Hai bikharne ko yeh mehfil-e-rang boo,tum kahan jawo ge hum kahan jayein ge
har taraf ho rahi hai yahi guftagoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge
har mata-e-nafas,nazar aahang ki,hum ko yaran hawas thi bohot rang ki
gul zameen se ubalne ko hai ab lahoo,tum kahan jawo ge hum kahan jawo ge
koi hasil na tha aarzoo ka magar,sanha ab hai yeh aarzoo bhi nahin
waqt ki is masafat main bay aarzoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge
kis qadar door se lout kar aye hain,yoon kaho umr barbad kar aye hain
tha saraab apna sarmaye-e-justaju,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge
ik junoon tha ki aabad ho shehr-e-jaan aur aabad jab shehr-e-jaan ho gaya
hain yeh sargoshiyan dar badar ku baku,tum kahan jawo ge ham kahan jayen ge
HUM HAIN RUSWA KUN-E-DILLI-O-LAKHNAWO APNI KIA ZINDAGI APNI KIA AABRU
MEER DILLI SE NIKLY GAYE LAKHNAWO,TUM KAHAN JAO GE, HUM KAHAN JAYEN GE
No comments:
Post a Comment