zulmat_kade me.n mere shab-e-Gham kaa josh hai
ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai
naa muzdaa-e-visaal na nazzaaraa-e-jamaal
muddat huii ki aashtii-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiyaa hai husn-e-Khud_aara ko be_hijaab
ae shauq yaa.N ijaazat-e-tasliim-e-hosh hai
gauhar ko ikd-e-gardan-e-Khubaa.N me.n dekhanaa
kyaa auj par sitaaraa-e-gauhar_farosh hai
diidaar, vaadaa, hausalaa, saaqii, nigaah-e-mast
bazm-e-Khayaal maikadaa-e-be_Kharosh hai
ae taazaa vaaridan-e-bisaat-e-havaa-e-dil
zi.nhaar gar tumhe.n havas-e-na-o-nosh hai
dekho mujhe jo diidaa-e-ibarat_nigaah ho
merii suno jo gosh-e-nasiihat_niyosh hai
saaqii ba_jalvaa dushman-e-imaa.N-o-aagahii
mutarib ba_naGmaa rahazan-e-tamkiin-o-hosh hai
yaa shab ko dekhate the ki har goshaa-e-bisaat
daamaan-e-baaGabaa.N-o-kaf-e-gul_farosh hai
lutf-e-Khiiraam-e-saaqii-o-zauq-e-sadaa-e-cha.ng
ye jannat-e-nigaah wo firdaus-e-gosh hai
ya subh dam jo dekhiiye aakar to bazm me.n
naa vo suruur-o-soz na josh-o-Kharosh hai
daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii huii
ik shammaa rah gaii hai so vo bhii Khamosh hai
aate haiN Gaib se ye mazaamii.N Khayaal me.n
‘Ghalib’, sariir-e-Khaamaa navaa-e-sarosh hai
No comments:
Post a Comment