Friday, August 23, 2013

Mujh ko bhi gila talkhi-e-doaraa'n se hai magar

Mujh ko bhi gila
talkhi-e-doaraa'n se hai magar
kuch baaton ka chup chaap seh jana hi behter
jis dard ki dawa na ho koi
aisay dard ka to shikwa na ker
jo beet chuka so beet chuka
janay walay kabhi palat ker nahi aaye
to phir...
yun tarap ker usko pukara na ker
gar judai hi muqadar tehri
gar yun hi jeena hai abb umer bhar
to phir...
kis liye ye dard-e-safar ?
dard ki baat aur ho...
main janta hon____ magar
ghum ko yun to gawara na ker
doob jaye tu ghum ke andheron mein
aisa ghazab to khudara na ker
jana...!!
khushi se tu kinara na ker

jab loh-e-taqdeer ka likha maan hi liya
ishq ki qismat judai______ jaan hi liya
to phir...
kyun her waqt
inn heeron se aankhon mein
veerani dairay dalay hai
kyun rung-o-roop pe
udasi cha'ee hai
kyun her taraf jana
bus tanhai hi tanhai hai?

dekho!
suno!
main ne maana
bohat mushkil bhulana --- magar
khud ko aatish-e-pareshaa'n mein jalanay se kya hasil
kiss ne kaha sirf dard-o-allamm hi teri manzil
inn sagar si pyari aankhon mein
ye ratt jaggay
khudi ki qasam dekhay nahi jatay
inn aankhon mein bassay aansoo
______aansoo nahi moti hein
moti to kabhi matti mein
rolay nahi jatay!

Yaadon ki baat matt kero!
yaaden to bedard hein
ik aag ka samander hein
ye kab kisi ka sahara bani
inn yaadon ko itna pyara na kero
khud ko yun to be'sahara na kero
_______inn yaadon ki baaton mein
na aaya kero
wadiye-dil se
loat aaya kero
jin sawalon ka jawab
mu'yassar na ho
khud ko aisay sawalon mein
na uljhaya kero
ronay se kya hasil
khud ko nahi
dil ko ye samjhaya kero
kabhi kabhi to
muskuraya kero!

tum ger udas ho
to mera bhi damm nikalta hai
khud ko tarpa ker
na mujh ko tarpaya kero
jala ke chiragh-e-jaa'n
aandhiyon ke muqabil
khud ko
yun to na aazmaya kero
raat hoti hai
sonay ke liye
raat aankhon mein
to na bitaya kero
suno chanda!!
so jaya kero___!!

No comments:

Popular Posts