Jo tum aao’ge phir aankhoN k darya num naheeN hongey
khuda shahid hai sub kuch hoga laikiN hum naheeN hongey
yaqeen jano tumhari qurbataiN bhi hashr dhayen gee
K armanoN k aanga’rey to hargiz kam naheeN hongey
ghamoN ki ta’an tootay gee na ubhray gee na phayle gee
ye hai saaz-e-mohabat is mein zer-o-bum naheeN hongey
tumhari yaad se khelaingey tanhai ki mehfil meiN
wohi urtey huwe lamhey jo sirf-e-ram naheeN hongey
mera maslak khuloos-e-ishq ka mafhoom rakhta hai
mere sagar mein sub kuch hoga laikin sum naheeN hongey
wafa ne ek hayat-e-mustaqil hum ko aata ki hai
k hum zinda raheinge garche baqi dum naheeN hongey
No comments:
Post a Comment