Tuesday, August 25, 2009

Kis qadar zulm dhaya kertey ho

Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho

Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho

Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho

Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho

Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho

Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho

Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega
ghair kya har dost bhi mujh se khafa ho jayega

tum nahin aye agar to aur kya ho jayega
ek mareez-e-ishq bas nazr-e-qaza ho jayega

usko bhi lagne lagi hai is zamane ki hawa
mujhko andesha hai woh bhi be-wafa ho jayega

jab nigahen kah rahi hain pyar ki ek dastaan
"tum zaban se apni kah do ge to kya ho jayega"

ab khuda ke waste mat haal mera poochhna
mundamil zakhm-e-jigar phir se hara ho jayega

kaun phir usko bacha sakta hai lutne se "faysal"
raahzan hi jab ameer - e -qafla ho jayega

keya pata tumko ke lub khulnay say keya hoja-e-ga

keya pata tumko ke lub khulnay say keya hoja-e-ga
dil pa jo guzri hai abtak wo gila hoja-e-ga.

teray paikar ki sabahat jab bani unwan-e-fikr
keya pata tha ye kheyal ek aaina hoja-e-ga.

phir wohi shab ki khamoshi phir wo yadon ka hajoom
aisa lagta hai ke dil phir ek diya hoja-e-ga.

jisnay aadab-e-jonu seekha hai wo ye jaanlay
ishq to phir ishq hai zanjeer-e-pa hoja-e-ga.

unki aankhon me hain posheeda bahut say mojezay
aik jumbish me najaanay keya say keya hoja-e-ga.

karwatain kuch istarah badleen zamin-e-pak nay
keya khaber thi pal me ek mahshar bapa hoja-e-ga.

wo nishani-e-manzil-e-taaza abhi baqi to hai
teray waqton ki yahi aawaz-e-pa hoja-e-ga.

hum qafas hi me manatay hain agar jashn-e-bahar
phool kay khilnay ka mosam be-maza hoja-e-ga.

anjuman dar anjuman gunjay gi teri sha-e-ri
aiy faysal too mohabbat ki sadaa hoja-e-ga.

jiska dil waabasta-e- sabr-o-raza hojayega

jiska dil waabasta-e- sabr-o-raza hojayega
baynayaz-e-gardish-e- subh-o- masa hojayega

ik uchat-ti si nazar bas ek tabassum ki kiran
aapka kia jaaeyga mera bhala hojayega

phool sa chehra yah mast aankhain yah paikar yah shabab
ek main kia jo bhi dekhayga fida hojayega

shiddat-e-jazbaat zarray ko banaday aaftaab
ishq hojaaye to path-thar bhi khuda hojayega

kooy-e-qaatil main anal-aashiq ka naera-zun ho main
jaan to jaayegi wafa ka huq adaa hojaayega

dil main kia hai sirf aankho ki gawahi chahiyah
aap k kahnay meray sunnnay say kia hojayega

aatay aatay aayega tumsay bicharnay par qaraar
hotay hotay dil mera ghum aashna hojaayega

dast-e-qudrat nai tarashay hain tumharay khad-o-khaal
jiskai hojaogay tum oska khuda hojaayega

sainkron dil hain hadaff bannay ko kabsay muntazirr
aapka teer-e-nazar kaisay khata hojaayega

baiwafaai par mubarakbaad daini hai tumhain
jab kabhi mera tumhara saamna hojaayega

yonhi hanss hanss kar muhabbat say agar dekha kiyah
ik sukhan kia saara aalam aapka hojaayega

Rog aisey bhi gham-e-yaar se lag jatey hain

Rog aisey bhi gham-e-yaar se lag jatey hain
Darr se uthtey hain to deewar se lag jatey hain

Ishq aaghaz me halki si khalish rakhta hey
Baad me sainkhron azaab se lag jatey hain

Pehley pehal hawas ik aadh dukaan kholti hey
Phir to bazaar k bazaar lag jatey hain

Be-basi bhi kabhi furqat ka sabab banti hey
Ro na pain to galey yaar sey lag jatey hain

Daagh daman k hon,dil k ya chehrey k Faraaz
Kuch nishan umer ki raftaar se kag jatey hain

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,

De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,

Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,

Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,

Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,

Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,

Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,

Toot'ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,

Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,

Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..

Harf harf satar satar baab baab likh diya

Harf harf satar satar baab baab likh diya
Uss ke naam zindagii kaa intesaab likh diya

Puchhta thaa mujh se wo husool-e-zindagii hai kyaa
Ashk aankh se girey zamiin pe khawaab likh diya

Uss kii jab misaal dii saamne kii baat kii
Chaand likh diya kabhii, kabhii gulaab likh diya

Jiss qadar wo hai , usse bayaan kiya ussii qadar
Kab huaa ke main uss ko laajawaab likh diya

Goshwara-e-gham-e-hayaat likh rahaa thaa jab
Dil pe haath rakh ke main ba-hisaab likh diya

Hijraton ke baad bhii hai hijraton kaa silsila
Kis ne mere bakht main ye inqelaab likh diya

Yuun karam kiyaa hai mujh pe Rab-e-kaainaat ne
Sochne se qabil mujh ko kaamiyaab likh diya

Aaa bhi jaao ki zindagi kam hai,

Aaa bhi jaao ki zindagi kam hai,
Tum nahin ho to har khushi kam hai ! 
Vaada kar kay yeh kaun aaaya nahin,
Shaher mein aaj roshni kam hai ! 
aanay kya ho gaya hai mausam ko,
Dhoop zyada hai chandni kam hai ! 
Aaina dekh kar khayaal aaaya,
Aaj kal unki dosti kam hai ! 
Teray dam say hi main mukamal hoon,
Bin teray teri yamini kam hai !
  

hijr ki pehli shaam ke saye duur ufaq tak chaye thay

hijr ki pehli shaam ke saye duur ufaq tak chaye thay
ham jab us ke shahar se nikale sab raste sanvalaye thay

jane vo kya soch raha tha apane dil mein sari raat
pyar ki baten karate karate us ke nain bhar aaye thay

mere andar chali thi aandhi Thik usi din patajhar ki
jis din apane jhuray men usane kuchh phuul sajaye thay

us ne kitane pyar se apna kufr diya nazarane mein
ham apne imaan ka sauda jis se karane aaye thay

kaise jati mere badan se bite lamhon ki Khushboo
Khuwabon ki us basti men kuch phool mere ham-saye thay

kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apane sathi ko
pairr pe baiThi ik chiriya ne apne per phailaye thay

ruKhsat ke din bhigi ankhon us ka vo kahna hai_e jan
tum ko lauT hi jana tha to is nagari kyun aye thay 

kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain

kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain

wafa k bab ki sab bezubaniyan bhi gain


wo beziyabi-e-gham ki sabil bhi na rahi

luta yun dil k sabhi be-sabtiyan bhi gain


hawa chali to hare patte sukh kar tute

wo subah ai to hairannumaiyan bhi gain


we mera chehra mujhe aine main apna lage

usi talab main badan ki nishaniyan bhi gain


palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahin

wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain


mujhe to ankh jhapakana bhi tha garan lekin

dil-o-nazar ki tasawwurshi'ariyan bhi gain

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi

uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi

waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi

ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi

meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi

ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi

main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi

chor di kis liye tu ne "faysal" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi

DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA

DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA



DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA
main nay andaza mohabbat ka bahany say kieya

Uskay apny hi khyaalat thay pareshan bohat
Jisnay aghaz mujhay khuwaab dekhany say kieya

kuch tasalee mujhay undaze-e-taghuful sey hoe
kuch yaqeen main nay mazeed uskay na anay sey kieya

Shirkat-e-kar ka ek faisla hum donon nay kieya
Durmeyan main koi dewaar uthany say kieya

Kaam karna tha ju hum nay khabi khamoshi say
isqader woh bhi yehan shoor machany say kieya

Akass is shokh baher tak usey chornay aiey
guzer uska ju khabi aiena khanay say kieya

kaar-e-duneya main bbhula bhi na saky hum tujh ko
akhir itna bhi tary yad delanay pay kieya

Shaire thi yeh kise aur zamany kay leye
main nay murboot isay apnay zamany say kieya

Popular Posts