Wednesday, May 26, 2010

HuMse Hota Kisi Maqool Bahane Se Alag

HuMse Hota Kisi Maqool Bahane Se Alag, 
HuMne Chaha Tha Jise Saare ZaMane Se Alag, 

HuMse Bichhda To Khula Bhed Ye HuM Par, Ek Shakhs, 
Apne Gharse Hi Nahi, Tha Wo Gharane Se Alag, 

Tujhse Wabasta Tha Kya Dilse Sabhi Chain-O-Qaraar, 
Dil Hua Mujhse Tere Chhod Ke Jaane Se Alag, 

Mujhse Kaise Juda Baitha Tha Wo Tareeki Mein, 
Na Gahaan Ho Gaya Ek ShaMMa Jalane Se Alag, 

Ghar Ki TaqseeM Se Hota Nahi TaqseeM Lahoo, 
Bhai Hote Nahi Dewear Uthane Se Alag, 

Chain Lene Na De Gardish-E-Dauraan Ne Mujhe, 
Mera Qissa Hia Mohabbat Ke Fasane Se Alag, 

Tanz Ka Teer Nishane Pe Hi Lagta Hia Sada, 
Phainka Jaye Ye Kahin Khaah Nishane Se Alag, 

Yun To Har Sheher Ne Dikhlaye Kayi Khwab Mujhe, 
Teri Basti Ke The Kuch Khwaab Suhane Se Alag, 

Uski Maala Mein Tha Ek Ganj-E-Jawaahar AsiM, 
Khaal-E-Rukhsaar Ka Moti Tha Khazane Se Alag...

No comments:

Popular Posts