Sunday, December 12, 2010

Phool Roshan Or Taroon Ko Mehakty Dekhta


Phool Roshan Or Taroon Ko Mehakty Dekhta
Kash Mein Qudrat K Rangoon Ko Badalty Dekhta

Sard Ratoon Me Pighalny Lagty Mere Jism O Jaan
Garmiyon Ki Dhoop Me Khud Ko Thatharty Dekhta

Derya K Dhary Nazar Aaty Kabhi Sehra Mujhy
Or Sehra Ko Kharri Fasalein Diboty Dekhta

Kash Boondein Perron Ki Shakhon Pe Ogti Ik Din
Kash Mein Pholon Ko Barish Me Barasty Dekhta

Dekhta Soraj Ko Apny Choolhy Me Jalty Hoey
Or Ofaq Se Bhook Ka Chehra Obharty Dekhta

Apni Aankhein Tank Deta Chand K Chehry Pe
Or Chand Ko Os Bewafa K Ghar Otarty Dekhta

Kash Meri Zindagi Me Aisa Din Ata
Os K Hathon Apny Khal o Khad Sawarty Dekhta

No comments:

Popular Posts