Friday, August 20, 2010

Na zamin na aasmaan ki talaash thi


Na zamin.. na aasmaan ki talaash thi ,
humein na manzil na kaarvaaan ki talaash thi...

faqat ik lamha pyaar ka dhoonte the hum,
jo saath chale do ghadi us meherbaan ki talaash thi ..

gairon ke fasane to hum aksar sunte hi rahe ,
haan magar teri kisi daastan ki talaash thi...

duniya ki baaton ka asar humpe ho na saka ,
sher padhte hue ik bezubaan ki talaash thi ....

rona to chaha kayee baar par aansoon nahin aaye, ,
na jane unko kis daaman-e-rehnuma ki talaash thi...

hum unse milte rahe jinko maloom thi duniya ki haqeeqat,
ghum to yeh raha ki kisi badgumaan ki talaash thi ...

Na zamin.. na aasmaan ki talaash thi ,
humein na manzil na kaarvaaan ki talaash thi...

faqat ik lamha pyaar ka dhoonte the hum,
jo saath chale do ghadi us meherbaan ki talaash thi ..

No comments:

Popular Posts