Thursday, April 15, 2010

Sach kehte haiN

Sach kehte haiN
Kaisay gharoor ki baat hui hai
MaiN apni hariyaali ko khud apnay lahu say seeNch rahi hooN
Meray saaray pattoN ki shaadaabi
Meri apni naik kamaai hai
Meray aik shaghoofay par bhi
Kisi hawa aur kisi baarish ka baal baraabar qarz nahiN hai
MaiN kab chaahooN Khiil sakti hooN
Mera saaraa roop,meri apni daryaaft hai
MaiN ab har mausam say sar ooNcha kar kay milti sakti hooN
Aik tanaawar pair hooN ab maiN
Aur apni zarkhaiz numoo kay saaray imkaanaat ko bhi pehchaan rahi hooN
Lekin meray aNdar ki yeh bahut puraani bail
Kabhi kabhi-- kab tez hawa ho
Kisi bahut mazboot shajar kay tan say liptanaa chahati hai

No comments:

Popular Posts