Monday, April 26, 2010

Woh Kitney Haseen Lamhey They

Woh Kitney Haseen Lamhey They...
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab hum tum saath hotey they,
woh geelay neem k neechay,
geelee ghaas pe baitha,
chandnee raat main,
main tumharee zulfain gina kerta tha,
aur tum madhosh see masoom se ,
meree soorat taktee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum merey pehlo main baithee,
un udaas palon ko yaad kia kartee theen,
jab tum mujh se rootha kertee theen,
kuch naraaz naraaz see tumharee soorat,
mujh main khalish see paida kertee thee,
jaisey pooree dunya mujh se rooth gayee ho,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab main tumharey kandhey pe ser rakh k,
roya kerta tha,
aur dua kerta tha,
k hum kabhee juda na hon,
tum bhee kia khoob larkee theen,
tum bhee ro dya kertee theen,
phir hum donon,
ek doosrey k,
ansoo poncha kertey they,
aur phir achanak khilkhila k,
hansney lagtey they,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum ek phool k saath,
mujh se milney aya kertee theen,
aur phir kuch hee dair main,
janey kee zid kia kertee theen,
aur main tumhain,
rokta rehta tha,
woh ek ek lamha gina kerta tha,
aur phir achanak tum,
pyar se khuda hafiz kehteen,
aur,
sangeet kee dhunon kee tarha,
hawa main gum ho jaya kertee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tumharey diyey hoey woh phool,
gin gin ker main rakhta tha,
jin kee khushboo se ,
meree almaree mehek see jatee thee,
aur phir us khushbo main main,
aisa samo sa jata tha,
jaisey merey jeewan main udasee,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...
jab tum barkha rut main akeilee,
chhat pe aya kertee theen,
apney sundar haton se,
kaprey phailaya kertee theen,
main ghar kee mundair pe charha,
tumhain hath hilaya kerta tha,
aur rum anjaan se ban k,
neechay bhag jayaa kertee theen,
Woh Kitney Haseen Lamhey They...

No comments:

Popular Posts