Suna Hey Log Usey Aankh Bher Key Dekhtey Hain
To Us Key Shehr Main Kuch Din Theher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Rabt Hey Us Ko Kharab Halon Sey
So Apney Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hey Dard Ki Ghahk Hey Chasham Naz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Sey Guzer Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Ko Bhi Hey Shair-O-Shairi Sey Shughaf
To Hum Bhi Mojzey Apney Huner Key Dekhtey Hain
Suna Hey Boley To Baton Sey Phool Jhertey Hain
Yeh Baat Hey To Chalo Baat Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Usey Chand Takta Rehta Hey
Sitarey Bam-Falak Sey Uter Key Dekhtey Hain
Suna Hey Din Ko Usey Titliyan Satati Hain
Suna Hey Raat Ko Jugnoo Theher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Chasher Hain Us Ki Ghazal Si Aank hain
Suna Hey Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Sey Berh Ker Hain Kaklain Us Ki
Suna Hey Shaam Ko Sye Guzer Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Ki Syah Chashmagi Qyamat Hey
So Us Ko Surma Farosh Aah Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Key Labon Sey Gulaab Jaltey Hain
So Hum Bahar Peh Alzaam Dher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Aaina Tamsal Hey Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sanwar Key Dekhtey Hain
Bas Ik Nigah Sey Lutta Hey Qafla Dil Ka
So Rah Rawan-E-Taman Bhi Dar Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Key Shabistan Sey Mutsil Hey Behshat
Maseeh Udher Key Bhi Jalwey Idher Key Dekhtey Hain
Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Kerti Hain
Chaley To Us Ko Zamaney Theher Key Dekhtey Hain
Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbey Hi Sahi
Agar Who Khawab Hey To Tabeer Ker Key Dekhtey Hain
Ab Us Key Sheher Main Thehrey Keh Kooch Ker Jyen
Firaz Aao Sitarey Safar Key Dekhtey Hain
No comments:
Post a Comment