Friday, August 20, 2010

Baadbaa'n kab khoolta hoon paar kab jata hoon mein


Baadbaa'n kab khoolta hoon paar kab jata hoon mein..
Roz raste ki tarha darya se laut aata hoon mein..

Subha dam mein khoolta hoon rassi apne pao'on ki..
Din dhale khud ko kahin se haank k laata hoon mein..

Apni janib se bhi deta hoon kuch kachuke jism ko..
Iss ki janib bhi apne ghum sehlata hoon mein..

Aik bache k tarah khud ko bitha k samne..
Khoob khud ko koosta hoon khoob samjhta hoon mein..

Khush patoon ki tarah hai qoowat-e-goyaee bhi..
Baat koi bhi nahi aur bolta jaata hoon mein..

Ye wohi tanhaii hai ab jis se behal jata tha dil..
Ye wohi tanhaii hai ab jis se ghabrata hoon mein..

Ishq mein maana hai ghalib ki tarafdari mujhe..
Roab jab chalta nahi to pao'on par jata hoon mein..

Mere haath aate hain tabish dosre mausam k phool..
Aik mausam mein to tehni tak pohanch paata hoon mein.

No comments:

Popular Posts