Sunday, December 12, 2010

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam


Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai

Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .

No comments:

Popular Posts