Saturday, May 1, 2010

mere humnaseen mere hum-nawa odass na ho

"mere humnaseen mere hum-nawa odass na ho

kathan sahi tere manzil magar odass na ho





har aik talash k rastay mein mushkilain hain magar

har aik talash muradoon k phool lati hai

hazaroon chand sitaroon k khoon hota hai

tu aik subh ojaloon mein muskurati hai





kadam kadam pe chatanain kahri rehin magar

jo chal nikaltay hain wo drya phir nahi ruktay

hawain jitna bhi takrain andhiyan ban ker

magar ghatoon k par-chaam kabhi nahi jhuktay




jo apna khoon ko pani bana nahi saktay

wo zindagi mein naya rang la nahi saktay

jo rastoon k andheron sa haar jatay hain

wo manziloon k ojaloon ko paa nahi saktaay

No comments:

Popular Posts