Tuesday, August 25, 2009

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega
ghair kya har dost bhi mujh se khafa ho jayega

tum nahin aye agar to aur kya ho jayega
ek mareez-e-ishq bas nazr-e-qaza ho jayega

usko bhi lagne lagi hai is zamane ki hawa
mujhko andesha hai woh bhi be-wafa ho jayega

jab nigahen kah rahi hain pyar ki ek dastaan
"tum zaban se apni kah do ge to kya ho jayega"

ab khuda ke waste mat haal mera poochhna
mundamil zakhm-e-jigar phir se hara ho jayega

kaun phir usko bacha sakta hai lutne se "faysal"
raahzan hi jab ameer - e -qafla ho jayega

No comments:

Popular Posts