Monday, April 26, 2010

Phirtay hain kab say darbadar ab is nagar

Phirtay hain kab say....
Phirtay hain kab say darbadar ab is nagar ab us nagar ik doosray kay
humsafar main aur mairi awargi
Na-aashna har reh-guzar, na-meharbaan har ik nazar, jain to ab jain
kidhar
main aur mairi awargi!!
Hum bhi kabhi aabad thay aisay kahan barbaad thay, bayfikr thay, azaad
thay,
masroor thay dilshaad thay
Wo chaal aisi chal gaya hum bujh gaiy dil jal gaya, niklay jala kay
apna
ghar main aur mairi awargi
Jeena bohut aasan tha ik shakhs ka ehsaan tha, hum ko bhi ik armaan tha
jo
khwab ka samaan tha
Ab khwab hai na aarzoo, armaan hai na justajoo youn bhi chalo khush
hain
magar main aur mairi awargi
Wo mahwish wo mahroo, wo mah-e-kamil hoobahoo, theen jis ki batain
koobakoo,
us say ajab thee guftagoo
Phir youn howa wo kho gai to mujh ko zid si ho gai, laaen gai us ko
dhoond
kar main aur mairi awargi
Yeh dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya, kehnay ko phir kia
reh
gaya ashkoon ka darya beh gaya
Jab keh kay wo dilbar gaya tairay liyay main mar gaya, rootay hain us
ko
raat bhar main aur mairi awargi
Ab ghum uthain kis liyay, aansoo bahain kis liyay, yeh dil jalain kis
liyay,
youn jaan gawain kis liyay?
Paisha na ho jiska sitam dhoondain gai ab aisa sanam, hoon gai kaheen
to
kargar main aur mairi awargi
Aasar hain sab khoot kay, imkaan hain sab choot kay, ghar bund hain sab
goot
kay, ab khatm hain sab tootkay,
Qismat ka sab yeh phair hai, andhair hai andhair hai, aisay howay hain
bayasar main aur mairi awargi
Jab humdam-o-humraaz tha tab aur hi andaaz tha, ab sooz hai tab saaz
tha, ab
sharm hai tab naaz tha
Ab mujh say ho to ho bhi kia, saath ho wo to wo bhi kia, ik bayhunar ik

baysamar main aur mairi awargi!!

No comments:

Popular Posts