Monday, March 1, 2010

kamal-e-ishq hai diivana ho gayaa huN main


kamal-e-ishq hai diivana ho gayaa huN main
ye kis ke haath se daaman chura raha huN main


tumhin to ho jise kehti hai naKhuda duniya
bachaa sako to bachaa lo ki Dubta huN main


ye mere ishq kii majaburiyaN ma'az-Allaah
tumhara raz tumhin se chupa rahaa huN main


is ik hijaab pe sau be-hijabiyaN sadaqe
jahaN se chahata huN tumko dekhata huN main


batane vale vahin par batate hain manzil
hazar bar jahaN se guzar chukaa huN main


kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahiin sakata
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupa huaa huN main


mujhe sune na koi mast-e-bada-e-isharat
faysal TuTe huye dil ki ik sadaa huuN main



No comments:

Popular Posts