Saturday, March 6, 2010

Main Do Kadam Chalta

Main Do Kadam Chalta aur Ek Pal

ko Rukta Magar ,
Is Ek Pal Mein Zindagi Mujhse

Chaar Kadam Aage Badh Jaati…..
Main Phir Do Kadam Chalta aur

Ek Pal Ko Rukta Magar,
Zindagi Mujhse phir Chaar

Kadam Aage Badh Jati…..
Yun Zindagi ko Jeettaa dekh

Main Muskurataa,
aur Zindagi……Meri Muskurahat

per HainraaN Hoti.
Ye Silsila Yunhi Chalta Rehta

..

phir Ek Din Mujhey Hansta Dekh

Ek Sitare Ne Pucha….
“Tum Haar Kar Bhi Muskurate Ho

?
Kya Tumhe Dukh Nahi Hota Haar

Ka ?”
Tab Maine Kahaa…………… .

Mujhe Pata Hai Ek aesi Sarhad

Aayegi Jahaan Se
Zindagi Chaar Kadam To Kya Ek

Kadam Bhi Aage Na Badh Payegi
Or Tab Zindagi Mera Intezaar

Karegi Or Main……..
Tab Bhi Yunhi Chalte Rukte

Apni Raftaar se Apni Dhun Mein

Wahaan Pahuchunga….
Ek Pal Ruk Kar Zindagi Ki

Taraf Dekh Kar Muskuraunga……
Beete Safar Ko Ek Nazar Dekh

Kar Apne Kadam phir

Badhaunga……….
Theekk Usi Pal Main zindagi Se

Jeet Jaunga…….
Main Apni Haar Per Bhi

Muskuraya Tha aur
Apni Jeet Per Bhi

Muskuraunga……..
Or Zindagi…….
Apni Jeet Per Bhi Na Muskuraa

Payi Thi aur Apni Haar Per Bhi

Na RO Payegi…….
Bas Tabhi Main Zindagi Ko

Zindagi JEENA Sikha Jaunga……….

No comments:

Popular Posts