Thursday, June 17, 2010

Intezare-e-saba raha barsoon


Intezare-e-saba raha barsoon!
Ek dareecha khula raha barson

Aik din un ka pyar barsa tha 
Aur mai bheegta raha barson

Unki ankhon k jaam yaad rahe
Bin piye b nasha raha barson

tub kahin ja k aik ghazal likhi
Mai use sochta raha barson

Fasle kam na ho sake Faraz
Aamna saamna Raha barson

No comments:

Popular Posts