Friday, August 23, 2013

Sakoot-e-shab main tere baad sadayein bain kerti hein

Sakoot-e-shab main tere baad sadayein bain kerti hein
Baray be'asar hein ye haath, duaye'n bain kerti hein

Mere honton ki khasta chup tujhe aawaaz deti hei
Mere tann ki shikasta sab qabaye'n bain kerti hein

Mere seenay pe zulfo'n ka wo saya phir se lota do
Meri baahe'n hein sooni si, nigahe'n bain kerti hein

Mere ujray se aangan main ajab mela sa lagta hai
Kabhi siski jo tham jaye ,to aahe'n bain kerti hein

Shab-e-daijur mein humse tere dardo'n ne poocha hai
Suna hai sehra-e-dil mein, wafaye'n bain kerti hein

Tere qadmo'n ke boso'n se kabhi aaraasta thi jo
Mere pairo'n ke chaalo'n per wo raahe'n bain kerti hein

Haan jiski aakhri khawahish faqat judai ker di ho
To uss majboor chahat pe sazaye'n bain kerti hein

Meri saanso'n main maatam hai tere jaanay ke manzar ka
Meri dharkan main her lehza, nidaye'n bain kerti hein

Haan jis bhi daur ka inaam kattay maimaar ke haath hon
Jazaye'n khoon roti hein, attaye'n bain kerti hein

Haan jinki Azmato'n ka ziker falak walay sunatay hein
Unhe'n keh do zameeno per wo maye'n bain kerti hein
[8October 2005 ko aaye zalzalay ke pas manzar mein]

Jo hissay mere banti hein mujhe tasleem hein dil sey
Jo mujh se ho nahi paye'n, khataye'n bain kerti hein

Mera dil khoon ro jaye koi manzar nahi hat'ta
Teri aankhen baras jaye'n, ghataye'n bain kerti hein

Meri nakaam chahat ki qabar pe itna likh dena
Seyaah naseeb walo'n per, balaye'n bain kerti hein

Junoon-e-ishq ka haasil, sar-e-aalam hai ruswai
Judai mujh pe hasti hai, wafaye'n bain kerti hein

Sada ye saye'n saye'n ki suno kuch tumse kehti hai
Khizaa'n ki zard her rutt mein, hawaye'n bain kerti hein

No comments:

Popular Posts