Muhabbat karne wale devane kehlatey hein
nasamajh log un ko samjhaane aate hein
nah woh sun sakein aur nah hum suna sakein
dastan mein apni kuch esse afsaane aatey hein
muhabbat mein apni jo log naamurad gaey
unke mizaron pe log muradein paane aate hein
manzil khoti ho jati hey unki jo dam bhar ruk jaein
rah e muhabbat mein yun tu kai thikhane atey hein
jaan qurban karna hi hey mehraaj e ishq ,Zafar
shama jalte hi hasrat mein jalne ki parwane aate hein
1 comment:
Faysal bhai jaan, namaskar. mere paas words nahi hai ki main kaisey aapki taareef karu par aapki website visit karne ke baad se mere main bahut badlaav aaya hai. bahut bahut shukriya aapka. kabhi zindagi main hum miley to aapkaa shukriya khule dil se zaroor karronga.
Post a Comment