Thursday, April 15, 2010

Rooh bechain hay ek dil ki azyat kia hay

Rooh bechain hay ek dil ki azyat kia hay
dil hi shula hay to ye sooz e muhabbat kia hay
woh mujhay bhool hai iski shikayat kia hay
ranj to ye hay keh ro ro kay bhulaya ho ga

jhuk gai ho gi jawan saal umangon ki jabeen
mit gai hogi lalak doob gaya hoga yaqeen
chha gaya hoga dhuwan, ghoom gai hogi zameen
apnay pehlay hi gharoonay ko jo dhaya hoga

Us nay ghabra kay nazar lakh bachaai hogi
mit kay ek naqsh nay so shakl dikhaai hogi
mez say jab meri tasweer hataai hogi
har taraf mujh ko tarapta howa paya hoga

be mehel chhaird pe jazbat ubhar aay hon gay
gham e pasheman tabassum mein dhal aay hon gay
naam pe meray jab aansoo nikal aay hon gay
sar na kandhay say seheli kay uthaya hoga

Zulf zid kar kar kisi nay jo banaai hogi
roothay jalwon pe khizan aur bhi chhaai hogi
barq ashwon nay kai din na giraai hogi
rang chehray pe kai roz na aaya hoga

No comments:

Popular Posts