Wednesday, December 29, 2010

waqt ke khudaaoN ne hashr woh uthaaya hai


waqt ke khudaaoN ne hashr woh uthaaya hai
har bashar ki aankhon maiN ashk teir aaya hai

kaya gila hawaaoN se, aag se shikaayat kaya?
ghar ke hi chiraaghon ne ghar mraa jalaaya hai

zalzaloN ne maara kuch,aor kuch dhamaakoN ne
bach gaye jo in se to, aab ne bahayaa hai

tum bhala yeh kaya jaano,ham ne apne kaandhoN par
apni laash ko khud hi,kis tarah uThaaya hai

bas zameeN muqadar hai oRhney,bichoney ko
aor sar chupaaney ko aasmaaN hi paaya hai

zindagi hamaari to munjamid rahi phir bhi
ham ne tan ka aeendhan to baarha jalaaya hai

hosley hamaarey to aaj bhi haiN paayindah
baarha qayaamat ne ham ko aazmaaya hai

aasmaan shaahid hai, ham ne haar na maani
kaT gaye jo baazoo tu sar alam banaaya hai

Zain kaaT li ham ne zindagi yoonhi saari
aek khaab TooTa to,ik naya sajaaaya hai

No comments:

Popular Posts