Monday, April 26, 2010

ek nazam kho gai hai dunya ki wusatoon main

ek nazam kho gai hai
dunya ki wusatoon main
kuch lafz is k gum hain
neelay samandaroon main
kuch harf mit gaey hain
mousam ki barishon main
is ka koi kinara
badal ne le lia
hansoon ki dhaj main is ka
ahang kho gaya hai
unwan-e-raftagan k
khuwaboon main jagta hai
uljhi hui hai hain rahain
main jin pe chal raha hoon
bikhray huay hain manzar
main jin main ghir gaya hoon

is muntashir jahan main
ek nazam dhondta hoon..........

No comments:

Popular Posts