khoon Chaata Hai

Magar Ab Sochta Hoon Main
Kyun Yeh Gham Sahaa Hota


Agar Ik Baar Bhi Tujh Se
Haal-e-Dil Kahaa Hota

Jo Kehna Tha Mujhay Tum Se
Saleeqay Se Na Kehh Paaya
Main Apni Baat Ko Shayad
Tareeqay Se Na Kehh Paaya

Bahut Pehlay Ki Woh Ghalti
Khalish Ban Kar Sataati Hai
Kuch Bhi Likhna Chahoo'n Main
Tumhaari Yaad Aati Hai

Mukhaatib Kar Ke Main Tum Ko
Na Kuch Bhi Yaar Likhoo'n Ga
Magar Jo Ab Ke Likhoo'n Ga
Faqat Ik Baar Likhoo'n Ga

"Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Kab Inkaar Karta Hoon,
Magar Sun Meri Jaa'n! Abb Bhi
Main Tujh Se Pyaar Karta Hoon"

Gharat gar e tehzeeb k hathoN main watan hay


Gharat gar e tehzeeb k hathoN main watan hay
Har soo mray ghar aah-o-baka, ranj o mihan hay

YaaN nafs parastoN ki hawas ka hay ye aalam
Rastay main pari na'sh bhi be-gor o kafan hay

Har simt darindoN ko mili choot hay aesi
lagnay laga aasaib zada daar o rasan hay

Hum aaj tamaddun say nazar kesay milaayiN!
Be-aabro tehzeeb ka uryaaN jo badan hay

Kam-zarf ki hoti hay nazar takht e shahi par
Ye daikh k sharminda boht koh o daman hay

Ik simt laho rang hua zeest ka maqtal
ik simt sukhan-war hein, ba-eeN rang e sukhan hay

KhushyoN ki bahar aaye, muqaddar main nahi hay
Gaity pe abhi noha kunaN sar -wo-saman hay

Kaj-fehmi-e-halaat ko kehtay hein hunar ye
Andher hay! khursheed kahein jis ko , Kiran hay

saray mausam hi meray jhootay hain


saray mausam hi meray jhootay hain
ab khizaon main phool miltay hain
aur baharon main khaar khiltay hain
garmiaan thand main guzartee hain
sardiyon main baden pighaltay hain
saray mausam hi meray jhootay hain

main kay her nakhudaa say lut-taa hun
aur her parsaa say lut-taa hun
kia tamasha hai apni sarhad main
fauj kay soormaa say lut-ta hun
saray mausam hi meray jhootay hain

maut ka raqs kub say jaari hai
khush hai aur mast is pay naree hai
mujhko yeh tuk pata naheen chaltaa
baazi kaisay kahaan pay haari hai
saray mausam hi meray jhootay hain

aadmiat yahaan sisaktee hai
aksariat kay ab bilaktee hai
wehshatain raston pay qabiz hain
jahiliat khulli chehektee hai
saray mausam hi meray jhootay hain

her muhafiz bana lutera hai
sub ko roshan lagay andhaira hai
ik diya hi jala sakun azhar
kitna tareek yeh saweraa hai
saray mausam hi meray jhootay hain

Asloob to badlay hain alfaaz nahin badlay


Asloob to badlay hain , alfaaz nahin badlay
Izhaar-e-aqeedat kay, andaz nahin badlay

Badlay hain ziyarat kay kirdar kai laikin
Bathaa kay makeenon kay , aizaz nahin badlay

Anjam naya hota hai , ishq haqeeqi ka
Taqwaa hai qadam pehla, aghaz nahin badlay


Kub kis ko bula lay who ik izn ata kar kay
ALLAH dikhata hai, aijaz nahin badlay

Who rah ki saubat ko khater main nahin latay
Taiba ki fizaon kay , damsaz nahin badlay

Namoos-e-risalet per, bus kut kay jo mur jain
Malik ki raza chahain, janbaz nahin badlay

Majzoob hai Aqaa ka , azhar na kaho us ko
rehnay do akarta hai, aghmaz nahin badlay

Popular Posts