Zindaaniyaan-e-shaam o sahar kheiriat sey hain
Har lamha jee rahey hain magar kheiriat sey hain
Shehr-e-yaqeeN mein ab koi dam kham nahi raha
Dasht-e-gumaaN k khaak basar kheiriat sey hain
Aakhir hai kaun jo kisi pal keh sakey yeh baat
Allaah aur tamaam bashar kheiriat sey hain
Hai apney apney taur pa har cheez iss ghaRi
Mizsgaan-e-khushk o daaman-e-tar kheiriat sey hain
Ab faisloN ka kam nazaroN par madaar hai
Yani tamaam ehl-e-nazar kheiriat sey hain
PeiroN sey aabloN ka wohi hai muaamila
Saudaaiyaan-e-haal k sar kheiriat sey hain
Hum jin gharoN ko choR k aaye thay naagahaaN
Shikwey ki baat hai,wo agar kheiriat sey hain
Loo chal rahi hai,mehw hai apney mein dopahar
Khaak uR rahi hai aur khanDar kheiriat sey hain
Hum ehl-e-shehr apney jawaanoN k darmyaaN
Jaun ! aik moajiza hai agar kheiriat sey hain
Barbaad ho chuka hai hunar ik hunar k saath
Aur apney saahibaan-e-hunar kheiriat sey hain
Shukr-e-Khuda shaheed huey ehl-e-haq tamaam
Bargustawaan-e-teigh o tabar kheiriat sey hain
Ab us ka qasr-e-naaz kahaan aur wo kahaan
Bas dar hai aur banda-e-dar kheiriat sey hain
Hum hain k shaayeri hai hamare liye azaab
Warna tamaam Josh o Jigar kheiriat sey hain
Shayer to do hain......MEER TAQI aur MEER JAUN
Baaqi jo hain wo shaam o sahar kheiriat sey hain !!
No comments:
Post a Comment