Monday, April 26, 2010

Terey her qadam key mey sath cahloun

Terey her qadam key mey sath cahloun

Her din her raat her lamha terey sath rahoun
Too meri her sans mey meri khusboo bana rahey


Zindagi jo yuen guzer rahi hey her pal derti houn
Tujh sey biccherney key tassawer sey kanp uthti houn

Khawish hey haal mazi bun jaiy mera
Phir mey terey sath nai zindagi shuroo karoun

Tujh sey milney key baad yeh dua hey meri
Us jehan mey bhi mey terey sath rahoun

Maire Khaamoshi Ko Sadaa Na Day

Maire Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tayray Baghair Na Jee Sakay

Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,
Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay

Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa

Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon

Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar

Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee

Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay

Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,
Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain

Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar

Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day....!!!

Jub shaam ke saaye dhultay hain

Jub shaam ke saaye dhultay hain

Jub koyal koo koo kerti hai

Jub panchhi shor machaatay hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay yaad tumhaari aatee hai



Jub saawan baadul chhatay hain

Jub bijli garja kerti hai

Jub boonden barsa kerti hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay aad tumhaari aati hai



Jub raat sayaah ho jaati hai

Jub chaandni phela kerti hai

Jub taare nikal kertay hain

Jub jugnoo chamka kertay hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay yaad tumhaari aati ha

Jab Dil TootTa Hai

Jab Dil TootTa Hai.........
Tamam Khuwaishain........
Tamam Arzooain.......
Dam Toor Deti Hain........
Sirf Aik Khuwaish ......
Zinda Rehti Hai K !
Koi Tumse Humdardi Kare..
Aur Tumhara Dukh Bantey
Lekin.....
Aisa Nahi Hota ?
Kiun K Jin Logo Se Humdardi Ki......
Aur Dukh Bantney Ki Umeed Hoti Hai...
Wohi Log.......
Dukh Detey Hain Na!

Koi Mera Bhi Hone Laga Hai

Koi Mera Bhi Hone Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai


Koi Mera Bhi Hone Laga Hai
Koi Mujhe Bhi Chahne Laga Hai

Koi Mujhe Bhi Sochne Laga Hai
Suno ! Tumhein Pata Hai

Woh Ajnabi Hai Par
Apna Apna Sa Lagne Laga Hai

Tumhari Tarah Us ne Mujhe
Koi Khawaab Nahi Dikhaye

Phir Bhi Na janee Kyun
Dil Usi Ki Taraf Murnee Laga Hai

tumhari raat si zulfoon mein chand sa chehra

tumhari raat si zulfoon mein chand sa chehra
mujhey ye shaam sajanay ki ejazat deydo

mujhey qaid ker lo apnay ishq mein
ye jaan tum pay lootanay ki ejazat deydo

nahi hai shok bhoolnay ka mager
mujhey ye duniya bhulanay ki ejazat deydo

suno pagal lerki

suno pagal lerki
Muejh paaney ke khwaab na dekho
ager meri yaadon ke kaanch
tumhari ankhoon mein reh gaey tao
tamaam umur tum rooti rahogi

suno pagal lerki
main awara badul
hurjaayi howa hoon
mujeh muthiyoon mein
qaid kerne ki koshish na kero
kahein aisa na ho ke
khaali hataeliyoon ka dukh
tumhey maar daley

suno pagal lerki
main sahil ki rait hoon
mujh per apna naam likhney k i
koshish na kerna
kahein aisa na ho keh
waqt ki koyi lehur aaker
isey mita dey
aur tum khud ko dhoondti reh jao

suno pagal lerki
mujeh gulaab ki manind
dil ki kitaab mein na rukho
kahein aisa na ho keh
jub kabhi
is kushk phool ko uthao
tao pati pati bikhur jaey
aur os k bikhurne ka dukh
tumhe raiza raiza kerdey

suno pagal lerki
meri yadoon ke suraj
apni ankhoon mein na basao
kahein aisa na ho keh
in ki tapish se
tumhari ankhein pighul jayen
aur
tum janti ho keh tumhari ankhein
mujeh apni jaan se burh ker azeez hein ........ ... ...

Duniya ki lambi raahon par

Duniya ki lambi raahon par,
hum yun to chaltey jaatey hain
Kuchh aise log bhi miltey hain,
jo yaad humesha aatey hain

Wo raah badaltey hain apni,
aur murh kar haath milaatey hain
Lekin wo dilon ko yaadon ki,
khushboo ban kar mehkaatey hain

Aise hi safar kartey-kartey,
ik shakhs mila hum ko bhi kaheen
Duniya mein hain achey log bohat,
lekin uski si baat nahin

Wo dheemey lehjey waala tha,
aur wo dheerey se hansta tha
Jitney bhi log miley humko,
such jaano sabse acha tha

Uskey fiqrey tootey-tootey,
uski baatein khoyee-khoyee
Kehkar hi na dey jo hum chaahein,
socha hi karey baithey-baithey


Go saath hamara khoob raha,
usko na hui pehchaan bohat
Gar boojh lein dil ki baat kabhi,
ho jaata tha hairaan bohat



Aur hum uski hairaani par,
sharminda ho kar sochty rahy
keh.....

Palkon Pay Nami Hay To Kia Meri Hansi Kay Saath

Palkon Pay Nami Hay To Kia Meri Hansi Kay Saath
Mera Hosla To Daikh Meri Bebasi Kay Saath

Thehray Jo Rat-Jagay Hain Meri Aankhon Main
Teri Inaayat Hain Qabool Hain Khushi Kay Saath

Chhuraa Kay Daman Ye Kehna Kay Janntay Hi Nahi
Kia Khoob Tamasha Hay Meri Saadagi Kay Saath

Zakham-e-Dil O Dagh-e-Jigar Jo Teri Inaayat Hain
Rahaingay Hamsafar Meray Meri Zindagi Kay Saath

Shab Ki Tareekiyon Main Kar Kay Mera Tassawwur
Karain gay Aehd-e-Wafa Woh Phir Kisi Kay Saath

Rastay Pukaartay Hain Mujhay Maazi Say Haal Main
Thaamee Hain Ungliyaan Bari Be-Dili Kay Saath

Chalo mein batao kya ho tum

Chalo mein batao kya ho tum,
Meray liye meri duniya ho tum,
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ney jo mangi woh dua ho tum,
Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum,
Kiya mein ney mahsoos woh ehsaas ho tum,
Meray honto ki pyaas ho tum,
Meray baahon ki aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum,
Meri zameen ka akaash ho tum,
Meray chehrey ki kashish ho tum,
Meray sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum,
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum,
Meray dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri,
kaisey kahoo key meri haan ho tum

Suna hai ab kay woh udaas rehta hai

Suna hai ab kay woh udaas rehta hai,
Us se kaho kay woh udaas na ho Kiyon kay!
Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhi Num num si lagti hain,
Us k honth bhi Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup honth or num aankhain,
Meri kamzori hain,
Us se kaho!
Woh udaas na ho,
Jo woh chahta hai,
mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,
apne man pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!
Us k udaasi meri kamzori hai

Main nay tum say pyar kia hai

Main nay tum say pyar kia hai
Tumhara eatbar kia hai
Sub ko Choor ke hum nay janan
Tumhara Intkhab kia hai
Tumhari yadon nay hamara
Jeena dushwar kia hai
Khak lamhon ki dhool main sajan
Tumhara intzar kia ha
Qayyamat tuk intzar karain gay tera hum
Yeh azam ikhtiar kia hai

Huaa hai Insaaf se Bezaar Mera Dil

Huaa hai Insaaf se Bezaar Mera Dil
Bewafaa Ho Aap Gunehgaar Mera Dil

Har Kisi ke Saath Hay Koi ,Tanha Main
Phir Se le Jaa Mere Yaar Mera Dil

Ab to Kismaton pe Chor Di Hai Baat
Thakk Chukaa Hoon ,Tumhe Pukaarey Mera Dil

Mere Marne ki Ab Duayen Mangiye
Jeene ka Nahin Hai Talabgaar Mera Dil

Waqt ki Aandhiyon Ne Maar Daala
Tha aik Dhuven ka Gubaar Mera Dil

Kya pyar mein aissa hota hai

Kya pyar mein aissa hota hai
Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai
Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai,

Kay ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai
Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai
Kay usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai

Kay usski pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai
Kay ussko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai
Kay usskay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai

Kay ussko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal sapnon mein rakhnay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usski parchayee ko hee dekh kar dil khush hojata hai,

Kay usski ek nazar se hee dil ko sukoon ajata hai
Kay usska chehra charon tarf chajata hai
Kay usski baat baat par pyar ajata hai
Kay usskee bahon mein dil mar jana chahta hai,

Kay usski hathon ki rekhaon ko dil badal day naa chahta hai
Kay usskay naseeb mein likhi hua har gham dil apne naam kar dayna chahta hai
Kay usski har khuaesh ko dil pura kar dayna chahta hai
Kay saray jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dayna chahta hai,

Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usske sath jina to kya
Usske sath mar janay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai

Hai Tera Kya Rishta Mujh Se

Hai Tera Kya Rishta Mujh Se"
Mein ne poocha jab us se, hai tera kiya rishta mujh se
Wo goya huwa kuch yoon, hai mera ye rishta tujh se
Sooraj ka Jo kirnon se
Neendon ka Jo sapnon se
Sur ka Jo saazon se
Geeton ka Jo awaazon se
Jheelon ka Jo kanwal se
Sheron ka Jo ghazal se
Gul ka Jo bulbul se
Dharkan ka hai Jo dil se
Poocha jab apne dil se, dil ne kaha ye chupke se
Kaise kahoon mein ye us se, hai mera ye rishta tujh se
Baarish ka Jo badal se
Nainon ka Jo kajal se
Nadiya ka Jo paani se
Jo raat ka raat ki rani se
Baghon ka Jo baharon se
Chanda ka Jo sitaron se
Badlee ka Jo saawan se
Sajnee ka Jo Saajan se
hay mera yeh rishta tujh say

Qudrat ki wadiyat hotay hain

Qudrat ki wadiyat hotay hain


Kabhi kuch day kar jatay hian


Kabhi sub kuch cheen laitay hain


Kabhi bechain kartay hain


Kabhi jeena sikhatay hain


Kabhi bantay hain jab aansoo


Umer bhar yeh roolatay hian


Kabhi lab ki hansi ban kar............


Naie duniya sajatay hian...............


Kabhi meethi kasak ban kar................


Anjani khalish ban kar


Makeen-e-dil yeh bantay hain


Kisi sourat nahin mittay


Jo in say door bhago tou


Nahin janay nahin daitay


Na zindah rehnay daitay hain


Na yeh aazad kartay hian


Nahin jis ki dawa koi


Yeh aisa dard hotay hain


Magar yeh bhi haqeeqat hai


Har ik ko tou nhain miltay


Baray nayaab hotay hain,


Yeh dukh anmool hotay hian.........!




DUKH ANMOOL HOTAY HIAN !................

her aik muskarahet muskaan nahi hoti

her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

mohabbat ho ya nafret asaan nahi hoti,

ansoo khushi ka hoon ya ghum ka hotay hain aik jaysay,

in ansoon ki koi pahchan nahi hoti,

baat hai wohi per matlab badal gay hain,

dil dagmaga giya tha per hum sambhal gay hain,

attay hain din woh bhi jaysa hain log lakin,

apna sab kuch hai per jaan nahi hoti,

her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

is jahan main chahray bhi aik jaysay,

ghunghat bhi aik jaysay sahray bhi aik jaysay,

janti hain nazrain pahchanti hain nazarain,

apni parai suraat anjaan nahi hoti,

her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

yeh dil bhi ajab shay hai ho jay jab akaila,

rahta hai sath us ka daryaoon ka aik maila,

doniya choot jay her aas toot jay,

mahfil yeh dil ki kabhi veraan nahi hoti,

her aik muskarahet muskaan nahi hoti,

mohabbat ho ya nafret asaan naho hoti,

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai

Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai

Tum Pass Nahin Aik Hi Baat Hai

Kabhi Bin Tumhare Roya Karte Thay

Ab Tum Door Ho Aik Hi Baat Hai

Dil Main Pehlay Wali Baat Nahin

So Jatan Karo Aik Hi Baat Hai

Dil K Aaine Main Tumain Dekh Liya

Ab Jo Bhi Roop Dharo Aik Hi Baat Hai

Bharam Sare Ab Tum Nay Kho Diye

Bahar Ho Ya Khizaan Aik Hi Baat Hai

Woh Waqat Tha Jab Hum Mila Karte Thay

Wade Sare Wafa K Kiya Karte Thay

Rishta Chah Ka Tha Jo Tum Nay Mita Diya

Ab Subha Ho Ya Shaam Aik Hi Baat Hai

Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum

Jesi Bhi Rut Ho Aik Hi Baat Hai

Bin Tumhare Jeena Bhi Kiya Jeena Hai

Zindagi Ho Ya Mout Ho Aik Hi Baat Hai

Kisi kumzoor lamhe me

Kisi kumzoor lamhe me

Agar me tum se ye keh doon

Mujhe tum se muhabbat hai

Tum ye mat samajh lena

Mein ne sach kaha ho ga

Aisi dilnasheen baatoon ko

Aise dilbar peraye me kehna

Mujhe buchpan se aata hai

Meri aankhein mera chehra

Mera ye besakhta lehja

Ye sab kuch jhoot kehta hai mager

Is jhoot me aik sach bhi hai ke

Mujhe tum se MUHABBAT hai...

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay

Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita

Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Aur maazi ki bhi parchhain nahin padne daita

Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai
Lekin khud ko, kabhi had se, nahin bardhne daita

Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi
Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita

Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai
Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita

Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai
Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita

Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha
Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita

Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna
Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita

Tum jo roothay ho sanam to roothi hai sari khudai

Tum jo roothay ho sanam to roothi hai sari khudai
sahi nahin jati mujh say yeh teri judai

kiss baat pay tum roothay ho janaan!
koi baat bhee to tum nain nahin batai

kia thaa tum nain wada kay na rootho gay kabhee
par lagta hai tum nain to har baat hai bhulai

gar tu na mana to jeewan mita doon ga
judai main jeenay ki baat tu nain kab thee ikhai

kisay jatay ho tum bhee sanam sitam par sitam
kuch to socho itni sakhat jaan ham nain kab hai pai

apna to sara jeewan hi baykaar thaa janaan!
zindgi to wohi hai jo teray piyar main hai bitai

tu to apna jeewan unn kay naam kar chuka hai Arsh
shaiad woh jaan nahin pay teray piyar ki gehrai

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Tum Itni Sundar Ho Ke Nahi!

Tumhe Aik Nazar Jo Dekhe Woh

Sudh Budh Bhoole,Madhosh Rahe

Bus Tum Mughe Achi Lagti Ho

Tum Hans Do Tu Mausam Badle

Tum Jago Tu Dunya Jage

Jhilmil Jhilmil Manzar Hon Sub

Aur Na Sooghe Kuch Aagey

Bus Tum Ko Dekhein,Dekhte Hi Jayein

Maloom Nahin Tum Itni Pyari

Itni Sundar Ho Ke Nahin

Bus Tum Mughe Achi Lagti HO

Zindagi ki rahoon main

Zindagi ki rahoon main
Rahiyoon kay milnay say
Phir bicharnay kay dar say
Abhi dil ko bahlana hay
Humain bas muskurana hay
Abhi tu muskurana hay

Guzray howe lamhoon ki
Yadoon ko bholana hay
Abhi tu ashkoon ko
Ankhoon main chupana hay
Humain bas muskurana hay
Abhi tu muskurana hay

Teri tarha mujey mil jaye koi

Teri tarha mujey mil jaye koi
Aisa kabhi na hojaye kaheen
Mujey tujh se na cheen lay koi
Mujey tujh se na lay jaye koi
Gar kisi ko chahney lagoon me teray jesa
Tujhey ye gumaa-n na h0jaye kaheen
Derti hoon tuu khafa na h0jaye kaheen
Main jo teray lie hoon
Tuu kisi aur me wo..na paaley kaheen
Dil me meray leken ye khayal aya abhi
Tuu to phir tuu hai
Kia majaal kabhi aye koi
Mujey to mehez Ik der tha
Mujey to mehez Ik gumaa-n tha
Ye Gumaa-n pura ho nahi sakta..
Mujey tujh sa
Tujhey mujh sa
Koi mil nahi sakta !!.

Dab-Dabaa Aayii Wo Ankhen Jo Meraa Naam Aayaa


Dab-Dabaa Aayii Wo Ankhen Jo Meraa Naam Aayaa
Ishq Naakaaam Sahii Phir Bhii Bahot Kaam Aayaa

Lazzat Ya MarG Ya Mohabbat Koii Us Se Puuchhe
Jis ke Lab Par Dam-e-Aakhir Bhii Teraa Naam Aayaa

Zindagii Tere Tasavvur Se Alag Rah Na Sakii
Nagmaa Koii Ho Magar Saaz Yahii Kaam Aayaa

Ham Pe Aisii Bhii Gam-e-Ishq Me Raaten Guzariin
Jab Talak Aansuu Na Bahe, Dil Ko Na Aaraam Aayaa .

DIL KA HAL BATAOON KAISA HAY

**DIL KA HAAL**
DIL KA HAL BATAOON KAISA HAY
JAISAY KHIZAAN K MOUSAM MEIN
JAISAY ZURD PATOON KA GIR JANA
JO KABHI POCH LIYA KISI MEHARBAN NAY
BATAOO TU KIYA HOVA
KAISAY CHUPA PAOON GA MEIN
AANKH KA AANSOON SAY BHAR JANA
MEIN HAIRAAN HOON
K MEIN ZINDA HOON
ITNA BHI AASAAN NA THA
ZINDAGI MEIN MOUT SAY GUZAR JANA
KOI MUJHAY SAMAITAY GA TU KAISAY
KISIS NAY DAIKHA HE NAHEEN
MERI ZAAT KA KIRCHIYOON MEIN BIKHAR JANA

iss shehar-e-kharabi main gham-e-ishq k maaray

iss shehar-e-kharabi main gham-e-ishq k maaray
zinda hain ham yehi baat bari baat hai pyaray

her subah meri subah per roti rahi shabnam
her raat meri raat pe hanstay rahay taray

aur bhi gham hain k aye gham-e-janaa
kab tak koi uljhio hui zulfon ko sanwaray

Mohabbat zaat hoti hai

Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat zaat ki taqmeel hoti hai
koi jungle main ja tehray, kisi basti main bas jaye
Mohabbat saath hoti hai
Mohabbat khushboon li laay
Mohabbat mauson ki dhun
Mohabbat aabshaaron k nikhartay paniyon ka mann
Mohabbat junglon main raqst karti morni ka tann
Mohabbat barf parti sardiyon main dhoop banti hai
Mohabbat chilchilatay garam sehraaon main thandi chaaon ki maannind
Mohabbat ajnabi des main apnay gaun ki maaninnd
Mohabbat dil
Mohabbat jaan
Mohabbat moorti hai
aur jo kaheen dil k mandar main kaheen per toot jaye to
Mohabbat kaanch ki gurya
fizaon main kisi k haath se gir k choot jaye to
Mohabbat aabla hai karb ka
aur phoot jaye to
Mohabbat rog hoti hai
Mohabbat sog hoti hai
Mohabbat shaam hoti hai
Mohabbat raat hoti hai
Mohabbat jhilmilati aankh main barsaat hoti hai
Mohabbat neend ki rutt main khawabon k raston pe sulagtay, jaan ko aatay
rat-jagopn ki ghaat hoti hai
Mohabbat jeet hoti hai
Mohabbat maat hoti hai
Mohabbat zaat hoti hai .....

Mohobbat ka andar hai ek cheeze jo

Mohobbat ka andar hai ek cheeze jo
Kise kise ka sath date hai wafa.
Mohobbat ke ankhon say dakho ga to
laga ga tum ko sab acha
Mohobbat ke ankhon say dakho ga to
laga gan tum ko sab apna
Mohobbat ke ankhon say dakho ga to Jaan
Tum ko Lagon ge mai bhi mohobbat say bahare
Mohobbat ke ankhon say dakho ga to
mohobbat he karo gay Tum muj say

Kahti hai yeh hawa

"Kahti hai yeh hawa
Kahti hai yeh fiza
Kal koi tha yaheen
lakin ab who nahien
who kahiin aur hai
dard ka daur hai
kitna gahra hai ghum
kaisa hai yeh sitam
kahti hai yeh hawa kahti hai yeh fiza
jitna bhi ghum saho uttne hi chup raho
aarzoo so gayi,har khushi kho gayi
sooney hain raastey,aaja mere waastey
sirf ek yaad hai ek faryad hai
sirf tanhaiyyan,sirf parchahiyyan
ansoo-o-n ki nadi
dil main hai bah rahi
kahti hai hai Zindagi
tuhi yahan nahien

Yon hi kuch log achay lagnay lagtay hain

Yon hi kuch log achay lagnay lagtay hain
piyar mayn daykhnay saray sapnay sachy lagtay hain

dard to tub uth ta hai sinay mayn
jub wo piyaruy log bicharnay lagtay hain

thay wo sath to thi khizan bi bahar ki manind
ab to gulshan k sary phol bi kantay lagtay hain

kardia bharay jahan mayn tanha jinhon nay ay dost
bewafa say wo log phir bi kitnay piyary lagtay hain

Teri tarha mujey mil jaye koi

Teri tarha mujey mil jaye koi
Aisa kabhi na hojaye kaheen
Mujey tujh se na cheen lay koi
Mujey tujh se na lay jaye koi
Gar kisi ko chahney lagoon me teray jesa
Tujhey ye gumaa-n na h0jaye kaheen
Derti hoon tuu khafa na h0jaye kaheen
Main jo teray lie hoon
Tuu kisi aur me wo..na paaley kaheen
Dil me meray leken ye khayal aya abhi
Tuu to phir tuu hai
Kia majaal kabhi aye koi
Mujey to mehez Ik der tha
Mujey to mehez Ik gumaa-n tha
Ye Gumaa-n pura ho nahi sakta..
Mujey tujh sa
Tujhey mujh sa
Koi mil nahi sakta !!.

Tumhara aaj tumhara kal,tumhara kal main hi hoon

Tumhara aaj tumhara kal,tumhara kal main hi hoon
Tumharey beetey huey har us pal me main hi hoon

Wo jo baat tumharey dil me chupi bethi hai
Wo jo baat tumhari zabaa-n ada ker nahi sakti 

Tumhari us baat me m0jood main hi hoon
Jisey har pal me tum s0chtey h0, mehsoos kertey h0 

Jisey soch ker, mehsoos kerkay, tum muskuratey h0
Tumhari us soch, Ahsaas aur muskurahat me main hi hoon

Jaan ker jisey tum ne haara tha, Fikr me, ahsaas me
Us fikr me, ahsaas me, tumhari chah me, main hi hoon

Meri kisi khata per jab tum mujhey khatawar thehratey h0
Tumharey lafzo,tumharey lehjo-n,tumhari shikayat me, main hi hoon

Ye jo chupatey phirtey ho, apney kuch khayalat mujhse
Tumharey un khayalat,un jazbaat me,un ahsasaat me,main hi hoon

Jis kay barey me soch ker,kehney lagti hai kuch aankhein tumhari
Wo hasti, wo S0ch , han wo main, main hi hoon

Sun ker jis ka naam, tham sa jaata hai tumhara waqt
Tumharey us waqt me, tumhari us shaam me....
Main tumhari main, sirf main hi hoon...!!

Maine chore na apne nishaan, ye rahguzar ishara deti hai

Maine chore na apne nishaan, ye rahguzar ishara deti hai,
Dasht-o-sahra me bhi, meri ruswai mujhko dhoondh leti hai.

Kahne ko mere saathi, rahon me mile the kabhi mujhe,
Aashna ke mahfilon me, meri tanhai mujhko dhoondh leti hai.

Har kadam par khai thokar, paya nahi kuchh bhi sabkuchh khokar,
Kismet se hi sahi magar, meri badnaseebi mujhko dhoondh leti hai.

Chaha to tha kar loon intezaar, tasavvur hi sahi unka aana,
Kadam na thame kabhi, meri aawargi mujhko dhoondh leti hai.

Yun to milte rahe raahon me, dil lagane wale kai log,
Koi lakh kareeb ho, teri judai mujhko dhoondh leti hai.

Pyas hai janmon ki, dene walon ne saagar bhi diye,
Har boond me bhi, meri tishnagi mujhko dhoondh leti hai.

Jeete ji to kabhi chain na mila, marna jo chaha kabhi maine,
Meri mayyat pe bhi, meri zindagi mujhko dhoondh leti hai.

Ab na likhenge hum ghazal kabhi, aah na banenge shabd kabhi,
Aahon ke naseeb se, meri shayari mujhko dhoondh leti hai.

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe………

Aaina-e-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-HumNasheen,
Jo Sochti Hoon Khat Likhne ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe…….

Aankhen Khulte Hi Kahin Bhool Na Jana Mujhko E-Sanam,
Main Wo Saawan Ki Baarish Hoon, Jo Barsoongi Sirf Tujhpe………

Jo Aa Gai Saamne Kabhi, To Kaise Pahachanega Tu Mujh ko,
Isliye Badan Ki Khusbu Apni, Chode Ja Rahi Hoon Tujhpe……..

Apne Seene se Lagaaye Rakhna, Aankhon me Basaye Rakhna,
Na Todna Kabhi Dil Mera, Bas Itna Ehasaan Tu Karna Mujhpe……

Aaj Khwaabon Me Aayi Hoon, Kal Zindgi Me Bhi Aaungi,
Main Hoon Sirf Teri, Dil-o-Jaan Jo Luta Baithi Hoon Tujhpe…..

Aaj Ja Rahi Hoon Sirf Izhaar Karke, Ikraar Ke Intzaar Me,
Kal Raat Phir Aa Kar Mohabbat Apni, Bikhraaungi Main Tujhpe…..

Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar,
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe………!!!!!!!!

Jo mujhe sukun de sake ab aise dar ki mujhe talaash hai

Jo mujhe sukun de sake ab aise dar ki mujhe talaash hai.......
vo gunah ho ya ho sawab mujhe us amal ki talaash hai..........
Mere sare sapne bikhr ke chur chur ho gaye............
jo mujhe simat sake un haatho ki mujhe ab talaash hai.............

mein khafa hun har ek rishte se,
ke sila hai in se mila nahi............
jis rishte ka ab koi naam naa ho
mujhe us rishte ki talaash hai..............

vo ajeeb sa mera ek DOST mere dil ke itne karib hai..........
ke meri har khushiya mai bhool gaya hu............
uski har khushio ki mujhe talaash hai...............

milta rahe usse jo woh chahe aur,
zindagi mein sada muskurata rahe..............
Yeh meri "DUA" jo sun sake ,
mujhe us KHUDA ki talaash hai.............

Ek gazal likh bethee hoon

Ek gazal likh bethee hoon

aaj younheen bethey bethey mazzi k un lamhoon ko......

yaad jo main kar bethee hoon....

to ek gazal likh bethee hoon.....

jee kuch uktaya sa hai....

lehjey main woh baat nahin....

dil main bhi kuch dard sa hai...

ab khaas koi raat nahin....

woh baat baat par roo dena...

rotey rotey chup ho jana...

kuch kehtey kehtey ruk jana...

kuch keh kar woh chup ho jana...

tanha tanha sii bethee hoon...

kuch soch main aisee gum sum hoon...

har lamhey aas lagaey hoon....

har dua main tum ko maangtee hoon.....

aaj younheen bethey bethey maazi k un lamhoon ko....

yaad jo main kar bethee hoon...

to ek gazal likh bethee hoon

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

MERE WAJOOD KI MUJ METALASH CHOOR GAYA

MERE WAJOOD KI MUJ METALASH CHOOR GAYA
JO PORI NA HO KABHI AISE AAS CHOR GAYA

YUHI KARAM NAWAZI US KI MUJ PE KAM HA KIA
K KUD TU DOOR HA YADAIN TU PASS CHOOR GAYA

JO KHWAHISAHIN THI KABHI AB HASRATOON ME BADAL GAIN AB
MERE LABOON PE WO AIK LAFZ KASH CHOOR GAYA 

YEH MERA ZARF HA IK ROS US NAY MUJ SE KHA
K AAM LOGOON ME MAIN EK TUJH KO KHASS CHOOR GAYA 

BHAROON SE MUJ ISI LIAY TU NAFRAT HA
INHI RUTOON ME WO MUJ KO UDASS CHOOR GAYA

Aansu aa jatey hein ANKHON mein RONEY se pahle

Aansu aa jatey hein ANKHON mein RONEY se pahle
har KHWAB tut jata hai sone se pehle

ISHQ hai gunah ye to samaj ge
kash koi ROK leta hone se pehle

UDAS nazron mein khwab miley gein
kahin KAANTEY to kahi phool khiley gein

mere DiL ki kitabo ko apni nazron se par kar dekho
kahin apkiYAADIEN to kahin aap miley gein

GAM ne hasney na diya ,tammana ne roney na diya
is ILZAM ne sakun se jeene na diya

thak ke SITARON se pnah lii
NEEND ayi to tere yaddon ne soney na diya

jiski AARZOO thi wo dilbar na mila
barsoo jiskaINTEZAR kiya woh phir na mila

ajib khel hai ye MUHAABAT ka
kisi ko HUM na miley to koi humko na mila

bikhrey AASHQON ke moti piro na sake
tumhari yaad mein saari RAAT ro na sake

bhig na jaye aankhon mein basi tumhari TASVEER
ye soch kar ek pal bhi RO na sakey

TAQDEER unki jo humney azmai bathi hai
aye hein MEHFIL mein magar dur ja kar baithe hein

nazron se mili NAZAR to baat ho
AFSOS ki wo nazar jhuka kar baithey hein

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq. 

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

Phirtay hain kab say darbadar ab is nagar

Phirtay hain kab say....
Phirtay hain kab say darbadar ab is nagar ab us nagar ik doosray kay
humsafar main aur mairi awargi
Na-aashna har reh-guzar, na-meharbaan har ik nazar, jain to ab jain
kidhar
main aur mairi awargi!!
Hum bhi kabhi aabad thay aisay kahan barbaad thay, bayfikr thay, azaad
thay,
masroor thay dilshaad thay
Wo chaal aisi chal gaya hum bujh gaiy dil jal gaya, niklay jala kay
apna
ghar main aur mairi awargi
Jeena bohut aasan tha ik shakhs ka ehsaan tha, hum ko bhi ik armaan tha
jo
khwab ka samaan tha
Ab khwab hai na aarzoo, armaan hai na justajoo youn bhi chalo khush
hain
magar main aur mairi awargi
Wo mahwish wo mahroo, wo mah-e-kamil hoobahoo, theen jis ki batain
koobakoo,
us say ajab thee guftagoo
Phir youn howa wo kho gai to mujh ko zid si ho gai, laaen gai us ko
dhoond
kar main aur mairi awargi
Yeh dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya, kehnay ko phir kia
reh
gaya ashkoon ka darya beh gaya
Jab keh kay wo dilbar gaya tairay liyay main mar gaya, rootay hain us
ko
raat bhar main aur mairi awargi
Ab ghum uthain kis liyay, aansoo bahain kis liyay, yeh dil jalain kis
liyay,
youn jaan gawain kis liyay?
Paisha na ho jiska sitam dhoondain gai ab aisa sanam, hoon gai kaheen
to
kargar main aur mairi awargi
Aasar hain sab khoot kay, imkaan hain sab choot kay, ghar bund hain sab
goot
kay, ab khatm hain sab tootkay,
Qismat ka sab yeh phair hai, andhair hai andhair hai, aisay howay hain
bayasar main aur mairi awargi
Jab humdam-o-humraaz tha tab aur hi andaaz tha, ab sooz hai tab saaz
tha, ab
sharm hai tab naaz tha
Ab mujh say ho to ho bhi kia, saath ho wo to wo bhi kia, ik bayhunar ik

baysamar main aur mairi awargi!!

Katoon si chubhti hai Tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rotI hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sotI sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar si jatI hoon jab khone lagti hai Tanhai...

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai

Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha

Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..

Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai

Yeh kaisa tu ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai 

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai...

Mohabbat ka smr milta nhi hy

Mohabbat ka smr milta nhi hy
Ye sikka ub yahan chlta nhi hy..

Hmein kya jo sukhn duniya mein goonja
Jisy sunna tha wo sunta nhi hy..


Hm el e dil sr bazaar e duniya
Khdey hyn raasta milta nhi hy..

Safr jaari agr hy ' Rehnumao!
To phir kyun faasla ght'ta nhi hy..

Tum apny baadbaan kholo na kholo
Smndr to kbhi bhi rukta nhi hy..

Seher sey shaam honey ko agai hy
Koi dard aashna milta nahi hay..

Mera dil to yoon hy qsr e jahan mein
Wo pathar jo kaheen lagta nahi hy..

Zamana aap hi badly to badly
Kisi ka zor to chlta nhi hy..

Nahi faysal koi qeemt wafaa ki
Ye sauda ub yahan bikta nhi hy................*

KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI

KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI
MERA JISM TO MAUM HAI BAHAR NIKLOON TO PIGHAL JAI

TEZ RASTOON KI DOOR MAIN RUKA TO MAIN GIR JAONGA
TEZ DORA TO HATH TERA HATHOON SAI MERE NIKAL JAI

AAJ KHAMOSHI KUCH ZIADA HAI, AUR RAUSHNI KUCH KUM
AAJ AGAR TU AAJAI TO MAUSAM SARA BADAL JAI

MERE WASTE INTZAAR MAIN WO KAI DINOON SAI UDAAS HAI
JHOTI MAGAR BATAIN KARO SHAYAD YEH DIL BEHAL JAI

EK PARWANE K JAISI ZINDAGI MERI BAN GAI AB
GAR DOOR RAHE TO TARPE AUR PAAS AAI TO JAL JAI

WO AAIGI WO AAIGI AFWAIN AISI PEHLAO K DIL
BOHAT DINOON SAI UDAAS HAI HO SAKTA HAI MACHAL JAI

TISHNA WO BAWAFA HAI TU AAI MERE SAMNE EK PAL
DIL JALA HAI AAJ BOHAT SHAYAD YEH AANKH UBAL JAI

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka,
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee,
Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay,
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay,
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker,
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon,
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta..........

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din

chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din

mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din

Junoon sey, Aur ishq sey, Milti hai...Azadi

Junoon sey,
Aur ishq sey,
Milti hai...Azadi

Tanzeem , itehad, eemaan,
Quid ka peghaam,
Tanzeem , itehad, eemaan,

Khawab key paak meharabaan,
Jaisay rooh, jissam o jaan.
Janta hai sara jahan

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hai...azadi

Qurbani ki bahoon mein..milta hai azadi

Junoon sey aur ishq sey milti hia azadi

Tauheed, ijtehad, nezaam...
Momin ki pehchaan,

Tauheed, ijtehad, neezam...
Jab sab imtehaan,
Zahir, ghaib ka neeeshaan...

Sar zameen-e-Pakistan...

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hai...azadi.
Kurbaani ki bahoon mein,
Milti hai azadi,
Junoon sey aur ishq sey milti hai azadi

Junoon !!!!

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hia...azadi

Qurbani ki bahoon mein
Milti hia azadi

Junoon sey aur ishq sey,
Milti hai azadi

Aaeeney se tootney ki wajhaa

Aaeeney se tootney ki wajhaa na pooch "faraz"
wo bhi meri tarha patharon ko dost samajhta hoga

hawa thami thi zaroor lakin.........

hawa thami thi zaroor lakin.........



hawa thami thi zaroor lakin
bari hi mudaat guzar chuki thi


who shaam bhi jaise sisuk rahi thi
k zard patton ne aandhion se
ajab Qissa suna diya tha
k jisko sun kar tamaam patte sisak rahe thay
bilak rahe thay
jane kis sanihe k ghum mein 
shajar jarron se ukhaar chuke thay
bohat talasha thahum ne tumko
har ek rasta
har ek waadi
har ek parbat
har ek ghaati
magar kahein se teri khabar nahi aayi
to ye keh ke hum ne dil ko taala
hawa thame gayi to dekh lein gay
hum us ke raston ko dhond lein gay
mager humari yekhush khyali
jo hum ko barbaad kar gayi thi
hawa thami thi zaroor lakin
bari hi mudat guzar chuki thi
humare baloon ke jangloon mein
safaid chandni utar chuki thi
falk pe tare nahi rahe thay
gulab sare nahi rahe thay
wo jin se basti thi dil ki basti
wo log sare nahi rahe thay 
magar ye almiya sab se bala tar tha
k hum tumhare nahi rahe thay
k tum humare nahi rahe thay
hawa thami thi zaroor lakin
bari hi mudaat guzar chuki thi

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai 

Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey
Lekin Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai 

Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai 

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai 

Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna Abhi To
Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai 

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai 

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai"....

Shaam ke ujalo par

Shaam ke ujalo par,
Apny narm hatho sy,
Koe baat achi si,
Koe khawab sacha sa,
Koi bolti kushbu,
Koi Sochta lamha,
Jab bhi likhna chaho gy,
Soch ker daricho sy,
Yaad k hawalo sy,
Mere naam chup chup kar,
Tum ko yaad aay ga,
Hath kaanp jain gy,
Shaam teher jay gi,
Meri Yaad aay gi,
MERI YAAD AAY GI,

Milay kaisay sadiyoon ki pyas aur pani

Milay kaisay sadiyoon ki pyas aur pani, zara phir say kehna
bari dilruba hai yeh sari kahani, zara phir say kehna

kahan say chala tha judai ka saya, nahi daikh paya
kay rastay main thee anso'oon ki rawai, zara phir say kehna

hawa yeh khabar, sunati rahay aur main sunta rahoon
badalnay ko hai ab yeh mausam khazani, zara phir say kehna

mukar janay wala kabhi zindagi main, khushi phir na paiy!
yunhi khatum kar lain, chalo yeh kahani, zara phir say kehna

samay kay samandur, kaha tu na jo bhi, suna, par na samjhay
jawani ki nad'di, main tha taiz pani, zara phir say kehna

yun abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar

yun abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar



jis kaa amaal hai be-garaz, us kii jazaa kuchh aur hai
huur-o-Khayaam se guzar, baadaa-o-jaam se guzar


garche hai dil_kushaa bahot husn-e-firang kii bahaar
taayarek bula.nd baal daanaa-o-daam se guzar


koh shiGaaf terii zarab tujhase kushaad sharq-o-Garab
teze-hilaahal kii tarah aish-o-nayaam se guzar


teraa imaam be-huzuur, terii namaaz be-suruur
aisii namaz se guzar, aise imaam se guzar

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga

Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga....

Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi,mager sadiyon se jaan kar acha laga

Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga

Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga

Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga
Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana bolo kissey acha laga
Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga

Woh Kitney Haseen Lamhey They

Woh Kitney Haseen Lamhey They...
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab hum tum saath hotey they,
woh geelay neem k neechay,
geelee ghaas pe baitha,
chandnee raat main,
main tumharee zulfain gina kerta tha,
aur tum madhosh see masoom se ,
meree soorat taktee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum merey pehlo main baithee,
un udaas palon ko yaad kia kartee theen,
jab tum mujh se rootha kertee theen,
kuch naraaz naraaz see tumharee soorat,
mujh main khalish see paida kertee thee,
jaisey pooree dunya mujh se rooth gayee ho,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab main tumharey kandhey pe ser rakh k,
roya kerta tha,
aur dua kerta tha,
k hum kabhee juda na hon,
tum bhee kia khoob larkee theen,
tum bhee ro dya kertee theen,
phir hum donon,
ek doosrey k,
ansoo poncha kertey they,
aur phir achanak khilkhila k,
hansney lagtey they,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum ek phool k saath,
mujh se milney aya kertee theen,
aur phir kuch hee dair main,
janey kee zid kia kertee theen,
aur main tumhain,
rokta rehta tha,
woh ek ek lamha gina kerta tha,
aur phir achanak tum,
pyar se khuda hafiz kehteen,
aur,
sangeet kee dhunon kee tarha,
hawa main gum ho jaya kertee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tumharey diyey hoey woh phool,
gin gin ker main rakhta tha,
jin kee khushboo se ,
meree almaree mehek see jatee thee,
aur phir us khushbo main main,
aisa samo sa jata tha,
jaisey merey jeewan main udasee,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum barkha rut main akeilee,
chhat pe aya kertee theen,
apney sundar haton se,
kaprey phailaya kertee theen,
main ghar kee mundair pe charha,
tumhain hath hilaya kerta tha,
aur rum anjaan se ban k,
neechay bhag jayaa kertee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...

Maan lay ab bhi meri jan-e-ada ,Dard na chun

Maan lay ab bhi meri jan-e-ada ,Dard na chun
Kam aati nahi phir koi DUA, Dard na chun...

Aur kuch der main mujh ko chalay jana hoga
Aur kuch der mujhay khuwab dikha ,Dard na chun...

Aik bhi dard na kam hoga kai sadiyon main
Ab bhi kehta hoon tujhay waqt bacha,Dard na chun...

Woh jo likha hai kisi tor nahi tal sakta
Aa meray dil main koi deep jala,Dard na chun....

Main teray lams say mehroom reh na jaon kahin
Aakhri bar mujhay khud say laga,Dard na chun...

Ab to yeh reshmi poorain bhi chidi jati hain
Khud ko ab bakhsh day,Zulam na dha,Dard na chun...

Yeh nahi hoon gay to khali nahi ho jaon ga main
Meray zakhmon say koi geet bana ,Dard na chun...

Kuch na day ga yeh masail say ulajhtay rehna
Chor sab kuch meri bahoon main sama ,Drad na chun...

ek nazam kho gai hai dunya ki wusatoon main

ek nazam kho gai hai
dunya ki wusatoon main
kuch lafz is k gum hain
neelay samandaroon main
kuch harf mit gaey hain
mousam ki barishon main
is ka koi kinara
badal ne le lia
hansoon ki dhaj main is ka
ahang kho gaya hai
unwan-e-raftagan k
khuwaboon main jagta hai
uljhi hui hai hain rahain
main jin pe chal raha hoon
bikhray huay hain manzar
main jin main ghir gaya hoon

is muntashir jahan main
ek nazam dhondta hoon..........

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

aksar khud se tanha mulakaaton mein

aksar khud se tanha mulakaaton mein
anjaane lamho ki anchhui saugaton me
shafaq me surkh shabnam ki boondon me
uneendi saher aur jaagi-si raaton me
tumhara ehsaas hai,
tumhara ehsaas hai...

meri khushiyon me meri umango me
man me lehrati saari tarango me
tez hawaon se sarsarate patton me
baarish ke baad chhitke satrango me
tumhara ehsaas hai,
tumhara ehsaas hai....

meri yaadon ki galiyon chaubaron me
aaine ke aage khamosh ishaaron me
pehli baarish ki saundhi khushboo me
mere geeton me, mere ashaaron me
tumhara ehsaas hai,
tumhara hi to ehsaas hai...

aaj ke Shab to kisi tor guzar jaigi

aaj ke Shab to kisi tor guzar jaigi!!
raat gehri hai mager Chand chamakta hai abhi!
mere mathay pe tera PYAR damakta hai abhi
mere sansoo main tera lams mehakta hai abhi
mere sapne main tera naam dharakta hai abhi!
zest kerne ko mere pass bohut kuch hai abhi!
teri awaz ka jadu hai abhi mere ley
tere malbose ke khusbo hai abhi mere ley
teri banhen tera pehlo hai abhi mere ley
sub se berh ker meri JAN!!tu haia bhi mere ley
zest kerne ko mere pass bohut kuch hai abhi
aaj ke shab to kisi tor guzar jaige
aaj k bad mager rang e wafa kiya hoga!
Ihsq heran hai sare shehr e saba kiya hoga
mere qatil tera andaze jafa kia hoga!
aaj ke shab to bohut kuch hai mager kal k ley
ek andesha benaam hai aur kuch bhi nahi
dekhna yeh hai k kal tujh se mulaqat k bad
rang e umeed khelay ga k bkher jaiga?
waqt perwaz karay ga k tehar jaiga
jeet ho jaige ya kheel beger jaiga?
khuwab ka shehar rahay ga k ujar jaiga?

bazahir kitna aasan hai

bazahir kitna aasan hai
kisi say baat kar laina
kisi ki baat sun laina
inhi batoon k dhagoon say
rida-y- khawab bun laina
mugar tujh ko khabar kia hai
is kaar -e- kharabi main
muhabbat ka asur kia hai
buhat si qeemty cheezain
yahan par toot jaty hain
humary khwahishain hum par
pas-e-lub muskuraty hain
humara khoon julta hai
humara dum nikulta hai
humara dil machulta hai
hur ik shay k hotay bhi
hur ik munzar badulta hai
kisi say baat mut karna
kisi ki baat mut sunna
kisi ki baat mut sunna

zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona

zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona
dil se pukar lena or hamein sath pana

kabhi bojhal kadmon se meri dehliz pe ana
nazrein utha lena or hamein sath pana

sach kehte the log koi rehta nahi sath ta umar magar
jab bhi ankhein band kerna hamein sath pana

hum tumhare muntazir rahein ge umar bhar
ana hamare sheher mein to hamein sath pana

hum tumhare the tumhare hein tumhare rahein ge
bus eik sada dena or humein sath pana

tumhari her khushi mein meri khushi hai pinhan
jab bhi muskurana hamein sath pana

Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Hazaron Khawab Koi ik Aadh Sapna Ho Tu Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Usey Kehna Ke Palkon Per Na Tanky Khawab Ke Jahlar
Samandar Ki Kinary Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta

Ye Acha Hai ke Aapis Ke Bharam Na Totney Payeen
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta

Faqat Tum Sey Hi Karta Hoon Men Sary Raz Ke Baten
Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta

Amal Ki Sokhty Rag Men Zara Sa Khon Shamil Kar
Mery Ham Dam Faqat Bateen Bana Kar Kuch Nahi Milta

Galiyoun se meri tum ne guzar ker nahin dekha

Galiyoun se meri tum ne guzar ker nahin dekha
Gham yeh hai k khoushioun ne mera ghar nahin dekha

Mehroom hai woh pyar ki dolat se abhi tak
Dil jis ne kahin apna laga ker nahin dekha

Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan main
Khushboo ki tarah jis ne bikher ker nahin dekha

Aaiine faqat us ki tasalli k liye ha
Dulhan ki tarah jis ne sanwar ker nahin dekha

Yeh sach hai mera qatl sar-e-aam hai
Kis ka tha mere peat main khanjer nahin dekha

Dil cheer ker nikle hain yeh ashaar mere
Afsous inhein aap ne pharh ker nahin dekha

yeh baatain jhooti baatain hain

yeh baatain jhooti baatain hain
Yeh batain jhooti batain hain, yeh logoon nay phailai hain
tum Insha ji ka naam na lo, kia Insha ji saudai hain?

Hain laakhoon roog zamanay main, kiun ishq hai ruswa baichara
hain aur bhi wajhain wehshat ki, insan ko rakhtein dukhyara
haan baykal baykal rehta hai, ho peet main jis nay dil hara
par shaam say lay kar subha talak youn kaun phiray ga aawara?
yeh batain jhooti batain hain, yeh logoon nay phailai hain
tum Insha ji ka naam na lo, kia Insha ji saudai hain?

Yeh baat ajeeb sunatay ho, wo duniya say bay-aas howay
ik naam suna aur ghush khaya, ik zikar pay aap udas howay
wo ilm main aflatoon sunay, wo shair main tulsidaas howay
wo tees baras kay hotay hain, wo BA MA pass howay
yeh batain jhooti batain hain, yeh logoon nay phailai hain
tum Insha ji ka naam na lo, kia Insha ji saudai hain?

woh phool si muskurahat merey liye hoti

woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti

Kabhi waqt mile to aajao

Kabhi waqt mile to aajao
Ham jheel kinare ja baithen
Tum apne sukh ki baat karo
Hum apne dukh ki baat karain
Aur un lamhoon ki baat karain
Jo sung tumhare beet gaye
Aur ehd-e-khizan ki nazar howy
In sabz ruton k daman mai
Hum pyar ki khushbo mehkain
In bikhray sabz nazaron ko
Ham aankhon men tasveeer karain
Phir apne pyar k jado se
Hum lamhoon ko jageer karain
Kabhi waqt milaye to ajao
Hum jheel kinare ja baithen

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya 

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya 

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya 

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya 

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya 

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya 

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya 

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya 

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya 

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya 

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya 

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya 

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya 

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee 

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Jab Tumhein ye Yaqeen ho jaye

Jab Tumhein ye Yaqeen ho jaye
Ke Mai Tumhein kitna Chahthi hu
Tumse kitni Mohabbat karthi hu
Toh ussi Din Tum Laut aana Sanam
Tum mujhe apna paao ge
Jab Tumhain aisa lage ke
Koyi Tumhare sang nahi hai
Koyi Tumhara Hamdam nahi hai
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Jab Tumhain Zindagi Dushwar lage
Jab koyi Umeed na koyi Aas ho
Koi bhi na Tumhare Paas ho
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Agar kabhi Yaadein bohat Dukh de
Tanhai ka Ehsaas bohat Sataye
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Jab yu lage Tumhain ke
Tum ab ek Qadam bhi nahi chal sakte
Mazeed is Aag mai nahi Jal sakte
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Jab her Saans bhoj lagne lage
Tum andar hi andar Tootne lage
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Na mile Panah kisi ki Bhahon mai
Aur Shiddat se kisi ki Zaroorat ho
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Jab Yeh Ehsaas Tumhain Tardpane lage
Ke Tum Ne kabhi Thukraya Tha Kisi ko
Ya Phir koyi Tumhain Thukra de
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Aankhon mai ajaye agar Ashk Tumhari
Aur koyi Shakhs ponchne wala na ho
Koyi Gham baant-ne wala na ho
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Koyi Torr de agar Dil Tumhara
Ho agar na koi Muqabil Tumhara
Tanhai ka Ehsaas boht Sataye
To usi Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Yeh toh Dukh deti hain sada
Tumhain bhi Yaadein Sataye jab
Mehfil mai bhi khud ko Tanha paoo
Toh usee Din Tum Laut aana Sanam
Tum Mujhe apna paao ge

Yeh Mera Wada raha Tum se
Jo kuch bhi maine kaha Tum se
Yeh Sab Na Bhool Paaoge
Tum Mujhe sada, Apna Paaoge Sanam
Mai Teri Hu Aur Teri Hii Rahungi
Her Janam main Sanam

Meri muhabbat per atibaar to kya hota

Meri muhabbat per atibaar to kya hota
Kesi aur ki honey se pehla mera intizar to kya hota 

Ulfat bhari nazron se ek bar dheka to hota
Mere zakhmoh per kabhi ek bar marham to lagaya hota 

Bewafa humhey kahney se pehle
Ek bar azma-e-wafa to kya hota 

Sab kuch bhool kar har rista tor kar
Ek bar tah-e-dil se mere dil per hath to rakha hota 

Bewafa kahney se pehle
Aahed-e-wafa to kya hota 

Dil-e-nash-e-mann mein jo aag lagaye thi tum na
Ek bar usey bhojaya to hota

Bana Gulaab Tou Gulshan Bana Gya Ik Shakhs

Bana Gulaab Tou Gulshan Bana Gya Ik Shakhs!
Hua Charaagh Tou Gher He Jala Gya Ik Shakhs!

Tmaam Rung Mere Aur Saaray Khawaab Mere,,,
Fasaana Thay K Afsaana Bana Gya Ik Shakhs,,,!

Palat Sakoon, Na Main Aagay He Berh Sakoon,,,
Ye Kesay Rastay Pe Mujhay Laga Gya Ik Shakhs!

Mohabtain B Ajeeb Jiski, Nafratain B Kamaal,,,,,,,
Meri He Tarah Ka Mujh Me Sama Gya Ik Shakhs!

Khula Ye Raaz K Aayina-Khaana Hai Duniya,,,,,,,,
Aur Mujhko Iss Me Tamaasha Bana Gya Ik Shakhs!

Tumhain chaha hai shidat se magar tum se kehna paaye

Tumhain chaha hai shidat se magar tum se kehna paaye...
Base hain Dil main mudat se magar tum se kehna paaye...

Tumhari aankhon ne jo chahre pe likha hua dekha hai
Woh kehna tha tum se fursat se magar tum se kehna paaye...

Yeh Dil dete hue hum ko tumhain taqeed karni thi
Is Dil ko rakhna hifazat se magar tum se kehna paaye...

Tumhain kehna tha yeh humne Mohabbat cheez hai aisi
Nahi milti hai jo daulat se magar tum se kehna paaye....

nasha guzrey ga hadh sey aapni

nasha guzrey ga hadh sey aapni
kaif ka saaz toot jahey ga
phair loo aapni madh bari aankhien
aaj sey jaam chooot jahey ga
mahool ku rangeen hum aik rooz bana dien gey
hum khud na peehein gey likan saqi ku pila dein gey
agar jaam raha khali khamosh na baithein gey
saqi teri mehfil main tufan utha dein gey
biqra hua duniya main mil jahey agar koi
mehkhaney main ley aaho insan bana dien gey
eeman ka dar na kar thoori si tu peee shahjee
wada raha KHUDA sey hum mafi dila dien gey

sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana

sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana ...
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana ...

jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone me
use poori tarah se tum bhulado phir chale jana ...

ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue
tum aake ek baar inko sulado phir chale jana ...

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana ...

bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana ...

wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana ...

jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana...

na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana ...

mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana...

Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai


Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai
Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai

Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai

Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai

Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni
Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai

Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main
Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai

Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni
Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai

Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab
Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai

Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat
Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai

Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main.
Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai

Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin
Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai

Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main “Ahl-e-WAFA”
Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha

Popular Posts