Friday, May 7, 2010

hum to shayad wahi hain lekin, kuch log badal gaye hain


hum to shayad wahi hain lekin, 
kuch log badal gaye hain.


girte the kal tak har mod par 
lekin aaj sambhal gaye hain


jo dete the humein khushiyan 
wo halaat badal gaye hain.


jo bane the mere humsafar 
aaj wahi bichad gaye hain


manzilein to aab bhi wohi hain 
lekin kuch raste badal gaye hain


tum kya gaye is dil se 
saare aarman bichad gaye hain


dekhe the kabhi humne woh saare 
khwab badal gaye hain.


na badla to "raaz" na badla 
na badla "raaz" ka dil  

baaki to is tute dil ke saare 
jazbaat badal gaye hain. 

No comments:

Popular Posts